Poore Chand ki Raat
.
Chand ko dekh ke kisi ke man mein kya khayal aate hain ye to nirbhar (depend) karta hai kisi shaksh ke maansik halat pe yani ki mental state of mind pe. Ab yahi dekhiye na, Vinod Sharma ji ki likhi huyi aur humare Jaggu ji ki gayi ye kavita chandni raat ki roomaniyat ka sach mein jadu sa jaga deti hai man mein.
Bujh gayi tapte huye din ki agan
Saanjh ne chupchap hi pi li jalan
Raat jhuk aayi pehan ujla vasan
Pran tum kyun maun ho kuch gungunao
Chandani ke phool tum muskarao
Ek neeli jheel sa phaila achal
Aaj ye aakash hai kitna sajal
Chand jaise roop ka ubhara kanwal
Raat bhar is roop ka jadoo jagao
Pran tum kyun maun ho kuch gungunao
(vasan-cloth, pran-my love, maun-silent, sajal-watery, achal -stationary)
Sach hi to hai ki jab dil mein pyar ka beej ankurit ho jaye to is chand mein hi humein apne priyatam ki chavi nazar aane lagti hai. Phir to humare us beloved se juda har ek emotion humari har ek bhavna isi chand ke sahare prasphutit hone lagti hai.
Nahin samjhe aap!
Koi baat nahin meri baton se nahin to Wasi Shah sahab ki baat aap juroor manege. Apne mehboob se judi yadon ko sanjoye rakha tha inhone par jab ye chand samne aaya to dil ka dard chupa na sake keh diye sare gile shikwe ..
Aur kyun na kahein bhai aakhir ye chand hi to priyatam ke sath bitaye huye un yaadgaar lamhon ka raazdaar hai..
Main hooN tiraa khayaal hai, aur chaand raat hai
dil dard se niDhaal hai aur chaand raat hai
aankhoN mein chubh gayeeN tirii yaadoN ki kirchiaaN
kaandhoN pe gham ki shaal hai, aur chaand raat hai
dil toR ke khamosh nazzaaroN ka kia milaa?
shabnam ka ye sawaal hai, aur chaand raat hai
campus ki nehr per hai tiraa haath haath mein
mausam bhi laa.zavaal hai, aur chaand raat hai
her ik kalii ne auRh liaa, maatami libaas
her phool pur malaal hai, aur chaand raat hai
chalkaa sa paR rahaa hai wassi, veHshatoN ka rang
her cheez pe zawaal hai, aur chaand raat hai
Par ye bhi gaur karne ki baat hai ki kabhi to hum apni beeti huyi yadon ko chand ke sath bante hain to kabhi chandni raat ki khoobsurti mein is terah madhosh ho jate hain ki usmein hi apne hamsafar ko dekhne lagte hain jaise Sahir sahab yahan dekh rahe hain..
Yeh raat hai ya tumhari zulfain khuli hui hain,
Hai chandni ya tumhari nazron se meri raatain dhuli hui hain
Yeh chaand hai ya tumhara kangan,
sitarain hain ya tumhara aanchal,
Hawa ka jhoNka hai ya tumhare badan ki khushboo,
Yeh pattiyon ki hai sarsarahut,
ke tumne chupke se kuch kaha hai,
Yeh sonchta hoon main kab se gum sum
Ke jab ke mujhko yeh bhi khabar hai
Ke tum nahi ho, kaheen nahi ho,......
magar yeh dil hai ke kah raha hai
Ke tum yaheen ho, yaheen kaheen ho !
Par chand ko lekar sirf pyar mohabbat ki batein hon aisi bhi batein nahin iski aad mein ulahane bhi diye jate hain ha ha.
Lata ji ke gaye huye is nagme ki banagi lein
nayika ko shikayat hai ki dekho to ek ye chand hai jo bina kahe roz mujhse waqt pe milne aa jata hai aur ek tum ho ki. Waada kar ke bhi nahin aaye..
Chand phir nikla
magar tum na aaye..
Jala phir mera dil
karoon kya main haye..,
Aaj ke liye to bas itna hi.. Agli baar milenge to aayenge adhoore aur udaas chand ki kahani lekar! Tab tak ke liye izazat doston!