बुधवार, अगस्त 31, 2005

Sheeshon ka Masiha Koyee Nahiin... by Faiz

Continued from previous post.....

Apni pichli post mein maine baat ki thi toote sapnon aur bikhre motiyon kiTo leejiye huzoor aaj padhiye in bikhre motiyon aur kaanch ki kahani Faiz ahmad Faiz ki jubaani
moti ho ki sheesha jaam ki dur1
jo toot gaya so toot gaya
kab ashkon se jud sakta hai
jo toot gaya , so choot gaya


tum nahak tukrey chun chun kar
daman mein chupaye baithey ho
sheeshon ka masiha koyee nahiin
kya aas lagaye baithey ho

shayad ki inhii tukron mein kahiin
wo sagar-e-dil hai, jis mein kabhi
sad naaz se utra karti thi
sahba-e-gham-e-jaanaan2 ki pari

phir duniya walon ne tum se
wo sagar le kar phod diya
jo may3 thi baha di mitti mein
mehmaan ka shah par4 tod diya

ye rangiin reze5 hain shahid6
un shokh biloori7 sapnon ke
tum mast jawani mein jinse
khilwat8 ko sajaya kartey the


naadaari9 dafter bhookh aur gham
un sapnon se takratey the
be-raham tha chau-mukh pathraav (stoning from all the sides)
yeh kanch ke dhanchey kya kartey?

ye sagar sheeshe, laal-o-guhar10
saalam11 ho to keemat paate hain
yun tukde tukde hoon to phakat
12
chubhte hain, lahoo rulwaate hain

yaadon ke girebanon ke rafoo..
par dil ko guzar kab hoti hai ?
ik bakhiya udheda, ek siya
yun umra basar kab hoti hai ?

tum nahak tukrey chun chun kar
daman mein chupaye baithey ho

sheeshon ka masiha koyee nahiin
kya aas lagaye baithey ho


Meaning of difficult Urdu words
1 Ek terah ka ratna
2 Gham ki sharab roopi preyasi
3 Sharab
4 Pari ka sabse bada pankh
5 Rangeen Tukde
6 Gawaah
7 Kaanch ke
8 Akelapan
9 Gareebi
10 Manik, moti
11 Salaamat
12 Kewal

17 टिप्‍पणियां:

  1. Kitna accha ho ki aap devnaagri script ka prayog kar post karein. Bada hi aasan hai, ye links dekhein:
    http://www.akshargram.com/sarvagya/index.php/Welcome
    http://www.myjavaserver.com/~hindi

    जवाब देंहटाएं
  2. Ufff....Dharkaan pe sara tou tars khatay...kis taar ko dil mai ched diya......

    tum nahak tukrey chun chun kar
    daman mein chupaye baithey ho
    sheeshon ka masiha koyee nahiin
    kya aas lagaye baithey ho


    pori nazam k sath sath ye chand lines behaad...behaad aur behaad pasand ayein....

    aas k samandar mai...bepanaha mohabbat mai...arzoo k jangal mai...sirf tootay sapnay hain....sirf anchal-e-ghum hai....
    aur kuch nahi hasil....

    जवाब देंहटाएं
  3. bohat khoob, Faiz kee nazm aur aapka yun bayaan karne ka andaaz

    जवाब देंहटाएं
  4. bahot haseen,somehow urdu/hindi poetry can touch 1s soul i wrote this last night....
    khamoshion kaa safar
    or main thee muntazar
    na koi hamsafar
    naa koi charaa ger
    meri weshtoon ko qarar nahin
    iss zindaan say kahin farar nahin
    iss kitab e dil pay likha
    fasana e junoon hoon main
    iss taptay sehraa ki dhoop main
    lahoo lahoo khoon fagar hoon main.
    iss sooraj kay samnay jultay
    moom ki deewar hoon main.

    जवाब देंहटाएं
  5. khamoshion kaa safar
    or main thee muntazar
    na koi hamsafar
    naa koi charaa ger
    meri weshtoon ko qarar nahin
    iss zindaan say kahin farar nahin
    iss kitab e dil pay likha
    fasana e junoon hoon main
    iss taptay sehraa ki dhoop main
    lahoo lahoo khoon fagar hoon main.

    Bahut khoob likha hai Sebia aap ne! Daad kubool pharmaiye! aur akhir ki do line to khas pasand aayin!

    iss sooraj kay samnay jultay
    moom ki deewar hoon main.


    do visit again!

    जवाब देंहटाएं
  6. Kya baat hai manishji,Kitne khoobsurat bol hain,kabhi kabhi tho lagta hain, Duniya ki saari khoobsoorati inke shabdo mein simatgaya hain,Sara dard baras pada hain shabdo mein,Ek aur ghazal hain inki jo mujhe behad pasand hain...
    "Donon jahaan teri mohabbat mein haar
    ke,Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain,Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke
    Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din,Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke, Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
    Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke, Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz, Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke"

    जवाब देंहटाएं
  7. Aur ek request hain aapse,plz aap devangiri script math use kijiye...I come to your blog because i find it easier to read hindi in english,it wont restrict the freedom of anyone who can come here,i can read and write hindi,but still i like this blog because it is accessable to eaveryone:) HOPE U dont mind for the suggestion:)

    जवाब देंहटाएं
  8. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  9. MashaAllah!!! Faiz sahab ki to baat hee niraali hai...:)

    shukriya!

    जवाब देंहटाएं
  10. Donon jahaan teri mohabbat mein haar ke
    Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke

    Viraan hai maikada khum-o-saaghar udaas hain,
    Tum kya gaye ke ruth gaye din bahaar ke

    Ek fursat-e-gunah mili woh bhi chaar din
    Dekhe hain hum ne hausle parwardigaar ke

    Duniya ne teri yaad se begaana kar diya
    Tujh se bhi dilfreb hain gham rozgaar ke

    Bhule se muskra ke diye woh aaj Faiz
    Mat puchh walwale dil-e-nakarda kaar ke


    Ek achchi ghazal ko pesh karne ka shukriya Neel!

    Aur Neel tumhara jo suggestion hai na wo meri belief bhi hai. Though I love hindi my first aim of blogging was to find people in the blogworld who are like me and who think like me. Aur iske liye koi script deewar bane main kabhie nahin chahta.

    How I can I forget that I have learned so much urdu from my frens in Pak just because of roman script.

    जवाब देंहटाएं
  11. Nazm pasand karne ka shukriya DON! Janti ho is poem ke kuch stanze Ahmad Kamran sahab ne bahas pe post kiye the tabhi se ye jehan mein thi. Uske baad jab faiz ki ek kitab khareedi to ye nazm poori padh paye.

    जवाब देंहटाएं
  12. Nice Manish Jee Very Nice.
    Some Sher of This Nazam which i remember....

    Kab Loot Jhapat Se Hasti Ki Dookane Khali Hoti Hain,
    Yahan Parbat Parbat Heere Hain Yahan Sagar Sagar Moti Hain.

    Is Kaargah-e-hasti main Jahan Sab Sagar Sheeshey Dhalte Hain,
    Har Shai Ka Badal Mil Sakta Hai Sab Daman Pur Ho Sakte Hain

    I Want to read this full Nazam. If you have, please send me,

    From Ashwinder Singh

    जवाब देंहटाएं
  13. Ashwinder ji
    Thx for your comments. I do have the whole nazm which is quite long. I have only taken selected verses from the nazm.

    As soon as I will find team I will share it on my Hindi blog.
    ek-shaam-mere-naam.blogspot.com

    Keep watching the blog .

    जवाब देंहटाएं
  14. Ashwinder ji aapki gujarish par ye nazm maine apne hindi blog par yahan post kar dee hai.

    http://ek-shaam-mere-naam.blogspot.com/2007/11/blog-post_04.html

    जवाब देंहटाएं
  15. Manish Jee
    Mere Paas Shabad Nahi Hain Aapka Shukria Kehne ke Liye. Bas Yun Samjhen aapne mere beetey hue din mujhko tohphe mein de diye. Mere Pas se ye Nazm kahin Kho Gai Thee aisa lagta tha zindagi kho gai, Aapne zindagi lauta dee.
    Shukria Janab
    ashwinder22singh@gmail.com

    जवाब देंहटाएं
  16. Manish ji,

    I stumbled across your blog searching for the complete version of this particular nazm. For sharing this gem of Faiz sahab, Be-had mehrbaani!

    जवाब देंहटाएं