शुक्रवार, अप्रैल 15, 2005

Jhuki Na Alkein... by Atal Bihari Bajpeyi

Jhuki Na Alkein...
Jhapi Na Palkein..
Sadion Ki Baraat Kho Gayee...
Rote Rote Raat So Gai....

Ghumri Badli...
Boond Na Nikli...
Bichhran Aisi...
Vyatha Ho Gayee...

Dard Purana....
Meet Na Jaana...
Aankhon Hee Mein...
Raat Ho Gayee....


AB Bajpeyi

4 टिप्‍पणियां:

  1. Manish ji...

    iss kavita ko parhwane ka shrey aap hee ko doongi mein, kyunke...humein Atal ji ki kavitayein...parhne ka awsar jyada prapt nahi hua...lekin oonki kavita per jo album bana tha oos se...Atal ji ko rajniti se hatakar oonke andar ek hasaas dil ko mehasus zaroor kiya...aur iss kavita mein to waqai...hamare hindi ki kaksha ke woh sunhare din yaad dila diye...jinke ki hum yaadein aaj bhi mann hee mann taza karte hein.
    atyant bhavuk see lagi...
    keep sharing !

    जवाब देंहटाएं
  2. India mein do PM aise huye hain jinmein ek kavi ek kalakar ki aatma kahin dabi huyi hai!
    atal ji unmein se ek hain
    aue jo doosre shaksh hain aajkal unki paintings ki pradarshni chal rahi hai Jahangir Art Gallery, Mumbai mein!

    Kan u guess the name?

    जवाब देंहटाएं
  3. you are really pricking my brain lol
    I think its IK Gujral??? thats my wild guess am making...aap bataiyega zaroor!

    जवाब देंहटाएं
  4. Any way good try!
    I. K.Guzral sahab ke bhai bade achche painter hain India ke!

    But the correct answer is!

    V.P.Singh
    yani Vishwanath Pratap Singh!

    Better lick next time ! dawn

    जवाब देंहटाएं