Kai baar geeton ke mukhde kuch khas asar karte hain ek dum sahaj bol (simple lyrics) hone ke baavjood ! Kuch aisa hi asar hua jab maine is geet ko suna. To pesh hai is geet ka mukhda ek antare ke sath pyar ki bheeni bheeni khushboo liye..
Pyar aaya….. aur jyada
Aur jyada… pyar aaya
Dekha jitni, baar tumko
Pyar aaya….. aur jyaada
Aur jyaada… pyar aaya
Ye madhoshiyaan hain..
Ye betabiyaan hain..
Ye kya hain ….hum bhi na janein..
Tumhein sirf chahein..
Tumhein hi sarahein..
Koyi kuch kahe hum naa manein
Ye mastana kajal..
Ye julphon ka baadal..
Ye shaanon pe jhukti nigahein..
Ye hothon ki khushboo, ye chehre ka jadoo..
Ye dil ko churati adayein
Chaha jitni baar tumko
Pyar aaya….. aur jyaada
Aur jyaada… pyar aaya
Sonu Nigam aur Alka Yagnik ki makhmali aawaz agar aapke man mein ek shararat aur shokhi na bhar de to kahiyega :)
Happy Listening !
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7983/
Hiiii
जवाब देंहटाएंthis is from which movie...
Will have to listen from home
Take care
Cheers
Barsaat, Puneet!
जवाब देंहटाएंI liked it, thanks
जवाब देंहटाएंwow nice song mani..
जवाब देंहटाएंhows u doing..
:)
Jaankar khushu huyi ki u liked it Dewdy!
जवाब देंहटाएंThx Pari I am fine :)
bilkul yehi khayalaat aaye the jab pehali baar iss geet ko suna tha...movie ki review koi khas nahi bata raha tha ...lekin sach sadgi mein jo baat hai woh kisi aur baat mein kahan :)
जवाब देंहटाएंcheers!
haan movie to bakwaas
जवाब देंहटाएंmagar ye song hai kuch khas! :)