गुरुवार, जून 16, 2005

Mere Sapne Mere Geet..... 2004

Sangeet mere pehla pyar hai aur rahega. Aur bina iske bare mein baat kiye huye mujhe apna blog adhoora adhoora sa lagta hai. Aaj se jo kadi (series) main suru kar raha hoon wo apne aap mein meri purani posts ka sankalan (compilation) matra hai jise maine ek waqt internet pe urdu poetry forums mein pichle saal post kiya tha!

Bachpan mein jab TV ka padarpan nahin hua tha to hum har wednesday ko raat 8 baje badi besabri se radio ceylone laga kar Ameen Sayani sahab ki Binaka Geet Mala ka intezaar karte the. Pareshani ye ki wo station lagta badi mushkil se tha aur kisi ne transistor halke se cheda nahin ki turant gane ki jagah kabhie news to kabhi pop lag jata tha! Par itni dikkiton ke baad bhi wo countdown salon saal humara chaheta program bana raha! Aur aaj usi tarz pe ye kadi bhi hogi...

To humari ye geet mala 10 songs ki hogi farq sirf itna hoga ki post ke beech mein binaca/cibaca smile wale ads nahin honge:) . Par geeton ki baat karne se pehle dekiye Gulzar sahab ki kya rai hai is baare mein...

Ek mood, ek kaifiyat geet ka chehra hota hai..
Kuch sahi se lafz jad do, maujoon se dhun ki lakeerein kheench do..
To nagma sans lene lagta hai, jinda ho jata hai..
Itni si jaan hoti hai gane ki ek lamhe ki jitni..
Haan kuch lamhe barson jinda rehte hain..
Geet boodhe nahin hote unke chehre pe jhurriyan nahin girti..
Wo palte rehte hain chalte rehte hain..

Gulzar


Kitni pyari baat kahi hai na Gulzar sahab ne. :)
Sach hi to hai geet jab dil ko choote hain to humare jehan ka hissa ban jate hain! man mein bas jate hain ! kuch aisa hi asar kiya hai in geeton ne mujh par pichle saal. Dekhein mere doston ko kaise lagte hain ye songs...

8 टिप्‍पणियां:

  1. Raatoun ko der tak soch mai gum rehna,andheroun say batain, sangeet say apaniyat,poetry say lagav,chand say piyar,aur yaqeenan barish ki halki halki boondoun say ya phir us ki khushboo say bhi aapka dil machal jata hoga :), hai na ;):D.... isliye ye tou hum kisi shaq-o-shuba k bagair keh saktay hain k bachpaan hi say aap mai ek ashiq aur ek shayar wali khoobiyan moujoood hain ;)

    Sangeet par gulzaar ji k thoughts behad pasand ay ,Is kadhi k agay badhnay ka intezar rahy ga :)

    जवाब देंहटाएं
  2. Manishji,shukriya,aapne itni acchi post likki hai ki kya kahen:) Gulzarsaheb ki ek cassette hai "fursat ke raat din" Unke ye bol wahin se suna hai meine aur jo gaane se pehle ye bol athe hai,woh bhi bahut hi khoobsoorat hai "fir se aaye o,badra bidesi..."
    Ameensayani sahab ki geetmala tho mujhe bhi yaad hai,aur woh chayageet aur jaymala,gunjan,Radio aaj bhi mujhe pyara hai,aur sangeet ke bina tho zindagi adhoori lagthi hai:)
    Intezaar rahega gaano ka,this place is becoming my fav blogs:) keep writing sir.

    जवाब देंहटाएं
  3. Isha ji aapko Gulzar Sahab ki baat achchi lagi jaankar khushi huyi!

    जवाब देंहटाएं
  4. hmmmmmmm aapki analysis padhi Zainab!
    Waise aapne jin baton ki jikra kiya hai wo meri blog pe aane wale amooman sare doston ko pasand hai including urself!

    Iska matlab aap mein bhi bachpan se hi.....:):)hee hee hee

    जवाब देंहटाएं
  5. Hi Neel
    Bilkul sahi kaha tumne maine bhi ise usi cassette mein suna tha aur note kiya tha ! Most of the songs featured in that album are my fav too!

    Aur badra videshi hostel mein apne bagal ke room mein bajta sun ke hi ise khareedne nikle the hum:)

    Aree teacher aap hain aur sir humein kehti hain nahin ji ye padvi hum accept nahin karenge haaaan!

    जवाब देंहटाएं
  6. ohh manish...kya yaad dialya tumne bhi..Binaca aur Ameen Sayani ek dusre se alagh ho hee nahi sakte...aur mujhe woh din yaad hey jab hum sabhi bacche (pados ke) milkar intezaar karte..aur sunte...kuch dost padhayee ke bahane hamare ghar aate kyunke oonke ghar oos waqt radio hota nahi tha ya phir gharwale mana karte the...mashaAllah....bahut hee sahi shrinkhala ki yaad dila dee...aur hamare Gulzar sahab kabhi ghalat ho sakte hein kya ;)

    Meine har woh post parhe hein aur tum bhi jaante ho ...kitne priy hein woh sab mere liye...shayad isiliye hum aaj tak ...ab tak yahan hein :D

    Good one looking more to come :)

    जवाब देंहटाएं
  7. hmmm to aapne bhi bachpan mein Ameen Sayni ko suna hai aur enjoy kiya hai apni mitra mandali ke sath!
    achcha laga jaankar :)

    जवाब देंहटाएं
  8. manish..amazing start..actually hum oopar se parhte aaye...lekin shuruwaat bahut khoobsurat hamare chahete..kavi Gulzar sahab ki peshkash wha..ab aur kya kahein hum :D

    bahut hee khoobsurat shuruwaat hai..banaye aur barhaye rakhna :)

    जवाब देंहटाएं