सोमवार, नवंबर 14, 2005

Chilika Lake

Satpara, Chilika lake ke uttari sire ka wo kinara hai jahan Puri se aane mein lagbhag sawa ghante lagte hain. Kareeb 20 km pehle se hi Chilika ke backwaters ka manoram drishya dikhne lagta hai . Kehte hain ek jamane mein Chilika ke isi hisse se sudoor poorva tak trade hota tha. Aise to Chilika ki vishal jheel mein boating apne aap mein ek behad sukoon dene wala anubhav hai par chilika ka adbhut saundarya tab aur bhi khil uthta hai jab sardiyon mein iske vishisht atithi iski vishal halki hari chadar pe panah lene ke liye aate hain.

Jee haan main unhin Siberian Cranes, Flamingos ki hi baat kar raha hoon jo Russia aur northern asia ki barfeeli sardiyon se bachne ke liye December se March tak yahan apna dera dalte hain. Us waqt sari jheel ek safed si parat liye deekhti hai. Yahan ke sthaneey ki logon kehte hain ki pehli baar jab British faujon ne is raste se Orissa mainland ki or dhava bolne ki sochi to unhein unche unche safed safed vardi pehne sainikon ki bhari katar dikhai padi aur wo ghabra kar wapas chale aaye. Ye safed nakabposh aur koi nahin ye migratory birds hi the :)

Khair hum to ye drishya dekhne se vanchit rah gaye :( kyunki in pakshiyon ne yahan abhi aana suru hi kiya tha. Par inmein se kuch ko humne Nandan Kanan mein dekha. Jara aap bhi gaur karein hain na khoobsurat !











Satpara se sea mouth tak ki boating ka lutph hi alag hai. Vishal jal ki bahri paridhi pe nariyal ke jhund ke beech chote chote ganv dikhai padte hain.


Prashidha nrityangana Sonal Man Singh is mitti ki upaj hain. Jyadatar ganv machuaron ke hain. Inke jaal ke paas machliyon ko khane aati dolphins bhi dikhai padin. Humne bahut koshish ki inki tasweerein lene ki par 15 snaps try karne ke baad ek mein hum inhein capture kar paye. Wo bhi aisi ki bina explain kiye pata hi na chale ki Dolphin hai.

Raat ko Jaganath Mandir jane ke pehle hum phir samudra ke samne jakar baithe. Yoon to Eid ke agle din ka chand ab bhi maheen sa hi tha.phir bhi samudra ki lehrein aaj kuch jyada hi uchaal bhar rahin thin , manon apni taqat ka darp bhara pradarshan kar rahin ho.

4 टिप्‍पणियां:

  1. trip ki tasveeron ke liye bahut badhayee :)...am glad ke cam ke aate hee ye trip ki gift aapne khud ko dee ya cam ko...ye to sochne wali baat hai :)
    flemingos ko dekhkar mujhe England ke din yaad aagaye...they feed them with shrimps and hence the color ;) isnt that amazing..:)...mujhe meri tasveer bhi bahut acchi lagi...socho kaunsee :D (part I ki )...
    aashaon ke saath vidayee lete hein agli kisht ke taiyar hone tak :)

    cheers!

    जवाब देंहटाएं
  2. bahut khubsurat tasveer hain...
    aur utna hi khubsurat varnan bhi kiya hain humne apne trip ka...

    boating ka maza ki alag hain...

    thanks for sharing

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. DON: loz! tumhari pic:):). Bataiye aapke darshan hetu hum 8 baje so ke uthne wale bhi us din 5.15AM uth gaye aur aapki tasweer camre mein qaid karne mein safal rahe.

    Puneet Shukriya jee! Abhi to humein apni pasandeeda pic post karni baki hai :)

    जवाब देंहटाएं
  4. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं