शुक्रवार, अप्रैल 22, 2005

Jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai

Zindagi kabhi kabhi bahut mayoos kar deti hai!
khaskar tab jab kuch aisa ho jaye jiski kabhie kalpana bhi na kee ho
aur haal phil haal mein mera sath aisa hi hua

mera ek behad azeez dost jise mein salon se janta tha ek raat mujhe jhoothon ka pulinda de gaya!
chand batein hi to chipayi thi usne apne bare mein ..
uska naam bhi usi mein shamil tha ..
aur use ye batane mein do saal lag gaye ..
wo shaksh mujhe aaj bhi utna hi pyara hai!
shayad hi koi din ho jab jehan mein uski tasweer na ubharti ho!
par jitna viswas tha us per ..
uski baton par ..
kya aage bhi reh payega pata nahin!


aaj jab Gulzar sahab ki likhi huyi ye panktiyan padhi to laga wo to mere dil kee hi baat bol rahe hain....

Kisi mausam ka jhonka tha ..
jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai ..
gaye saawan mein ye deewarein seemee nahi theen ..
na jaane is dafa kyon.....inmein seelan aa gayi hai ..
dararein pad gayi hain ..
aur seelan is tarah bahti hai jaise ..
khusk ruksaaron pe geele aansoon chalte hain. ..


Ye baarish....gungunati thee
isi chat ki munderon pe
ye baarish gungunati thee isi chat ki munderon pe
ye ghar ki khidkiyon ke kaanch par
ungli se likh jaati thee sandese
bilakhti rahti hai baithi hui
ab band roshandanon ke peetche

Dophaharein aisi lagti hain
bina mohron ke khali khane rakhhein hain
na koi khelne waala hai baazi
aur na koi chaal chalta hai

Na din hota hai na ab raat hoti hai
sabhi kuch ruk gayaa hai
wo kya mausam ka jhonka thaa
jo is deewar pe latki hui tasveer tirchee kar gaya hai.

6 टिप्‍पणियां:

  1. Manish ji,

    Sab say pehlay tou hum ye kehna cahein gay k jis khoobsurti say aap nay apnay jazbaat ko alfaazoun ka roop diya hai woh waqai qabil-e-tareef hai,

    Aap ki tehreer ki bunyad vishvas par hai,dunya mai har kism k log hain,jin mai say kuch hamaray dil k behad kareeb bhi ajatay hain aur hum unko apni zindagi ka ek hisa bana letay hain,har choti bari khushi ,aur har chota bara ghum un k sath bantay hain,aesay logon ko hum apnay vishvaas k us darjay par lejatay hain jahan koi ek chota sa jhoot bhi buhaat thes pohnchata hai,dil phir say cahta tou hai k us shaks say nata na torein, saath na chorein aur aesa karnay mai kamiyaab bhi hojatay hain hum magar zehn mai ek waham beth jata hai jo na-chatay howay bhi zindagi bhar qayaam rehta hai.

    BAQOOL-E-SHAYAR :

    naam us kaa to mere dil me.n nihaa.N thaa naaseh
    haaye kam_baKht tere muu.Nh se ye kyo.n kar nikalaa


    Dua'go
    [ZA]

    जवाब देंहटाएं
  2. Aapki baat samajh sakte hein lekin kabhi nadi ke oos paar bhi rehakar dekha hey jo iss aur se hara bhara nazar aata hey
    kya woh wahan jaane per bhi hara bhara hee rehata hey?
    ye sawal batane ya samjhane se shayad koi nahi samajh paaye...kabhi kabhi khud ko oonke haal per rakh paana bhi mumkin nahi hota...!
    Gulzar sahan ke hum bahut bare fan hein lekin Javed Akhtar sahab ke bhi kam chahete nahi hein hum...aapki post parhkar oonki yeh ghazal achanaq se zehan mein aagayeen!!!!
    mann udas zaroor hey...kher!

    dard ke phuul bhii khilate hai.n bikhar jaate hai.n
    zaKhm kaise bhii ho.n kuchh roz me.n bhar jaate hai.n

    us dariiche me.n bhii ab ko_ii nahii.n aur ham bhii
    sar jhukaa_e hu_e chup-chaap guzar jaate hai.n

    raastaa roke kha.Dii hai yahii ulajhan kab se
    ko_ii puuchhe to kahe.n kyaa ki kidhar jaate hai.n

    narm aavaaz bhalii baate.n mohazzab lahaje
    pahalii baarish me.n hii ye rang utar jaate hai.n

    जवाब देंहटाएं
  3. Hi Gumnaam
    bilkul wahi baat likhi hai aapne gumnaam jo mere dil mein thi!
    mere dukh ko aapne dil se mehsoos kiya hai
    bahut bahut shukriya!

    regards
    Manish

    जवाब देंहटाएं
  4. Hi Dawn
    Main to ab tak yahi samajhta tha ki door se cheezein jyada dhundhli nazar aati hain!
    paas aane pe rang sah maloom hota hai

    par ye to unke liye hai jo ek doosre ko na jante hon

    khair ho sakta hai ki meri us dost ki apni paristhitiyan rahin hongi par aajtak mere jitne kareebi dost huye hain unmein se kisi ke sath bhi aisa anubhav nahin hua!
    shayad isliye bhi ki wo mere samne ki duniya ke prani the! par ye to virtual world hai na
    yahan option hain logon ke pas ki wo kis roop mein kisi shaksh se milte hain.

    Javed sahab ki ek behtareen ghazal share ki aapne!
    sahi hai ye ki zakhm bhar jate hain
    par ye bhi sahi hai na jab mausam badalta hai!
    behti hawa ke sath yadon ke jhonkhe aate hain
    to wo us purane zakhm par ek tees juroor de jate hain
    shukriya humari blog visit karne ka!

    regards
    Manish

    जवाब देंहटाएं
  5. Shukriya Gautam for providing the link. I have also heard that in the CD .

    जवाब देंहटाएं