सोमवार, दिसंबर 12, 2005

Tera Intezaar Hai....

Aankhon ko intezaar ka de ke hunar chala gaya
Chaha tha ek shaksh ko jaaney kidhar chala gaya.
Din ki vo mehfilein gayee, raaton ke ratjagey gaye
Koii samet kar mere, sham-o-saher chala gaya.

In ashaar ko padh kar aap samajh hi gaye honge ki aaj ki meri is post ka kendrabindu(centrepoint) kya hai! Jee haan theek pehchana aapne wahi jise karne se aap sab ghabrate to juroor hain par phir bhi is ke chakra se apne aap ko bacha bhi nahin pate.:)
Ab intezaar bhi waise do terah ka hota hai! Bataiye to kaun kaun sa?
Chaunkiye nahin janab ek adad bharteey hone ke nate aapne pehle type ke intezaar ka anubhav to shartiyan kiya hoga!:)
Aap pocheinge kahan?
Are aur kahan bhai ----rashan ki kataron mein, reservation counter pe, telephone aur bijli bill jama karte waqt, banks mein , post office mein…..uff ye list to unending hai. Kahan tak bayan karoon waise bhi apni is post ko unromantic banane ka mera koi irada nahin..:)

Kyun na phir baat karein ghar ki us balcony ki, college ke us gate ki, insti ki us library ki, pass ke us bus stop ki, apni canteen ki, ya aise hi anginat si jaghon ki jahan pe aapne kisi ke aane ka intezaar kiya hoga. Kitne bhari padte hain ye pal khaskar jab hum asmanjas mein hon ki jo aane wala hai wo aayega bhi ki nahin. Par ek baar agar wo aa jaye to intezaar ka wo har ek lamha saarthak ho jata hai, khushnuma ho jata hai.

To aise hi kisi lamhe ko yaad kejiye aur ye geet suniye jise Rahul Vaidya ne gaya hai aur is khoobsurti se gaya hai ki Sonu Nigam bhi pareshan ho jayein aane wale is tough competition ke liye. Bada hi pyara nagma ye hai jise baar baar gungunane ka jee juroor chahega aapka.

Mujhe raat din ab tera intezaar hai
Bataoon tujhe kis terah itna pyaar hai
Tera intezaar hai Mujhe tujhse pyar hai
Mujhhe tujhse pyar hai tera intezaar hai

Tanhaiyaan bhi hain
Bechainiyaan bhi hain
Masoom dil bhi hai
Majbooriyan bhi hain
Sadayein teri kyun mujhe aati nahin
Wo yadein teri dil se kyun jati nahin

Tera intezaar hai ..................................
Le aayenge sanam
Tujh ko mana ke hum
Pagal se ho gaye
Dil ko laga ke hum
Deewane ko tu ek naya koi naam de
Subah pyar ki, pyar ki koi sham de

Tera intezaar hai ..................................
Par ye intezaar to chanik tha jiska nateeja humein turat mil gaya. Par kya har baar kisi ke intezaar ka phal turant mil jata hai. nahin na. Kabhie kabhie ye intezaar seemaheen hota hai bina kisi time limit ke....
To be continued...

12 टिप्‍पणियां:

  1. ADAB,
    Intezar..in any form..any substance is soo difficult..i always tell others..PATIENCE CAN NEVER BE ONE OF MY FINEST OF VIRTUES...
    Its scary 2 wait..I once waited for the confirmation of smbdys death..and those 2 hours were the worst in my life.cuz i believe in every sec i died waiting fr the news...
    sheesh..i wrote such a depressing comment..sorry:((will cm bak laters in a happy mood..and will right smthing nice thn
    tc

    जवाब देंहटाएं
  2. U r right Sebia the situation u described is really tough to handle. never been thru such a difficult moment though!
    U wrote what u remembered after reading my post. Thx for sharing ur difficult moment here.

    जवाब देंहटाएं
  3. Zombie
    there is slight typo there!
    The urdu word which i am refering is ashaar which is simply plural of sher (couplet).

    So when one talks of more than one sher of a ghazal one refers it as ashaar. I hope its clear now.

    thx for asking!I have corrected the typo now.:)

    जवाब देंहटाएं
  4. So nice of U to visit here keshi even though u r not comfortable with the language.

    ha ha no such heavy stuff dear its just a soft romantic post as a prologue to a song tera intezaar hai...! This blog is dedicated to my interests that is music, poetry, books & travel......

    Do u like the song? link is given in the post.:)

    जवाब देंहटाएं
  5. Manishji, agar kabhi hum dono milenge raah mein tho bhaitenge,do char baathein karenge,aur sangeeth ki duniya mein kho jayenge:) Kya khayal hain dost?
    I am waiting for a day when u post a song which i would say "Hey,idont know this song"

    जवाब देंहटाएं
  6. Neel Same true for ur choice too..that's why I call u my musicmate :)

    जवाब देंहटाएं
  7. A blog in Hindi!!!!wow...and that too which dabbles in shayari...even better...
    thanks a lot for your comment...great to find your blog too...
    Chetna ends with Seema committing suicide....Rehana didn't act in many movies...watch out for her in Dastak and I'm sure you will like her...And I really don't get the time to blog often..that's why...but now onwards will try to be regular.. : )

    जवाब देंहटाएं
  8. maza gaya yaar...
    aapne ne na jaane woh kitni yaadon ko taza kara diya...

    woh ganto bus stop or railway stn par uska intezaar karna...
    uska dair se aana aur mera parha chad jaana...
    fir dekh kar uski woh methi si muskurahat...
    zindagi main jaise ek nayi lahar ka aana

    pehle na jaane kitne saal guzar gaye uske intezaar main
    usssey millne ke liye
    aur ab na jaane kitne pal guzar rahe hain uske intezaar main
    sath chalne ke liye...


    aur ab aap intezaar karwaoge...
    agle part ke liye...
    ;-)

    beautiful post
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  9. wow manish...bas lajawab karke rakh diya :)....ufff

    shukriya :)

    जवाब देंहटाएं
  10. hmmmmm sorry folks I was out of station! so could note update my post :(

    Illusion Thx for info ! kabhie mauka mila to Dastak juroor dekhoonga. T\jaankar khushi huyi ki ye blog tumhein achcha laga. hope to see u here again :).

    Divya Shukriya Ji!

    Puneet oye hoye! bada achcha laga tumhara reply! felt happy ki maaji ke kuch khushnuma pal ise padhkar tumhare man mein aaye !

    Xtrem.. Welcome to my blog insane! kya nick chuna hai aapne! Yes Rahul has a grt voice & this song is really cool. Hope to see u again:)

    Don Thx ji!

    Zombie Pichle dinon kuch aisa phansa ki idhar waqt hi nahin de paya. Thx for waiting....:)

    जवाब देंहटाएं