शनिवार, जून 18, 2005

Jaanam, Dekh lo, Mit gayi dooriyaan...

To ulati ginti suru hoti hai is halke phulke nagme ke sath jo humari list mein daswin yani 10th paidaan pe hai…
Ye nagma ek aisi premi ki kahani keh raha hai jise apne pyar pe poora yakeen hai..
Yakeen bhi is qadar ki apni mohabbat ke aage use sarhad ki deewarein bhi bemani lagne lagi hain…
Veer zaara ke yun to aur geet bhi achche hain par maine is liye chuna ki ise gungunate waqt man mein ek masti ek umang si chaa jati hai :)


Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..
Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Tum chhupa na sakogi main woh raaz hoon
Tum bhula na sakogi woh andaaz hoon
Goonjta hoon jo dil mein to hairaan ho kyun
Main tumhaare hi dil ki to awaaz hoon
Sun sako, to suno, dhadkanon ki zabaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon
Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon
Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa
Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon
Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan

Javed Akhtar


To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7505/
Movie –Veer Zaara,
Singer – Udit Narayan
Music – Madan Mohan

8 टिप्‍पणियां:

  1. hmmm this is another sweet song from the same movie! Farq sirf itna hai ki ek or ansoo hain to doosri or umang! Kaun sa song jyada appeal karega that depends on ur mood! Isn't it ISHA!

    जवाब देंहटाएं
  2. Another song from the same movie... which i really love...

    Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
    Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan
    Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
    Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan

    Tum the ke thi koyi ujli kiran
    Tum the ya koyi kali muskaayi thi
    Tum the ya tha sapnon ka tha saawan
    Tum the ke khushiyon ki ghata chhaayi thi
    Tum the ke tha koyi phool khila
    Tum the ya mila tha mujhe naya jahaan
    Do pal ruka khwaabon ka kaarvaan
    Aur phir chal diye tum kahaan ham kahaan
    Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
    Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

    Tum the aa khushboo hawaaon mein thi
    Tum the ya rang saari dishaaon mein the
    Tum the ya roshni raahon mein thi
    Tum the ya geet goonje fizaaon mein the
    Tum the mile ya mili thi manzilein
    Tum the ke tha jaadoo bhara koyi sama
    Do pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
    Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
    Do pal ki thi, ye dilon ki daastaan
    Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan
    Aur phir chal diye, tum kahaan, ham kahaan

    And as rightly said by you... ek or arzoon hain aur ek or aansun

    जवाब देंहटाएं
  3. Waah waah isay kehtay hain sonay pay sohaga ! ek geet ko padha tou dou bonus mai mil gaye :D
    veerzara k saray hi geetoun k bol aesay hain k decide karna muskil hojata hai k sab mai say behtarein geet kon sa hai .
    buhaat achi pesh kash rahi :)aur ab ulti ginti k lihaaz say hum 9th song k muntazir rahein gay :)

    जवाब देंहटाएं
  4. Hi Puneet
    hmmmm aapne bhi ek khubsoorat geet chuna hai Puneet!

    Do, pal ruka, khwaabon ka kaarvaan
    Aur phir, chal diye, tum kahaan, ham kahaan


    Khwaabon mein to milte rahe aur pyar ki dastaan bhi ek moort roop lene lagi par jab achananak usse nikle tab pata chala kitni door aa gaye hain hum!

    grt song with sonu's velvet voice!

    जवाब देंहटाएं
  5. Sahi kaha Zainab tumne all songs quoted by my frens here are equally beautiful! Infact it was much difficult to decide song no 6 to 10 in comparison to top 5 :)

    जवाब देंहटाएं
  6. bahut khoob..iss geet mein ek tazgi hey..waqai lagta hai ke duriyan mitt gayeen :) bahut acche lage humein geet iss movie ke lekin sharukh ji ne kuch overacting kar dee aisa humein lagta hey ;) not a fan of him :)

    thnx for wonderful post

    जवाब देंहटाएं
  7. Wow! This is my favourite song from Veer-Zaara! You sure have a knack for choosing good songs!

    जवाब देंहटाएं