बुधवार, जून 28, 2006

Lamha Lamha Doori Yoon Pighalti Hai...

Are baba do mahine ho gaye aur is blog slog pe kisi geet ka jikra nahin hua . Na ji aapka ye nacheez bhala music se door kaise reh sakta hai. Par kya karein is saal sangeet ke naam par mumbai ki mayanagri ki taraf se ab tak jo parosa gaya hai wo mujhe kuch khas jancha nahin hai. Par Gangster ka ye geet suna to man phir gunguna utha…

Is geet ki khas baat hai iske soothing musical notes aur Abhijeet ki makhmali aawaaz. Darasal jab soft romantic nagmon ki baat ho to Abhijeet ka andaaz mujhe khas pasand aata hai.

Wo ek chehra...
Wo bhavnaon mein behti aankhein...
Wo bina hil ke bhi bahut kuch kehne wale hoth ...
na jane kitne kaviyon ko kalpana ki udaan mein bahakar le ja chuke hain. Geetkaar Nilesh Mishra bhi isse achoote nahin rah paye hain. To agar sawan ki simsimi bayar aapko madmast karne pe tuli ho to ye geet juroor sunein. Mera yakeen hai ki ye geet aapke mood ko aur romantic bana dega.


lamha lamha doori yun pighalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
khwaahishon ki shaam dhalti hain
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai



teri aankhen, dikhati hain
hamein sapanen sitaaron ke
tere hothon, pe likha hai
jo tum bole ishaaron mein

khwaabon ke karwaan mein raat chalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai


behakti shaam, aayi hai
tujhe lekar, ke baahon mein
tujhe chhu loon, kee rakhun main
chhupakar ke, nigaahon mein
sharmati ithlaati hai machalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
lamha lamha doori yun pighalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
khwaahishon ki shaam dhalti hai
jaane kis aag mein ye shabnam jalti hai

4 टिप्‍पणियां:

  1. baat to sahi kahi hai ke sangeet se kaise achuta reha sakta hai ye blog :)...
    aur haan bol parhkar to lag raha hai jaise suna hai lekin kuch thik se yaad nahi...koshish kareinge isse phir se sun ne ki ...
    shukriya isse yahan share karne ka..
    waise ph kyun nahi oothate ho apna :P...peeche 4 dino se call kiya n hang up bhi hum hee ne kiya :PP
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. DON Are humein tumhara koi call nahin aaya. Missed call mein ek india ka no 24 tareekh ka juroor dikha raha tha. Par mere bahane idhar udhar rong no. mat lagaya karo. Achchi aadat nahin hai ye :p:)
    Aur haan kal Mohit Chauhan ki original aawaaz mein Guncha wala gana suna. Ek dum alag tarah ki feel di hai song ko.

    जवाब देंहटाएं
  3. haan ji Manish ji..ek hee number hai aapka aur wohi ghumariye the hum...kya samjhe...:P
    aur haan Guncha humne Mohit ji ki awaz mein hee suni aur post bhi isiliye kiya tha May 14th ko...lekin radio blog per kisi din suna to behad pareshaan hogaye ke ee ka hogiya...jaana tha Japan pahunch gaye cheen samajh gaye na ;)
    But am glad ke tumne meri baat suni to sahi der se hee sahi :P
    Oss movie mein aur bhi gaane acche hein ek to khud Sonu ki awaz mein ;)
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. Waise ye song suna ki nahin tumne. kal Abhijeet ka interview aa raha tha TV pe. Usmein usne kaha ki ye aajkal ka fav song hai mera.

    जवाब देंहटाएं