शुक्रवार, अगस्त 11, 2006

Aankhon ki Kahani Shayron ki Jubani : Part-II

Pichli baar batein kar rahe the ki kis terah koyi humari aankhein padh leta hai to man pulkit ho jata hai par baat yahin khatma ho jaati to lutph hi kya tha aankhon ya nazronka ek ishara pyar ki khushboo bikherne ke liye kaphi hai.

Isiliye to Nida Fazli sahab kehte hain

Unse nazarein kya mili, roshan fizayein ho gayin
Aaj jana pyar ki jadoogari kya cheez hai


Khulti julphon ne sikhai, mausamon ko shayri
Jhukti aankhon ne bataya mahkashin kya cheez hai

Ek aashik ke liye in khooburat aankhon ka kya mol hai wo is sher mein dekhiye

Teri aankhon ke siwa duniyaa mein rakhaa kya hai
ye uthaein subha chalae ye jhukain shaam dhalae
mera jeena mera marnaa inhee palkon ke talae


Aur Amjad Islam Amzad to mehboob ki aankhon ke samne hi raat din bitane ko taiyar hain

Soyenge teri aankh ki khilvat mein kisi raat
Saaye mein teri zulf ke jaagenge kisi din


Par suru suru mein apne mehboob ki or aankh utha ke dekhna aasan hai kya!
ab inhein hi dekhiye dil mein pyar ki shama jal chuki hai par ye hain ki abhi bhi nigahein milane se katra rahe hain


Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey dekhein
Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati
Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka
Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati


Par huzoor ek baar kisi se aankhon hi aankhon mein baat ho bhi jaye to bhi kya kam museebatein hain
Kabhi to unki badi badi aankhon ka kajal dil ki dhadkanon ko badhata hai to kabhi aankhon aankhon mein huyi wo mulakatein dil mein ghabrahat paida karti hain. Pesh hai aisi hi bhav liye humari ye adni si kavish


uski aankhon ka who kajal
jaise gagan mein kale badal
umdein ghumdein haaye, man mera..

aankhon aankhon ki who baatein
who nanhi choti mulakaatein
barbas yaad aa jayein haaye, man mera..


par ye aaturta bhari ghabrahat bhi aisa jaadoo bikherti hai ki apni aankhein bhi kisi aur ki ho jaati hain! yakeen nahin aata to is nazm ko hi dekhein

Kaho, wo dasht kaisa tha?
jidher sab kuch luta aye
jidher aankhien ganwa aye

kaha, seilab jaisa tha, bohat chaha ke bach niklein, magar sab kuch baha aye

kaho, wo Chand kaisa tha?
falak se jo utar aya!
tumhari aankh mein basnay

kaha, wo khawab jaisa tha, nahin tabeer thi us ki, usay ik shab sula aye


Par kya aankhon se sirf prem ki dhara bahti hai? Nahin harghiz nahin. Aankhein jitna dikhati hain utna chupana bhi jaanti hain. Aur phir aansuon ki maan, janani to ye aankhein hi hain na !
Agli kadi mein dekhenge ki kaise karti hain aankhein bhaavon ki lukachipi aur kya hota hai jab un par chadhta hai udaasi ka rang

5 टिप्‍पणियां:

  1. wah!!!! thanks for sharing all those wonderful "shers" and poetry...read the last part of this series in hindi but typing in hindi is stil a worry...so posting the coment here...didn't u like shubha mudgal's "seekho na naino ki bhasha piya.." this time the lady is talking abt eyes..mostly it is the other way round.... and 2 lines if you like..."shabd to hamari abhivyakti ki ek koshish bhar hota hai,,asal me nam aaNkheN aur hatho ke sparsh hi bolate hai"....

    जवाब देंहटाएं
  2. WOW Manish....aankhon per phir ek naya tabsara...aur har sher per wah wah hee nikle :D
    amazing combination
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Rachna
    shabd to hamari abhivyakti ki ek koshish bhar hota hai,,asal me nam aaNkheN aur hatho ke sparsh hi bolate hai

    Bahut khoob kaha !

    Shubha Mudgal ka wo geet to maine nahin suna par yahan maine geeton ko shamil nahin kiya kyunki vishay mukhyatah urdu shayri par kendrit tha !

    जवाब देंहटाएं
  4. DON shukriya jee waise in teenon bhagon mein teesra part sheron aur nazmon ke hisaab se dil ke sabse kareeb hai. Aapki kya rai hai ?

    जवाब देंहटाएं
  5. Hi All,

    Nice stuff you got going here!!! Definitely bookmarking your site!!
    You know..i came across this company on the web the other day and it should thrill travel enthusiasts.. there is this site called Globester..and it offers some amazing fares for international tickets!!
    The link is :
    http://globester.com?channel=blpo10&adgroup=manishkmr.blogspot

    very nice site you have here too.. will visit again…and do visit that site.. trust me..it’s awesome stuff!!

    Enjoi!!

    जवाब देंहटाएं