गुरुवार, मई 05, 2005

Chaand Aur Chaandni - Part III


Adhoora Udaas Chand
bichha.D ke mujh se kabhii tuu ne ye bhii sochaa hai
adhuuraa chaa.Nd bhii kitanaa udaas lagataa hai


Chand apne aap mein kitna akela hai iska jikra humare doston ne apni reply mein kiya hai aur behad sanjeedgi se kiya hai.
Zindagi mein kamobesh aap sab ne ek baat to juroor mehsoos ki hogi. Hum badi hi sahajta se har us shakshiyat se jud jate hain jo apne jaise halaton se gujar raha ho!
Ab chand ki trasdi dekhiye , jo suraj apne prakash se chand ko sushobhit karta hai humara ye chand use choo bhi nahin pata, apni is virah vedna ka bhar dil mein liye huye hi apne safar pe chalta jata hai chalta jata hai..
bina ruke bina thake..
Aur chand ka yahi akakipan humein barbas apni or kheenchta hai, aakarshit karta hai…
Isiliye to..
Kabhi jab hum rozmarra ki zindagi se ub se gaye hon..
Jab jee kuch bhi nahin karne ko karta..
Aur neend bhi aankhon se koson door si rehti hai..
Aise mein anmane se chup chap band kamre mein baithe hon..
aur samne ye chand dikh jaye to
To wo bhi anginat taron ke beech apni terah hi akela apne dost jaisa prateet hota hai!
Dil karta hai ghanton uske samne baithe rahein..
use niharte rahein..
usse batein karte rahein..
Kuch usi terah jaise Noorjahan yahan apne is mashhoor nagme mein chand taron ke sath kar rahi hain

Chandani ratein..
Chandani ratein..
Sab jag soye
hum jagein ..
taron se kare batein
Chandani ratein..
Chandani ratein..


Aur Aeitbar Sajid ki manein to inhone chaand ko dekh ke ghar jana bhi behtar nahin samjha, utar liye safar ke beech mein ye kahte huye :)

Wahaun ghar mein kon hay muntazir ki ho fikar dar sawar ki
badi mukhtasir si ye raat hay, issay chandani mein guzaar do

Koi baat karni hay chaand say, kisi shaakhsaar ki oat mein
Mujhey raastey mein yaheen kaheen,
kisi kunj-e-Gul mein uttaar do!



Jis terah chandni samandar ki lahron ko apni oor kheench leti hai usi terah wo humari khatti meethi yadon ko bhi bahar le aati hai, chand aasharon ki bangi lein!

teri aankhoN meiN kisi yaad ki lau chamki hai
chand nikle to samandar pe jamaal aata hai


aap ki yaad aati rahi raat bhar
chandni dil dukhati rahee raat bhar
.


Chand ke itte roopon ki humne batein ki . Poornima se Amawasya tak na jane ye kitni hi shaklein banata hai aur in shaklon mein hum kya dekh pate hain ye to jaisa hum sab ne sweekar kiya wo apne mood apni us waqt ki kaifiyat pe nirbhar karta hai..

Par chalte chalte is kadi ko samapt(end) karne se pehle us ghazal se apko juroor roobaru karounga jisse main apne aap ko chand se jodta hoon.
Jab bhi main ise gungunata hoon ye ghazal mujhe behad bhavuk (sentimental)kar deti hai.
Dr. Rahi Masoom Raza sahab ki likhi huyi ye ghazal ko mere dil ke humesha kareeb rahi hai,
kabhi Jagjit sahab ki aawaz mein sun kar dekhiye, ek azeeb si udasi man mein tair jayegi…

Hum to hain pardesh mein , des mein nikla hoga chand
Apni raat ki, chat par kitna, tanha hoga chand

Jin ankhon mein, kajal bankar, tairi kaali raat
Un aankhon mein, aansoo ka ek, katra hoga chand

Raat ne aisa pench lagaya, tooti haath se dor
Aangan wale, neem pe ja ke, atka hoga chand

Chand bina har din yoon beeta jaise yug beete
Mere bina kis haal mein hoga, kaisa hogaa chand


Chand ke sath bante huye in palon mein aap sab doston ne mera sath diya aur apni bhavnayein hum sab ke beech rakhin uske liye main aap sab ka aabhari (grateful) hoon. Aasha hai ki aap sab ka sath mujhe aage bhi milta rahega!

17 टिप्‍पणियां:

  1. WOW!!!! jiska jikr peechi kisht mein humne kiya aapne to jaise...chand ki tasveer hee khench lee aur yahan pesh kar dee...hubahoo yehi darshana chah rahe the hum :)
    Chand ki baatein aur ooske saath ko hum sabhi ne mehasus kiya hey algah algah roop mein ...alagh alagh mauqon aur suraton per...lekin sach baat yeh hey ke meine jitna qareeb se chand ko India mein dekha hey ootna qareeb se kabhi bhi kaheen bhi nahi dekha....jaane kyun...yahan hamesha chand dur hee nazar aaya!!! iss ka kya raaz hey yeh to pata nahi...sochte hein ke shayad koi vaigyanik wajah ho ;)

    Lekin Manish jis ghazal ko jikr aapne kiya woh behad hasaas se bhari ghazal hey aur aksar oose sunkar aankhein nam ho jaatin hein aur ...phir mann itna bhari ho jaata hey ke jee karta hey zorr ke royein...isiliye jaise hee yeh ghazal mp3 mein bajne lagta hey hum jaldi se iise hata dete hein :)
    ab ke hum chaand ko phir dekhenge qareeb se ...;)

    bahut khoobsurat kadi lekar aaye the lekin akhiri kadi ke jikr se mann thora mayus ho gaya :p
    dekhein ab kis vishay mein aap charcha karte hein :) tab tak ke liye shabbakher!

    जवाब देंहटाएं
  2. Amaizinggggggggg !

    kya tasveer lagayi hai aapnay, buhaat hi khubsuraat !
    isay dekh kar tou kuch aur dekhnay ko man hi nahi karta.
    Wohi ek sher yaad ajata hai iss tasver ko dekhtay

    chaa.Nd ke saath ka_ii dard puraane nikale
    kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale


    chaand ki zindagi aur kisi tanha insaan ki zindagi mai koi ziayda farq nahi ,balaky ye kaha jae k farq hai hi nahi bilkul tou bhi ghalat na hoga ,jis tarha chand k sath buhaat say sitaray hotay hain asmaan par ushi tarha hamaray sath(ek tanha insaan k sath) bhi dunya k log hotay hain ,jo kehnay ko aur dekhnay ko hamaray sath hi hain , jaisay k sitray kehnay aur dekhnay ko chaand k sath hi hain ,par ye hamara dil aur chaand hi janta hai k hum itnay logon (sitaroun) ki mehfil mai bhi kitnay tanha hain kyn k tanhai hazaroun ki mehfil jamnay say nahi apnay aap mai hi mukamaal honay say dour hoti hai , ishi liye tou chaudvien ka chand hum sab ko itna piyaara lagta hai :), kash insaan k sath bhi ye hi hota k koi ek aesi tareeqh muqaraar kar di jati jis mai woh ek din k liyee hi sahi , par mukamaal ho jaata !

    Tou bus is hi ek lehaaz say chand k ghum say thora barh kar hai insaan ka ghum !

    जवाब देंहटाएं
  3. Interesting observation hai ye to ki chand aapne jitna kareeb se yahan dekha hai wahan nahin dekha. waise aap drive pe jati hain aksar ye to pata hai par sham ko kabhie walk pe nikalti hain ya nahin! aksar aise maukon pe hi in par humari khas nazar padti hai.

    aapko to pata hi hai mujhe ye ghazal kitni pyari hai. ek baar chuttiyon mein ghar gaya tha . aise hi kisi din is ghazal ko gaane laga to khatma hone pe dekha ki my elder sis khadi hain aur uski ankhein nam ho gayi thin just sun ke.

    bahut achcha laga ki chaand ke sath ke is safar mein aapke vichar aur past reflections padhne ko mile!

    जवाब देंहटाएं
  4. Hi Gumnaam
    aapki taron ki bheed ke beech tanha chand ki baat padhkar jaggu ji ki ye ghazal yaad aa gayi!

    Har taraf har jagah beshumar aadmi
    phir bhi tanhaiyon ka shikar aadmi


    chaand ke sath dard niikalne ka jo sher quote kiya aapne behad sateek laga. bahut bahut shukriya aapke shayrana comments ka. is poori series mein bada hi lutph aaya inhein padh kar.

    जवाब देंहटाएं
  5. Another masterpiece. I don't even feel writing my comments here in English after reading your post in that wonderful, romantic, poetic language. It's true indeed how we look at the moon and forget everything; our pain or loneliness also don't become so unbearable. Why? I knew when I first got into this country and was very lonely, I used to look at the moon and wished that she could take some messages back to my parents and bring some back, and subconsciously used to to that. You've brought out those feelings beautifully. But, I've to ask for some meaning:

    What's the meaning of "chand aasharon ki bangi lein!"? Also need to analyse the meaning of Aeitbar Sajid's poem. I can't find the connection betwee it and the post as I'm failing to analyse it :(.

    जवाब देंहटाएं
  6. First let me answer ur questions!

    Chand aasharon ki bangi lein!

    actually I should have written ch.and to differentiate it from moon i.e. chaa.nd

    Ch.and in hindi means few, some
    and Baangi means example

    so the complete meaning will be
    Let us take examples of some sher !

    Coming to ur next query!
    To hum baat chand se guftagu ki kar rahe the
    pehli situation thi ki akaant mein ghar mein baithkar use apalak niharne aur apna sukh dukh bantne ki
    aur doosri situation jo sajid sahab ka sher describe kar raha hai!
    ki safar mein chalte chalte jab chandni pe nazar padi to laga are mera kaun hamdam hai jo ghar par meri prateksha mein baitha hai, kyun na is choti si haseen raat ko kisi ped (tree) ke neeche baith ke apne humsafar ke sath gujar dein apni zindagi ki veeraniyon ko bantne ke liye...
    isiiye we kehte hain

    Koi baat karni hay chaand say, kisi shaakhsaar ki oat mein
    Mujhey raastey mein yaheen kaheen,
    kisi kunj-e-Gul mein uttaar do!

    sahi kaha kkl apne parents se itti door reh ke u must have felt the same way!

    Have u heard
    Hum to hain pardes mein..
    juroor sunna agar nahin suna ho
    u can take it from Our DON :)

    जवाब देंहटाएं
  7. hahaha manish u were too funny there with the end msg for kl hahaa am still laughing :p

    am not sure if kl got that lol

    arre mein to don ban gaya ;)

    जवाब देंहटाएं
  8. Thanks for the analysis :). Hmm...nope, I didn't get the funny part for which Dawn is laughing soo....much...scratch head,...scratch head..

    I think I've heard that song - it was from mid 70's/80's.

    So, Our Don stands for Dawn?? I thought Amitabh was the Don :).

    जवाब देंहटाएं
  9. Dawn, stop laughing too much - you'll swallow some flies :P:P.

    No, I've given up in understanding the funny parts. Hmmmm....

    जवाब देंहटाएं
  10. Main ek sadi se baithi hoon
    Is raah se koi guzra nahin
    Kuch chaand ke rath to guzre the
    Par chaand se koi utra nahin
    Main ek sadi se baithi hoon
    Din raat ke dono pahiye bhi
    Kuch dhool udaakar beet gaye, beet gaye
    Din raat ke dono pahiye bhi
    Kuch dhool udaakar beet gaye
    Main man aangan mein baithi rahi
    Chaukhat se koi guzra nahin
    Aakaash bada buddha baba
    Sab ko kuch baant te jaata hai, jaata hai
    Aakaash bada buddha baba
    Sab ko kuch baant te jaata hai
    Aankhon ko nichoda maine bahut
    Par koi aansu utra nahin
    Main ek sadi se baithi hoon

    Gulzarji in Lekin.

    जवाब देंहटाएं
  11. Chandani gungunanay lagi
    Taray angan main anay lagay
    Is liay rang mehndi ka khilnay laga
    Phool hum ko satanay lagay
    Kis liay
    Kis liay
    Sirf tumharay liay
    Sirf tumharay liay

    aapse pehli baar mukhtib hoon Isha ji..
    is khoobsurat poetry ko yahan share karne ka shukriya !
    aage bhi aati rahengi aisi umeed hai :)

    जवाब देंहटाएं
  12. Shukriya aakriti Lata ji ke gaye huye is khoobsurat geet ki yaad dilane ke liye
    Main ek sadi se baithi hoon
    Is raah se koi guzra nahin
    Kuch chaand ke rath to guzre the
    Par chaand se koi utra nahin


    humesha ki terah Gulzar sahab ne kitti khoobsurti se intezaar ke palon ko chand ke ekakipan se joda hai!

    THx again for visiting!

    जवाब देंहटाएं
  13. Its my pleasure to come to ur blog,and i know for sure i am going to be here again,itne khoobsurat geet aur khayal,aur gulzarji ki koi geet aur baat sunne keliye tho kahin bhi ajayenge:) keep posting.

    जवाब देंहटाएं
  14. Idhar kuch busy raha Aakriti ji isliye pichle do hafte blogging se door raha!
    I hope ki mera blog aapki expectation pe khara utre :)

    जवाब देंहटाएं
  15. Wohi IK Pal Teri Deed Ka
    Jo Milay Tu Ashak Chamak Uthian
    Wohi Ik Pal Teri Deed Ka
    Jo Milay Tu Dard Ki Uot Main
    Sabhi Qahqahay Say Chalak Parian...

    shukria isha ji is behtareen nazm ko share karne ka!

    जवाब देंहटाएं