Amooman kavita main likhta nahin , yaad hai na DON pichli kab likhi thi :p .Par kya bataoon apni Mehfil mein kavitaon ki antyakshri mein ek akshar 'थ' bahut dinon se seena tane khada tha, garv se ithlata hua ki yaad hai hum se shuru hone wali koyi Rachna. Khair humein to Rachna yaad na aayi par Rachna ji ne pesh kar dee apni ek rachna. par mussebat ye thi ki wo bhi 'थ' se shuru ho kar th par khatma. idhar main do hafton se behad vyasta raha par aakar dekha ki humare naye navelr kaviraaj joshi ji ne usi kavita ko aur aage badhaya hai par mazaal hai ki 'थ' ko apni jagah se hata paaye hon. Mua 'थ' na hua angad ka paanv ho gaya.Humne bhi thaan lee ki aaj chaar panktiyan hi sahi pr kuch likh dalein taki ye 'थ' waali bala tale !
Ab pehli chaar panktiyan likhi to socha kyun na is vichaar ko aage badha ek kavita ki shakl dein. Iska nateeja aapke saamne hai, jyaada buri lage to apni sari gaaliyan akshar 'थ'par kendrit kar deejiyega:)
Kalpana aur Yathaarth
thaam kar ke baadalon ka kaafila
man hua chup jaaon main unke tale
dekh loonga oot se us chaand ko
makhmali si chaandni bikherte
kehte ho tum lukachipi kya khel hai
shobhta hai kya tumhein ye khelna
milo jeevan ke yathaarth se
samjho kya hai jagat ki vedna
Suno ! baat tumne hai kahi sahi
khwaab ka aanchal pakad kar humein
jeevan ko kabhie nahin hai tolna
khud ke swapnon mein karni nahin
parijanon ke sukh dukh ki avhelna
par tum hi kaho ye bhi koyi baat hai
swapna dekha hai jisne nahin
kalpana ki udaan par jo naa uda
doosron ka dard samjhega kya bhala
jiske man mastishk se mar gayi samvedna
so nirbhay ho ke tum oonche udo
sapnon ki chaandni ko tum chakho
par lautana to, paanv dharatal par ho khade
hai karna ab sabko yahi jatan
jeevan mein kaise ho inka santulan
Manish
देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।