शुक्रवार, जून 09, 2006

Safar Sikkim Ka : Yumthang Valley


Yumthang ke paas pahunchte pahunchte humein Rhodendrons ke jangal (forest) dikhne shuru ho gaye the. March-April se inke paudhon (plants) mein kaliyan lagne lagti hain. Par poori terah se ye khilte hain may mahine mein, jab poori ghaati inke laal aur gulabi rangon mein rang jati hai. khair humein ye drishya naseeb nahin hua kyonki hum wahan April ke doosre saptah mein hi tapak gaye the.
Choonki ye ghati 12000 feet ki height pe hai , yahan GuruDongmar ki tarah hariyali ki koyi kami nahin thi. Kami thi to bas aasmaan ki us neeli chat ki jo subah mein dikhne ke baad yahan pahunchte hi gayab ho gayi thi.

Ghati ke beech paththaron pe uchalti koodti nadi bah rahi thi. Jade mein ye paththar barf ke andar dab jate hain. In gol-matol (round) paththaron ke dher ke sath sath hum sab kaaphi der tak chalte rahe. Kisi ne kaha- raat mein barish huyi hai to sath mein barf bhi giri hogi. Phir kya tha nadi ka paat chor hum kinare dikh rahe pedon ki kataron ki or chal pade.


Pedon (trees) ke bech humein barf giri dikh hi gayi aur ye janab to uske peeche aise lapke jaise sari ek sath hi kha lenge. Ab inhein kya pata tha ki agle din hi bhagwan itni barf dikhane wale hain jitni humne zindagi mein bhi na dekhi hogi.


Paas mein hi ek Sulphurised water ka chota sa hot spring tha. Par wahan pahuchne ke liye is pahadi nadi yani yani yahan ki jubaan mein Lachung Chu ko paar karna tha. Mauqa dekh humne bhi is thumakti Chu ko camre se choo liya. Hot spring dekh hum wapas Lachung ko laut chale.

Bhojan ke baad wapas Gangtok ki raah pakadni thi. Gangtok ke raaste mein Teesta Valley ki antim jhalak pane ke liye hum gadi se utre. Kaaphi height se lee huyi is tasweer mein aap ghumavdaar raston ke jaal ke sath neeche bahti huyi Teesta ko dekh sakte hain. Teesta se ye is safar ki aakhiri mulaqaat to nahin par uski lee huyi aakhiri tasweer ye juroor thi. Shaam dhalte dhalte hum Gangtok mein qadam rakh chuke the. Apna agla din naam tha Sikkim ke sabse popular destination ke liye jahan mother nature apne alag roop mein humari prateeksha (wait) kar rahi thi. Aisa kya different tha us roop mein ye jante hain agle part mein…

9 टिप्‍पणियां:

  1. boy last one is deadly....amazing.
    Awesome description...lagta hai hum bhi saath hee the tumhare :)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Hmmmm. Me too, planning a trip. Aap guide banenge?

    PS: Will try to post regularly.

    जवाब देंहटाएं
  3. Aur aapka camera kaunsa hai jo itni unchai se Teesta ko kaid kar leta hai... waise zindagi me humne bhi kabhie barf nahi dekhi, mother nature ke naye roop ka intezaar rahega. :)

    जवाब देंहटाएं
  4. I too have a few Rhododendrons in my garden and here they have just finished blooming....Hope you are having a good time.Looks like you have been on road for long ....

    जवाब देंहटाएं
  5. Akhil Camera to just for beginers yani SONY W5 hai jiska performance by cost ratio bahut achcha hai. Jald hi barf se bhari wadiyan dikhane ka waada hai humara :) to dekhna mat bhooliyega.

    जवाब देंहटाएं
  6. Utopian Yes this is the season. Infact we went to sikkim in 2nd week of April and returned back after 7 days tour. But on blog I have stretched the description for more than a month .:)

    जवाब देंहटाएं