रविवार, अप्रैल 24, 2005

Bunty & Babli in a Train Song from Gulzar

Dhanoon ki aankhon mein wo raat ka surma aur chand ka chumma….
Yaad aaya na aap logon ko wo R.D. Burman aur Gulzar ke combination wala song..
Train ki prishtabhoomi mein likha hua wo pehla song tha railgadi pe picturise kiya hua jo behad popular hua tha apne zamane mein !
Par achanak mujhe us train song ki yaad kahan se aa gayi!
Are ye jo Bunty aur Bubbly hai na ye unki hi karamat hai
Parson se hi humari TV screen pe inhone dhoom macha rakhi hai is train song ke sath
Aur wo bhi humare all time fav Gulzar ke bol le ke…..
To mulahiza pharmaiye aap bhi ye hansta muskurata thirakta nagma

chhote chhote shahron se
khali bhor dupaharon se
hum to jhola utha ke chale
baarish kam kam lagti hai,
nadiya madham lagti hai
hum samandar ke andar chale
o ho ho hum chale, hum chale oye raamchand re
hum chale, hum chale oye raamchand re

dhadak dhadak dhadak dhadak
dhuaan uddaye re
dhadak dhadak dhadak dhadak
siti bajaaye re
dhadak dhadak dhadak dhadak
dhuaan uddaye re
dhadak dhadak dhadak dhadak
mujhe bulaye re


"o ho jara rasta to do
thoda sa baadal chakhana hai
bada bada koyale se
naam falak pe likhna hai
chaand se hokar sadak jaati hai
usi pe aage jaake apna makaan hoga"
hum chale, hum chale oye raamchand re
dhadak dhadak dhadak dhadak…………


amma jhale sar pe liye
ghoomar ki thandi phulkariyan
hum hi jamin
hum aasmaan..
khasma noo khaye baaki jahan (thx silbil:)
chaand ka teeka maththe laga ke
raat din taron mein jeena veena easy nahin

4 टिप्‍पणियां:

  1. kuchh samajh me nahi aaya.isme khas baat kya hai.lekin tumne kafi mehnat ki hogi .

    जवाब देंहटाएं
  2. Anonymous ji!
    Mehnat nahin to!
    Song ka picturisation aur feel achcha hai aur sunne mein maza aa jata hai isliye post kiya ise!

    wo kehte hai na
    pasand apni apni khayal apna apna1

    thx for visiting though

    regards
    Manish

    जवाब देंहटाएं
  3. is mein khaas baat kya hai...yeh itna simple hai yeh hi to khaas baat hai...
    btw manish...that word there is khasma noo khaaye saaara jahan...that is a punjabi slang for a girl who eats up her husband ha ha ha ha ...funny na...but here its used as 'bhaad mein jaaye duniya...meri bala se' types...
    trust gulzar saab to use a slang in otherwise soft romantic song...something like a triveni that he had written
    'chalo na shor mein chal ke baithe
    ki yahan to soch bhi bajti hain kanon mein
    bahut batiyaya karti hai yeh phapphekutni tanhaayii'

    जवाब देंहटाएं
  4. thx Silbil!sorry for late reply aaj hi yahan is comment ko dekha

    aur jee khush ho gaya is triveni ko padh ke! hope to see u again :)

    जवाब देंहटाएं