Mother Nature लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं
Mother Nature लेबलों वाले संदेश दिखाए जा रहे हैं. सभी संदेश दिखाएं

रविवार, जून 04, 2006

Safar Sikkim Ka : Wo Anokhi Subah


Lachen ki who subah anokhi thi.Door door tak barish ka naamo nishan bhi nahin tha. Gehre Neele aakash ke neeche Lachung ka pahad apna seena tane khada tha. Pahad ke theek beech patle jharne ki safed lakeer chattanon ke is vishal jaal ke saamne behad bauni (small) nazar aa rahi thi.
Par asli nazara to doosri taraf tha. Parvaton aur suraj ki kirnon ke beech ki aisi aankhmichauni maine pehle kabhi nahin dekhi thi. Parvat ke is taraf andhkaar tha .Is andhkaar se door ek chota sa ped suraj ki roshni ki prateeksha mein bahein phailaye khada tha.

Pahad ke theek peeche aati ye kirnein badalon ki chadar ko door dhakel dena chahti thin.

Thodi hi der mein ye kirnein Kanchanjungha ki barf se ladi chotiyon ko is tarah prakashmaan kar rahin thi manon bhagwan ne pahad ke us oor badi si searchlight jala rakhi ho. Sach kahoon to ise main apni yatra ka defining moment manta hoon. In drishyon ko apne camre mein qaid karne mein mujhe sabse jyada santosh hua kyunki aise drishya zindagi mein baar baar dekhne ko nahin milte.
Humara agla padav Yumthang Valley tha. Lachung se kareeb 25 km doori pe basi is ghati ko yahan ke log Valley of Flowers ke naam se bulate hain. Darasal ye ghati Rhododendrons species ki 24 different varieties ke liye mashhoor hai. Subah ki dhoop ka anand lete huye hm chal pade.


Sara rasta violet colour ke in chote-chote phoolon se bhara pada tha. Kareeb 1.5 hours mein humara qafila Yumthang mein tha.Yumthang ki sundarta ke jitne charche humne sun rakhe the us hisaab se humein niraash hona pada. Aisa kyun hua uska jikra agle bhaag mein…

मंगलवार, मार्च 14, 2006

Holi Ke Rang Phoolon ke Sang

Phagun ka mahina aa hi gaya rang aur gulaal ka tyohaar le ke. Jaisa ki amoomanaise waqt hota hai baazar mein khasi chahal pahal hai. Upar se mausam itna khushgavar ki bahar nikalte hi tabiyat khush ho jaye.To is Sunday maine socha kyun na Ranchi ke is pyare mausam ke kuch rang holi ke is mauqe pe aap sab ke sath share karoon.







Blogosphere ke mere sare sathiyon ko Holi ki Hardik Shubhkaamnayein. Asha hai ye Holi aap sab ke jeewan mein khusiyon ke naye naye rang bikhere.