गुरुवार, नवंबर 24, 2005

Kalinga War & Dhaulagiri

Kabhie kabhi apni aitihasik virasat se roobaru hona behad achcha lagta hai. Khaskar tab jab itihaaas ke taar do alag alag jaghon ko is terah jod dete hon. Bachpan se Patliputra , Nalanda aur Rajgir mein Magadh samrat Ashok ke smriti chinhon ya shilalekhon ko dekhte aaye hain. Par Orissa mein unhin prateek chinhon ko ek alag aitahasik prishthabhoomi mein dekhne ka anand hi alag tha.
Puri aur Bhuvneshwar ke raste mein Bhuvneshwar se kareeban 25 km par Dhaulagiri isthit hai. Dhauli main pehle bhi gaya hoon. Par Bhagwan Budhdha ki kisi sharansthali mein jana mere liye humesha se ek adbhut anubhav raha hai . Unke chehre ki bhav bhangima mujhe humesha se apne oor akarshit karti rahi hai. sach kahoon to un bheed bhad wale mandiron se kahin jyada sukoon mujhe baudh mandiron mein jakar aata hai.

Dhauli yani dhaulagiri ek pahadi pe hai. Is safed budhdhist mandir ko Japan ke sahyog se banaya gaya tha. Shayad isliye ki is pahadi ke theek neeche aaj bhi Samrat Ashok ka shilalekh vidyaman hai jo kalinga yudh ke uprant yahan sthapit kiya gaya tha.



Dhaulagiri se neeche ka drishya atyant manoram hai. Theek neeche kuch hi door mein Daya nadi behti hai.
Kalinga ka wo aitihasik yudh isi ke tat (bank) pe lada gaya tha . Us bhyankar raktpaat se dravit hokar hi Ashoka na baudh dharma sweekar kiya tha. Aaj is tasweer (my fav pic of the tour) ko dekh ke bhala kaun keh sakta hai ki yahan kabhie khoon bhari nadiyan bahin thin. Bas neeche ki hari bhari fiza dekhte hi ban rahi thi.
Raat ko wapas jane ke pehle kuch mandiron ko dekhna bacha tha. Uski baat agli post mein. Abhi ke liye to bas itna hi...

10 टिप्‍पणियां:

  1. Hi Manish,
    Thnx for dropping by my humble space.
    I liked the way u scribble everytihng in Hindi :)

    nice post this n awesome snaps.
    The bank of Daya nadi look beautiful !! No inkling to the gruesome war it had survived. nicely written.

    जवाब देंहटाएं
  2. Bahut achha laga dhaulagiri ke baare mei padhna.

    "un bheed bhad wale mandiron se kahin jyada sukoon mujhe baudh mandiron mein jakar aata hai."

    Bilkul. Ek aur jagah jahan aisa hi sukoon milta hei, woh hoga lotus temple. Meditation ke waqt waha itna sannata hota hei ki koi sui bhi gire toh awaaz sunai de jaye.

    _zombie

    जवाब देंहटाएं
  3. sahi farmaya...aitihasiq jagahon ke baare mein parhna aur jaan na waqai ek dilchasp baat lagi hai mujhe kyunke...ye ateet se milakar bhi vartamaan se jore rakhta hai aur na jaane kitne hee anginat soch aur khayaalon ko pirota hua ek khayali khawaab sa jehan mein pal te rehata hai!!!
    mujhe itihaas se hamesha isi wajah se lagaav raha aur ye mujhe meri History teacher 'Mrs Kukreti' ji ki bahut yaad dilaata hai...kyunke woh bare pyaar se seekhaya karti thin...:) mere bachpan ke din lauta diye tumne :)
    ek -ek jikr parh kar waqai jaise mein phir ossi kaksha mein pahunch gayee... :) am looking for more to read :)

    keep blogging :)
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. Dhaulgiri ka neeche se jo drishya aapne humein deekhaya ...waqai ...prakarti ka ye ek anokha drishya dekhte hee banta hai..

    shukriya!

    जवाब देंहटाएं
  5. Thx Invincible for liking my post & snaps. As for writing in Hindi is concerned I do have an english blog too.
    I love to use Hindi when the subject is related to my hobbies i.e music, ghazals, poetry, travel etc.Hope to see u here again!

    जवाब देंहटाएं
  6. hi zombie
    tumne to meri munh ki baat cheen li.I have been to Bahai Temple. the pin drop silence & its serene surroundings makes the mood sombre & pure.Mujhe behad achcha laga tha wahan kuch pal bitana!

    जवाब देंहटाएं
  7. Thx for liking that pic! it was my fav shot of the tour.

    hmmmm Itihas ek aisi cheez hai jo humein na kewal humein apne ateet pe garva karna sikhati hai balki bhavishya mein kuch kar gujarne ka josh bhi deti hai.

    Jaankar khushi huyi ki tumhein meri post school se judi kuch purani baton ki yaad dila gayi. School me jab humein ye sab padhaya jata hai us waqt ye vishay rattamaar hone ki wazah se bojh lagta hai par baad mein jab hum khud aopni aankhon se un padhi huyi baton ko dekhte hain tabhi aaj ke paridrishya mein unke mahatwa ka aaklan kar pate hain.

    जवाब देंहटाएं
  8. yaar tumhara post padhne ke baad mujhe office main kaam karne ki bilkul iccha nahin ho rahi hain...

    bahut khoob...

    n again some awesome pics...

    take care
    cheers

    जवाब देंहटाएं
  9. shukriya Puneet ji! aisa kya!
    achcha ye to batao tumne last vacation kab liya tha!

    जवाब देंहटाएं
  10. yaar last vacation to mujhe bhi nahin yaad...
    shayad april main 2-3 Mahabaleshwar - Shirdi trip...

    जवाब देंहटाएं