Kuch dinon pehle DON ne apni ek blog post (dated 14th May) ke zariye is ghazal se roobaru karvaya tha aur uske radio blog mein Ashish Dar ki aawaz mein suna bhi tha. Par aaj Mohit Chauhaan ki voice mein suna aur laga ki iske liye ek alag post lazimi hai. Is song ke unplugged version mein sirf guitar ki mohak dhun background mein hai. Ghazal ke lyrics simple hain par Mohit Chauhan ka andaze bayan kuch aisa hai ki aap is ghazal se hooked huye bina nahin reh pate.
guncha koyi mere naam kar diya
saaki ne phir se mera jaam bhar diya
tum jaisa koyi nahin is jahan mein
subah ko teri julph ne shaam kar diya
mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
aankhon ke zajeeron ko mere naam kar diya
hosh bekhabar se huye unke bagair
wo jo humse keh na sake dil ne kah diya
Movie - Main, Meri Patni aur Wo (2005)
Lyrics : Ricky Khanna
Click here to listen the song
guncha koyi mere naam kar diya
saaki ne phir se mera jaam bhar diya
tum jaisa koyi nahin is jahan mein
subah ko teri julph ne shaam kar diya
mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
aankhon ke zajeeron ko mere naam kar diya
hosh bekhabar se huye unke bagair
wo jo humse keh na sake dil ne kah diya
Movie - Main, Meri Patni aur Wo (2005)
Lyrics : Ricky Khanna
Click here to listen the song
Ghazhal ke alfaaz achhe hain, music bahut kuchh rafi saahab ke "Tumarhi zulf ke saaye mein shaam" se miltaa jultaa sa lagtaa hai. :)
जवाब देंहटाएंNice one, these kind of songs are very rare nowadays :)
जवाब देंहटाएंManish actually I have heard in Mohit Chauhan's voice but radio blog ke liye Ashish ji ki awaz hee mili :D...and yes bahut khushi hui iss post ko yahan parhkar...as sirf meine ya tumne nahi balke gayee sangeet premiyon se iis ghazal ko saraha hai blog ke zariye :)
जवाब देंहटाएंI just love his voice for other songs in this movie :)
amazing show
cheers
Akhil Rafi sahab ka gaya hua wo nagma to khair masterpiece tha. Uski baat hi kya...
जवाब देंहटाएंKaunquest Jaankar khushi huyi ki ye song aapko bhi achcha laga.
जवाब देंहटाएंDON Gane ke feel ko enhance to juroor kiya hai Mohit ji ne.
जवाब देंहटाएंइस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.
जवाब देंहटाएं