रविवार, मई 21, 2006

Safar Sikkim Ka : Lachen to Thangu & beyond...

Lachen kee wo raat humne ek chote se lodge mein guzaari. Dinner time par mere travel agent ne humein inform kiya ya yoon kahein ki ek bomb phoda ki subah 5.30 tak humein nikal jaanaa hai. Ab use kis munh se batate kiyahan to 9 baje office pahuchne ke liye itni mashakkat karni padti hai. Khair 10 baje tak hum sab apni apni rajayi yani lihaaf ke andar the. Nayi jagah aur upar se thand ke us aalam mein neend kya aani thi bhala. Kisi tarah thodi der ke liye aankhein band ki aur subah 6 baje tak taiyar ho kar nikal pade thand se muqable ke liye. Ineer,T-shirt,sweater,Jacket kya nahin pahna tha humne:). Waise bhi 4-5 ghanton mein hi humAakhir 17500 feet tak pahuchne wale the.
Lachen ke aage ka raasta thoda pathreela tha. Road kati-kati si thi.Kahin-kahin pahar ke upari hisse mein landslide ki wazah se uske theek neeche ki dhalan par ke jungle bilkul sapaat ho gaye the. aage ki aabadee nahin ke barabar thi. Beech beech mein Yak ke samooh door se dikh jate the.Height ke sath sath pahaad par Oxygen kam hoti jati hai. Isliye humein acclamatise hone ke liye 14000 ft par base chote se village Thangu mein rukna tha.
Kareeb 9 baje hum Thangu mein the. Bachpan mein geography teacher humein bataya karte the ki kis terah height ke sath vegetation ka nature badal jaata hai.Humare agal bagal ka manzar isi baat ki gawahi de raha tha. Chaude patton wale pedon ki jagah ab nukeeli patton wale pedon ne le rakhi thi. Aur Thangu pahunchte-2 to wo bhi gayab ho gaye the. Bach gayi thin to choti choti jhadiyan (shrubs)

Thangu tak dhoop nadarad thi. Badal ke pulinde apni man marzi idhar udhar tair rahe the. par pahadon ke safar mein dhoop ke saath Neela aakash bhi sath ho to kya kahne. Pehle to dhoop chaanv ka ye khel kuch der tak chalta raha. Par aakhirkar humari ye khwahish uparwale ne jald hi poori kee. Iske baad jo drishya humare samne tha use ye tasweerein khud ba khud bayaan karti hain.
neela aasmaan, nange pahad aur barf se dhaki chotiyaan ke beech aisa lag raha tha jaise hum doosri duniya mein hi aa gaye hon.


15000 feet ki height par humein Victoria Plateau battalionka check post mila.।Door door tak na to koyi parinda dikhai padta tha na kisi tarah ki vegetation!
sach poochiye to is barfeele registaan mein kuch ho -hawa jaye to Army hi ek sahaara thi.Thodi door aur badhe to ye pahad achanak hi saamne aa khada hua.
Gunguni dhoop, gehra neela gagan aur upar se itne nazdeek is parvat ko dekh ke gaadi se baahar nikal kar ghoomne ka man karne laga. Par apni iksha ko execute karne par humari jo halat huyi uski ek alag hi kahaani hai :). waise bhi hum GuruDongmaar ke behad kareeb the. Aree yahi to tha humara pehla destination. darasal Gurodongmaar ek jheel ka naam hai jo 17300 ft ki height par hai. Ye India ki 2nd highest lakes mein se ek hai.
Khair gaadi se nikal kar Gurudongmaar tak pahuchne ka kissa agle hisse mein....

7 टिप्‍पणियां:

  1. WOW some real stuff...amazing..experience parhkar to waqai..bhauchakke reha gaye...I can imagine some of it when I went to Laxmanzhulla and near Himalaya...!
    I loved the last pic but then oopar ki tasveeron ke sath anyaay sa hoga if I say I liked less :)
    CHeers

    जवाब देंहटाएं
  2. Great description...good pictures ...I feel I have already seen Sikkim.

    जवाब देंहटाएं
  3. some great pics again manish.sikim looks great.

    जवाब देंहटाएं
  4. DON Haaan waise bhi upar ki ek pic mein hum bhi hain. Is liye unhein achcha na kahna anyaay nahin sarasar anyaay hoga :) :p

    जवाब देंहटाएं
  5. Utopian Shukriya ji khushi huyi ki aapko meri tour diary achchi lag rahi hai. Hope ki aap aakhir tak rahenge is safar mein.

    Nagu haan ji asli khoobsurti to yahi hai sikkim ki.

    जवाब देंहटाएं
  6. Hallo I absolutely adore your site. You have beautiful graphics I have ever seen.
    »

    जवाब देंहटाएं
  7. Very pretty site! Keep working. thnx!
    »

    जवाब देंहटाएं