मंगलवार, अप्रैल 26, 2005

Chand aur Chandani - Part-I



Ambar ki ek paak surahi
badal ka ek jaam uthakar
ghoont chandni pee hai humne
baat kufra kee , ki hai humne..
Amrita Preetam

To doston humare blog ka ye hafta Chand aur Chandni ke naam par..
Achcha bataiye to chand se hum sabka pehla parichay kab ka hai

Shayad un loriyan se na jo bachpan mein maan humaein pyar se sunaya karti thin

Chanda Mama door ke
Puye pakayein hoor ke
Aap khayein thali mein
Munne ko dein pyali mein


To bachpan ke wo hamare pyare se mama kab zindagi ki rahguzar par chalte chalte humare humsafar ban jayenge bhala ye kaun jaanta tha. Isiliye to kisi shayar ne arz kiya hai ki

Ye chand bhi kya hasin sitam dhata hai!!
bachpan mein mama, aur jawani mein sanam nazar aata hai!

Kya aapne kabhi chaand ke sath safar kiya hai!
Maine to kayi baar hi kiya hai chahe wo bas ka safar ho ya train ka
Khidki ke bahar door chitij mein sath sath hi to chalta raha hai wo
Kya aise mein kabhi aapka man nahin hua ki kash ye chand dharti pe utar aata

Aye chand khoobsurat
Aye aasman ke tare
Tum mere sang jamin pe
Thodi si raat gujaro
Kuch apni tum kaho
Kuch lo meri khabar
Ho jaye dosti kat jaye ye safar


Chand ki baat ho to aur uski Chandni ki baat na ho aisa kabhi ho sakta hai bhala
Nahin jee nahin !Harghiz nahin
Jara sochiye to..
Jab surya devta apna raudra roop dharan karte hain..
Aur apni kirnon ke vaar se hum sabhi ko jhulsa dalte hain..
To sham ke sath aayi ye chandni hi to humein apni dost si dikhti hai..
Jiskii vishal narm bahon mein sar rakhkar kisi apne ki yaad barbas hi aa jati hai ..

Bikhri huyi Narm si chandni
Lahron ke ghar jaa rahi roshni
Lamha lamha cho rahi hai sard hawayein
Tanha tanha lag rahe hain apne saye
Yaad aye koi..

To aaj ke liye to doston itna hi chand ke sath humara aage ka safar jari rahega….

14 टिप्‍पणियां:

  1. Wha! bahut hee sahi topic le aaye ho...waise sahi kaha ke chanda mama se hee inka intro hua tha aur phir wohi sher jo aapne kasa...bahut khub kaha..hey jisne bhi kaha hey..

    "Ye chand bhi kya hasin sitam dhata hai!!
    bachpan mein mama, aur jawani mein sanam nazar aata hai!" maza aagaya parhkar!

    waise kayee baatein jab mein yahan parhti hoon to aisa lagta hey ke mein apna hee bachpan yaad kar rahi hoon....meine bhi kayee baar chaand ke sath safar kiya hey train mein, bus mein, motorbike mein to kabhi cycle mein..aur kayee baar to chalte chalte yoonhee chanda mama bhi chal parte the ...ek baar ka qissa yaad hey chanda mama ko apne saath chalta dekh ...hum jakar thokar kha baithe kisi bujurg se aur oonki daant alagh khayee woh to kher!! :)

    amazing pic...tanhayee aur chaand wha!!!

    Good one!

    जवाब देंहटाएं
  2. Extremely awesome picture. Just by looking at that picture, anyone can become a poet. Very nice post (of course it took me some time to read. You know I'm a Bengali and we've notorious reputation for our knowledge of Hindi :-):-)). And, those couplets of poems are also very nice :).

    It's so amazing - you from India, Dawn from Canada and I from USA are looking at the same moon and enjoying it's same beauty!!

    जवाब देंहटाएं
  3. True kl: All I can say is moon is one for all...as the color of blood is red for all ;)

    bad combi but I hope you get the msg :)

    जवाब देंहटाएं
  4. Shukriya Dawn

    aapko humari likhi batein apni si lagin jaankar khushi huyi!

    waise kayee baatein jab mein yahan parhti hoon to aisa lagta hey ke mein apna hee bachpan yaad kar rahi hoon

    achcha humare is chand ka sath sirf aapke bachpan tak raha!
    lagta hai yuvavastha mein kadam rakhte hi aapne koi doosra chand talash liya!
    ha ha he he

    aur aapka qissa mazedar laga! ganeemat hai kisi bdhe se takrayin nahin to story kuch aur hoti :)

    jokes apart behad achche lage aapka comments! Umeed hai is kadi mein aage bhi aapka sath rahega

    जवाब देंहटाएं
  5. Hi KL
    Thx for liking the pic! Keep track I will post some more of these in coming parts

    Ohh u r bengali ! in our office every 4 th person is begali so i could very well understand the Hindi thing :) but then that is the language I am more comfortable with!

    Thx for ur encouraging comments!

    aur haan chalte chalte ek shikayat hai aapse
    ye apne blog pe aapne barking dog ki aawaz kyun laga rakhi hai bhai!:(

    Darana chahti hain kya sabko :):)

    जवाब देंहटाएं
  6. Beautiful !
    kahan say shuro karein samjh nahi ataa,
    bara hi hasaas zikr ched diya aap nay aaj :),

    kisi nay theeq hi kaha hai,

    "chaaNd ke saath kaii dard puraane nikale
    kitane Gam the jo tere Gam ke bahaane nikale "

    koi chaand k sath safar karta hai tou chand kisi k sath ,jaisay hum kabhi chand ko nazar-andaaz kardein tou woh hamray sath ho leta hai,jaisay gari mai bethay howa ek jhalak dekhain tou yun hi mehsoos hota hai k hamaray sath hi chal rahay hai chand-miyaan ,par kabhi yun hota hai k chand hum say naraaz ho kar humay nazar-andaaz karnay lagta hai aur kahein dour ja kar badaloun mai chup jata hai ,magar kya kahein is chand ki dariya-dili k hum say naraz bhi hota hai tou sirf apna mou dhaanp leta hai badaloun mai ,apni chandni nahi leta hum say :)

    Poray chand ki Chandni raatain hon ya adhay chand ki,har lamha ye chand tanhai mai guzarta hai,sab ko parvanay ka ghum nazar ata hai par chand k ghum ka ehsaas buhaat kam hi mehsoos kar patay hain , shayaad vo jo aksaar tanhai k lamhay guzartay houn unhay is k ghum ki shidaat ka anzada hoga,

    Hamari aksaar raatein chand ko dekh kar hi khatam hoti hain,Raat hotay hi hum apnay Pc par doray chalay atay hain,kyn k is k kareeb hamaray chand miyaan jo basay hotay hain :),aur phir hum ghantoun apnay pc par bethay rehtay hain takay hamara kaam bhi baan jae aur chand ji ko company bhi mil jae :D

    aab cunkay aap log khasa boar ho cukay hongay hamari batein sun sun kar isliyee refreshment k tou par irshaad kartay hain

    maiN chaand dekhtaaa hooN
    chaaNd un ko dekhtaa hai
    gar wo bhi chaaNd dekheiN
    mil jaaeiN do nigaaheiN :D

    And in the end i wuld not forget to thnx u , for posting such a beautiful topic with a an excellent picuture :)

    जवाब देंहटाएं
  7. gumnaaaam: maza aagya chand ki baatein ittttti baadi ke through parhne ;) waddi waddi baatein kartin hein..lekin woh bahut accha laga..ke 'mil jaayein do nigaahein' :D
    bahut khoob...khush rahein

    जवाब देंहटाएं
  8. manish: aapne thik se parha nahi ...bachpan mein mama ...aur ab haha! isiliye to aapne share ki hui sher ko humne chipka diya:)
    waise chandamama ke saath ka safar bhi kabhi khatm hota hey??
    Yaad ayaa ek baar garmi ke dino mein khana khane ke baad walk ke liye jaaya karte the..aise mein...chaandni raat oopar gol matol..halke peele aur laal ki combi mein chandamama...jaise hee nazar parhi...hum shuru ho jaate the ke ...mumma aaj poornima kheer banaiye hahaha...I really miss those days...aaj bhi jab yahan poore chaand ko dekhte hein to mann he mann ..keha jaate hein ke .."aaj to poornima hey" mann bojhal ho jaat hey!

    chashm-bar-raah-e-shauq ke maare
    chaa.Nd ke intazaar me.n taare ;)
    agli kisht mein phir mulaquat hoti hey!!!

    :)

    जवाब देंहटाएं
  9. Hi gumnaam
    bahut khoob likha hai aapne. aapki ye lines khas tour se behad pasand aayin

    par kabhi yun hota hai k chand hum say naraaz ho kar humay nazar-andaaz karnay lagta hai aur kahein dour ja kar badaloun mai chup jata hai ,magar kya kahein is chand ki dariya-dili k hum say naraz bhi hota hai tou sirf apna mou dhaanp leta hai badaloun mai ,apni chandni nahi leta hum say :)


    well exressed

    जवाब देंहटाएं
  10. Arey waah hamari dawn ji nay bhi hamari batein pasand ki ;)
    jaan kar buhaat khushi howi :)

    Thnko :)

    जवाब देंहटाएं
  11. Chand se jaada khubsurat hai uski chandani
    chand main tuo fir bhi dag hai, per chandani be hisab hai,
    bikhar jaati hai wo mere aangan main ,per chaand tuo pahunch ke bahuut durr hai
    aana jana uska chaand ke sath laga raheta hai,per yaaden apni chod jati hai

    जवाब देंहटाएं
  12. Accha laga padhkar aaj,
    waisey humein kai baar aapkey paas se guzar janey ka shoq raha hai, par kuch kehna zaroori nahin laga, aaj padha toh laga shayad kuch adhoorapan sa hai.
    manish ji, kya aap ismain kuch aapna likh kar dey saktein hai, aapkey itney safar jo chand ne aapkey saath kiye hai, unka zikra kar dein toh kuch wakai main kuch puraney wakiye nikal kar hamarey saath samay bitaney ko majboor ho jayein..........intazaar rahega............

    जवाब देंहटाएं
  13. Aapke comment ka shukriya Annonymas bhai..comment ke neeche apna naam likh dein to aapko address karne mein sahooliyat hogi/ Ye post likhe huye mujhe do saal ho gaye agar aapne is posts ke teenon part padhein hon to aap samajhenge ki ye post un couplets pe based hai jo shayaron ne chaand aur chandni ke oopar likhe hain. Isiliye maine apni niji sansmaran nahin daale.

    Waise jab bhi khud ki baat karni hoti hai wo main Apni Baat wale label mein karta hoon.Maslan ye post dekhein...

    http://manishkmr.blogspot.com/2005/04/rail-se-safar-ke-wo-yaadgaar-lamhe.html

    जवाब देंहटाएं