शुक्रवार, फ़रवरी 10, 2006

RUNNERS UP : Baawra Man Dekhne Chala Ek Sapna..

Sapne dekhna kise achcha nahin lagta!
Khaskar tab jab wo soti nahin varan jaagti aankhon se dekha jayein :)
Kam se kam apni kahoon to bachpan se aaj tak aise kayi sapne mere man ke sakshi rahe hain.

Bachche the to sochte ki agar apni Cadbury’s chocolate ki poori dukan hoti to kitna achcha hota.

Thode bade huye to radio pe aane wali cricket commentary ka bukhar aisa chadha ki har kisi se yahi kehte ki mujhe to Sushil Doshi jaisa cricket commentator banna hai.

Kishorawastha ki dehleez pe kadam rakha to ek adad girlfriend ki iksha satane lagi.Kitni ratein kitni karwatein in sapnon ki bali gayin unka to hisaab laga paana bhi mushkil hai.
Umra badhti gayi swapna badalte gaye....
kuch sapne poore huye to kuch adhoore reh gaye par jaagti aankhon se dekhein jane wale in sapnon ka silisila kabhie nahin ruka aur na rukega..sapnon mein badi taqat hoti hai janab ye aapko sirf jeene ka maqsad hi nahin dete..inki ghutti pee kar to humein apna dard bhi saga lagne lagta hai....ab inhin panktiyon pe gaur karein..

o udasi ki kiran bhatki huyi kya keh rahi tu
dhundhlake ke paar yoon nissar hi kyun bah rahi tu

prêet ka koi vachan hai
nit nibhana pranay pran hai
nayan mein sapna jaga hai
dard bhi lagta saga hai


Isiliye ye anjaana sa gaana agar meri is geetmala ke doosri number pe hai to aap sab ko aashcharya nahin hona chahiye. Ye gaana maine is geetmala ko start karte waqt suna aur iski position dhoondhte dhoondhte main doosre no. pe aa gaya. Jaisa maine pehle bhi kaha hai ki mere liye wo nagme sabse keemti hain jo mujhe mere aks se, mere beete huye kal se jodte hain. Aur atishyokti nahin hogi agar main ye kahun ki Swanand Kirkire ke gaye huye aur Shantanu Moitra ke dwara laybadh is geet ne mujhe phir se baawra bana diya…..)

baawra mann dekhne chala ek sapna ..
baawra mann dekhne chala ek sapna ..
baawre se man ki dekho, baawri hain baatein
baawre se man ki dekho, baawri hain baatein
baawri si dhadkanein hain, baawri hain.. saansein
baawri si karvaton se, nindiya door bhaage
baawre se nain chahe.., baawre jharokhon se.., baawre nazaaron ko takna..
baawra mann dekhne chala ek sapna ..

baawre se is jahaan mein, baawra ek saath ho
is sayaani bheed mein, bas haathon mein tera haath ho
baawri si dhun ho koi, baawra ek raag ho
baawri si dhun ho koi, baawra ek raag ho
baawre se pair chahe.., baawre taraanon ke.., baawre se bol pe thirakna ..
baawra mann dekhne chala ek sapna ..

baawra sa ho andhera, baawri khamoshiyan
baawra sa ho andhera, baawri khamoshiyan
thartharaati lau ho madham , baawri madhoshiyan
baawra ek ghunghtha chahe, haule haule bin bataaye
baawra ek ghunghtha chahe.., haule haule bin bataaye.., baawre se mukhde se sarakna ..
baawra mann dekhne chala ek sapna ...
baawra mann dekhne chala ek sapna ...


To agar aap bhi khuli palkon se swapna lok mein vichran karne ki khwahish rakhte hon to sunna na bhooliyega is behad khoobsurat nagme ko...
Click Here to listen this song from Hazaron Khawahishein Aaisin.


19 टिप्‍पणियां:

  1. Wha Manish...kya bol hain...waqai tumhare iss shrinkhala ki badaulat mujhe parhne mile..warna to oorte oorte sune hein..!!!

    Waqai sapne kaun nahi dekhta...woh insaan he kya jo sapne na dekhta ho:)
    ...mein school mein thi tab kayee baar aise aise sapne dekhti thi ke...hum apnee saheliyon ke saath (hum chaar), matar ke khet mein hahaa jaane kya maza aata tha ke...khana ho to matar todkar laa do...saheliyon ka saath itna pyaara tha ke kya kahein...jaise jaise bare huye...sapne roop badalne lage...lekin sapnon ka aana jaana kabhi khatm nahi hua...aajkal hum yehi sapne dekhte hein ke hum jagah jagah ghum rahe hein...ek desh se dusre desh....bas ek lekhak ke roop mein :D....
    bahut khoob lagi ye kadi...peheli ke intezaar mein :)

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Khaskar tab jab wo soti nahin varan jaagti aankhon se dekha jayein

    LOved tht line.. absolute gulzarish. Grt work

    जवाब देंहटाएं
  3. kafi accha gaana hain manishji. sapno ke baare mein aap ne jo line likhe hain woh behthareen hain.bina sapno ke zindagi sach mein adhuri hoti
    liked the song very much

    जवाब देंहटाएं
  4. This is a really good song. Aapki aur meri pasand kaafi milti-julti hai. :)

    Now just waiting to see what your No.1 song of 2005 is...

    जवाब देंहटाएं
  5. Namaste ManishJi!!

    Bahut dino ke baad aapki mehfil mein aa saka....kshama karna dost!!

    Baat khuli aankhon se sapney dekhne ki hai....waakai sapnon mein woh taakat hai... aakhir sapney hi toh hain jo humey apni icchhaoon ko vyakt/jaagrut karne ka aaina pradaan kartey hain....

    Mera ek bahut hi favourite geet ya gaya mujhe is mod par.....
    "Chaand taare tod laaon
    Saari duniya par main chaaoon
    Bas itna sa khwab hai.."

    Aapki geetmala ke kuch aur nagme bhi padhe aur suney...badi hi bakhubi se taraasha hai aapne apni geetmala ko...

    ***Barfeeli hawahon ke beech meethi dhoop ho….
    Pighalte suraj ke sath aayi wo ithlaati shaam ho...

    Aapka yeh andaaz kaafi pasand aaya...aur woh geet (Pooche jo koi meri nishaani..) hamaare bhi favourite list mein hai...

    Humey bhi intezaar hai aapki mehfil ke No.1 position pe viraajmaan us nagmey ka...

    Cheers!!
    MS

    जवाब देंहटाएं
  6. Manish!! Hurry up yaar! I really wann know what your No.1 song is!!!

    जवाब देंहटाएं
  7. bahut hi khubsurat andaz main is geet ko pesh kiya hain aapne...

    I've not heard this song...
    ;-)
    another beautiful song u will add to my collection :-))

    thanks buddy
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  8. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  9. Itna kahoongi ki mere paas shabd nahi hain kuch kehne keliye,itna accha sangeet premi ko main jaanthi hoon main,ye mere liye bahut hi badi baat hain,aur manishji,maine saare gaane padliye,aur kya kahoon, aap tho jaante ho ki mera jawab hoga kya:)

    जवाब देंहटाएं
  10. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  11. DON apne sapnon ko yahan share karne ka shukriya. Aur tum to meri terah sochti hi ho :)

    जवाब देंहटाएं
  12. Nagu geet pasand karne ka shukriya nagu! aur haan aaj to tum behad khush hoge humari team ne series jo jeet li hai :)

    जवाब देंहटाएं
  13. Urvi hmmm one of the common song par tumne Shubha Mudgal wala version jyada pasand hai kya ?

    As for top song jara guess to karo! waise wo tumhari countdown mein nahin hai :(

    जवाब देंहटाएं
  14. Are Ms aap aaye to der se hi sahi! Abhijeet ka wo song mujhe bhi behad pasand hai.
    Sapnon ki taqaty ke bare mein tumne jo kuch kaha usse main poori terah sahmat hoon.
    Shukriya ki mera andaaz tumhein pasand aaya !

    जवाब देंहटाएं
  15. Alapna aapke comment ki mere liye kaphi ahmiyat hai khas kar agar wo music ke bare mein ho kyunki we share a common musical taste, our fav are same! Aur no 1 aapki pasand bhi hai ye bhi mujhe maloom hai :) Waisa aapka guess kya hoga?

    जवाब देंहटाएं
  16. Puneet shukriya dost ki humari batein aapko achchi lagin. Wo kya hai na jo geet dil ki andaruni tahon tak asar karte hain unke bare mein likhne ke liye shabda dhoondhdhne bmein dikkat nahin hoti.

    जवाब देंहटाएं