शनिवार, मई 13, 2006

Safar Sikkim Ka : Gangtok

Gangtok pahunchte hi humne hotel mein apna samaan rakha. din bhar ke ghumavdaar safar ne pet mein halchal macha rakhi thi. So jald hi pet- pooja ke liye shahar ke main market ki oor chal pade. Par ye kya poori MG Road sunsaan si lag rahi thi. Market ki kaun kahe yahan to koyi restaurent bhi khula nahin dikh raha tha. Pet mein kood rahe choohon ne man hi man itti jaldi so jane wale is shahar ko lanat bheji. Par bhojan to karna hi tha isliye apni talaash jari rakhi. Market ke aakhiri chor par aakhirkaar humein ek bengali restaurent khula mil hi gaya. Waise to kitne hi hill station pe jana hua hai par ye problem pehli baar hi saamne aayi. Mujhe Mussorie ki yaad aayi jahan raat 10 baje ke baad bhi bazaar mein kaphi chahal pahal raha karti thi. Khair Gangtok ki ek khas baat ye hai ki yahan aapka food bill kisi aur hill station se kam hi aayega.
Subah huyi aur saath waalon ne khabar dee ki amaan yaar andar plang par kab tak kamar seedhi karte rahoge jara bahar ka nazaara to dekh aao. Aur sahi hotel ki dehleez se bahar kadam rakhte hi ek adbhut drishya samne the. Kanchanjungha ki unchi unchi chotiyan apni vishal god mein jaise humein bulane ke liye bahein phailaye khadi thi.

Subah ka Gangtok shaam se bhi pyara tha. Dhoop ki kirnein sirf kanchanjungha ki choti par padti dikhayi de rahin thin , baki sab or dhoop abhi aayi nahin thi. Par pahadon ki khasiyat hi hai ki yahan ka mausam insaanon se bhi teji se rang badalta hai ;). Hotel mein wapas lautkar jab aaya to Kanjungha badalon ke peeche gayab ho chuki thi. Khair humein ek lambi yatra ke liye nikalna tha. So humara group 10.30 tak Gangtok ke bahri hisse tak pahunch gaya. Yahan hum Tashi View point pe gaye jo MSL se 5500 feet upar hai. Yahan se do raste nikalte hain ek poorab ki or chalta hua Nathu Laa chala jata hai to doosra uttar yani northwors chalta hua uttari sikkim mein chala jata hai.
Humein pehle northwards jaana tha. Tashi View Point se aage teesta nadi ke sath sath abhi 100-125 km ki yatra aur poori karni thi apne doosre transit point ko touch karne ke liye. Khair uski kahani agle hisse mein.....
देवनागरी में पढ़ने हेतु यहाँ क्लिक करें ।

9 टिप्‍पणियां:

  1. WOW Manish pehala pic to bas lajawab hai...amazing...pics ne hee dil le liya...thora waqt laga post parhne mein :) ...waqai bahut khubsurat hai!
    Thnx for sharing it here
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. DON If reading post in Roman is difficult u can read it in Hindi too in the link given at the end of the post. As for the pics best is yet to come.

    जवाब देंहटाएं
  3. Zombie Are vacation to humne April mein hi mana liya. Par garmiyon ki chuttiyan ab shuru huyi to socha ye time sahi rahega tour diary ke liye:)

    जवाब देंहटाएं
  4. Chalo baithe-baithe gangtok ki sair bhi ho gayi aur bengali restaraan me bhojan bhi! :)

    जवाब देंहटाएं
  5. Gangtok seems to a wonderful place Manish.some more nice pics the first one was awesome.

    जवाब देंहटाएं
  6. Akhil Akhil abhi to humein aapko kaafi sair karani baki hai. :) aate rahein!

    जवाब देंहटाएं
  7. Nagu Shukriya Nagu ! I hope aage aane wali pics tumhein isse bhi jyada khoobsurat lagein.

    जवाब देंहटाएं
  8. Looks nice! Awesome content. Good job guys.
    »

    जवाब देंहटाएं
  9. Hallo I absolutely adore your site. You have beautiful graphics I have ever seen.
    »

    जवाब देंहटाएं