रविवार, अप्रैल 17, 2005

Dard Bhi Lagta Saga Hai

Maine is hindi kavita ko kaphi dinon pehle Osho ki ek kitaab mein padha tha. Aur sach kahoon to ye kavita mujhe itni priya hai ki jab bhi ise padhta hoon to man mein ek ajeeb si hulchal hoti hai, bas ahi sochne lagta hoon ki sach lafzon mein kitni taqat hoti hai

Iski hindi aap logon ke liye shayad kathin ho par jo rhythm aur emotion hai ismein wo aap sab juroor mehsoos karenge aise aasha hai aap sab se…..

gandh se bojhil pawan hai
aur phir chanchal charan hain
kaun sa mausam laga hai
dard bhi lagta saga hai

anmili swar lahriyon ke geet jadoo dalte hain
shardi meghon tale maidan phool uchalte hain

aaj to vash mein na ma hai
geet se bheega gagan hai
pran ko kisne thaga hai
dard bhi lagta saga hai

o udasi ki kiran bhatki huyi kya keh rahi tu
dhundhlake ke paar yoon nissar hi kyun bah rahi tu

prêet ka koi vachan hai
nit nibhana pranay pran hai
nayan mein sapna jaga hai
dard bhi lagta saga hai

poorn youwan bhar kheton mein lachakti sandhya vela
bansuri ke swar sareekha ek mera swar akela

terta mano visan hai
aur tan man mein chubhan hai
kaun sa mausam laga hai
dard bhi lagta saga hai

2 टिप्‍पणियां:

  1. aaj to vash mein na ma hai
    geet se bheega gagan hai
    pran ko kisne thaga hai
    dard bhi lagta saga hai

    bahut khoob...ehasaas jaise mehasus hota hey andar se ...jikr kar paana kitna kathin hota hey phir bhi likhne wale ne isse sarthak banaya hey!

    Osho ke baare mein itna suna tha ...yahan tak ke oonka ashram Pune mein hee tha Koregaon Park (one of the richest & elite area), lekin kabhi bhi wahan jaane ya oonki koi bhi kriti parh paane ke liye kabhi bhi protsahan nahi mila...oonhein alag drishti se dekha jaata tha ya humein waisa bataya jaata tha...jaane kya lekin jigyasa hamesha se rahi...phir oonki mrityu ke baad kuch logon ne oonki soch aur kriti ko hatke aur alag bataya...! aaj yahan isse parhkar bahut accha laga...!
    Shukriya! aapka blog accha hey...humein blog ka naam atyant pasand aaya!

    जवाब देंहटाएं
  2. Maine Oshon ki kai kitabein padhi hain aur wo bhi us waqt jab hum coleges mein the!
    khair unke vichar jitne bhi controversial rahe hon!
    ek baat to thi unmein
    jiska main sada se kayal raha hoon
    aur wo thi unki original thinking!
    He was a true philospher
    tark karne ki adbhut shakti thi unke paas!

    जवाब देंहटाएं