बुधवार, जुलाई 12, 2006

Mitwa, Kahein Dhadkanein Tujhse Kya ?

Hai ree Zindagi...
Aur uski khwahishein…
Kuch poori hoti hain to kuch phir se paida ho jati hain
Agar maamla itne mein hi sulajh jata to baat hi kya thi
Kabhie to aisa hota hai janab ki hum jise chahte hain, man use pane ki raah bhi khoj deta hai par kar kya kare koyi ye jo khopri par raaz karne wala dimag hain na turant ek hidayat ya yoon kahiye ki farmaan thama deta hai.

khwab,umeed, nasha, sans, tabassum, ansoo
tootnewali kisi shay pe bharosa na karo

Kamraan Nazmi

Kisi kee preet se upaji dil aur dimag ki is zaddozahad ka shikaar insaan aakhir yahi kehne pe mazboor ho jata hai
Kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho
Aisi bhi to kisi se mohabbat kabhie na ho

Lab to ye keh rahe hain ki uth badh ke choom le
Aankhon ka ye ishaara ki jurrat kabhi na ho
Krishna Mohan

Par parson jab ye geet suna to paya ki Javed Akhtar sahab to kuch ulta hi sikha padha rahe hain. Ab wo to dhadkanon ki aawaz hi sunne ko kahenge naa , shayar jo thehre.
Par ye jo shayar hain na kuch palon ke liye hi sahi vastvikta ke dharatal ke oopar aisi udan pe le jate hain jahan preet ki oonchi oonchi llahron ke thapedon se takrakar dimagi uljhanein door chitak jati hain. Soofiyana andaj mein Shafaqat Amaanat Ali ke gaye huye is geet ki pehli kuch panktiyan sun kar hi man jhoom sa uthtaa hai. Aur Shankar Ehsaan Loy ki tikdi ke madhur sangeet ka to kehna hi kya. Chahe wo mukhde ke pehle guitar ki dhun ho ya antare ke beech guitar aur bharteey vadya yantron ke saath classical jugalbandi ! Sun kar man wah wah kiye bina nahin reh pata.

mere man ye bata de tu,
kis or chala hai tu
kya paya nahin tune,
kya dhoondh raha hai tu
jo hai ankahee, jo hai ansuni
woh baat kya hai bata


mitwa, kahein dhadkanein tujhse kya
mitwa, ye khud se to na tu chupa...


Geet ke poore lyrics yahan dekhiye
Kabhie Alvida Na Kehna ke is geet ko sunne ke liye yahan Click karein.

Posted under Category : Mere Sapne Mere Geet

6 टिप्‍पणियां:

  1. hey...no i will not type infinitely tat i love ur choice of music and i soo totally identify wid ur posts...coz saying it once only wud let u kno tat i m right :P

    awesom hindi...i love each word u use and how things just flow sooo simply yet beautifully in every post of urs...

    and yea m back...
    so will definitely cya around ;)

    जवाब देंहटाएं
  2. Waise humne bhi oodte oodte yehi khabar suni iss geet ke baare mein jo aapki rai se milti julti hai :D...
    amazing one :)
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Avi
    U know what, my hindi ... spoken pronounciation and spelings are horrible. But I am getting an inspiration to better it by reading ur blogs...

    Thx Avi for this sweet compliment!
    Karan Johar is not known for in depth analysis of human emotion in his movies like Yash Chopra sahab!
    Anyway hope this time Karan comes out with something which is more than well packaged emotional drama.

    जवाब देंहटाएं
  4. Medha Welcome back Medha ! I know we have quite similar tastes in music. Thanks for ur cute compliment.

    जवाब देंहटाएं
  5. DON Don't see u much on the net these days. Nayi Note Book nahin kharidi? Waise aajkal aisi khabrein kaun uda raha hai aapke paas :p

    जवाब देंहटाएं
  6. Yahooo,....ab mein kam kam nahi ;) jyada nazar aaongi :D....ek Tv Monitor khareeed he liya hai 19" la LCD :D...
    umeed se dugna ...lol! kiddin...
    will see u more now...khabarein to ood kar aatin hain...to ab ye fiza mein kaun faila raha hai ,...iska to andaza tumhein lagana hee chahiye na :P
    Cheers

    जवाब देंहटाएं