गुरुवार, दिसंबर 08, 2005

Kahan Ho Tum Mujhe Batao?

Zindagi kabhie na khatm hone wali taalash ka ek doosra naam hai, Chahe wo talash us shishu (baby) ki ho jo is duniya mein aate hi apni maan ke aanchal ke peeche bhojan ki talash karta hai. Ya phir us kishor(teenager) ki jo ek adad dost ki talash mein bhatakta phirta hai. Par kya dost mil jane se ye talaash khatm ho jati hai. Nahin ji agar dost mil bhi jayein to phir ek humsafar ki talash mein phir se jut jate hain hum...

Udasi ke badlon mein khushi ki jagmagati lakeer ko dhoondhte Bashir Badar sahab kya kehte hain


Main udaas raasta hoon shaam ka,teri aahaton ki talaash hai
Yeh sitare sab hain bujhe bujhe , mujhe jugnuon ki talaash hai.

Woh jo ek dariya tha aag ka, sabhi raaston se guzar gaya
Tumhein kab se ret ke sheher mein,nayi baarishon ki talaash hai.

Aur phir agar humsafar mil ke bhi waqt aur halaat ke thapedon se chitak jaye to kya kare koyi? Beeti yadon aur khwabon ka hi to sahara bachta hai phir. Par wo sapne samay ke sath kab apni shaql ganvaan baitheinge ye humare bas mein raha hai kabhi ? nahin naa.
Isilye to Ahmad Faraz sahab kehte hain

Terii beruKhii ke dayaar mein, main havaa ke saath havaa huaa
Tere aa_iinay kii talaash mein, mere Khvaab chehraa ganvaa gaye

Kuch aise hi talash mein dooba ye geet pichle ek mahine se mere jehan ki wadiyon ke chakkar kaat raha tha. aur main bhi is mauke ki talash mein jab ise apne blog pe pesh kar sakoon!
Ek behad pyara geet jise apni behtareen gayki se sanwara hai Neeraj Sridhar ne! To huzoor sunna na bhooliyega ye song:)


Kahan ho tum mujhe batao…?
Jara kareeb se pukaro…..
Kahan kahan main dhoondhoon tumko….?
Main awaara dar badar
Nazar na aaye tum magar
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?

Ab to dil hai behta sehra
dariya, aankhon ki nami
Yadon ka laga hai pehra har kahin……

Jaana tum pe tha jo raushan
Mera pyar pe yakeen
Ab hai kahan, kal tak to tha yahin.... o hamnashin....

Tumhin ne to kaha tha mujhse
Subah nayi to aayegi…..
Isi umeded ke sahaare….
Kar rahan hoon rahguzar
Kaho kahan ho Humsafar ?

Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?
Ab to dil hai behta sehra
dariya, aankhon ki nami
Yadon ka laga hai pehra har kahin……

Mujhe aawaz do…
Mere khwabon ke saharon phir se aawaz do
Kahan ho tum pukaro…..?
Mere khwabon ke saharon mujhe tum pukaro...
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?

Click to listen this song
Movie - U Bomsi & Me


13 टिप्‍पणियां:

  1. WOW Manish...ye tumhari khoj..ya phir ye kahoon ke hum tak ye soochna pahunchane ka bahut shukriya :)....shayad mein US mein aakar...India se dur pahunch gayee hoon...Canada phir bhi kareeb tha :)

    bahut hee khubsurat aur sahi awaz lagi...mujhe bahut accha laga..sach :) its a gr8 relief after a busy day :)

    shukria dost...khoj agar khatm hogayee ...talask khatm ho gayee to shayad hum deewar aur patharon ki tarah bejaan ho jayenge ..hai na? :)

    good topic...I loved it solely.

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Bahut dino baad aapko aapke andaz main fir paya...
    Main bhi soch raha tha... Kahan hain woh Manish mujhe batao ;-)

    Dil khush hogaya aapka post padh kar...

    aur yeh geet humesha ki tarah fir ghar jaakar sun na padega

    take care
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. by the way...
    nice profile pic...

    PR ke blog par dekha to pehle socha... yeh wohi Manish hain na
    ;-)

    keep rocking

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. Shukriya manishji,bahuth dinon ke baad aapne music ke baare mein lik kar dil kush kardiya.
    I always keep wondering how come we always have same choices of songs? i was telling a friend about this song today morning:)

    जवाब देंहटाएं
  5. Khudaa ham ko aisii Khudaai na de
    ki apane sivaa kuchh dikhaai na de

    Khataavaar samajhegii duniyaa tujhe
    ab itanii bhii zyaadaa safaai na de

    ha.Nso aaj itanaa ki is shor mein
    sadaa sisakiyon ki sunaai na de

    abhi to badan mein lahu hai bahut
    kalam chiin le raushanai na de

    mujhe apanii chaadar se yuuN DhaaNp lo
    zamiin aasamaN kuchh dikhai na de

    Gulaamii ko barakat samajhane lagen
    asiiron ko aisii rihaii na de

    Bashir Badr

    जवाब देंहटाएं
  6. DON hmmmm wo ek kahawat hai na Chor ki Dadhi Mein Tinka:):)

    Sahi kaha tumne ki kuch pane ki talash jari na rahe to Zindagi hi bemani ho jaye!

    जवाब देंहटाएं
  7. Puneet ha ha ha are hum kahan badalne wale hain jee ! Shayrana shakshiyat ko ye andaaz to jyada padand aana hi hai! :)

    I hope that u will like the song!

    aur pic badalne ke liye kuch log indirectly hint de chuke the ki ab bahut ho chuka is ko jhelte :) so humne bhi un logon ki baat rakh li!

    Shukriya ki u enjoyed the post!

    जवाब देंहटाएं
  8. Neel loz ! musicmate thats why I like this net space! Nahin to apni soch aur shauq rakhne walon ko dhoondh pana apne aap mein ek mashakkat hai :)

    ha.Nso aaj itanaa ki is shor mein
    sadaa sisakiyon ki sunaai na de


    wah! Badra sahab ki is khoobshurat ghazal share karne ka shukriya Neel!

    जवाब देंहटाएं
  9. Kuch hi din pehle sayesha! Waise tumne ye song sunaa? I have given the link in the post .

    जवाब देंहटाएं
  10. Yeah, just heard... really nice... kaafi haunting sa hai... dimaag mein baith gaya toh nikalne ka naam nahin :)

    जवाब देंहटाएं
  11. manish tum kaisa hai
    haa haa :) Keshi u know Keshi this type of Hindi is used by English characters in our bollywood movie!:) It seems u have become a gori mem in Australia:)

    Jokes apart !thx for trying it. Now answering ur question in Hindi
    Main achcha hoon!(i am fine)

    जवाब देंहटाएं