बुधवार, जुलाई 13, 2005

Ye Rishta Kya Kehlata Hai...

Rishta ek bahut pechida sa lafz hai
Kai rishte aise hote hain jinhein aap koi naam nahin de sakte
Jinhein aap jab bhi lafzon ke dayre ke bheetar bandhne ki koshish karte hain wo dhagon ki terah aur ulajhte chale jate hain.
In rishton ko maine na hi dhoondhe jayein to achha hai…
Kya pata ulajhte ulajhte in dhagon mein gaanthein pad jayein
….
.
Bakaul Gulzar
Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke ise rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai ye ruh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do


Khair interpersonal relationship kee baat chodein
Apne ird gird ki prakriti(mother nature) ko dekhein
Kya aapko kabhie aisa mehsoos nahin hua ki ho na ho inse juroor mera koi rishta hai?

Chahe wo aapke aangan ka barson purana peepal ka ped ho..
Ya aapke lawn ki hari makhmali ghasi..
Ya aapke rooom ki khidkiyon se aati sham ki simatti dhoop
Ya raat ke poorna andhkar mein phaili snigdha chaandni…


Is pyare se song mein ek koshish hai prakriti ke vibhinna roopon (different form of natures) se apne rishton ki parchaiyaan dhoondhne ki !
Kavi/Shayar ki kalpnaon pe gaur keejiye aap mugdha huye bina nahin reh payenge!
Agar is song ko na suna ho jiski jyada umeed hai to ek baar juroor suniyega!
To leejiye pesh hai 4th position pe Meenaxi film ka ye nagma..

Koi sachche khwab dikhakar
aa.Nkho.n me.n samaa jaataa hai

ye rishtaaye rishtaa kyaa kahalaataa hai..

jab suuraj thakane lagataa hai
aur dhuup simaTane lagatii hai
ko_ii anjaanii sii cheez merisaa.Nso.n se lipaTane lagatii hai
mai.n dil ke kareeb aa jaatii huu.N
dil mere kareeb aa jaataa hai

ye rishtaa kyaa kahalaataa hai
ye rishtaa kyaa kahalaataa hai

is gumasum jhiil ke paanii me.n
ko_ii moti aa kar girataa hai
ik daayaraa banane lagataa hai
aur ba.Dh ke bha.Nwar ban jaataa hai

ye rishtaa kyaa kahalaataa hai ..2

tasaviir banaa ke rahatii huu.N
mai.n juTii hu_ii aawaazo.n par
ik cheharaa Dhuu.NDhatii rahatii huu.N
diiwaaro.n kabhii darawaazo.n par
mai.n apane paas nahii.n rahatii
aur duur se ko_ii bulaataa hai


ye rishtaa kyaa kahalaataa hai

Lyrics -Mehboob

Click Here to read this post in Hindi Devnagari script

To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.6973/

Movie –Meenaxi
Singer – Reena Bhardwaj
Music – A.R.Rahman

12 टिप्‍पणियां:

  1. HI...bahut khub likha hain... puri tarah se sehmat hain...
    aksar hum apne sabse khubsurat rishte ko koi naam nahn de pate hain ya shayad woh rishta kisi naam ke daire se bandha nahin hota hain isliye sab se khubsurat aur sacha hota hain....

    yaar Mumbai main agar main apne ird gird prakriti ko dekhun to sirf pollution aur population hi nazar aayegi... he he he ;-)...just kidding

    loved the way you have presented this song...aapke andaz ne is geet ko aur khubsurat bana diya hain...

    good 1 :-))

    जवाब देंहटाएं
  2. wha Manish...amazing..Gulzar sahab ke geeton se kayee baar prerit hokar meine bhi iss baat ko mehasus kiya hai...prakurti se jo rishta hota hai ooske kho jaane ya badlav aane per hee oos ki kami ko hum mehasus kar paate hein...aur shayad isi wajah se ki manushya prani iss kisi ka mol tabhi jaanta hai jab woh oose kho baith ta hai..!!! Mere khirki per ek bulbul roz awaz dekar jaati hai..aisa lagta hai jaise mujhe jagane ke liye hee ayee ho...aur mein kambhakht oose apne cam mein band karna chahti hoon..lekin shayad woh bhi ye haqiqat jaanti hai...mere cam lekar aane tak rukti hai aur phir..tenga deekhakar oor jaati hai :D...mujh se woh aankh micholi zaroor khelti hai..lekin sach kahoon to mujhe ooska intezar har roz subha rehata hai...but believe me I want to capture before I leave.
    Tune Meenaxi ka geet jo pesh kiya hai waqai bahut khubsurat mod per laakar pesh kiya...kavi ke kalpna ko tumne bhi vyakhit karne mein koi kasar nahi chorhi :D

    good one!

    जवाब देंहटाएं
  3. Manish jee
    Aapne rishto ki paribhasha bakhoobi bayaan kee hai aur yeh geet is vishaye ko nihayati khoobsoorat andaaz dete hai. Aapka blog surf kiya, kaafi dilchasp hai

    Aur haan, aapke comment ke liye shukriyah

    जवाब देंहटाएं
  4. Manishji,apne Gulzar kaha aur mein agayi apne geet lekar:) and i am amazed at the similarities of our music sense:)
    Yaara seeli seeli, birha ki raat ka jalna,Yaara seeli seeli, dhola seeli seeli,Tooti hui choodiyon se jodoon yeh kalaai main,Pichhli gali mein jaane kya chhod aayi main,Beeti hui galiyon se, beeti hui galiyon se
    Phir se guzarna"
    OR
    Sili hawa chhoo gayi, sila badan chhil gaya ,Neeli nadi ke pare, pila sa chaand khil gaya,Sili hawa chhoo gayi, sila badan chhil gaya,Tumse mili jo zindagi, humne abhi boyi nahin ,Tere siva koi na tha, tere siva koi nahin.
    OR
    Mausam Yeh Mausam Yeh Mausam Hain Suhana,Aise Mein Tera Dheere Se Muskurana
    OR
    Kahin Door Jab Din Dhal Jaye,Sanjh Ki Dulhan Badan Churaye,Chupke Se Aaye,Mere Khayaalon Ke Aangan Mein
    Koi Sapnon Ke Deep Jalaaye
    OR
    khaalee haath shaam aayee hai, khaalee haath jaayegee,aaj bhee naa aayaa koee, khaalee laut jaayegee

    OH god,i can go on and on:)

    जवाब देंहटाएं
  5. Shukriya Puneet

    ab mahanagaron mein rahiyega to thodi bahut dhool mitti to phakni hi padegi na!

    hee hee

    waise ye geet aapne suna hai ya nahin?

    जवाब देंहटाएं
  6. Wah DON!
    Aapki bulbul ki kahani badi rochak lagi! asha hai aapke cam ke madhyam se sheeghra hi use dekh payenge hum sab:)

    जवाब देंहटाएं
  7. Thanx dewdrop for surfing my blog & finding it interesting :)
    I have one english blog too but frequency of update is a bit slow than this one.
    And if u love music & poetry do visit again !

    जवाब देंहटाएं
  8. ha ha Neel no need to tell me that our music sense is similar. I realized it when i visited ur blog for the first time.
    I love Gulzar like u and the songs refered by u. Infact on another forum we discussed about 100 songs & nazm of Gulzar giving reasons of our likings.

    But Neel have u heard this song from movie Meenaxi?

    जवाब देंहटाएं
  9. hi manish... haan ji bilkul suna hain aur baht baar suna... baht pyara geet hain...

    mahanagron ki khamiya bhi koi kam nahin hain :-)))

    जवाब देंहटाएं