रविवार, दिसंबर 31, 2006

Varshik Sangeetmala : 2006

Ek Shaam Mere Naam par aane wale doston. Saal ka ant aa pahuncha hai aur main taiyar hoon 2006 ki Varshik Sangeetmala yani Annual Musical Countdown ko lekar. Pichle do salon yani 2004 aur 2005 se ye countdown is blog ka ek aham hissa rahi hai. Pichle saal aur usse pehle is silsile ka hum sab ne mil kar lutf uthaya tha. Asha hai is saal bhi ye silsila aapke liye mazedaar hoga.

Waise bhi blogging ke safar ki shuruaat se hee geet sangeet mere blog ka aham hissa rahe hain. Achcha geeton ko sunna, , unhein dil se mehsoos karna , unhein gungunana aur phir doston ke sang baatna mujhe humesha se sabse adhik khushi dete rahe hain.


Geeton ke maamle mein is saal ki shuruaat kuch khas achchi nahin thi par saal khatma hote kuch behtareen geet sunne ko mile. 2004 mein maine
Khul ke Muskura De Tu ko apna priya geet chuna tha jabki 2005 mein mere dil ne ye jagah Ratiya Andhiyari Ratiya ko dee thi. Aur 2006 mein....are ye abhi kaise bata doon.

Ye jaanne ke liye aap sabko meri pasand ke in 25 behtareen geeton ke is safar pe chalna padegaa.

To kahiye taiyaar hain naa ?

मंगलवार, दिसंबर 19, 2006

Charag Dil Ka Jalaao..Bahut Andhera Hai...

Ye office ke daure mere is chiththe ki gadi mein beech beech mein break laga dete hain. aaj pesh-e-khidmat hai ye geet ...
pichli baar ki shaam Majaaj ke Jeevan ki udaasi ko le ke aayi thi. aaj maamla waisa to nahin par usse khaas jua bhi nahin.
Dekhiye na janab
Majrooh Sultaanpuri andhere ke beech khade hokar aawaazein laga rahe hain, us hamsafar ke liye jo na jaane kahan gum ho gaya hai !
Aur to aur shayar ke hriday ki kaalima ko hatane mein na sitaron ki fauj kaam kar rahi hai, na hee baharon ki khoobsurti..
Ab to sachche dil se lagayi is pukaar ka hi sahaaraa hai....shayad pahunch jaaye un tak...


Charag Dil Ka Jalaao
Bahut Andhera Hai
Kahin se Laut ke aao
Bahut Andhera Hai...

Kahan se laaoun,Kahan se laaoun
woh rangat gayi baharon ki
Tumhare saath gayi roshni nazaaron ki
Mujhe bhi paas bulaao
bahut andhera hai..

Charag dil ka jalaao
Bahut andhera hai..

Sitaaron tumse andhere
kahan sambhalte hain
unhi ke nakshe kadam se
charag jalte hain
Unhi ko dhoondh ke laao
Bahut andhera hai..

Charag dil ka jalaao
Bahut andhera hai
Kahin se laut ke aao
Bahut andhera hai...


ab aap soch rahe honge ki is geet ki yaad achanak mujhe kaise aa gayi. to hua yoon ki is blog ke reader ne ise mujhe bhent swaroop bheja Yoon to 'Chiraag' film ke baki geet maine pahle hi sune huye the par ye geet maine pehli baar is gift ki badaulat hi suna. ek baar phir shukriya dost is geet ko mujh tak pahuchane ke liye.Ab mujhe koyi song achcha lage aur wo aap sab tak na pahunche aisa kabhie hua hai ? nahin naa ;). to leejiye is geet ko sunne ke liye Is page par jayein

Movie Chiraag (1969)ke liye ye geet Mohmmad Rafi ne gaaya tha aur isi dhun banayi thiMadan Mohan sahab ne


Is geet ke lyrics Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

शनिवार, दिसंबर 09, 2006

Majaaz Lakhnavi ki Zindagi ka Aaina : 'Aawaaraa'

Janaab Asraar -Ul-Haq urf Majaaz Lakhnavi ek shaayrana khaandaan se taalluk rakhte the.Unki bahan ka nikaah Javed Akhtar ke pita Janisaar Akhtar se hua tha.

Majaaz ki ye nazm urdu shayari ki behtareen nazmon se gini jati hai. Yoon to AMU se graduation karne wale majaaz ki ginti us zamane ke progressive shayaron mein hoti thi, par Delhi mein ek ameer shadishuda ladki se apne prem mein asafal hone ke baad we is qadar zindagi se hataash ho gaye ki sharaab aur shayari ke aalawa kahin aur apna gham ghalat naa kar sake.

Dekha jaye to Majaaz ki poori zindagi ka dard is nazm ke aaine mein sama gaya hai. Delhi se wapas Lucknow aur phir Mumbai mein kismat aajmaane aaye Majaaz ka jakhma itna hara tha ki unhein Mumbai ki chakachoundh kahan se pasand aati. So unhone likha

shahar kii raat aur mai.n naashaad-o-naakaaraa* phiruuN
jag_magaatii jaagatii saDakoN pe aavaaraa phiruuN
Gair kii bastii hai kab tak dar badar maraa phiruuN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
* udaas aur be-kaar

Mumbai ki marine drive ka saundarya bhala kisse chupa hai?
Par jab dil mein kisi ki bewafaayi ki chot ho to ye motiyon sareekhi timtimati raushani bhi seene mein tez dhaar waali talwaar ki tarah lagti hain. Na us waqt chaand ki chaandni dil ko sheetalta pahuchaati hai na khoobsoorat sitaron se pati ye aakaashganga hi dil ko shukoon de paati hai

jhil_milate qum_qumoN kii* raah meN zanjiir sii
raat ke haathoN meN din kii mohanii tasviir sii
mere siine par magar chalatii hu_ii shamashiir sii
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN

ye rupahalii chhaaoN ye aakaash par taaroN kaa jaal
jaise suufii kaa tasavvur jaise aashiq kaa Khayaal
aah lekin kaun jaane kaun samajhe jii kaa haal
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN

Majaaz ka man bhatakta raha, kabhie maykhane mrin to kabhie husn ki mehfil mein. Pat har waqt vo mehfilein bhi kahan se mayassar hotin ! Agar koyi cheez humesha majaaz ke sath rahi to sirf akelapan, udaasi aur ruswaayi


raat haNs haNs kar ye kahatii hai ke maiKhaane meN chal
phir kisii shah_naaz-e-laalaaruKh* ke kaashaane** meN chal
ye nahiiN mumkin to phir ai dost viiraane meN chal
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
*phuuloN se chehre waali ladki , **makaan


Na ishq mein takdeer ne sath diya aur usse ubarne ki koshish mein naye hamsafar ki jab talaash ki to samaaj ne unke sentimental sharaabi ki tagma de hashiye par laa khada kiya. Majaaz zindagi ke is akelepan se ladte rahe. Apni zindagi ki is kasmakash ko in paktiyon mein kis khoobi se utaara hai unhone

raaste meN ruk ke dam le luuN merii aadat nahiiN
lauT kar vaapas chalaa jaa_uuN merii fitarat nahiiN
aur ko_ii ham_navaa mil jaaye ye qismat nahiiN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN


Kya azeeb cheez hai ye ishq.gar paas rahe to sab khushnuma lagta hai aur door chitak jaye to chamakti chaandni dene wala maahtaab bhi baniye ki kitaab sa peela dikhne lagta hai.
Ratein beetati gayin..
aur chaand roz apni manhoos shaklein dikhlata raha
Majaaz ka dil qatar aur bechain hee raha....aur unhone likha



ik mahal kii aaD se nikalaa vo piilaa maah_taab*
jaise mullaah kaa amaamaa** jaise baniye kii kitaab
jaise muflis*** kii javaanii jaise bevaa kaa shabaab
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN
*chaand , **pagRii , ***gareeb

jii meiN aataa hai ye murdaa chaaNd-taare noch luuN
is kinaare noch luuN aur us kinaare noch luuN
ek do kaa zikr kyaa saare ke saare noch luuN
aye gham-e-dil kyaa karuuN aye vahashat-e-dil kyaa karuuN


Yahan maine Majaaz sahab ki is nazm ke kuch pasandeeda hisse hi pesh kiye hain taki post jyada lambi na ho jaye. Agar aap poori nazm aur Majaaz ki dukhbhari kahani se roobaru hona chate hain to yahan aur yahan padh sakte hain.
1953 mein film Thokar mein Talat Mehmood ne is nazm ko apni aawaaz dee aur phir Jagjit Singh sahab ne Kahkashan album mein is nazm ka kuch hissa behad khoobsurti se gaya hai.

मंगलवार, दिसंबर 05, 2006

Ashapoorna Devi rachit Leela Chirantan

Ashapoorna Devi ahindibhashi sahityakaaron mein meri sarvadhik priya kathakaar rahi hain. Unki triology Pratham Pratishruti, Suwarnalata aur Bakul Katha british era se lekar aaj ki nari ki chetna ke uttarottar vikas ki amar gatha hai. Ashapoorna ji kee naayikayein humesha se swabhimani, doordarshi aur samaajik taur tareekon se na dabne waali rahi hain.

Leela Chirantan ki naayika Kaaveri bhi inse bhinna nahin hai. warna shaadi ke bees saal baad us ghoshna ki uska pati bal bachchon ko chor kar vairagya grahan kar lega aur koyi is dard ko chupchaap pee kar, bina oopari rosh vyakta kiye apne kaam mein lag jayega, aisa kaun soch sakta hai bhala…..

Aage padhne ke liye yahan click karein….

गुरुवार, नवंबर 30, 2006

Koi Baat Chale : Phoolon ki Tarah Lab Khol Kabhie..

Pichli Post mein maine is album ki kuch ghazlein aur triveniyaan aapke saath baatin. Aaj is silsile ko jaaree rakhte huye bat shuru karte hain is is insaani phitrat se ..
Kitna khudgarz hai insaan khud galtiyan karta hai aur bhool jata hai par doosre karein to unki bhool use hazam nahin hoti hai. Hai iska koi upaay...shayad Gulzaar ki jholi mein ek tareeka hai..Aap bhi gaur karein..!


aao hum sab pahan le aaine
sare dekhenge apna hi chehra

Sabko saare haseen lagenge yahaan

sahi to kahaa...ek baar aisa aaina aankhon mein sama jaaye to phir to man to badal hi jaaye humara chehre phoolon kee tarh khil uthe aur humari vani se nikalne lage baaton kee meethi khushboo ...

Phoolon ki tarah lab khol kabhie
Khushboo ki jubaan mein bol kabhie


Aur is ghazal ka agla sher sunte hi javed Akhtar kee wo zabardast nazm yaad aa jaati hai

Janta hoon main tumko Jauq-e-shaayari bhi hai
shakhshiyat sajane mein ek ye maahiri bhi hai
phir bhi harf chunte ho, sirf lafz chunte ho
in ke darmiyan kya hai tum na jaan paaoge


gulzar sahab isi baat ko halke phulke andaaz mein kuch yoon kehte hain ..

alphaaz parakhta rahta hai
aawaz hamari tol kabhie


Aur is baat se to aap sab ittifaaq karoge ki bhookamp ke jhatke sirf bhoogoleey plates ke takrane se nahin aate, insaani rishton ki uthal puthl dil kee sarjameen ko bhi hila kar rakhne ke liye kaaphi hoti hai

ye dil bhi dost jameen kee tarah
ho jata hai daanvadol kabhie


aur ye triveni.is ke bare mein to kuch kahna hi phijool hai.
uffff..... ek pin sa dil mein chubhoti chali jaati hai..


Saamne aaya mere, dekha, mujhse baat bhi kee
muskuraye bhi purane kisi rishte ke liye

Kal ka akhbaar tha, bas dekh liya, rakh bhi diya


purane rishton ki tees se upaje dard ko ek padh kar rakh diye gaye akhbaar ke madhyam se khoj nikaalne ka hunar sirf gulzaar ke paas hai.
aur chalte -chalte zindagi ke thapedon se ulajhte nikalte aur phir mazbooti se aage badhte insan ki adamya chetna ko salaam karte huye Gulzaar kahte hain

aadmi bulbula hai paani kaa
aur paani ki bahti satah par tootta bhi hai doobta bhi hai
phir ubharta hai, phir se bahta hai
na samandar nigal saka isko, na tavareekh tod paayi hai
waqt ki mauj par sada bahta
aadmi bulbula hai paani kaa...


Gulzar ki aawaaz ka jaadoo to aisa hota hai ki ghanton uski goonj man mein samayi rahti hai. Mujhe lagta hai ki ye album aur bhi achcha ban padta agar kuch ghazlon ko Gulzar sirf khud padh dete.

is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap yahaan sun sakte hain

Category : Aaiye Mehfil Sajayein


Devnaagri lipi mein padhne ke liye yahaan click karein

शुक्रवार, नवंबर 24, 2006

Koi Baat Chale Part :I


Koi Baat Chale mein Marasim ke baad ek baar phir Gulzar aur Jagjit ek sath aaye hain! haan, ye pahli baar hua hi ki Triveniyon ko ghazal ki tarah gane ki safal koshish ki gayi hai.Par jahan poore album mein Gulzaar apne andaaze bayan se aapka dil jeet lete hain wahin 2-3 ghazalon ko chod dein to jagjit ki gaayki mein koyi nayapan dekhne ko nahin milta. Phir bhi humare jaise Gulzar-jagjit premiyon ka is album se door rehna kathin hai. to chaliye aap logon ko roobaru karayein is album ki kuch ghazlon sheron aur triveniyon se jo mere dil ke kareeb se guzrin!

to janab shuruaat Nazaron se karte hain. Bhala inki madad ke bagair kabhie koi baat chali hai. aur Gulzar ki baat manein to qatil nigahon ka bas chale to baat kya har ek pal ko wahin rok dein.
na rat kate...
na din chale...
yaani poori duniya ka karobaar thapp...isliye to unki iltiza hai ki


nazar uthaao jara tum to qaaynaat chale
hai intzaar ki aankhon se "koi baat chale"

tumhari marzi bina waqt bhi apahiz hai
mna din khisakta hai aage, na aage raat chale


Par bhai aankhon ko kab tak niharte rahoge tanik soorat par bhi to dhyaan do. Ab is Triveni hi ko le leejiye.....wallah kis khoobsoorti se kisi ki soorat ko aankhon mein utaara hai Gulzaar ne..

Teri soorat jo bhari rahti hai aankhon mein sada
ajnabi chehre bhi pahchane se lagte hain mujhe


Tere rishton mein to duniya hi piro lee maine

Par agar na kisi ki nazar-e-inaayat ho aur naa ho koyi surat meharbaan to kya karenge aap ?
Man mayoos aur sehma sehma hi rahega naa. Yahi haal kuch in janaab ka hai. Inka haal-e-dil batate huye gulzar kahte hain

Sahma sahma dara sa rahta hai
jane kyun jee bhara sa rahta hai


Chahat mili nahin, sab kuch andar toot sa chuka hai phir bhi aas hai ki jaati hi nahin ....

ek pal dekh loon to uthta hoon
jal gaya sab zara sa rehta hai


Kabhie un purane palon mein jhankiye. Kya unmein se kuch aise nahin jinhein aap harghiz nahin jeena chahte. Shayad wo pal kuch aise sawaalon ki yaad dila dein jinke bare mein sochna hi behad taqleefdeh ho. To leejiye pesh hai is album ki ek behad sensitive ghazal jiska har ek sher apne aap mein anootha hai

kya batayein ki jaan gayi kaise?
phir se dohrayein vo ghadi kaise

kisne raste mein chaand rakha tha
mujhko thokar wahan lagi kaise

waqt pe paanv kab rakha humne
zindagi munh ke bal giri kaise?

aankh to bhar gayi thi paani se
teri tasweer jal gayi kaise ?

hum to ab yaad bhi nahin karte
aapko hichki lag gayi kaise ?


Is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap Yahan sun sakte hain

Kabhie kabhie humare azeez baton baton mein koyi ishaara aisa chor jate hain jiske maaynon ko samajhne ki udhedbun mein humein kitni hi ratein barbaad karni padti hain, par phir bhi hum kisi nateeje par nahin pahunch paate bahut kuch us pankshi ki tarah.... bakaul Gulzaar

Ud kar jaate huye pankshi ne bas itna hi dekha
der tak haath hilaati rahi wo shaakh fiza mein

Alvida kahti thi ya paas bulaati thi use ?


aaj ke liye to bas itna hi...agli baar jikra karenge is album ki jo phoolon ki terah khoobsurat hai aur uske sath hongi kuch aur beshkeemti triveniyam aur sher..

Category : Aaiye Mehfil Sajayein


To read this post in Devnaagri Click Here

शुक्रवार, नवंबर 17, 2006

Agle Janam Mohe Bitiya na Keejo...

Kuch nagmein aise hote hain jo man ki seedhi par dheere dheere chadhkar apni jagah banate hain aur kuch is geet ke jaise jo dil mein nashtar sa chubhote ek hi baar mein dil ke aar -paar ho jate hain. Javed sahab ne is geet mein ek bitiya ke dard ko apni lekhni ke jaadu se is qadar ubhara hai ki ise sunne ke baad aankhein nam huye bina nahin reh paatin.

Ritcha jee kee gehri aawaaz, awadhi jubaan par unki mazboot pakad aur parshva mein Anu Malik ka shaant behta sangeet aapko Awadh ki un galiyon mein kheenchta le jata hai jahan kabhi Ameeran ne is dard ko mehsoos kiya hoga.
Geet, sangeet aur gaayiki ke is behtareen sangam ko shayad hi koyi sangeetpremi sunne se vanchit rahna chahega

Ab jo kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo.ऽऽऽऽ


Jo ab kiye ho daata, aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo...

Hamre sajanwa hamra dil aisa todin
Oo ghar basaain hamka rasta ma chodin
jaise ki lalla koi, khilona jo paave
dui char din to khele, phir bhool jaave
ro bhi na paave aisi gudiya na kijo
agle janam mohe bitiya na keejo

jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo

Aisi bidai bolo dekhi kahin hai
maiya na babul bhaiya, kauno nahin hai
ho..., aansu ke gehne hain, aur dukh ki hai doli
band kivadiya more ghar ki boli
is oor sapnon mein bhi aaya na keejo

agle janam mohe bitiya na keejo
jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo


Gaayika - Richa Sharma, Lyrics - Javed Akhtar
Music - Anu Malik, Movie - Umraav Jaan
(2006)

Is marmsparshi geet ko aap yahaan sun sakte hain

Chalte - Chalte thoda hat ke ek aur baat. Badi sharmnaak baat hai hai ki aaj bhi Bharat mein kamobesh har jagah aur kuch sampanna rajyon mein khaskar bitiya ko janma se pehle hi sansar mein nahin aane dete. Aaj bhi dahej lene mein hum zara bhi sankoch nahin karte aur na milne par pratadna ki hadon se guzar jaate hain.
aaiye mil kar khud apne aur paas -pados ke logon ko prerit karein ki aisi kureetiyon ko panapne se rokein. Kahin aisa na ho ki kabhi humari bitiya bhi aise samaajik haalaaton mein apne janam ko kosne ko mazboor ho !



Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

रविवार, नवंबर 12, 2006

Satpuda ki Raani Pachmarhi

Is baar October mein ye yojna bani ki kyun na sara parivaar ek jagah ikaththa ho aur jagah bhi aise jahan milne julne ke aalava ghooma phira jaa sake.
Karyakram ye bana ki parents ko lete huye hum sab log Ranchi se Nagpur chalein aur phir wahan se didi ke parivaar ke saath Pachmarhi pahunchein.

Nagpur mein hum ek din ruke aur agli subah Pachmarhi ke liye nikal pade.
Kaisa raha humara ye trip? Kya anubhav rahe mere iska silsilevaar vivran mere hindi blog pe padh sakte hain. Yatra se judi post ki links neeche de raha hoon. Jaise jaise yatra vivran aage badhega is silsile mein nayi links add karta jaoonga.

शनिवार, नवंबर 04, 2006

'Kyaap' by Manohar Shyaam Joshi

Kyaap yaani kuch azeeb,angadh, andekha sa aur apratyashit! Aur sach kahoon to swargeey Joshi ji kaye upanyaas apne naam ko poori tarah charitaarth karta. 2006 ke sahitya academy samman se puraskrit is upanyaas mein aisa kya hai anokha? Anoothi baat ye hai ki uttaranchal ki bhoomi se upaja unka kathanak jab tak pathak ki pakad mein aata hai tab tak upanyaas ka ant ho jata hai.

Agar is pustak ke bare mein aur jaanna chahte hain to yahan click karein.

बुधवार, नवंबर 01, 2006

Muqaddar Khusk Patton ka hai Shaakhon se Juda Rehena


Aaj pesh hai Makhmoor sahab ki likhi huyi meri ek pasandeeda ghazal . Ab ye ghazal kya hai ek naaraaz aashiq ka fasaana hai. Naarazgi se upaji shayar ki in talkh bhaavnaaon par gaur kejiye ,dil ko juroor chooti huyi guzrengi.

gar yeh shart-e-taaluk hai ke hai hamko juda rehena,
to khwabon mein bhi kyun aayo, khayalon mein bhi kya rehena!

shazar zakhmi umeedon ke abhi tak leh-lahate hain,
inhen patjhar ke mausam mein bhi aata hai hara rehena!

puraane khwaab palkon se jhatak do soochte kya ho,
muqaddar khusk patton ka hai shaakhon se juda rehena!

ajab kya hai agar 'makhmoor' tum par yoorish-e-gham hai,
Hawayon ki to aadat hai charagon se khafa rehena!


Makhmoor Saeedee

Devnaagri mein is ghazal ko padhne ke liye yahan click karein.

शुक्रवार, अक्टूबर 27, 2006

Ek Jara Cheenk Hi Do Tum...

Ek hindi patrika ka purana ank ulat raha tha to Gulzaar ki ye paazi nazm dikhi Bhagwan se kuch sawal karte huye. Sach bhakton ne jeena doobhar kar rakha hai bhagwan kaa !Kaise kaise atpate sawaal karte hain log baag bhi :) Leejiye aap sab bhi mulahija pharmaaiye

Chipchipe doodh se nahlaate hain
aangan mein khada kar ke tumhein
shahad bhi, tel bhi, haldi bhi, na jane kya kya
ghol ke sar pe ludhaate hain gilasiya bhar ke

auratein gaati hain jab teevra suron mein mil kar
panv par panv lagaye khade rahte ho
ek pathrayi see muskaan liye
but nahin ho to pareshaani to hoti hogi ?

jab dhuan deta, lagataar pujaari
ghee jalaata hai kayi tarah ke chounke dekar
ek jara cheenk hi do tum
to yakin aaye ki sab dekh rahe ho

Gulzar


Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein

सोमवार, अक्टूबर 09, 2006

Kuch Geet Jinse hai Meri Preet !

Bahut pehle main ne apne bare mein ek Quiz kari thi aur usi ke last part mein maine ek Tag ko accept kiya tha. Par uske baad mujhe personal tags karne ki kabhi iksha nahin huyi. Par bahut dinon ke baad ek aisa Tag mila jo aisi baat se related hai jo mujhe behad pyari hai jee haan sangeet. Shukriya Neel ki is tag ko karne ke mujhe qabil samjha.

1. Your favourite lyricist and the lyrics you remember the most..
Gulzar , easiest question of the lot :)


Aur unki ye baat kitni jagah kitni baar dohrayi hai ki ab to lagta hai ki ye meri hi kahi huyi hai :)

Ek mood, ek kaifiyat geet ka chehra hota hai..
Kuch sahi se lafz jad do, maujoon se dhun ki lakeerein kheench do..
To nagma sans lene lagta hai, jinda ho jata hai..
Itni si jaan hoti hai gane ki ek lamhe ki jitni..
Haan kuch lamhe barson jinda rehte hain..
Geet boodhe nahin hote unke chehre pe jhurriyan nahin girti..
Wo palte rehte hain chalte rehte hain..


2. Your favourite song on friendship..

Ek sachee dost ke liye agar sirf do lines bolni hon to yahi panktiyan jehan mein aati hain mere to.
Tere Mera Sath Rahe
Dhoop Ho Chaya Ho Din Ho ki Raat Rahe



3. Which song are you humming today.

Ajnabi shehar hai
ajnabi shaam hai
zindagi ajnabi kya tera naam hai
ajeeb hai ye zindagi ye zindagi ajeeb hai
ye milti hai bicharti hai bicharke phir se milti hai
Ajnabi shehar hai
ajnabi shaam hai


4. One song which brings tears to your eyes

Hmmmm, there are many. Ye bahut tough hai singleout karna. Par haan ek geet yaad aata hai shaam se juda hua.
Bahut achcha lagta hai aise samay ekant mein baithna, purani yadon pe reflect karna! Ek ajeeb se kashish hai is nagme mein ek ajeeb sa dard, aur us pe kishor da ki aawaz


wo shaam kuchh ajeeb thee, ye shaam bhee ajeeb hai
wo kal bhee paas paas thee, wo aaj bhee kareeb hai

jhukee huyee nigaahon me, kahee meraa khayaal thaa
dabee dabee hansee me, yek haseen saa gulaal thaa
mai sochataa thaa, meraa naam gunagunaa rahee hain wo
n jaane kyon lagaa mujhe ke muskuraa rahee hain wo



5. A song which gives you hope,reason to try again and again,a reason to say that life is beautiful:)
Ek naya sapna ek nayi asha ko janm deta hai jo humein jeevan ke pravaah mein bahlata phuslata aage badhata rehta hai..

Baawra Man Dekhne Chala Ek Sapna

6.When you want to be with yourself,silent and content but with music,with song would that be?


Hmmm iske liye andhera juroori hai :). Kyun aisa hai ye main pehle bhi likh chuka hoon

raat humari to
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
samjho ki baati bhi koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke karni hai baatein aaj

7.If you have to express your love for someone with a song which would that be?

Dil mein kisi ke pyar ka jalta hua diya
duniya ki aandhiyon se bhala ye bujhega kya
saanson ki aanch paa ke bhadakta rahega ye
seene mein dil ke sath dhadakta rahega ye
wo naqsh kya hua jo mitaye se mit gaya
wo dard kya hua jo dabaye se dab gaya

8. Five Songs which you listen to the most ?

Ye to mushkil hi nahin asambhav bhi hai decide karna . Anyway I have chosen those song jo main humesha sabse jyada gungunata hoon

  • Rimjhim gire sawan sulag sulag jaye man
  • Jab bhee ye dil udaas hotaa hai jane kaun aas paas hota hai
  • Kabhee kabhee sapna lagta hai , kabhie ye sab apna lagta hai
  • Tere bina zindagi se koyi, shikwa, to nahi, shikwa nahi
  • Bechara dil kya kare sawan jale bhado jale

I will love to hear from my two music buddies DON & PR what's their take on this tag.

गुरुवार, अक्टूबर 05, 2006

O Saathi Re ! Din Doobe Naa..

Raatein kattee naa thin ya yoon kahein ki raton ko katne dena koyi chahta hi na tha. Par bhai premiyon ke liye ye koyi nayi baat to rahi nahin so ab unhone din ko apna nishana banaya hai. Aur kya khoob banaya hai ki mua sooraj bhi unki giraft mein aa gaya. Ab chinta kis baat kee jab suraj hee ashikanje mein ho. Ab unka hath apne hath mein lekar dhoop aur chaanv ke sath jitna marji katti -patti khelo kaun rokega bhala. Haan bhai par ye juroor dekh lena ki aas paas koyi sadhu Swami na ho nahin to unke kopbhajan ke liye taiyaar rahna hoga...:)

Gulzaarek aise geetkaar hain jinki kapnayein pahle to sunne mein azeeb lagti hain par aisa isliye hota hai ki unki soch ke istar tak utarne mein thoda waqt lagta hai. Par jab geet sunte sunte man us vichar mein doobne lagta hai to wahi ungadhi kalpnayein adbhut lagne lagti hain. Isiliye inke geet ke liye kuch aisa sangeet hona chahiye jo un bhavnaaon mein doobne ke liye sunne wale ki madad kar sake. Gulzaar ke liye pahle ye kaam Pancham Da kiya karte the aur is film mein ye kaam yuva sangeetkaar Vishal ne kiya hai jo gulzar sahab ke ek bade 'fan' hain.

Background singing kee baat karein to Shreya kee madhur aawaaz mein jo shokhi aur chanchalta hai vo is geet ke romantic mood ko aur effective banati hai. Wahin vishal ki thehri aawaaz geet ke bahaav ko ek isthirta deti hai. Kul milakar geet, sangeet aur gayan milkar man mein aise utarte hain ki is geet ke prabhav se ubarne ka man nahin hota

o saathi re din dube na
aa chal din ko roke
dhup ke peeche daude
chaanv chhuyein na
o saathi re

thaka thaka suraj jab nadi se hokar niklega
hari hari kaayi pe, paanv pada toh phislega
tum rok ke rakhna, main jaal giraaun
tum peeth pe lena main haath lagaaun
din dube na ha...
teri meri atti patti
daat se kaati katti
re jaiiyo na
o piyu re
o piyu re na jaiyyo na

kabhi kabhi yun karna, main daantu aur tum darna
ubal pade aankhon se, meethe paani ka jharna
hmm tere ekehre badan mein, sil jaaungi re
jab karwat lega , chhil jaaungi re
sang le jaaunga
teri meri angni mangni
ang sang laagi sangni
sang le jaaun
o pihu re

o saathi re din dube na
aa chal din ko roke
dhup ke peeche daude
chaanv chhue na
o saathi re.....

देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें । -
Movie - Omkara
Geetkaar - Gulzaar
Sangeetkaar - Vishal Bharadwaaj
Gaayak - Shreya Ghoshaal & Vishal Bharadwaaj

Is geet ko aap yahan sun sakte hain

Shreni : Mere Sapne Mere Geet mein preshit

Kya aap Ranchi ki pooja ki ek jhalak dekhna chahte hain. Agar haan to yahan click karein :)

सोमवार, अक्टूबर 02, 2006

Shadi Ka Interview : Part -II

Shadi karne ke pehle kya kya mila sunne ko......
kaise ek baat cheet ke dauraan khichi meri fotu........
Kya hua sawal dage humne teen kanyaon par....
Aur kya mila humein sunne ko......

Ye jaanne ke liye jayein is link par

शादी का इंटरव्यू - भाग : २

Hindi mein padhne ke liye menu View - Encoding - Unicode (UTF 8) option ka istemaal karein

रविवार, सितंबर 24, 2006

Shaadi Ka Interview Part:I

Shaadiyan to har kisi ki der-saber ho hi jati hain. 25-26 saal ki umra paar huyi nahin ki ye vipda paas aane lagti hai. Ab isse pehle agar aapne kuch kar kara liya ho to baat alag hai nahin to mata-pita ki sharan mein jaana hi padta hai ki babuji ab aap hi humari naiya ko paar lagao. Shadi ke is saamaajik parv ke pahle ek mazedaar saa aayojan hota hai. Jee haan sahi pahchana aapne yaani shaadi ke liye liya gaya interview.

Ab is interview ko Civil Services ki pratiyogita pareeksha se kam to nahin par samkaksha juroor aankna chahiye. Dekhiye naa kitni samaanta hai donn mein. Wahan poori pareeksha teen charnon mein hoti hai to yahan sirf interview hi teen charnon mein hota hai ( Pehle var ke pita aur unke kareebi, phir agle charan mein ghar ki mahilayein aur antim charan mein dulhe raja khud). Ab in donon pareekshaon ke parinaam ki zindagi ki disha aur dasha sanwaarne mein kitni ahmiyat hai ye to hum sabhi jaante hain.

Baat 80 ke dashak ki hai. Meri mausi ki shaadi ki batein chal rahin thin. ab ye baat kitni hasyaspad kyun na lage par mujhe achchi terah yaad hai ki ek aise hi interview mein baki prashnon ke sath ye bhi poocha gaya ki Postman par essay likh kar dikhayein. Ab unhone kya likha ye to yaad nahin par wapas aane par unki aankhein nam juroor ho gayin thin. Kuch hi saal baad humare yahan meri didi ki shadi ke liye ek sajjan ne angreji gyan jaanchne ke liye wahi purana ghisa pita prashna daaga yaani

Write a letter to your father asking him for money to meet your expenses.

Ab ye prashna, snaatak ke chaatra ke liye kisi bhi maayne mein kathin nahin hai, par jab koyi vyakti dara sahma, saja-sanwra aisi kisi visual scrutiny ke liye baithta hai to is terah ke prashnon par wo apne bhavon ka santulan kaise bana pata hoga ye sochne kee baat hai. Main chota jurror tha, par ye sab dekh ke us waqt mujhe behad gussa aaya karta . Kalpana karta ki agar sabhie susajjit paridhanon se lais ek kone mein didi logon ke bajaaye mujhe baithaya jata to meri kya dasha hoti.

Saakshaatkaar ke is pahle charan se nibat bhi lein to dusre charan mein var paksha ki mahilaaon ko jhelna padta hai. Kabhi kapde badal kar ke aao, kabhie chal ke dikhao etc etc. Do-teen saal pehle ki baat hai mere ek dost ki sis ki shadi ke silsile mein shaadi dene ke bahane logon ne khud sadi pehnaane ki zid thaan lee. Mool uddeshya to khair ladki mein kisi shaareerik khami ko dhoondhna tha.

Aur rahi var mitron ki baat to unki to chaandi hoti hai. Shauq jaanne ke naam par duniya bhar ke sawal daag lo.Ye alag baat hai ki bhale hi khud kabhi na koyi shauq paala ho.

Arranged marriage ke liye ye sare prakran juroori hain, is baat se mujhe inkaar nahin. Par ye sara kaam ek sahaj vaatavaran mein ho to kitna achcha ho. Par sahajta aaye to kaise khaaskar tab jab palda humesha var paksha ka hi bhari rahta ho. Kam se kam in anubhavon se maine yahi nishchay kiya tha ki apni shaadi ke samay in baaton ka dhyaan rakhoonga. Kitna rakh paya main dhyan aur kaisa raha mera interview ye jante hain is post ke agle hisse mein......

मंगलवार, सितंबर 19, 2006

Meri Kavita : Kalpana aur Yathaarth !

Amooman kavita main likhta nahin , yaad hai na DON pichli kab likhi thi :p .Par kya bataoon apni Mehfil mein kavitaon ki antyakshri mein ek akshar 'थ' bahut dinon se seena tane khada tha, garv se ithlata hua ki yaad hai hum se shuru hone wali koyi Rachna. Khair humein to Rachna yaad na aayi par Rachna ji ne pesh kar dee apni ek rachna. par mussebat ye thi ki wo bhi 'थ' se shuru ho kar th par khatma. idhar main do hafton se behad vyasta raha par aakar dekha ki humare naye navelr kaviraaj joshi ji ne usi kavita ko aur aage badhaya hai par mazaal hai ki 'थ' ko apni jagah se hata paaye hon. Mua 'थ' na hua angad ka paanv ho gaya.Humne bhi thaan lee ki aaj chaar panktiyan hi sahi pr kuch likh dalein taki ye 'थ' waali bala tale !

Ab pehli chaar panktiyan likhi to socha kyun na is vichaar ko aage badha ek kavita ki shakl dein. Iska nateeja aapke saamne hai, jyaada buri lage to apni sari gaaliyan akshar 'थ'par kendrit kar deejiyega:)

Kalpana aur Yathaarth


thaam kar ke baadalon ka kaafila
man hua chup jaaon main unke tale
dekh loonga oot se us chaand ko
makhmali si chaandni bikherte

kehte ho tum lukachipi kya khel hai
shobhta hai kya tumhein ye khelna
milo jeevan ke yathaarth se
samjho kya hai jagat ki vedna

Suno ! baat tumne hai kahi sahi
khwaab ka aanchal pakad kar humein
jeevan ko kabhie nahin hai tolna
khud ke swapnon mein karni nahin
parijanon ke sukh dukh ki avhelna

par tum hi kaho ye bhi koyi baat hai
swapna dekha hai jisne nahin
kalpana ki udaan par jo naa uda
doosron ka dard samjhega kya bhala
jiske man mastishk se mar gayi samvedna

so nirbhay ho ke tum oonche udo
sapnon ki chaandni ko tum chakho
par lautana to, paanv dharatal par ho khade
hai karna ab sabko yahi jatan
jeevan mein kaise ho inka santulan


Manish

देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।

रविवार, सितंबर 03, 2006

Kahan gaye Sangeet ke Sur ? Mar Gayi Kya Melody ?

Haal hi mein ek discussion forum mein humare ek bujurg ne ye sawal rakha ki aaj ke geeton se melody kya mar nahin gayi? Kya aaj ka sangeet mahaj ek shor to nahin Aaj ke sangeetkaar melodious sarachna karna hi nahin chahte.

Prashna dil ke kareeb tha . Shayad aap sabke bhi kareeb ho. Apne dil ki baat to maine yahan keh di hai. Aapka dil kya kehta hai is bare mein ye juroor batayein ?

शुक्रवार, अगस्त 25, 2006

'Mahabhoj' by Mannu Bhandaari

Mannu Bhandarike is upanyas ko pahli baar 1986 mein padha tha.
15 Aug ki chuttiyon mein Ranchi ke thande mahoul ko chor kar Patna jana pada. Wahan ki chipchipati garmi se nizaat paane ke liye idhar udhar niruddeshya bhatak raha tha to sahsa almari se ye pustak jhankti mili .
kahani to ab bilkul yaad nahin thi par ye juroor yaad tha ki pahli baar padhte waqt ye kitaab man ko bahut bhaayi thi. Diary ke pannon mein is kitaab ke naam ke aage maine *** jade the. Aur baad mein jab inhin ka likha upanyas 'Aap ka Bunty' padha tha tab se Mannu ji meri chaheti lekhika ban gayin thin

200 prishthon se bhi kam ki is kitaab ko dubaara padhne mein jyada samay nahin laga aur is baat ki khushi bhi huyi ki is kriti ko dobaara padhne ka mauqa mila. To aaiye aapko le chalein is upanyaas ki katha ki oor !
ye kahani hai vikas ke hashiye se bahar khade ek gaanv Saroha kee.
Ek aisa gaanv jahan bahulya to hai Harijanon ka, par tooti boti hai Jaaton ki !
Yahin maut hoti hai ek padhe likhe Harijan navyuvak Bisu kee.
Waise to Bisu ek samanya naagrik ki tarah gumnaami ki maut mara hota, par param gauravshaali loktantra ki ek parampara ne aisa hone diya. Bisu ki maut ke kuch dinon pahle hi saroha mein upchunaav ki ghoshna ho chuki thi. Aur jaisa ki hota hai virodhi dal hath mein aaye is sunahre mauqe ko kaise jane dete.
Kahani aage badhti hai...
Shuru hoti hai Bisu ki maut ki tahkikaat...
Ya yoon kahein ki ek aam se shakhs ke kareebiyon se kiya gaya kroor mazak !
Raajneetik rassakashi ke is mahoul mein is dukhad maut par saare paksha apni-apni gotiyaan senkte nazar aate hain.
chahe vo mukhyamantri ho jo janta ka dhyaan Bisu ki hatya se hatane ke liye, lok lubhavan yojna ka chaara daaltae hain.....
ya virodhi jo katl ke raajneetik labh ke liye jatigat vaimanasya ko badhane se nahin chookte...
ya aalaa afsar jo case ki tah tak jane waalon ko pratadit kar apni padonnati ke raaste saaf karte chale jaate hain....
ya phir samachaar patra ke maalik jo kaagaz ke permit ko badhwane ke liye raaton-raat sarkaar ki neetiyon ke mukhar prashanshak ban jaate hain.....
Loktantra ke tale ek aisa ghrinit raajneetik chakra jismein pahle ek hatya aatmahatya batayi jaati hai aur baad mein kuch aur .......

Khair wo batana na batana jyada maine nahin rakhta.
Par gaur karne waali baat hai ki 1979 mein likhe is upanyaas ko padhkar aisa nahin lagta ki hum 30 varsh pahle ki isthitiyon se guzar rahe hain. Upanyaas ke har charitra ko aaj bhi hum apne ird gird ghoomta mehsoos kar sakte hain
Ek behad sashakta upanyaas jo humari loktantrik pranaali ki khaamiyon aur nirantar ghatte raajneetik mulyon ki jhalak dikhlakar man ko kachot ..ta hua saa jata hai

देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।

शुक्रवार, अगस्त 18, 2006

Aankhon Ki Kahani Shayron Ki Jubani : Part-III

Aankhein jitna kuch kahti hain utna hi use chupane ka prayaas bhi karti hain. Aankhon ka ye chal lekin kareebiyon ki pakad mein aa hi jata hai. Ab dekhein Kaifi Aazmi sahab kya kahte hain is bare mein

Tum itna jo muskura rahe ho
kya gam hai jisko chupa rahe ho
Aankhon mein nami hansi labon par
Kya haal hai kya dikha rahe ho
kya gam hai jisko chupa rahe ho


Chup chap jal jane wale logon ko log nirashawaadi ki sreni mein laa khada kar dete hain, par ishqa ki raah mein chalne walon ko duniya ki parwaah kahan !

Tumhrai aankh main gar main kabhi chup chap jal joan
Tum apni aankhon main lekin mera sadma nahi likhna

Meri aankhon main batain hain magar chehre pe gehri chup
Meri aankhain to likh dena mera chehra nahi likhna


Par aankhon ka dard chupana kitna kathin hai uski jhalak Meena kumari ki is nazm mein dikhayi deta hai

Tukade tukade din bita,
dhajji dhajji raat mili,
Jisaka jitana aanchal tha,
utani hi saugaat mili.

Rimjhim boondon me jahar bhi hai,
aur amrit bhi,
Aankhen hans di, dil roya
yah achhi barsat mili.


Aur jab ye dard asahneey ho jaaye to raaj ki baat raaj nahin rah paati. Bakaul Abdul Nadeem Qasmi

Hosla tujh ko na tha mujh se judaa hone ka
warna kaajal teri aankhoN mein na phailaa hota


Par ye kya? Yahan to shayar ishq mein mayoos ho kar bhi apni aankhein nam nahin karna chahta kyunki wo sochta hai ki usse mohabbat ki tauheeen hoti hai!

Karna hi parega zabt-e-gham, peene hi parenge yeh aansoo
Fareyaad-o-fughaan se ay Nadaan, tauheen-e-muhabbat hoti hai
Jo aa ke ruke daaman pe 'Saahil' woh ashk nahee hain paani hai
Jo ashk na chalkay aankhon se us ashk ki qeemat hoti hai


Aur kuch aisi hi soch in janab ki bhi hai

palat kar aaNkh nam karna humaiN hargiz nahiN aata
gaye lamhoN ka ghum karna humaiN hargiz nahiN aata
muhabbat ho to be-had ho jo ho nafrat to bepaya
koi bhi kaam kam karna humaiN hargiz nahiN aata

Par aankhon se hi sab kuch ho jata to kya baat thi ! Baat tab aage badhti hai jab sath hi sath hothon ko bhi mashakkat dee jaye. Par kya har samay aisa ho pata hai ?Are kahan janab…..baraha rishte aankhon ke daayre mein hi simat kar rah jate hain. Gulzar sahab ne kis khoobsurti se is baat ko lafzon ka jaama pahnaya hai ab yahin dekh leejiye

muskurahat se khilee rahtee hai aankho mein kahin
aaur palakon pe ujaale se jhuke rahate hain
hoth kuchh kahate nahin, kaapate hothon pe magar
kitne khamosh se afasaane ruke rahate hain


Bahut si baatein aisi hoti hain jo waqt ki nazakat aur pratikool haalaaton ki wazah se dil ke kone mein dafan karni padti hain. Aankhein unki jhalak bhale dikhla dein par hothon ke darwaze humesha band rahte hain

Sajid Hashmi ka dil ko choota ye sher suniye

Jhalak jate hein akser dard ki manind aankhon se
Mager khamosh rehte hein bayaan hone se darte hein

Kuchal deti hai her hasrat hamari beraham duniya
Dil-e-masoom ke armaan jawaan hone se darte hein


Aur bakaul Amzad Islam Amzad

Jo Aansoo Dil Mein Girtey Hein Woh Aankhoon Mein Nahien Rehtay
Bouhut Sey Harf Aisey Hein Jo Lafzoon Mein Nahien Rehtay

Kitaaboon Mein Likhey Jaatey Hein Duniya Bhar Kay Afsaaney
Magar Jin Mein Haqeeqat Hoo Kitaaboon Mein Nahien Rehtay


To ye to tha aankhon mein dard aur udaasi ka rang ! Lekin aap sab par udaasi ki chadar oodhakar is silsile ka samapan karoon ye achcha nahin lagta. Isliye chalte chalte pesh hai mere priya shayar Gulzar ki ye nazm jo kisi ki pyari aankhon ko zehan mein rakh kar likhi gayi hai

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Gamgeen See Ankhen
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayaat

Ufaq - aasmaan ka kinara, Namnaak - geeli, takhleek - srijan, hayaat- jeewan

शुक्रवार, अगस्त 11, 2006

Aankhon ki Kahani Shayron ki Jubani : Part-II

Pichli baar batein kar rahe the ki kis terah koyi humari aankhein padh leta hai to man pulkit ho jata hai par baat yahin khatma ho jaati to lutph hi kya tha aankhon ya nazronka ek ishara pyar ki khushboo bikherne ke liye kaphi hai.

Isiliye to Nida Fazli sahab kehte hain

Unse nazarein kya mili, roshan fizayein ho gayin
Aaj jana pyar ki jadoogari kya cheez hai


Khulti julphon ne sikhai, mausamon ko shayri
Jhukti aankhon ne bataya mahkashin kya cheez hai

Ek aashik ke liye in khooburat aankhon ka kya mol hai wo is sher mein dekhiye

Teri aankhon ke siwa duniyaa mein rakhaa kya hai
ye uthaein subha chalae ye jhukain shaam dhalae
mera jeena mera marnaa inhee palkon ke talae


Aur Amjad Islam Amzad to mehboob ki aankhon ke samne hi raat din bitane ko taiyar hain

Soyenge teri aankh ki khilvat mein kisi raat
Saaye mein teri zulf ke jaagenge kisi din


Par suru suru mein apne mehboob ki or aankh utha ke dekhna aasan hai kya!
ab inhein hi dekhiye dil mein pyar ki shama jal chuki hai par ye hain ki abhi bhi nigahein milane se katra rahe hain


Hasrat hai ke Unn ko kabhi nazdeek sey dekhein
Nazdeek hon tou Aankh uthaai nahin jaati
Chaahat pe kabhi bus nahin chalta hai kissi ka
Lag jaati hai yeh Aag, lagaai nahin jaati


Par huzoor ek baar kisi se aankhon hi aankhon mein baat ho bhi jaye to bhi kya kam museebatein hain
Kabhi to unki badi badi aankhon ka kajal dil ki dhadkanon ko badhata hai to kabhi aankhon aankhon mein huyi wo mulakatein dil mein ghabrahat paida karti hain. Pesh hai aisi hi bhav liye humari ye adni si kavish


uski aankhon ka who kajal
jaise gagan mein kale badal
umdein ghumdein haaye, man mera..

aankhon aankhon ki who baatein
who nanhi choti mulakaatein
barbas yaad aa jayein haaye, man mera..


par ye aaturta bhari ghabrahat bhi aisa jaadoo bikherti hai ki apni aankhein bhi kisi aur ki ho jaati hain! yakeen nahin aata to is nazm ko hi dekhein

Kaho, wo dasht kaisa tha?
jidher sab kuch luta aye
jidher aankhien ganwa aye

kaha, seilab jaisa tha, bohat chaha ke bach niklein, magar sab kuch baha aye

kaho, wo Chand kaisa tha?
falak se jo utar aya!
tumhari aankh mein basnay

kaha, wo khawab jaisa tha, nahin tabeer thi us ki, usay ik shab sula aye


Par kya aankhon se sirf prem ki dhara bahti hai? Nahin harghiz nahin. Aankhein jitna dikhati hain utna chupana bhi jaanti hain. Aur phir aansuon ki maan, janani to ye aankhein hi hain na !
Agli kadi mein dekhenge ki kaise karti hain aankhein bhaavon ki lukachipi aur kya hota hai jab un par chadhta hai udaasi ka rang

बुधवार, अगस्त 09, 2006

Aankhon ki Kahani : Shayron ki Jubani Part -I

Ankhein uparwale ki dee huyi sabse haseen niyamat hain. Shayad hi zindagi ka koyi rang ho jo in aankhon ke daayre se bahar raha ho. Aur yahi wazah hai ki shayron ne in Aankhon mein basne wale har rang ko , har zazbe ko kitabon ke panne mein utara hai. To is silsile mein aaiye dekhte hain shayron ki jubani in bahut kuch kah jane wali aankhon ki kahani


aaNkhaiN dekheeN to main dekhta rah gayaa
Jaam dou aur donoN hi dou-Aatshaa
aaNkhaiN yaa maikaday ke ye dou baab haiN
aaNkhaiN inko kahoN ya kahooN khwaab haiN


baab-darwaza

aaNkhaiN neechi hueeN to Hayaa ban gaieeN
aaNkhaiN ooNchi hueeN to dua ban gaieeN
aaNkhaiN uTth kar jhukeeN to adA ban gaieeN
aaNkhaiN jhuk kar uTheeN to qazaa ban gaieeN


qazaa - kismat


aaNkhaiN jin main haiN maHV aAsman-o-zameeN
nargissii, nargissi, Surmayii, surmayii.......
nargissii, nargissi, Surmayii, surmayii.......


mahV – Tanmay, talleen

Yun to kehte hain ki ankhain dil ka aaina hotee hein haan par use padhne wala ek samvedansheel , najuk dil chahiye. Ab Khumar Barabankvi sahab ki aankhein dekhiye na pata nahin kisne padh lein

vo jaan hii gaye ke hamen un se pyaar hai
aaNkhon kii muKhbari kaa maza ham se puuchhiye



Kisi ka pyara chehra ho, aur samne ho us chehre ko padhti do ankhein to phir shayri kya rang leti hai ye kissa suna rahi hain Parveen Shakir

cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii men bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaiin
sher kahatii hui aaNkhen us kii


Kabhi to aankhein kisi ki yaad se khil uthti hain..

teri aankhoN meiN kisi yaad ki lau chamki hai
chand nikle to samandar pe jamaal aata hai


to kabhi kisi ke paas na hone ka gham unhein nam kar deta hai.
shaam se aaNkh mein namii si hai
aaj phir aap kii kamii si hai


Par aankhon ki ye bhasha har kisi ke palle nahin padti. Agar aisa nahin hota to Nazeer Banarsi ko bhala ye kyun kehna padta

Meri be-juban aankhon se, gire hain chand katare,
Woh samajh sake to aasun, na samajh sake to pani


Ab apne mehboob se inhein bhi to yahi shikayat hai

pather mujhay kahta hai mera chaahnay waala
Mein mom hon uss nay mujhay choo ker nahi dekhaa


woh meray masaayil ko samajh hi nahi saktaa
jiss nay meri aankhon mein samander nahi dekhaa



Par aisa bhi nahin hai ki is samandar ko mehsoos karne walon shayron ki kami hain.
Amzad Islam Amzad sahab to iski gahrayi mein utarna chahte hain…..


jaatii hai kisii jheel ki gehraaii kahaN tak
aaNkhoN maiN terii doob ke dekaiN ge kisi din



to Faraz apni aakhiri hichki in aankhon ke samandar mein lene ki khwahish rakhte hain

doob jaa unn Hasseen aaNkhoN main Faraz
baRaa Haseen samandar hai khud.khshii ke liey


Aur in hazraat ka khayal bhi koyi alag nahin

apani aaNkho. ke samu.dar men utar jaane de
tera mujarim huN mujhe Dub ke mar jaane de


To huzoor aaj ke liye to bas itna hi…. Aankhon ki ye daastaan to abhi chalti rahni hai kyonki :p

inn aNkhoN ki mastii ke mastaaney hazaroN haiN
inn aNkhoN se waabasta afsaaney hazaroN haiN
ek sirf hi hami mae ko aNkhoN se pilatey haiN
kehnay ko to duniya main , maekhaney hazaroN haiN

मंगलवार, अगस्त 01, 2006

Bhale Dinon ki Baat Hai, Bhali si Ek Shakl Thi..

Ahmad Faraz Pakistan ke mashhoor shayar hain jo Bharat mein bhi utne hi chaav se padhe jate hain. Bhala inki likhi ghazal Ranjish hi sahi kis ghazal premi na nahin suni hogi. Aaj unki ek halki phulki nazm pesh-e -khidmat hai jo kuch saal pehle sarhad paar ke ek sathi ne poetry forum mein post ki thi. Zindagi ke kisi mukaam par ek shakhsh se milne aur bichudne ki ye seedhi sachchi daastan dil ko chooye bagair nahin rah pati.


bhale dinoN ki baat hai
bhali si aik shakl thi
na ye ki husn-e-taam ho
na dekhne mein 'Aam si

na ye ki woh chale to
kahkashaaN si rahguzar lage
magar woh saath ho to
phir bhala bhala safar lage

koi bhi rut ho us ki chchab
fiza ka rang-o-roop thi
woh garmiyoN ki chchaaoN thi
woh sardiyoN ki dhoop thi

na muddatoN judaa rahe
na saath subh-o-shaam ho
na rishta-e-wafa pe zid
na ye ki izn-e-'Aam ho

na aisi Khush libasiyaaN
ki saadgi gila kare
na itni be takallufi
ki aaina haya kare

na aashiqi junoon ki
ki zindagi 'azaab ho
na is qadar kaThor pan
ki dosti Kharaab ho

suna hai aik 'Umr hai
mu'Amilaat-e-dil ki bhi
visaal-e-jaaN fiza to kya
firaaq-e-jaaN gusal ki bhi

so aik roz kya hua
wafa pe bahas chchiD gayi
maiN ishq ko amar kahooN
woh meri zid se chiDh gayi

maiN ishq ka aseer tha
woh ishq ko qafas kahe
ki umr bhar ke saath ko
woh bad-taraz-hawas kahe

"shajar hajar nahin ki ham
hamesha pa ba gul raheN
na Dor haiN ki rassiyaaN
gale main mustaqil rahaiN

maiN koi painting nahiN
ki aik frame meiN rahooN
wahi jo man ka meet ho
usi ke praim meiN rahooN

tumhari soch jo bhi ho
maiN is mizaaj ki nahiN
mujhe wafa se bair hai

ye baat aaj ki nahiN"

na us ko mujh pe maan tha
na mujh ko us pe za'Am hi
jo 'ahad hi koi na hoi
to kya gham-e-shakistagi

so apna apna raasta
hansi Khushi badal diya
woh apni raah chal paDi
main apni raah chal diya

bhali si aik shakl thi
bhali si us ki doosti
ab us ki yaad raat din
nahin, magar "kabhi kabhi"


Ye kabhie kabhie wali baat is baat ko purjor andaaz mein rakhti hai ki yadein dhoomil ho sakti hain, dab sakti hain par mar nahin saktin.


देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।

गुरुवार, जुलाई 27, 2006

Maan, Kya Hoga Uske Baad ?

Humare bhavishya mein kya hai ye jaanne ki utsukta to hum sabhi mein hoti hai. Par is utsukta ka naa to koyi ant hai na koyi seema.
Bhavishya roopi saagar ki gehrayi dekhi hai kabhi aapne.
pehle to sab kuch saaf dikhta hai phir dhundhlapan badhta chala jata hai.
Janma, Shiksha, Prem, Naukari, Vivah, Vaibhav..... ke bare mein jaan lene ke baad bachta hi kya hai humare paas!
Bas mrityu ki ek dastak jise jaanne ki iksha hi nahin hoti.
par phir uske baad kya?
Uska jawaab kisi ke paas nahin! bhavishya ke paas bhi nahin kyonki yahan aakar to wo bhi apne maayne kho deta hai.
Balkrishna Rao ki ye kavita chand panktiyon mein, shishu ke mukh se is sahajta aur bholepan se prakruti ki is unsuljhi paheli ki or ishaara kar jati hai ki man soch mein hi padh jata hai

School ki VIth class mein padhi ye kavita mujhe behad pasand hai par jab dobara khoj ki to net pe nahin mili. NCERT ki book Apoorva mein jab ye dikhayi di to punah padhkar man harshit hua .kavi ko ek baar phir se naman kiya, jinhone anaadi-anant kaal se chale aa rahe is prashna ko itni sundarta se pesh kiya hai.

' Phir kya hoga uske baad?'
utsuk hokar shishu ne poocha,
' Maan, kya hoga uske baad?'


Ravi se ujjval, shashi se sundar,
nav-kislay dal se komaltar
vadhu tumhare ghar aayegi
us vivah utsav ke baad


palbhar mukh par smiti rekha
khel gayi phir maan ne dekha
utsuk ho kah utha kintu wo
phir kya hoga uske baad


phir nabh se nakshatra manohar
swarga lok se utar utar kar
tere shishu banne ko mere
ghar aayenge uske baad


Mere naye khiloune lekar
chale na jayein ve apne ghar
chintit hokar utha, kintu phir
poocha shishu ne uske baad ?


Ab maan ka jee oob chuka tha
harsh shranti mein doob chuka tha
boli phir main boodhi hokar
mar jaoongi uske baad


Ye sun kar bhar aaye lochan
kintu ponchkar unhein usi kshan
sahaj kutuhal se phir shishu ne
poocha, maan kya hoga uske baad


kavi ko balak ne sikhlaya
sukh dukh hai palbhar ki maya
hai anant tatwa ka prashna yah
phir kya hoga uske baad?


Balkrishna Rao

रविवार, जुलाई 16, 2006

Mumbai Ke Ansoo...

Mumbai blast ne dil khatta kar diya hai.
Desh ke aaj ke halaton ka ujagar karta Earth film ka geet jo pichle hafte Akhil ke blog par padha tha devnaagri mein yahan dekhein.
Kya sirf aatankwadiyon ko pakadne se samadhan nikal payega shayad nahin pehli nakel nafrat phalane wale thekedaron pe kasni hogi. Aage padhne ke liye yahan click karein.
Samay aabhav ke karan roman mein ye posts nahin likh paa raha hoon.

बुधवार, जुलाई 12, 2006

Mitwa, Kahein Dhadkanein Tujhse Kya ?

Hai ree Zindagi...
Aur uski khwahishein…
Kuch poori hoti hain to kuch phir se paida ho jati hain
Agar maamla itne mein hi sulajh jata to baat hi kya thi
Kabhie to aisa hota hai janab ki hum jise chahte hain, man use pane ki raah bhi khoj deta hai par kar kya kare koyi ye jo khopri par raaz karne wala dimag hain na turant ek hidayat ya yoon kahiye ki farmaan thama deta hai.

khwab,umeed, nasha, sans, tabassum, ansoo
tootnewali kisi shay pe bharosa na karo

Kamraan Nazmi

Kisi kee preet se upaji dil aur dimag ki is zaddozahad ka shikaar insaan aakhir yahi kehne pe mazboor ho jata hai
Kya ye bhi zindagi hai ki rahat kabhi na ho
Aisi bhi to kisi se mohabbat kabhie na ho

Lab to ye keh rahe hain ki uth badh ke choom le
Aankhon ka ye ishaara ki jurrat kabhi na ho
Krishna Mohan

Par parson jab ye geet suna to paya ki Javed Akhtar sahab to kuch ulta hi sikha padha rahe hain. Ab wo to dhadkanon ki aawaz hi sunne ko kahenge naa , shayar jo thehre.
Par ye jo shayar hain na kuch palon ke liye hi sahi vastvikta ke dharatal ke oopar aisi udan pe le jate hain jahan preet ki oonchi oonchi llahron ke thapedon se takrakar dimagi uljhanein door chitak jati hain. Soofiyana andaj mein Shafaqat Amaanat Ali ke gaye huye is geet ki pehli kuch panktiyan sun kar hi man jhoom sa uthtaa hai. Aur Shankar Ehsaan Loy ki tikdi ke madhur sangeet ka to kehna hi kya. Chahe wo mukhde ke pehle guitar ki dhun ho ya antare ke beech guitar aur bharteey vadya yantron ke saath classical jugalbandi ! Sun kar man wah wah kiye bina nahin reh pata.

mere man ye bata de tu,
kis or chala hai tu
kya paya nahin tune,
kya dhoondh raha hai tu
jo hai ankahee, jo hai ansuni
woh baat kya hai bata


mitwa, kahein dhadkanein tujhse kya
mitwa, ye khud se to na tu chupa...


Geet ke poore lyrics yahan dekhiye
Kabhie Alvida Na Kehna ke is geet ko sunne ke liye yahan Click karein.

Posted under Category : Mere Sapne Mere Geet

शुक्रवार, जुलाई 07, 2006

Shakti Aur Kshama

Bahut dinon se is kavita ki taalash mein tha. Ramdhari Singh Dinkar waise bhi mere priya kavi hain aur is kavita ki ye panktiyan to humesha se man mein rachi basin thin

Kshama shobhati us bhujang ko
jiske paas garal ho
usko kya jo dantheen
vishrahit, vineet, saral ho

Sahansheelta, kshama, daya ko
tabhi poojta jag hai
bal ka darp chamakta
jab uske peeche jagmag hai


Isliye badi khushi mili is kavita ko net pe dhoondh kar.

Poori kavita Devnaagri mein yahan padhein.

रविवार, जुलाई 02, 2006

Guncha Koyi Mere Naam Kar Diya...

Kuch dinon pehle DON ne apni ek blog post (dated 14th May) ke zariye is ghazal se roobaru karvaya tha aur uske radio blog mein Ashish Dar ki aawaz mein suna bhi tha. Par aaj Mohit Chauhaan ki voice mein suna aur laga ki iske liye ek alag post lazimi hai. Is song ke unplugged version mein sirf guitar ki mohak dhun background mein hai. Ghazal ke lyrics simple hain par Mohit Chauhan ka andaze bayan kuch aisa hai ki aap is ghazal se hooked huye bina nahin reh pate.

guncha koyi mere naam kar diya
saaki ne phir se mera jaam bhar diya

tum jaisa koyi nahin is jahan mein
subah ko teri julph ne shaam kar diya

mehfil mein baar baar idhar dekha kiye
aankhon ke zajeeron ko mere naam kar diya

hosh bekhabar se huye unke bagair
wo jo humse keh na sake dil ne kah diya


Movie - Main, Meri Patni aur Wo (2005)
Lyrics : Ricky Khanna

Click here to listen the song

बुधवार, जून 28, 2006

Lamha Lamha Doori Yoon Pighalti Hai...

Are baba do mahine ho gaye aur is blog slog pe kisi geet ka jikra nahin hua . Na ji aapka ye nacheez bhala music se door kaise reh sakta hai. Par kya karein is saal sangeet ke naam par mumbai ki mayanagri ki taraf se ab tak jo parosa gaya hai wo mujhe kuch khas jancha nahin hai. Par Gangster ka ye geet suna to man phir gunguna utha…

Is geet ki khas baat hai iske soothing musical notes aur Abhijeet ki makhmali aawaaz. Darasal jab soft romantic nagmon ki baat ho to Abhijeet ka andaaz mujhe khas pasand aata hai.

Wo ek chehra...
Wo bhavnaon mein behti aankhein...
Wo bina hil ke bhi bahut kuch kehne wale hoth ...
na jane kitne kaviyon ko kalpana ki udaan mein bahakar le ja chuke hain. Geetkaar Nilesh Mishra bhi isse achoote nahin rah paye hain. To agar sawan ki simsimi bayar aapko madmast karne pe tuli ho to ye geet juroor sunein. Mera yakeen hai ki ye geet aapke mood ko aur romantic bana dega.


lamha lamha doori yun pighalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
khwaahishon ki shaam dhalti hain
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai



teri aankhen, dikhati hain
hamein sapanen sitaaron ke
tere hothon, pe likha hai
jo tum bole ishaaron mein

khwaabon ke karwaan mein raat chalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai


behakti shaam, aayi hai
tujhe lekar, ke baahon mein
tujhe chhu loon, kee rakhun main
chhupakar ke, nigaahon mein
sharmati ithlaati hai machalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
lamha lamha doori yun pighalti hai
jaane kis aag mein yeh shabnam jalti hai
khwaahishon ki shaam dhalti hai
jaane kis aag mein ye shabnam jalti hai

शनिवार, जून 24, 2006

Alvida Sikkim !

Sikkim pravaas (stay) ke aakhiri din humare paas 3 baje tak hi ghoomne ka waqt tha. To sab ne socha kyun na Gangtok mein hi chahalqadmi kee jaye. Subah breakfast karne ke baad hum seedhe pahunche flower show mein.

Ab humein kya pata tha ki itne chote se rajya (state) mein Orchids ki 500 se jyada species maujood hain jinmein se kayi to kaphi rere breed ki hain.Bhanti-bhanti (Different)ke rang aur roop liye in phoolon se nazrein hatane ko jee nahin chahta tha.Man hi mana socha vidhata dwara diye gaye color combination ki baat hi kuch aur hai.
Flower Show se nikal kar humne ropeway ki raah pakdi.Us oonchai se Gangtok aur bhi khoobsurat dikh raha tha. Hare bhare pahad, seedhinuma khet, sarpaakar sadkein aur un par chalti chaukor peele dibbon jaisi dikhti Taxies. Ropeway se aage badhe to Sikkim Vidhan Sabha (legislative assembly) bhi najar aayi.Ropeway se utarne ke baad Baudh Stoop ki or jaana tha. Stoop tak ki chadhai steep thi aur nateejan oopar pahunchte pahunchte hum paseene se naha chuke the.
Yahan ki bhasha mein stoop ko Do-Drul-Chorten kahte hain. Is stoop ke charo or 108 pooja chakra (prayer wheels) hain jinhein devotee prayer karte samay ghumate hain .
Wapasi ka safar 3 kee bajay 4 baje shuru hua . Gangtok se Siligudi ka safar 4 ghante mein poora hota hai. Is baar humari gadi ka driver batooni bhi tha aur chalaak bhi. Tata Sumo mein sikkim mein 10 se jyada logon ko baithane ki izazat nahin hai par ye janab 12-14 logon ko us mein baithane par aamada the. Khair humare lagatar oppose karne ki vajah se ye sankhya 12 se jyada nahin badh payi.
Sikkim mein qayda kanoon chalta hai aur yahan ke log banaye gaye niyamon (rules) ka samman (respect) karte hainpar jaise hi Sikkim ki seema khatm hoti hai qayde kanoon dhare ke dhare rah jate hain. Bengal aate hi driver ki khushi dekhte hi banti thi. Pahle to sawariyon ki sankhya 10 se 12 ki aur phir ek jagah rok kar Sumo ke oopar logon ko baithane laga. Par is baar sare yatriyon (passengers) ne milkar usko aisi jhad pilayi ki wo man maar kar chup ho gaya.
North Bengal mein ghuste hi Chaand nikal aaya tha. pahadiyon ke beech se chan kar aati uski roshni Teesta nadi(river) ko prakashmaan (full of light) kar rahin thi. Waise bhi humesha raat mein hone wali barish ki wazah se Chaand humse Lachen aur Lachung donon jagah aankhon se oojhal hi raha tha jiska mujhe behad afsos tha.Shayad Yahi wazah thi ki Chandaniraat ki is khoobsurti ko dekh Aitbaar Sajid ka ye sher yaad aa raha tha
Wahan ghar mein kaun hai muntazir ki ho fikar dar sawar ki
badi mukhtasir si ye raat hay, issay chandani mein guzaar do

Koi baat karni hay chaand say, kisi shaakhsaar ki oot mein
Mujhey raastey mein yaheen kaheen,kisi kunj-e-Gul mein uttaar do!

Par yahan utarne kee kaun kahe, station samay par pahuchne ki samasya thi. Gangtok ke baahar humein sadak banne ki wajah se 1 ghante rukna pada tha. Ab humare paas margin ke naam par 1/2 hour hi bache the.Yani 9.30PM ki train ke pahle dinner karne ka program hum pahle hi thande baste mein daal chuke the. Ghati paar karte hi driver ne humari tension samajhte huye speed 75km/hr tak badha dee thi.Par bhagwan humari wapsi ki yatra ko aur romanchak (exciting) banane par tule huye the.Silgudi ke theek 25 km pahle hi Sumo ka ek tyre jawab de gaya. 20 minute ka keemti waqt Tyre change karne mein jaayaa hua. Sabka tension dekhne layak tha. Par driver ki break neck speed ki badaulat hum bhagte daute gadi aane ke theek 5 min pahle platform tak pahunche. Apni madur smritiyan sanjoye humara group vapas laut raha tha....kuch avismarneey (unforgettable)palon aur chaviyon(snaps) ko sath liye. Unmein se ek snap is bachche ki bhi thi jise humne Chungthang mein khelte dekha tha.Sikkim ke is safar ka THE END karne se pahle tahe dil se salaam humare Travel Agent Pradhan ke liye jisne na kevalband gobhi ki sabzi khila khila kar 15000 feet pe humare khoon mein garmi banaye rakhi :)balki raste bhar apni zindadili se mahoul ko halka phulka banaye rakha.

रविवार, जून 18, 2006

Safar Sikkim Ka : Changu Jheel, Nathu -La & Baba Mandir

Agli subah pata chala ki bhari barish aur chattanon (rocks) ke khisakne se Nathu-La ka rasta band ho gaya hai. Man hi man mayoos huye ki itne paas aakar bhi Sino-Indian border ko nahin dekh paye. Par baarish ne jahan Nathu-La jane mein badha utpannna kar di thi ( created hinderance) to wahin ye bhi sunishchit (assured) kar diya tha ki humein sikkim ki barfeeli wadiyon ke darshan ho hee jayenge. Isi khushi ko man mein sanjoye huye hum Changu or Tsomgo lake chal pade. Bhutiya mein Tsomgo ka matlan “Origin point of lake” hota hai. 3780m yani takreeban 12000 ft par isthit (located) Changu Lake, Gangtok se keval 40 km doori par hai.
Gangtok se nikalte hi Devdar ke hare bhare junglon (forest) ne humara zordaar swagat kiya. Kam doori ka ye matlab bhi tha ki raste bhar ki chadhai steep thi. 30 km ki doori tay karne ke baad raaste ke donon taraf barf ke dher dikhne lage. Maidanon mein rahne wale hum jaise logon ke liye barf ki chadar mein lipte in parvaton ko itne kareeb se dekh paana apne aap mein ek sukhad anubhooti thi. Par ye to abhi suruaat thi. Changu jheel ke paas humein aage ki barf ka muqabla karne ke liye ghutnon tak lambe jooton aur dastaanon ka suraksha kavach (protection gear) pahnana pada.

Darasal humein Baba Harbhajan Singh Mandir yani Baba mandir tak jana tha jo ki Nathu-La aur Jelep –La ke beech isthit hai. Ye mandir 23rd Punjab Regiment ke ek jawan ki yaad mein banaya gaya hai. Baba Mandir ki bhi
ek alag rochak kahani hai jiski charcha haal-philhal mein humare media ne bhi ki thi.
Changu se 10 km door hum Nathu-La ke is pravesh dwar (entry gate) ki bagal se gujre. Humare guide ne bataya ki samne wale pahad ke theek peeche China ka ilaaqa shuru ho jata hai. Man hi man kalpana kee ki Red Army kaisi dekhti hogi. Waise bhi iske siwaay koyi chaaraa bhi to na tha.
Thodi hi der mein hum Baba Mandir ke paas the. Sailaaniyon ki zabardast bheed wahan pahle se maujood thi. Mandir ke charon taraf shwet (white) rang mein doobi barf hi barf thi. Uff kya rang bikhera tha prakriti (nature) ne---
Oopar aakaash ki adbhut neelima aur jameen par barf ki doodhiya chaadar----bas man apne aapko ismein vileen (absorb) kar dene ko chahta tha. In anmol lamhon ko qaid kar hum barf ke bilkul kareeb jaa pahunche.
Humne ghante bhar jee bhar ke barf mein uchal-kood machayi. Oonchayi tak slope ke against girte padte chadhe aur phir neeche ki oor phisle. Ab phisalne se barf bhi pighli. Kapdon ki kayi tahon ke andar hone ki wazah se hum is baat se anjaan bane rahe ki pighalti barf dheere dheere andar rasta bana rahi hai. Jaise hi is pighalti barf ne kapdon ki antim tah ko paaar kiya humein vastuisthiti (reality) ka gyan (knowledge) hua aur hum apni gadi ki taraf lapke. Kuch der tak humari kya haalat rahi wo aap samajh hi gaye honge. Khair wapasi mein bhojan ke liye punah (again) ruke. Yahan humne Sikkim ki special dish ki special dish MOMO ka swad chakha.
Bhojan kar ke bahar nikle to dekha ki ye susajjit (well dressed) Yaak apne sath tasweer lene ke liye palkein bichaye humari prakteeksha kar raha hai.:) Ab humein bhi is Yaak ka dil dukhana achcha nahin laga so khade ho gaye baju mein tek laga kar. Nateeja aapke saamne hai.:p
Agla din Gangtok mein bitaya humara aakhiri din tha. Kya ghata humare sath aakhiri din. Kaise vaapsi ki train miss hote hote rah gayi ye detail agle hisse mein…

देवनागरी में पढ़ने हेतु यहाँ क्लिक करें ।

शुक्रवार, जून 09, 2006

Safar Sikkim Ka : Yumthang Valley


Yumthang ke paas pahunchte pahunchte humein Rhodendrons ke jangal (forest) dikhne shuru ho gaye the. March-April se inke paudhon (plants) mein kaliyan lagne lagti hain. Par poori terah se ye khilte hain may mahine mein, jab poori ghaati inke laal aur gulabi rangon mein rang jati hai. khair humein ye drishya naseeb nahin hua kyonki hum wahan April ke doosre saptah mein hi tapak gaye the.
Choonki ye ghati 12000 feet ki height pe hai , yahan GuruDongmar ki tarah hariyali ki koyi kami nahin thi. Kami thi to bas aasmaan ki us neeli chat ki jo subah mein dikhne ke baad yahan pahunchte hi gayab ho gayi thi.

Ghati ke beech paththaron pe uchalti koodti nadi bah rahi thi. Jade mein ye paththar barf ke andar dab jate hain. In gol-matol (round) paththaron ke dher ke sath sath hum sab kaaphi der tak chalte rahe. Kisi ne kaha- raat mein barish huyi hai to sath mein barf bhi giri hogi. Phir kya tha nadi ka paat chor hum kinare dikh rahe pedon ki kataron ki or chal pade.


Pedon (trees) ke bech humein barf giri dikh hi gayi aur ye janab to uske peeche aise lapke jaise sari ek sath hi kha lenge. Ab inhein kya pata tha ki agle din hi bhagwan itni barf dikhane wale hain jitni humne zindagi mein bhi na dekhi hogi.


Paas mein hi ek Sulphurised water ka chota sa hot spring tha. Par wahan pahuchne ke liye is pahadi nadi yani yani yahan ki jubaan mein Lachung Chu ko paar karna tha. Mauqa dekh humne bhi is thumakti Chu ko camre se choo liya. Hot spring dekh hum wapas Lachung ko laut chale.

Bhojan ke baad wapas Gangtok ki raah pakadni thi. Gangtok ke raaste mein Teesta Valley ki antim jhalak pane ke liye hum gadi se utre. Kaaphi height se lee huyi is tasweer mein aap ghumavdaar raston ke jaal ke sath neeche bahti huyi Teesta ko dekh sakte hain. Teesta se ye is safar ki aakhiri mulaqaat to nahin par uski lee huyi aakhiri tasweer ye juroor thi. Shaam dhalte dhalte hum Gangtok mein qadam rakh chuke the. Apna agla din naam tha Sikkim ke sabse popular destination ke liye jahan mother nature apne alag roop mein humari prateeksha (wait) kar rahi thi. Aisa kya different tha us roop mein ye jante hain agle part mein…

रविवार, जून 04, 2006

Safar Sikkim Ka : Wo Anokhi Subah


Lachen ki who subah anokhi thi.Door door tak barish ka naamo nishan bhi nahin tha. Gehre Neele aakash ke neeche Lachung ka pahad apna seena tane khada tha. Pahad ke theek beech patle jharne ki safed lakeer chattanon ke is vishal jaal ke saamne behad bauni (small) nazar aa rahi thi.
Par asli nazara to doosri taraf tha. Parvaton aur suraj ki kirnon ke beech ki aisi aankhmichauni maine pehle kabhi nahin dekhi thi. Parvat ke is taraf andhkaar tha .Is andhkaar se door ek chota sa ped suraj ki roshni ki prateeksha mein bahein phailaye khada tha.

Pahad ke theek peeche aati ye kirnein badalon ki chadar ko door dhakel dena chahti thin.

Thodi hi der mein ye kirnein Kanchanjungha ki barf se ladi chotiyon ko is tarah prakashmaan kar rahin thi manon bhagwan ne pahad ke us oor badi si searchlight jala rakhi ho. Sach kahoon to ise main apni yatra ka defining moment manta hoon. In drishyon ko apne camre mein qaid karne mein mujhe sabse jyada santosh hua kyunki aise drishya zindagi mein baar baar dekhne ko nahin milte.
Humara agla padav Yumthang Valley tha. Lachung se kareeb 25 km doori pe basi is ghati ko yahan ke log Valley of Flowers ke naam se bulate hain. Darasal ye ghati Rhododendrons species ki 24 different varieties ke liye mashhoor hai. Subah ki dhoop ka anand lete huye hm chal pade.


Sara rasta violet colour ke in chote-chote phoolon se bhara pada tha. Kareeb 1.5 hours mein humara qafila Yumthang mein tha.Yumthang ki sundarta ke jitne charche humne sun rakhe the us hisaab se humein niraash hona pada. Aisa kyun hua uska jikra agle bhaag mein…