बुधवार, अगस्त 09, 2006

Aankhon ki Kahani : Shayron ki Jubani Part -I

Ankhein uparwale ki dee huyi sabse haseen niyamat hain. Shayad hi zindagi ka koyi rang ho jo in aankhon ke daayre se bahar raha ho. Aur yahi wazah hai ki shayron ne in Aankhon mein basne wale har rang ko , har zazbe ko kitabon ke panne mein utara hai. To is silsile mein aaiye dekhte hain shayron ki jubani in bahut kuch kah jane wali aankhon ki kahani


aaNkhaiN dekheeN to main dekhta rah gayaa
Jaam dou aur donoN hi dou-Aatshaa
aaNkhaiN yaa maikaday ke ye dou baab haiN
aaNkhaiN inko kahoN ya kahooN khwaab haiN


baab-darwaza

aaNkhaiN neechi hueeN to Hayaa ban gaieeN
aaNkhaiN ooNchi hueeN to dua ban gaieeN
aaNkhaiN uTth kar jhukeeN to adA ban gaieeN
aaNkhaiN jhuk kar uTheeN to qazaa ban gaieeN


qazaa - kismat


aaNkhaiN jin main haiN maHV aAsman-o-zameeN
nargissii, nargissi, Surmayii, surmayii.......
nargissii, nargissi, Surmayii, surmayii.......


mahV – Tanmay, talleen

Yun to kehte hain ki ankhain dil ka aaina hotee hein haan par use padhne wala ek samvedansheel , najuk dil chahiye. Ab Khumar Barabankvi sahab ki aankhein dekhiye na pata nahin kisne padh lein

vo jaan hii gaye ke hamen un se pyaar hai
aaNkhon kii muKhbari kaa maza ham se puuchhiye



Kisi ka pyara chehra ho, aur samne ho us chehre ko padhti do ankhein to phir shayri kya rang leti hai ye kissa suna rahi hain Parveen Shakir

cheharaa meraa thaa nigaahen us kii
Khaamushii men bhii vo baaten us kii

mere chehare pe Gazal likhatii gaiin
sher kahatii hui aaNkhen us kii


Kabhi to aankhein kisi ki yaad se khil uthti hain..

teri aankhoN meiN kisi yaad ki lau chamki hai
chand nikle to samandar pe jamaal aata hai


to kabhi kisi ke paas na hone ka gham unhein nam kar deta hai.
shaam se aaNkh mein namii si hai
aaj phir aap kii kamii si hai


Par aankhon ki ye bhasha har kisi ke palle nahin padti. Agar aisa nahin hota to Nazeer Banarsi ko bhala ye kyun kehna padta

Meri be-juban aankhon se, gire hain chand katare,
Woh samajh sake to aasun, na samajh sake to pani


Ab apne mehboob se inhein bhi to yahi shikayat hai

pather mujhay kahta hai mera chaahnay waala
Mein mom hon uss nay mujhay choo ker nahi dekhaa


woh meray masaayil ko samajh hi nahi saktaa
jiss nay meri aankhon mein samander nahi dekhaa



Par aisa bhi nahin hai ki is samandar ko mehsoos karne walon shayron ki kami hain.
Amzad Islam Amzad sahab to iski gahrayi mein utarna chahte hain…..


jaatii hai kisii jheel ki gehraaii kahaN tak
aaNkhoN maiN terii doob ke dekaiN ge kisi din



to Faraz apni aakhiri hichki in aankhon ke samandar mein lene ki khwahish rakhte hain

doob jaa unn Hasseen aaNkhoN main Faraz
baRaa Haseen samandar hai khud.khshii ke liey


Aur in hazraat ka khayal bhi koyi alag nahin

apani aaNkho. ke samu.dar men utar jaane de
tera mujarim huN mujhe Dub ke mar jaane de


To huzoor aaj ke liye to bas itna hi…. Aankhon ki ye daastaan to abhi chalti rahni hai kyonki :p

inn aNkhoN ki mastii ke mastaaney hazaroN haiN
inn aNkhoN se waabasta afsaaney hazaroN haiN
ek sirf hi hami mae ko aNkhoN se pilatey haiN
kehnay ko to duniya main , maekhaney hazaroN haiN

6 टिप्‍पणियां:

  1. kamaal ka collection hai aapke paas!! sabke sath baNtne ke liye shukriya..

    जवाब देंहटाएं
  2. aankhon par toh aapne mini theisis hi likh di.

    But the best one is Umraon Jaan ki shayari mentioned in last.

    जवाब देंहटाएं
  3. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  4. WOW...aankhein jo ke kudrat ki dee hui ek haseen ..dilchasp cheez :)
    bahut hee khubsurat lage ladiyan oonke saath tumhari tippaniyan bhi sath mein :D
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. Tareef ka Shukriya Rachna & Don


    Abhishek Are dost thesis kahan ye to sirf pahla part tha..antim bhag tak aapko kuch aur sher aur nazmein apni pasand ki milengi aisi umeed hai :)

    जवाब देंहटाएं
  6. WOW!! U really got some stuff going on here!! Very nice.. very nice…

    U know just the other day.. I came across this site that specializes in travel tours to India.. has anyone here been to India?? It’s this awesome place, where u have old school and new school..(not really school..but u know what I’m saying right??)

    I think the url is
    http://www.indiatravelroute.com/?channel=rgxblog14&adgroup=manishkmr.blogspot

    It’s a must see place.. the site.. and the place too.. cuz these guys have awesome travel packages to India.. the finest ur money can buy!! Not that is so expensive, but for what they’re providing.. totally worth it!!

    Later!!

    जवाब देंहटाएं