रविवार, फ़रवरी 19, 2006

Sartaaz Geet: Raat Humari To....

50 din poore huye is geetmala ko sure huye…aur is dauran 25 ki ulti ginti karte huye main aaj aap sab ko le aaya hoon shikhar pe baithe is sartaaj geet ke paas.
Ye geet mujhe kyun pasand hai. Andhera mujhe itna pyara kyun hai ye main pehle bhi likh chuka hoon.
CLICK HERE to read the lyrics and my feelings abt the song..

Ise gaya Swanand Kirkire aur Chitra ne, likha Swanand Kirkire ne, dhun banayi Shantanu Moitra ne aur film hai Parineeta.

Ratri ke kisi pahar mein aankhein moond leejiye aur Swanand ki gehri aawaz mein ye panktiyan dilo dimag ko un palon ki or barbas kheench le jati hain jo humne andhere ki god mein bitaye hon...

Raat humari to
Chand Ki Saheli hai
Itne dinon ke baad
Aayi wo akeli hai
Chuppi ki bela hai
Jhingur ka baaje saath……


Click here to listen the song

13 टिप्‍पणियां:

  1. 2.40am, And while working i am listening to the same song,And i knew this would be the top song of the countdown,Chitra ke awaaz mein jo dard hain shayad pattar ko bhi pigladegi.
    Aur mujhe ye pankthiyan dil ko choojaathi hain.."Andhera bhaita hain gumsum sa,kone mein bhaita hain"
    "Andhere se jee bharke karni hain baatein aaj" Bahuth hi badiya gana hain manishji,Maybe i can relate to the song to a large extent.

    जवाब देंहटाएं
  2. ManishJi,

    Jitna is geet ki panktiyon mein andhere ka mamatva jhalakta hai, utni hi gehraai aapkey shabdon mein thi ki(aapki feelings ko padh kar laga) iskey baarey mein padhkar mera mann bhi bojhal ho utha aur aankhen namm.

    Sach kahun to pichle kuch dinon mein kuch aisa hua mere jeevan mein bhi ki zindagi ki dagar is musafir ke liye sooni si lagney lagi thi aur mann andhere ki god mein subkiyaan lene pe majboor ho gaya tha.....khair jaane dijiye...

    Ik baar phir aapney apni mehfil mein aisa nagma sunaaya joh dil ko choo gaya....aur woh toh hona hi tha...aakhir Sartaaj yun hi toh nahin ban jata koi ManishJi ki mehfil mein....

    Cheers!!
    MS

    जवाब देंहटाएं
  3. thats a perfect finsh to what i think a great count down comprising of some fabulous songs.this song from parineeta is my Fav. as well and desreves its place at NO.1 in your geet mala.is gaane ke baare mein apki feelings pagke kafi achha lagaa.

    IN these past 50 u have taken us on a fantastic journey into the world of music i also want to thank you for this.your song selection is mind blowing

    aap ki geet mala ke presentation ko dekh kar mujhe mere bachpan ke din yaad aa gaye jab Amin sayani ji ka Binaca phir cibaca geet mala suntha tha radio par.

    that was a really fine selection of songs.

    जवाब देंहटाएं
  4. Alapana I know ye song aapke dil ke kitne kareeb hai. Both of us have written abt it at the same time :). Infact tabhi mujhe laga tha ki I have found one new musicmate on the net jiska musical taste bilkul mere jaisa hai.

    जवाब देंहटाएं
  5. MS Jab zindagi mein jiya hua lamha nagme ki shakl mein utar aa ke dil ki syah padi parton ko phir se jhakjhor de to aankhein to nam ho hi jati hain naa.

    Is song ko dil se mehsoos kar apni baat kehne ka shukriya MS!

    जवाब देंहटाएं
  6. Nagu Is geetmala ki wazah se aapke jaisa sangeet aur cricket ka fan mila ye bhi mere liye utni hi khushi ki baat hai jitni ye geetmala prastut karte huye.

    Aur rahi Amin sayani ki baat to
    http://manishkmr.blogspot.com/2005_12_01_manishkmr_archive.html

    is post mein unka jikra kiya tha. Bachpan se radio ceylone har wed ko hum unhin ko to sunne baithte the :)

    जवाब देंहटाएं
  7. Shukriya Zombie ! Tumne is series ke dauraan apne jawabmein kahin kaha tha ki ye gana tumhara fav hai :) so mujhe pata tha ki ise no. 1 pe dekh ke tumhein khushi hogi.

    जवाब देंहटाएं
  8. Wha Manish...dil ko chooh jaane wale geeton ki yaad dilakar waqai....Raat humari to ;)

    behad khubsurat pesh-kash ...dil khush kar dita :D

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  9. I'm soooooo late!!
    I like this song, but as I's said earlier my fav song from 'Parineeta' is "piyu Bole". But this song is quite lyrical! :)

    जवाब देंहटाएं
  10. So u have been to Cyberabaad !
    Basically its a sad song.... & its lyrics are straight from my own experience with what u call Andhera or darkness.. thats why it was here :)

    जवाब देंहटाएं