शुक्रवार, नवंबर 17, 2006

Agle Janam Mohe Bitiya na Keejo...

Kuch nagmein aise hote hain jo man ki seedhi par dheere dheere chadhkar apni jagah banate hain aur kuch is geet ke jaise jo dil mein nashtar sa chubhote ek hi baar mein dil ke aar -paar ho jate hain. Javed sahab ne is geet mein ek bitiya ke dard ko apni lekhni ke jaadu se is qadar ubhara hai ki ise sunne ke baad aankhein nam huye bina nahin reh paatin.

Ritcha jee kee gehri aawaaz, awadhi jubaan par unki mazboot pakad aur parshva mein Anu Malik ka shaant behta sangeet aapko Awadh ki un galiyon mein kheenchta le jata hai jahan kabhi Ameeran ne is dard ko mehsoos kiya hoga.
Geet, sangeet aur gaayiki ke is behtareen sangam ko shayad hi koyi sangeetpremi sunne se vanchit rahna chahega

Ab jo kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo.ऽऽऽऽ


Jo ab kiye ho daata, aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo...

Hamre sajanwa hamra dil aisa todin
Oo ghar basaain hamka rasta ma chodin
jaise ki lalla koi, khilona jo paave
dui char din to khele, phir bhool jaave
ro bhi na paave aisi gudiya na kijo
agle janam mohe bitiya na keejo

jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo

Aisi bidai bolo dekhi kahin hai
maiya na babul bhaiya, kauno nahin hai
ho..., aansu ke gehne hain, aur dukh ki hai doli
band kivadiya more ghar ki boli
is oor sapnon mein bhi aaya na keejo

agle janam mohe bitiya na keejo
jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo


Gaayika - Richa Sharma, Lyrics - Javed Akhtar
Music - Anu Malik, Movie - Umraav Jaan
(2006)

Is marmsparshi geet ko aap yahaan sun sakte hain

Chalte - Chalte thoda hat ke ek aur baat. Badi sharmnaak baat hai hai ki aaj bhi Bharat mein kamobesh har jagah aur kuch sampanna rajyon mein khaskar bitiya ko janma se pehle hi sansar mein nahin aane dete. Aaj bhi dahej lene mein hum zara bhi sankoch nahin karte aur na milne par pratadna ki hadon se guzar jaate hain.
aaiye mil kar khud apne aur paas -pados ke logon ko prerit karein ki aisi kureetiyon ko panapne se rokein. Kahin aisa na ho ki kabhi humari bitiya bhi aise samaajik haalaaton mein apne janam ko kosne ko mazboor ho !



Devnaagri mein padhne ke liye yahan click karein.

9 टिप्‍पणियां:

  1. Bilkul sahi kaha Javed sahab ke baare mein infact meine Umraao Jaan ki cassette isiliye li kyunke saare lyrics Javed ji ne likhe hein...and you know am his great fan :)
    Lekin jo sharmnaak baat tumne likhi woh sirf Bharat ke kuch rajyon mein hee nahi yahan meine US mein bhi dekhein hein...! Tazzub hoga tumhein ye jaankar ke ek family jinke dusra baccha bhi bitiya hai -ultra sound mein jaan ne ke baad...ghar ka mahol jaise koi maatam mana raha ho! Koi bacche ke baare mein baat nahi karta jab oonke ghar jaate hein...na hee oonmein koi utsaah paaya gaya hai oos din ke baad...aur to aur iska parinaam ye ke woh apna frustration apni pehali bitiya per bhi nikal dete hein kabhi kabhar aur iska natija ye ke bacchi insecurity ka shikaar hui ja rahi hai din ba din aur 5 saal ki hone ke bawazud bed wet karti hai raat mein aur Dr ka kehana hai ke ye ooske withdrawal symptoms hain agle bacche ke aane se ooske sath kaisa vyvahaar ho...!
    Its a very sad thing that educated people also behave in this way!
    When I hear all this...I feel proud about my parents who always wanted a baby girl and in those days no one would knew the sex of the baby until its born and my parents were ready for a gal and there preparation would convey that too...as my mom told to the nurse if its a boy then I dont want to see the face of the baby (that was too harsh but am sure it was part of emotion)...!
    Waqai, mein jab bhi oonke ghar jaati hoon to oon se yehi kehati hoon ke...beta beti mein koi farak nahi hota infact aakhiri waqt per beti hee kaam aati hai :)
    I can go on and on, on this topic as am being a gal when I see people treat girls like this...its a shame indeed!
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. Dil ki bhavnaoon ko imaandaari se vyakta karne ka shukriya DOn !
    tumhari bat padhne se yahi vichar pukhta hota ki humare samaj mein ladkiyon ke bare mein aisi soch ki jadein shiksha prapta karne se bhi kat nahin payi hain.
    hope dhere dheere hi sahi par ye soch badlegi.

    जवाब देंहटाएं
  3. manish ji dawn ki coment padhakar mai kuchch kahana chahati hu, sorry aapaka coment box use karane ke liye.
    @ dawn..it is strange but true that even well educated people behave this way..when my second daughter was born, there were many many freinds and relatives who were shocked that i did't perform tests for a boy and all.......
    and i often face the question 'dono betiyaa hi hai? beta nahi hai? khair aajakal to betiyaa bete ke jaisi hoti hai!'
    I wonder why we need to think betiya bete jaisi hoti hai! why can't we respect them as beti!!

    जवाब देंहटाएं
  4. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  5. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  6. Absolutely true Rachana ji...! Mein bhi yehi kehati hoon ke beti ko beti samajhkar kyun nahi apnaya jaata ...kyun oose ladke ke liye ek substitute mana jaata hai aaj bhi...jab ke aaj betiyan kis shetra mein kamiyab nahi hain....mein to kahoongi ke Indian women have come at such a par level where its internationally recognized and still...I pity the thoughts of people!
    I think people like you and many who have two daughters or more or even one...should bring up there daughters as a true daughter jo ke aise sochne walon ke liye moonh tod jawab ho bina kisi behas kiye huye :)
    I really appreciate your thoughts and admire you lot!
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  7. This is too close to my heart to comment with an opinion. But would like to say that there are situations where boundries between ideal and practical seem to blur. And even though parents might bring up a daughter with more love and care than a son, but whether time will let that daughter reciprocate that love and care or will she just become a source of heartache, is a big question mark

    जवाब देंहटाएं
  8. Neptune true..Do majhdharon 9ape naye ghar ki jimewariyon aur priorities aur mata pita ke prati daayiva) mein ek sath phanse hone ke karan betiyan kayi baar wo nahin kar paatin jo wo karna chaahti hain.

    जवाब देंहटाएं
  9. ye sach hai ki aaj kal duniya me hum ladkiya ladko k mukable apni manzil ko pa sakti hai . par ek ladki ko apni zindagi me aage badne SE PEHLE USE APNI FAMILY K BAARE ME SOCHNA PADTA HAI....... KYU LADKI APNI MARJI SE APNI LIFE NHI JI SAKTI. LADKO HAR CHEEZ ME SABASHI DI JATI HAI OR LADKIYO HAR BAAT PAR ROK TOK LAGAYI JATI HAI........ KYU.

    ANJALI SAID....

    जवाब देंहटाएं