गुरुवार, नवंबर 30, 2006

Koi Baat Chale : Phoolon ki Tarah Lab Khol Kabhie..

Pichli Post mein maine is album ki kuch ghazlein aur triveniyaan aapke saath baatin. Aaj is silsile ko jaaree rakhte huye bat shuru karte hain is is insaani phitrat se ..
Kitna khudgarz hai insaan khud galtiyan karta hai aur bhool jata hai par doosre karein to unki bhool use hazam nahin hoti hai. Hai iska koi upaay...shayad Gulzaar ki jholi mein ek tareeka hai..Aap bhi gaur karein..!


aao hum sab pahan le aaine
sare dekhenge apna hi chehra

Sabko saare haseen lagenge yahaan

sahi to kahaa...ek baar aisa aaina aankhon mein sama jaaye to phir to man to badal hi jaaye humara chehre phoolon kee tarh khil uthe aur humari vani se nikalne lage baaton kee meethi khushboo ...

Phoolon ki tarah lab khol kabhie
Khushboo ki jubaan mein bol kabhie


Aur is ghazal ka agla sher sunte hi javed Akhtar kee wo zabardast nazm yaad aa jaati hai

Janta hoon main tumko Jauq-e-shaayari bhi hai
shakhshiyat sajane mein ek ye maahiri bhi hai
phir bhi harf chunte ho, sirf lafz chunte ho
in ke darmiyan kya hai tum na jaan paaoge


gulzar sahab isi baat ko halke phulke andaaz mein kuch yoon kehte hain ..

alphaaz parakhta rahta hai
aawaz hamari tol kabhie


Aur is baat se to aap sab ittifaaq karoge ki bhookamp ke jhatke sirf bhoogoleey plates ke takrane se nahin aate, insaani rishton ki uthal puthl dil kee sarjameen ko bhi hila kar rakhne ke liye kaaphi hoti hai

ye dil bhi dost jameen kee tarah
ho jata hai daanvadol kabhie


aur ye triveni.is ke bare mein to kuch kahna hi phijool hai.
uffff..... ek pin sa dil mein chubhoti chali jaati hai..


Saamne aaya mere, dekha, mujhse baat bhi kee
muskuraye bhi purane kisi rishte ke liye

Kal ka akhbaar tha, bas dekh liya, rakh bhi diya


purane rishton ki tees se upaje dard ko ek padh kar rakh diye gaye akhbaar ke madhyam se khoj nikaalne ka hunar sirf gulzaar ke paas hai.
aur chalte -chalte zindagi ke thapedon se ulajhte nikalte aur phir mazbooti se aage badhte insan ki adamya chetna ko salaam karte huye Gulzaar kahte hain

aadmi bulbula hai paani kaa
aur paani ki bahti satah par tootta bhi hai doobta bhi hai
phir ubharta hai, phir se bahta hai
na samandar nigal saka isko, na tavareekh tod paayi hai
waqt ki mauj par sada bahta
aadmi bulbula hai paani kaa...


Gulzar ki aawaaz ka jaadoo to aisa hota hai ki ghanton uski goonj man mein samayi rahti hai. Mujhe lagta hai ki ye album aur bhi achcha ban padta agar kuch ghazlon ko Gulzar sirf khud padh dete.

is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap yahaan sun sakte hain

Category : Aaiye Mehfil Sajayein


Devnaagri lipi mein padhne ke liye yahaan click karein

9 टिप्‍पणियां:

  1. wow !!! what a blog after a long time im seeing blog which is written in hindi and so claer ... DEEP THOUGHTS :))

    जवाब देंहटाएं
  2. Hmmm..GuruJi Mehfil mein aana kaaphi acchha laga...waakai mein kya mehfil jamayi hai...Gulzar aur Jagjit ji ke saath! :)

    These lines were real good:
    "Saamne aaya mere, dekha, mujhse baat bhi kee
    muskuraye bhi purane kisi rishte ke liye"
    :)

    Kuch purani yaadein...kaafi taaza rehti hain zehen mein! ;)

    Btw, humney bhi phir se mehfil jamaaney ki koshish aarambh kar di hai humaari blog-kutiya mein!! ;)

    Cheers!!
    MS

    जवाब देंहटाएं
  3. Manish..bilkul sahi farmaya tumne….mujhe Gulzar ji ki awaz waqai itni acchi lagi ke bas mein bhi yehi keha rahi thi ke….ek aadh ghazalein Gulzar ji parh bhi lete to kya bigar jaata :D!

    Oonke moonh se zindagi ki haqiqat waqai jaise kisi seedhi see jaane wale raste ko mod mil gaya ho jaise :D

    Mujhe iss album mein ‘zindagi kya hai’ bahut acchi lagi aur “aap ghar in dino yahan hote” :D who cigarette ke case ka paudha jismein ab phul khile hein….it touched me a lot!!!! I repeatedly was rewinding just to hear Gulzar to say this again and again :D
    Kabhi kabhi Gulzar sahib ki likhi hui nazmein mujhe oonki niji zindagii mein zhankane mein majboor kar dete hein…yaane ke mein oon khayalaaton mein ghum ho jaati hoon….!

    ‘Phulon ki tarah lab khol kabhi’, yahan jaise Gulzar ji kuch keha rahe hein…kind of expectation at the same time it looks he is trying to convey too!
    Alfaz parakhta rehata hai
    Awaz hamari tol kabhi…. I think there is a very deep meaning into it :D

    Khidki mein kati hain sab raatein
    Kuch chauras aur kuch gol kabhi…that shows ke kaise kaati hongi wohh ratein :D

    Kuch baatein sirf mehasoos ki jaatin hain …bayan karma ootna asaan nahi… :D…
    I often appreciate Gulzar ji’s this skill to express up to it intensity …to the depth of it!

    Sehma sehma to mujhe…gulzar ji ki Marasim ki yaad dila deti hai :D

    Aapke baad har ghadi hamne aapke hee yaad mein guzari hai…WOW….terrific!
    Waqai ek khalipan sa…jaise ke koi andhere gehare gufe mein koi chala ja raha ho bas….

    Ishq mein kuch aur nahi hota
    Aadmi baanvara sa rehata hai….can you imagine…iss state ko samajhna aur oose iss tarah darshana…bina experience ke mujhe to nahi lagta ke koi likh paaye :D

    Ek pal dekh loon to oothta hoon
    Jal gaya sab zara sa rehata hai….uffff!

    I could feel the khalipan…ekaankipan…jaise koi ghar per mar gaya ho…aisa sunapan…
    Itna kuch hone per bhi…end mein he says

    Aapka asra sa rehata hai….I literally could feel the person with his last life line….!

    Kher mein tumhare shuru kiye iss shrinkhala mein aage nahi barhna chahti….parhoongi aur jab jo lage tab kahoongi :D…waise hee bahut kuch keha diya hai yahan meine….


    Odake jate huye panchi ne bas itna hee dekha
    Dur tak hath hilate rahi…
    Alwida kehati thi ya paas bulati thi oose :D…..

    Amazing ….tum likhte raho hum gungunate rahein :D
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  4. haan ye bhi kam nahi hai
    hai lau zindagi zindagi nur hai
    magar is pe jalne ka dastur hai
    :D

    जवाब देंहटाएं
  5. Amaa, Manish itte dinon baad aapke darshan huye to yahan bahar hi aa gayi :p.
    Wah ji achchi khabar sunayi tumne abhi ho ke aate hain aapke kuteera se :)

    जवाब देंहटाएं
  6. Couldn't agree more with u DON .

    Nice to read ur thoughts on the album . Jab aapke man ki baat koi doosra bhi kahe to uska lutf hi alag hota hai :).

    जवाब देंहटाएं
  7. One of the bet creations that Jagjit and Gulzar saheb have come up with. In my opinion we don't have choice to look elsewahere. Voice of Jagjit is getting younger and younger day by day. all the Ghazals are perls of wisdom. some of my favorites are
    1. Kya Btaye jan
    2. Shma Shma sa
    3. Jinggi kya hai

    जवाब देंहटाएं
  8. Rajiv Sahi kaha aapne. Mujhe bhi Kya batayein jaan gayi kaise is album ki best ghazalon mein se ek lagta hai.

    जवाब देंहटाएं