Amooman kavita main likhta nahin , yaad hai na DON pichli kab likhi thi :p .Par kya bataoon apni Mehfil mein kavitaon ki antyakshri mein ek akshar 'थ' bahut dinon se seena tane khada tha, garv se ithlata hua ki yaad hai hum se shuru hone wali koyi Rachna. Khair humein to Rachna yaad na aayi par Rachna ji ne pesh kar dee apni ek rachna. par mussebat ye thi ki wo bhi 'थ' se shuru ho kar th par khatma. idhar main do hafton se behad vyasta raha par aakar dekha ki humare naye navelr kaviraaj joshi ji ne usi kavita ko aur aage badhaya hai par mazaal hai ki 'थ' ko apni jagah se hata paaye hon. Mua 'थ' na hua angad ka paanv ho gaya.Humne bhi thaan lee ki aaj chaar panktiyan hi sahi pr kuch likh dalein taki ye 'थ' waali bala tale !
Ab pehli chaar panktiyan likhi to socha kyun na is vichaar ko aage badha ek kavita ki shakl dein. Iska nateeja aapke saamne hai, jyaada buri lage to apni sari gaaliyan akshar 'थ'par kendrit kar deejiyega:)
Kalpana aur Yathaarth
thaam kar ke baadalon ka kaafila
man hua chup jaaon main unke tale
dekh loonga oot se us chaand ko
makhmali si chaandni bikherte
kehte ho tum lukachipi kya khel hai
shobhta hai kya tumhein ye khelna
milo jeevan ke yathaarth se
samjho kya hai jagat ki vedna
Suno ! baat tumne hai kahi sahi
khwaab ka aanchal pakad kar humein
jeevan ko kabhie nahin hai tolna
khud ke swapnon mein karni nahin
parijanon ke sukh dukh ki avhelna
par tum hi kaho ye bhi koyi baat hai
swapna dekha hai jisne nahin
kalpana ki udaan par jo naa uda
doosron ka dard samjhega kya bhala
jiske man mastishk se mar gayi samvedna
so nirbhay ho ke tum oonche udo
sapnon ki chaandni ko tum chakho
par lautana to, paanv dharatal par ho khade
hai karna ab sabko yahi jatan
jeevan mein kaise ho inka santulan
Manish
देवनागरी में पढ़ने के लिये यहाँ क्लिक करें ।
bahuit achhi kavita hai aapki!
जवाब देंहटाएंHi Manish,
जवाब देंहटाएंNice poem :)
Abhi aapke blog pe sikkim ka travelogue padh ke aur pictures dekh ke mujhe apna sikkim ka trip yaad aa gaya. Gurudongmar and Yumthang are actually heaven on earth. Aur lachen and lachung ki subeh to bhulana bahut mushkil hai....
Ketki shukriya pasandagi ke liye.
जवाब देंहटाएंNeptune Welcome to my blog main aapke charon blogs pe gaya tha. Ek pe sikkim ki pics bhi dikhin. For us it was espescially grt to visit gurudongmaar !
Aur haan which is your regular blog ?
WOW Manish....chalo der se hee sahi aur "थ" ki wajah se bhi sahi....lekin waqai dil ko chooh jaane wali kavita hai ye!
जवाब देंहटाएंvery matured...mein to kahoon ab tum apne saare bahane takiye ke neeche rakho aur kavita waqai nit-aaye din likha karo...
so nirbhay ho ke tum oonche udo
sapnon ki chaandni ko tum chakho
par lautana to, paanv dharatal par ho khade
hai karna ab sabko yahi jatan
jeevan mein kaise ho inka santulan
bahut hee zabardast ...meri taraf se daad kabool to kar lo lekin ye pran bhi karo ke ab kavita likhna panch varshiya yojana ke saman na hoga :p kya samjhe :D
amazing Manish I loved every line of it
Manish ji, dhanyawad!
जवाब देंहटाएंI usually post on either ifeel.blogspot or on neptune-ghazals.blogspot
But am still struggling to be a regular blog writer, though I read blogs daily
nice one Manishji.
जवाब देंहटाएंTamanna hai to zindaa hai, warnaa hum yahaan kyaa hai :)
DON Poem sarahne ka shukriya DON. Par lekhan jitna mere liye sahaj hai kavita karna nahin. Kahin haal hi mein sunne ko mila tha ki kalpana, bhavukta umra ke sath wo mayne nahin rakhte. Jab pahli char line "थ" ke liye dimag mein aayi to sath mein wo kathan bhi kahun chubhta sa mehsoos hua aur ye kavita ban gayi.
जवाब देंहटाएंTumhein achchi lagi jaankar behad khushi huyi.
Kaunquest Kaise chal raha hai aapka BLOGSWAR. Hope its popularity must be growing.
जवाब देंहटाएंJi bilkul sahi kaha aapne tamanna, khwab naa rahein to phir jeewan mein ras hi kahan.
Aap khudko bahut kuchh samajhte hain.
जवाब देंहटाएं