Ashapoorna Devi ahindibhashi sahityakaaron mein meri sarvadhik priya kathakaar rahi hain. Unki triology Pratham Pratishruti, Suwarnalata aur Bakul Katha british era se lekar aaj ki nari ki chetna ke uttarottar vikas ki amar gatha hai. Ashapoorna ji kee naayikayein humesha se swabhimani, doordarshi aur samaajik taur tareekon se na dabne waali rahi hain.
Leela Chirantan ki naayika Kaaveri bhi inse bhinna nahin hai. warna shaadi ke bees saal baad us ghoshna ki uska pati bal bachchon ko chor kar vairagya grahan kar lega aur koyi is dard ko chupchaap pee kar, bina oopari rosh vyakta kiye apne kaam mein lag jayega, aisa kaun soch sakta hai bhala…..
Aage padhne ke liye yahan click karein….
Leela Chirantan ki naayika Kaaveri bhi inse bhinna nahin hai. warna shaadi ke bees saal baad us ghoshna ki uska pati bal bachchon ko chor kar vairagya grahan kar lega aur koyi is dard ko chupchaap pee kar, bina oopari rosh vyakta kiye apne kaam mein lag jayega, aisa kaun soch sakta hai bhala…..
Aage padhne ke liye yahan click karein….
Ashapoorna ji ki ye upanyas Suwarnalata aur Bakul Katha
जवाब देंहटाएंmujhe yaad hai parhi hai meine aur inki tarah kayee aisee abhinn nariyaan mere liye prernastrot bhi bani rahi hein!
Yaad aaya pichli baar Library mein hindi upanyason ko dekh mein chaunk gayee thi...jab nazarein daudayeen to sach kahoon to jo kitabein adhiktar thin woh meine padhin thin already :) oonmein Swarnalata bhi maujud thiN!
Aaj yahan zikr dekh ashcharya hua :)
good review & good selection
Cheers
Good review. Roman Script for Hindi is also good. To be more really phonetic, I suggest use of two letters for a long vowel. eg. upanyaasoon; deekh; kitaabein; (This problem exists in Deev Naagari Script because both for short and long vowels there is only alphabet.)
जवाब देंहटाएंit's really a pity i dont manage to find much hindi or other language literature (other than marathi) where i live. My mother speaks a lot about Ashapurna Devi.
जवाब देंहटाएंHindi ke liye to sachmuch taras jaati hoon :)
DON They r just grt novels.
जवाब देंहटाएंMultisabj haan roman mein waise hi karna chahiye.
Waise devnaagri meiin upanyaas ko उपन्यास likhte hain yaani aa ke liye आ aur kitaab किताब and say peela पीला so wahan bhi short and long vowel ko likhne ke liye alag letters hain.
Suparna Are pune mein hindi books nahin miltin ?
जवाब देंहटाएंU should definitely read her triology. She is great writer..I really love her writing style and way of story telling.
Suwarnlata & Bakul Katha have been published by Gyanpeeth Prakashan while Pratham Pratishriti is from Prabhat prakashan.
also see this site
http://vrihad.com:5200/bs/home.php