Agar Sahitya aur sangeet ki dhara mein bahne ko taiyaar hain aap to keejiye ye haseen shaam mere naam.
शुक्रवार, नवंबर 24, 2006
Koi Baat Chale Part :I
Koi Baat Chale mein Marasim ke baad ek baar phir Gulzar aur Jagjit ek sath aaye hain! haan, ye pahli baar hua hi ki Triveniyon ko ghazal ki tarah gane ki safal koshish ki gayi hai.Par jahan poore album mein Gulzaar apne andaaze bayan se aapka dil jeet lete hain wahin 2-3 ghazalon ko chod dein to jagjit ki gaayki mein koyi nayapan dekhne ko nahin milta. Phir bhi humare jaise Gulzar-jagjit premiyon ka is album se door rehna kathin hai. to chaliye aap logon ko roobaru karayein is album ki kuch ghazlon sheron aur triveniyon se jo mere dil ke kareeb se guzrin!
to janab shuruaat Nazaron se karte hain. Bhala inki madad ke bagair kabhie koi baat chali hai. aur Gulzar ki baat manein to qatil nigahon ka bas chale to baat kya har ek pal ko wahin rok dein.
na rat kate...
na din chale...
yaani poori duniya ka karobaar thapp...isliye to unki iltiza hai ki
nazar uthaao jara tum to qaaynaat chale
hai intzaar ki aankhon se "koi baat chale"
tumhari marzi bina waqt bhi apahiz hai
mna din khisakta hai aage, na aage raat chale
Par bhai aankhon ko kab tak niharte rahoge tanik soorat par bhi to dhyaan do. Ab is Triveni hi ko le leejiye.....wallah kis khoobsoorti se kisi ki soorat ko aankhon mein utaara hai Gulzaar ne..
Teri soorat jo bhari rahti hai aankhon mein sada
ajnabi chehre bhi pahchane se lagte hain mujhe
Tere rishton mein to duniya hi piro lee maine
Par agar na kisi ki nazar-e-inaayat ho aur naa ho koyi surat meharbaan to kya karenge aap ?
Man mayoos aur sehma sehma hi rahega naa. Yahi haal kuch in janaab ka hai. Inka haal-e-dil batate huye gulzar kahte hain
Sahma sahma dara sa rahta hai
jane kyun jee bhara sa rahta hai
Chahat mili nahin, sab kuch andar toot sa chuka hai phir bhi aas hai ki jaati hi nahin ....
ek pal dekh loon to uthta hoon
jal gaya sab zara sa rehta hai
Kabhie un purane palon mein jhankiye. Kya unmein se kuch aise nahin jinhein aap harghiz nahin jeena chahte. Shayad wo pal kuch aise sawaalon ki yaad dila dein jinke bare mein sochna hi behad taqleefdeh ho. To leejiye pesh hai is album ki ek behad sensitive ghazal jiska har ek sher apne aap mein anootha hai
kya batayein ki jaan gayi kaise?
phir se dohrayein vo ghadi kaise
kisne raste mein chaand rakha tha
mujhko thokar wahan lagi kaise
waqt pe paanv kab rakha humne
zindagi munh ke bal giri kaise?
aankh to bhar gayi thi paani se
teri tasweer jal gayi kaise ?
hum to ab yaad bhi nahin karte
aapko hichki lag gayi kaise ?
Is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap Yahan sun sakte hain
Kabhie kabhie humare azeez baton baton mein koyi ishaara aisa chor jate hain jiske maaynon ko samajhne ki udhedbun mein humein kitni hi ratein barbaad karni padti hain, par phir bhi hum kisi nateeje par nahin pahunch paate bahut kuch us pankshi ki tarah.... bakaul Gulzaar
Ud kar jaate huye pankshi ne bas itna hi dekha
der tak haath hilaati rahi wo shaakh fiza mein
Alvida kahti thi ya paas bulaati thi use ?
aaj ke liye to bas itna hi...agli baar jikra karenge is album ki jo phoolon ki terah khoobsurat hai aur uske sath hongi kuch aur beshkeemti triveniyam aur sher..
Category : Aaiye Mehfil Sajayein
To read this post in Devnaagri Click Here
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)
Manish...bilkul sahi kaha...mujhe ye cd b'day gift ke roop mein mila :D....aur sach kahoon to Triveni ko jis tarah sangeet mein bandha hai ....mashaAllah...ab yakeen hogaya hai ke sirf ghazal aur nazm hee nahi sangeetbadh ho sakte...naye likhne walon ke dil mein ek prerna see utpann zaroor hui hogi...at least it did to me :D
जवाब देंहटाएंI loved all the songs and yes Gulzar's voice its like ghehun ke sunhare rangon ki tarah ....
Amazing prose of yours
Cheers
DON Would love to know what was ur pick from this album ?
जवाब देंहटाएंap ghar in dino-the wordings are too good,the songs are marvelous
जवाब देंहटाएंap ghar in dino-the wordings are too good,the songs are marvelous
जवाब देंहटाएंShukriya ashimukta
जवाब देंहटाएं'aap gar in dinon yahan hote'
aapko achcha laga jaan kar khushi huyi.