Agar ek geet ke liye ek din ka bhi waqt rakhoon to bhi 25 din lagte hain. To janab main koshish karoonga ki ek hi post mein regular additions karta rahoon taki is mahine ke aakhir tak is countdown ke muqam tak pahunch sakoon:). Aasha hai aap sab sangeet premi mere is safar mein sath honge…
Agar Sahitya aur sangeet ki dhara mein bahne ko taiyaar hain aap to keejiye ye haseen shaam mere naam.
शनिवार, दिसंबर 31, 2005
The Count Down Begins....
Agar ek geet ke liye ek din ka bhi waqt rakhoon to bhi 25 din lagte hain. To janab main koshish karoonga ki ek hi post mein regular additions karta rahoon taki is mahine ke aakhir tak is countdown ke muqam tak pahunch sakoon:). Aasha hai aap sab sangeet premi mere is safar mein sath honge…
बुधवार, दिसंबर 28, 2005
Jiya Dhadak Dhadak Jaye....
Aur phir ek sammohit kar dene wale swar …
Jiski goonj geet ke khatma hone ke baad bhi bani rehti hai…
Aur ye goonj jiya ko dhakaye bina reh jaye aisa to ho hi nahin sakta…
Ab tak to aap samajh hi gaye honge ki main kis gayak aur kis geet ki baat kar raha hoon!
Sarhad paar ke is udiymaan gayak ne pichle saal bhi Lagi tujhse man ki lagan ko apne adbhut andaaz mein gaa ke man ko moh liya tha.
Rahat Fateh Ali Khan ki gayki, unki high notes ko saralta se gaa pane ki salahiyat aur geet mein shashtriya sangeet ki mithaas ye teenon batein unhein ek alag hi shreni (league) ke gayak mein laa khada karti hai. waise ye meri rai hai ki aapki bhi?
tujhe dekh dekh sona - 2
tujhe dekh kar hai jagna
maine yeh zindagani
sang tere bitaani
tujhmein basi hain meri jaan ,haai
jiya dhadak dhadak
jiya dhadak dhadak
jiya dhadak dhadak - jaye
kabse hai dil mein mere armaan kai ankahe - 2
inko tu sunle aaja
chaahat ke rang chadha jaa - 2
kehna kabhi to mera maan, haai
jiya dhadak dhadak - jaye
lagta hain yeh kyu mujhe sadiyon se chaahu tujhe - 2
mere sapno mein aake apna mujhko banake - 2
mujhpe tu kar ehsaan haai
jiya dhadak dhadak………jaye
tujhe dekh dekh sona…………
jiya dhadak dhadak………jaye
Movie- Kalyug
Lyrics –Asim Raza
Music Director:- Faisal Rafi, Rohail Hyat
रविवार, दिसंबर 25, 2005
Tumhara Intezaar Hai.. Pukar Lo ..
tum pukaar lo, tumhara intezaar hai
khwab chun rahee hain raat bekaraar hai
honth pe liye huye, dil kee baat hum
jaagate rahenge aur, kitnee raat hum
mukhtasar see baat hai, tum se pyaar hai
(mukhtsar- in short)
dil bahal to jaayegaa, is khayaal se
haal mil gayaa tumhara, apne haal se
raat ye karaar kee, bekaraar hai
tumhara intezaar hai.. pukar lo ..
(Lyrics :Gulzar, Movie : Khamoshi, Singer :Hemant Kumar)
Click to listen the song
Ek bemani si khwahish dil mein rehti hai jismein asha jyada aur viswas kam hota.hai.
Ki shayad wo aaye aawaz de kahin se.!
Uski aawaz to phir nahin aati haan waqt bewaqt un sath bitaye palon ki khushboo ye juroor kehne pe majboor kar deti hai..
mujhey kal miley they kuch gulaab jo terey leeye ye keh gaye
ke terey intezaar meiN sog'waar gulshan ka samaaN hai aaj bhi
Concluded
गुरुवार, दिसंबर 22, 2005
Intezaar, Intezaar, Bolo Kab Tak Karoon Main Intezaar?
Kabhi aisi hi soch mein hum kho jate hain !
Aise aise khwab dekh dalte hain janab ki jin pe tarkik (logical) roop se hum punarvichar karein to khud hi hans padenge. :)
Par isiliye to aisa intezaar dil ko kabhie tees nahin pahunchata kyunki uski neenv khwabon ke dharatal pe khadi hoti. Uski koi samay seema nahin hoti.
Bas hoti hai to ek aasha jo poori ho jaye to kya kahne!
Chaliye aap sab ko ek geet ki yaad dilayein jo aisi hi bhavnaon se ootprot (related) hai. ise gaya tha Lata Mangeshkar aur Mukesh ki yugal jodi ne 1974 mein release huyi film Phir Kab Milogi ke liye
Kahii.n karatii hogii, vo meraa, i.ntezaar
Jisakii tamannaa me.n, phirataa huu.n beqaraar
Dur zulfo.n ki chhaao.n se, kahataa huu.n mai.n havaao.n se
Usii but ki adaao.n ke, afasaane hazaar
Wo jo baaho.n me.n machal jati, hasarat hii nikal jati,
Meri duniya badal jati, mil jaataa qaraar
Kahii.n karatii hogii ...
kahii.n baithii hogii raaho.n me.n
gum apanii hii baaho.n me.n
liye khoyii sii nigaaho.n me.n, khoyaa khoyaa sa pyaar
saayaa rukii hogii aa.nchal kii
chup hogii dhun paayal kii
hogii palako.n me.n kaajal kii, khoyii khoyii bahaar
kahii.n karatii hogii ...
aramaan hai koi paas aaye,
in hatho.n me.n vo haath aaye,
phir kvaabo.n kii ghataa chhaaye, barasaaye khumaar
unhii.n biitii din rato.n pe, matavaalii mulaqaato.n pe,
ulfat bharii baato.n pe, ham hote nisaar
kahii.n karatii hogii ...
To suna na aapne ye gana! Par nahin ji baat yahin khatma nahin huyi meri ! Abhi to Intezaar pe aapko ek kavita padhani hai jo mujhe behad pasand hai. Ise likha hai meri pichli countdown pe jhande gadne wale Prasoon Joshi ne!
To aap sab bhi dekhein Joshi ji ki ye nayika apne jeevan mein aane wale us unjaane shaksh ka intezzar kis terah kar rahi hain.....
Raat ke pehredaar ki seetee
Sath hawa ke sair ko nikli
Jagte rehna jagte rehna
raston se awazein guzreen
aur hans ke main khud se boli
janmon se main jaag rahi hoon
Intezaar ko saadh rahi hoon
Koi to aaye, koi to bole tu so jaa ek baar
intezaar, intezaar, bolo kab tak karoon main intezaar?
Subah subah aangan mein apne geele khwab sukhati hoon
Kaanon mein khud daal ke unglee oonche sur mein gaatee hoon
Shaakh gulmohar kee hasrat se kitnee baar hilaatee hoon
kabhi to khushboo se bhar jaaye yeh daaman ik baar
intezaar, intezaar, bolo kab tak karoon main intezaar?
Pehle thoda jiya jalaya
phir aangan mein diya jalaya
narm ghaas pe chal ke dekha
ik bulbul ko paas bulaayaa
aur usne kaanon mein gaaya
aayega woh dhoop ka tukra ik din mere dwaar
intezaar, intezaar, jiska mujhe intezaar
सोमवार, दिसंबर 12, 2005
Tera Intezaar Hai....
In ashaar ko padh kar aap samajh hi gaye honge ki aaj ki meri is post ka kendrabindu(centrepoint) kya hai! Jee haan theek pehchana aapne wahi jise karne se aap sab ghabrate to juroor hain par phir bhi is ke chakra se apne aap ko bacha bhi nahin pate.:)
Chaunkiye nahin janab ek adad bharteey hone ke nate aapne pehle type ke intezaar ka anubhav to shartiyan kiya hoga!:)
Aap pocheinge kahan?
Kyun na phir baat karein ghar ki us balcony ki, college ke us gate ki, insti ki us library ki, pass ke us bus stop ki, apni canteen ki, ya aise hi anginat si jaghon ki jahan pe aapne kisi ke aane ka intezaar kiya hoga. Kitne bhari padte hain ye pal khaskar jab hum asmanjas mein hon ki jo aane wala hai wo aayega bhi ki nahin. Par ek baar agar wo aa jaye to intezaar ka wo har ek lamha saarthak ho jata hai, khushnuma ho jata hai.
To aise hi kisi lamhe ko yaad kejiye aur ye geet suniye jise Rahul Vaidya ne gaya hai aur is khoobsurti se gaya hai ki Sonu Nigam bhi pareshan ho jayein aane wale is tough competition ke liye. Bada hi pyara nagma ye hai jise baar baar gungunane ka jee juroor chahega aapka.
Mujhe raat din ab tera intezaar hai
Bataoon tujhe kis terah itna pyaar hai
Tera intezaar hai Mujhe tujhse pyar hai
Mujhhe tujhse pyar hai tera intezaar hai
Tanhaiyaan bhi hain
Bechainiyaan bhi hain
Masoom dil bhi hai
Majbooriyan bhi hain
Sadayein teri kyun mujhe aati nahin
Wo yadein teri dil se kyun jati nahin
Tera intezaar hai ..................................
Le aayenge sanam
Tujh ko mana ke hum
Pagal se ho gaye
Dil ko laga ke hum
Deewane ko tu ek naya koi naam de
Subah pyar ki, pyar ki koi sham de
Tera intezaar hai ..................................
गुरुवार, दिसंबर 08, 2005
Kahan Ho Tum Mujhe Batao?
Udasi ke badlon mein khushi ki jagmagati lakeer ko dhoondhte Bashir Badar sahab kya kehte hain
Main udaas raasta hoon shaam ka,teri aahaton ki talaash hai
Woh jo ek dariya tha aag ka, sabhi raaston se guzar gaya
Tumhein kab se ret ke sheher mein,nayi baarishon ki talaash hai.
Aur phir agar humsafar mil ke bhi waqt aur halaat ke thapedon se chitak jaye to kya kare koyi? Beeti yadon aur khwabon ka hi to sahara bachta hai phir. Par wo sapne samay ke sath kab apni shaql ganvaan baitheinge ye humare bas mein raha hai kabhi ? nahin naa.
Isilye to Ahmad Faraz sahab kehte hain
Terii beruKhii ke dayaar mein, main havaa ke saath havaa huaa
Tere aa_iinay kii talaash mein, mere Khvaab chehraa ganvaa gaye
Kuch aise hi talash mein dooba ye geet pichle ek mahine se mere jehan ki wadiyon ke chakkar kaat raha tha. aur main bhi is mauke ki talash mein jab ise apne blog pe pesh kar sakoon!
Ek behad pyara geet jise apni behtareen gayki se sanwara hai Neeraj Sridhar ne! To huzoor sunna na bhooliyega ye song:)
Kahan ho tum mujhe batao…?
Jara kareeb se pukaro…..
Kahan kahan main dhoondhoon tumko….?
Main awaara dar badar
Nazar na aaye tum magar
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?
Ab to dil hai behta sehra
dariya, aankhon ki nami
Yadon ka laga hai pehra har kahin……
Jaana tum pe tha jo raushan
Mera pyar pe yakeen
Ab hai kahan, kal tak to tha yahin.... o hamnashin....
Tumhin ne to kaha tha mujhse
Subah nayi to aayegi…..
Isi umeded ke sahaare….
Kar rahan hoon rahguzar
Kaho kahan ho Humsafar ?
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?
Ab to dil hai behta sehra
dariya, aankhon ki nami
Yadon ka laga hai pehra har kahin……
Mujhe aawaz do…
Mere khwabon ke saharon phir se aawaz do
Kahan ho tum pukaro…..?
Mere khwabon ke saharon mujhe tum pukaro...
Chup gaye ho tum kahan….. Ho tum kidhar…..?
Click to listen this song
Movie - U Bomsi & Me
बुधवार, नवंबर 30, 2005
Udaigiri & Khandgiri
Udaygiri ke theek dusri or bagal ki pahadi pe Khandgiri ka Jain mandir hai. mandir ke theek bagal mein ek alag sa drishya dikha jo ki jhat maine apne cam mein qaid kiya. Jante hain sabse pehle ise dekh ke bachpan mein khele jane wale game PITTO ki yad aa gayi jismein hum chote chote paththar ke tukdon ko ek doosre ke upar sajakar rubber ball se phoda karte the. Par yahan to un pathron ki jagah eintein (bricks) rakhi huyi thin.
To is blog ke pyare pathak gan is tasweer pe gaur karein aur guess kar ke bataiyein ki in aade tirche paththaron aur einton ko is terah se sajane ka abhipray kya hai?
Aakhir mein shukriya aap sab ka jinhone mere is safar ke kuch yaadgar lamhon ko tanmayta se padha aur apni pratikriyaein vyakt keen.:)
गुरुवार, नवंबर 24, 2005
Kalinga War & Dhaulagiri
Dhaulagiri se neeche ka drishya atyant manoram hai. Theek neeche kuch hi door mein Daya nadi behti hai.
Kalinga ka wo aitihasik yudh isi ke tat (bank) pe lada gaya tha . Us bhyankar raktpaat se dravit hokar hi Ashoka na baudh dharma sweekar kiya tha. Aaj is tasweer (my fav pic of the tour) ko dekh ke bhala kaun keh sakta hai ki yahan kabhie khoon bhari nadiyan bahin thin. Bas neeche ki hari bhari fiza dekhte hi ban rahi thi.
रविवार, नवंबर 20, 2005
Konark, Sunrise aur Khulne wala Tauliya :)
Khair kisi terah hum log tez kadmon se beach ki or nikal pade. Sunrise ke kareeban 10-15 minute baad hi hum wahan pahunch paye. Wahan jakar dekha ki humne kuch khas miss nahin kiya hai . Kyunki surya devta udit to ho chuke the par badlon ki oot mein shayad humare hi aane ka intezaar ker rahe the. Humne thodi bahut pics leen aur phir hum sab chal pade samudra mein gote lagane. Pehle din ki apeksha aaj samudra poore josh mein the aur lahrein poori teji se sir ki uchai tak uchaal maar rahin thin.
Kuch der to main apne digicam ki rakhwali karta raha. Par phir apne sathiyon ki masti dekhi na gayi aur main bhi unke sath ho liya. Naha kar wapas aaya to dekha ki humare senior colleague apni jagah apne bachchon wala tauliya utha laye hain. Nazrein bachakar humne kisi terah kapde change kiye. Door nahate frens hulla karte rahe par unhein kya pata tha ki unmein se ek pe aage kya beetne wali hai.
Hua yoon ki jab sabnne kapde change kar liye to humare fren ko yaad aaya ki usne to apni pant bheenge kapdon ke upar hi pehan li hai. So hadbad mein usne wahi tauliya borrow kiya aur ek jhatke mein jaise hi pant nikali tauliya jawab de gaya. Ab humara to hanste hanste bura haal.tha. Raste bhar wo humein kosta gaya ki sir aisa tauliya lane se to achcha tha ki kuch na late.
Breakfast kar ke hum Konark ki or nikal parde. Raste ke donon or hare bhare pedon ki lambi katar thi. Khili dhoop, halki halki hawa kul milakar safar behad suhana tha! Kareeban 40 min ki journey ke baad hum Sun Temple Konark mein the.
Kareeban 1200 AD meing Ganga dynasty ke rulers ne ise banaya tha. Mughal Shashkon ke humle aur mausam ke thapadon ne is mandir ko bahut had tak chatigrasta kar diya hai phir bhi iska vastu shilpa aaj bhi dekhne yogya hai.
Mandir ko suraj ke rath ka aakar diya gaya hai kuch is terah se mano saat ghode 24 pahiyon par use swarg ki or le ja rahein hon. Rath (chariot) ke in pahiyon ko is terah position kiya gaya hai ki pahiyon pe girti suraj ki roshni ki chaya dekh ke aap aaram se apni ghadiyan mila sakein.
Konark se hote huye hum Bhuvneshwar ke white tiger reserve Nandan Kanan pahunche.Aur sham wahan bitane ke baad wapas laut aaye.
Agla din Itihaas ke pannon ko punah palatne ka tha… un jaghon se roobaru hone ka jinse meri matribhoomi ki aitihasik virasat judi huyi hai.
सोमवार, नवंबर 14, 2005
Chilika Lake
Jee haan main unhin Siberian Cranes, Flamingos ki hi baat kar raha hoon jo Russia aur northern asia ki barfeeli sardiyon se bachne ke liye December se March tak yahan apna dera dalte hain. Us waqt sari jheel ek safed si parat liye deekhti hai. Yahan ke sthaneey ki logon kehte hain ki pehli baar jab British faujon ne is raste se Orissa mainland ki or dhava bolne ki sochi to unhein unche unche safed safed vardi pehne sainikon ki bhari katar dikhai padi aur wo ghabra kar wapas chale aaye. Ye safed nakabposh aur koi nahin ye migratory birds hi the :)
Khair hum to ye drishya dekhne se vanchit rah gaye :( kyunki in pakshiyon ne yahan abhi aana suru hi kiya tha. Par inmein se kuch ko humne Nandan Kanan mein dekha. Jara aap bhi gaur karein hain na khoobsurat !
Satpara se sea mouth tak ki boating ka lutph hi alag hai. Vishal jal ki bahri paridhi pe nariyal ke jhund ke beech chote chote ganv dikhai padte hain.
Raat ko Jaganath Mandir jane ke pehle hum phir samudra ke samne jakar baithe. Yoon to Eid ke agle din ka chand ab bhi maheen sa hi tha.phir bhi samudra ki lehrein aaj kuch jyada hi uchaal bhar rahin thin , manon apni taqat ka darp bhara pradarshan kar rahin ho.
शुक्रवार, नवंबर 11, 2005
Diwali se Puri Tak: Part I
Dussehre se lekar Deepawali ka waqt mere liye humesha se khushgawar raha hai. Bachpan se in dinon ke aane ki prateeksha rehti thi . Na keval hum in festivals ko enjoy karte the balki yahi wo waqt hota jab ya to hum apni nani ke yahan jate ya kahin ghoomne ka program banate the. Aaj bachpan, school aur college ki dehleez paar karne ke baad bhi saal ke is hisse ka mujhe usi besabri se ahsaas rehta hai.
Is baar ki deepawli mein ghar ki jamkar safai ki. Bachpan mein ye kaam karna isliye bhi pasand tha kyunki aksar is karya mein koi bhooli huyi cheez milti thi ya phir kahin gire huye paise.
Deepawli ke ek din baad hi hum chal pade Puri ki or. Waise pehle Kerala jane ka program tha par uske liye chuttiyan kam pad rahin thin to socha Puri to ho hi aayein kam se kam.
Aur shaam 5 baje chal kar hum subah 8 baje apne gantavya sthal par ja pahunche.
Barish ke dar ko bheetar hi dabaye huye jab hum puri pahunche to khili dhoop aur saaf aasman ko dekhkar hum sab ne chain ki saans li. Puri ki beach nahane ke liye eastern coast ki one of the best beaches mein se hai. Aur ye anand humne bakhoobi uthaya - Ek din chadhti dupahri mein aur doosre din suryoday ke baad!
Humara agla padav tha Chilka lake jiska ek chor Puri se keval 50km door hai.......
बुधवार, नवंबर 02, 2005
Janmadin Mubarak DON!
Haan to meri ye post dedicated hai meri khas pyari si dost DON ke liye! To suruaat Devi vandana se :) :)
Khumaar-e-gham hai, mahekti fiza mein jeete hain
Tere khayaal ki aab-o-hawa mein jeete hain
Bade itafaak se milte hain milne waale mujhe
Woh mere dost hain, jinki wafa mein jeete hain
JANMDIN MUBARAK HO DON!
Net pe DON se meeri mulaqat ek urdu poetry forum mein huyi thi. And I was delighted to find a fren who was so much similar to me. Bahut achcha lag raha hai DON tumhein apne blog pe wish kar ke.( Isliye bhi ki is saal humne jhagde bhi sabse jyada kiye hain ! Aur tumhare bouncers bhi jhele hain hee hee. )
Waise doston! DON aajkal KHUSH KHUSH mood mein hain. Aur kyun na hon kuch hi dinon mein inka ya kisi aur kaa :) band jo bajne wala hai! Khair to DON ke abhi ke halation pe is sher ki yaad aa jati hai
Jitne mausam hain sab jaise kahin mil jayein
In dinon kaise bataoon jo fiza hai mujh mein
DON tumhare is janmdin par Puneet Vijay ki ye kavita tumhare liye!
Sapneeli kuch khwahish doon
Ya khwabon ki jumbish doon
Janmadin ki saugaat nayi
Khushiyon ki bauchaar doon
Bolo kya uphaar doon?
Ugte suraj kee kirnein
Khushboo mehke phoolon kee
Shohrat us chaand kee
Masti sawan ke jhoolon kee
Aisi hi rangi bayaar doon
Bolo kya uphaar doon?
Kasmein nayi, wade naye
Manzil nayi, Naye Raste
Bulandiya hain kar rahin
Intezaar tere waste
Apni mehki khushiyan bhi
Tujh par hi main waar doon
Bolo kya uphaar doon?
Jeewan ke anmol lamhe
Sapnon ki kuch aahtein
Har kadam par tere
Khilti rahe muskurahtein
Mehka sa kuch chehka sa
Sajeela ek sansar doon
Bolo kya uphaar doon?
Aaj ki kuch yadein doon
Kal ke liye wade doon
Saugat main tujhko atoot
Amit dosti ka karaar doon
Aisa ek uphaar doon?
Aisa ek uphaar doon?
Aasha hai ye saal tumhare liye sabse khushgawar beetega! Isi shubhkaamna ke saath!
रविवार, अक्तूबर 09, 2005
Kabhee Kabhee Sapna Lagta Hai
kabhi koi haqeeqat khwab si lagne lagti hai..
to koi khwab haqeeqat ki shakl ikhtiyar karne lagta hai..
samajh nahin aata ki kis pe yakeen karein..
jo aankhon ke samne hai..
ya phir us sapne par jo door hote huye bhi apna sa lagne laga hai..
Pesh hai kuch aisi hi duvidha liye huye hai Gulzar sahab ka ye sahaj par marmsparshi (touching) geet ..
Is geet se muhe behad pyar hai. Aaj purane pannon ko palta to ye phir se mere samne aa gaya aur maine socha kyun na ise yahan bhi aap sab ke sath share karoon. Jab bhi ise sunta hoon man kho sa jata hai ismein !
Aap bhi kho kar dekhiye is geet ke jadoo mein ..
kabhee kabhee sapna lagta hai
kabhee ye sab apana lagta hai
tum samajhaa do man ko kyaa samajhaoon..
mujhe agar baahon mein bhar lo, shaayad tum ko chain mile
chain to us din khoyaa maine, jis din tum se nain mile
phir bhee ye achcha lagta hai, magar abhee sapana lagta hai
tum samajha do man ko kyaa samajhaoon
kabhee kabhee sapna lagta hai ..........
chehare par hain aur ek chehara, kaise use hataoon
meraa sach gar tum apana lo, janam janam tar jaaoon
aise sab sachcha lagtaa hain, sab kaa sab sapna lagta hai
tum samjha do man ko kyaa samajhaoon
kabhee kabhee sapna lagta hai ..........
About the song
Ye song film RatanDeep se liya hua hai jo ki 1979 mein release huyi thi. Ise aawaz di hai Asha ji aur Kishore ji ki jodi ne. Music Pancham ka hai.
रविवार, अक्तूबर 02, 2005
Har Ghadi Khud Se Ulajhna Hai Muqaddar Mera
Dil aur Dimag ki is jaddojehad se roobaru huyein hain kya kabhie aap?
Bahut kuch waise hi jaise is mastishk ke samandar mein humare man ki naav pratirodh (resistance) karti apna maqaam banane ke liye doob utra rahi ho!
Kabhi to is kashmakash mein dil aur dimaag ke taar mil jaate hain aur hum apne aapko behad halka mehsoos kerte hain par jab aisa nahin hota to..
To hum bhatak jate hain..
Apne aas paas ki duniya se kat jate hain….
Apne aap ko gum kar lete hain ek aisi duniya mein
Jahan na to mausam ki badalti rageeniyan asar karti hain
Aur na hi kisi sunahre khwab ki kiran dil ko sukoon de paati hain..
Pesh hai inhin jazbon ko samahit kiye Jagjit Singh ki gayi ye khoobsurat ghazal jo film Chausar se lee gayi hai…..
har ghadi khud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hoon mujhi mein hain samandar mera
ek se ho gaye mausamo ke chehre saare
meri aankhon se kahin kho gaya manzar mera
kis se poochu ke kahaan gum hoon kai barson se
har jagah dhundhta phirta hai mujhe ghar mera
muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe
jaagta rehta hain har neend mein bistar mera
har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
main hi kashti hu mujhi mein hain samundar mera
Manu Gautam & Nida Fazli
सोमवार, सितंबर 26, 2005
Pyar Aaya Aur Jyada.. Aur Jyada Pyar Aaya..
Pyar aaya….. aur jyada
Aur jyada… pyar aaya
Dekha jitni, baar tumko
Pyar aaya….. aur jyaada
Aur jyaada… pyar aaya
Ye madhoshiyaan hain..
Ye betabiyaan hain..
Ye kya hain ….hum bhi na janein..
Tumhein sirf chahein..
Tumhein hi sarahein..
Koyi kuch kahe hum naa manein
Ye mastana kajal..
Ye julphon ka baadal..
Ye shaanon pe jhukti nigahein..
Ye hothon ki khushboo, ye chehre ka jadoo..
Ye dil ko churati adayein
Chaha jitni baar tumko
Pyar aaya….. aur jyaada
Aur jyaada… pyar aaya
Sonu Nigam aur Alka Yagnik ki makhmali aawaz agar aapke man mein ek shararat aur shokhi na bhar de to kahiyega :)
Happy Listening !
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7983/
शनिवार, सितंबर 17, 2005
Kitabein jo paas rehte-rehte door ho gayin...
Do mein se tumhein kya chahiye Kalam yaa ki Talwaar
Man mein unche bhaav ya tan mein shakti ajay aapaar
(What do u want out of the two--- A pen or a sword ?
Great thoughts in ur mind or So much power in ur body that u become invincible)
Yoon to jab bhi kitaab ki kisi dukaan pe jata hoon to iksha hoti hai ki dher sari ek saath khareed loon. Par kabhi unki keematein aade aati hai to kabhie khareedne ke baad unko na padh pane ka samay .Kabhie Kabhie to poori kitaab khatma hone mein saal lag jate hain. Par jab ye competition aur naukari ka chakkar nahin tha to kis dhaddle se padhte the kahaniyan aur upanyaas. Mujhe yaad hai ki Great expectation maine sirf khane aur 3-4 ghante sone ko chor takreeban 40 ghante flat mein khatm ki thi.
Par aaj to khali waqt mein kitabon ki jagah PC ne le li hai. Aur aaj jab poetry ki ek file ke pages pe nazar padi to laga dekho to Gulzaar ne kis khoobi se apni is nazm kitabon se humari badhti dooriyon ka behtareen naqsha kheencha hai. Pesh hai uske kuch ansh..
kitabein jhankti hain band almaari kay sheeshon se
bari hasrat se takti hain
maheenoo ab mulaaqat nahi hoti
jo shamein in ki sohbat main kata karti thein,,,,ab aksar
guzar jaati hian computer kay pardon par
bari bachain rahti hian kitabein
zaban par zaiqa aata tha jo in safhe (page) palatne ka
ab ungli click karne se bas
ik jhapki guzarti hai :)
buhat kuch tah ba tah khulta chala jaata hai parde par
kitabon se jo zaati rabta tha kat gaya hai
kabhi seeny pe rakh ke lait jaate the
kabhi godi main rakhte thay
kabhi ghutno ko apne rahal(kath ki chouki) ki soorat bana kar
neem sajday main parha karty thay,choote thay jabhee se
khuda nay chaha to wo sara ilm to milta rahega baad main bhi
magar who jo kitabon main mila karte thay sookhay phool
kitabein mangne,girnay,uthane kay bahane rishty bante thay
unka kya hoga
who shayad ab nahi hongay!
शनिवार, सितंबर 03, 2005
Jo Beet Gayi So Baat Gayi...by Bachchan
Ek sitara ....
Jo humesha ankhon ke saamne raha ...
Jiske bare mein kitne sapne sajoye the kavi ne ...
Achanak hi wo ambar mein vileen ho gaya , kho gaya ...
Maana woh behad pyara tha
Woh doob gaya to doob gaya
Ambar ke aanan ko dekho
Kitne iske tare toote
Kitne iske pyare chhoote
Jo chhoot gaye phir kahan mile
Par bolo toote taron par
Kab ambar shok manata hai
(Ambar –aasmaan , Shok -dukhi hona)
Jo beet gayi so baat gayi ....
Jeewan mein tha who ek kusum
The us pe nitya nyochawar tum
Wo sookh gaya to sookh gaya
Madhuwan ki chaati ko dekho
Sookhi kitni iski kaliyan
Jo murjhai phir kahan khili
Par bolo sookhe phoolon pe
Kab madhuvan shok manata hai ?
(Kusum-flower , Nitya-hamesha, nyochawar- dedicated, madhuvan- gulshan)
Jo beet gayi so baat gayi
Jeewan mein madhu ka pyala tha
Tumne tan man de daala tha
Woh toot gaya to toot gaya
Madiralay ka aangan dekho
Kitne pyaale hil jaate hain
Gir mitti mein mil jate hain
Jo girte hain kab uthte hain
Par bolo toote pyalon mein kab madiralay pachtata hai ?
(Madhu-sharab, madiralaya-sharabkhana, pachtana-repent)
Jo beet gayi so baat gayi
Mridu mitti ke hain bane huye
Madhu ghat phoota hi kartein hain
Laghu jeewan leke aaye hain
Pyale toota hi karte hain
Phir bhi madiralay ke andar
Madhu ke ghat madhu ke pyale hain
Jo madakta ke mare hain
Wo madhu loota hi karte hain
Wo kachcha peene wala hai
Jiski mamta ghat pyalon par
Jo sachche madhu se jala hua
Kab rota hai chillata hai?
(Mridu-soft, ghat-pyaala, laghu- chota, madakta-masti, mamta-prem)
Jo beet gayi so baat gayi ......
बुधवार, अगस्त 31, 2005
Sheeshon ka Masiha Koyee Nahiin... by Faiz
jo toot gaya so toot gaya
kab ashkon se jud sakta hai
jo toot gaya , so choot gaya
tum nahak tukrey chun chun kar
daman mein chupaye baithey ho
kya aas lagaye baithey ho
shayad ki inhii tukron mein kahiin
wo sagar-e-dil hai, jis mein kabhi
sad naaz se utra karti thi
sahba-e-gham-e-jaanaan2 ki pari
phir duniya walon ne tum se
wo sagar le kar phod diya
jo may3 thi baha di mitti mein
mehmaan ka shah par4 tod diya
ye rangiin reze5 hain shahid6
un shokh biloori7 sapnon ke
tum mast jawani mein jinse
khilwat8 ko sajaya kartey the
naadaari9 dafter bhookh aur gham
un sapnon se takratey the
be-raham tha chau-mukh pathraav (stoning from all the sides)
yeh kanch ke dhanchey kya kartey?
ye sagar sheeshe, laal-o-guhar10
saalam11 ho to keemat paate hain
yun tukde tukde hoon to phakat 12
chubhte hain, lahoo rulwaate hain
yaadon ke girebanon ke rafoo..
par dil ko guzar kab hoti hai ?
ik bakhiya udheda, ek siya
yun umra basar kab hoti hai ?
tum nahak tukrey chun chun kar
daman mein chupaye baithey ho
sheeshon ka masiha koyee nahiin
kya aas lagaye baithey ho
Meaning of difficult Urdu words
1 Ek terah ka ratna
2 Gham ki sharab roopi preyasi
3 Sharab
4 Pari ka sabse bada pankh
5 Rangeen Tukde
6 Gawaah
7 Kaanch ke
8 Akelapan
9 Gareebi
10 Manik, moti
11 Salaamat
12 Kewal
सोमवार, अगस्त 29, 2005
Toote Moti Bikhre Sapne
Par un bikhre sapnon un toote motiyon ka kya karein jinhein humne dil ki kisi band kaal kothri mein dabaya hua hai?
Roz ki is aapa dhapi mein inke rehne na rehne pe bhi ek sandeh sa utpanna hota hai!
Par yaadon ke wo moti kab kis baat pe dil ke girebaan se nikal, bahar chitak jaayenge ye bhala jaan saka hai koi?
Nahin kabhi nahin…..
Par ye to batayein ki in adhoore sapnon aur toote motiyon ko dil mein sajone ka koi phaida hai ?
Aap ki baat to nahin janta par main to jhat se yahi jawab doonga ki har cheez nafe nuksan ke tarazu mein nahin tauli ja sakti!
Phir bhi hum dill ko us peeda se nijaat dilana chahte hain, use bahlana chahte hain taaki wo toote moti zakhm ko itna gehra na kar dein ki wo nasoor ban jayein.....aur humein andar hi andar se khokhla na kar dein..
Aaj inhi bhavnaon se judi do kavitayein aapke saamne la raha hoon . Do isliye ki yoon to ise likha do mahan diggajon ne hai par uske peeche ka mool bhaav ek hi hai !
Inmein se ek Faiz Ahmad Faiz sahab ki hai to doosri Harivansh Rai Bachchan ji ki
Ye dono kavitayein tab likhi gayin jab inke likhne walon ko behad kathin paristhitiyon se hokar guzarna pada tha. Faiz ko to tatkaaleen sarkaar ne jail mein band kar rakha tha aur Bachchan sahab apni pehli patni ki asaamyik mrityu se vyathit the…..
(To be continued)
रविवार, अगस्त 21, 2005
Wo Hansi Uffffffffffffff..........
Aaj us chehre ki baat karenge jo shayad hi kuch ek palon se jyada aankhon ke samne raha ho…..
To aaj le chalte hain aapko Delhi.
To hum teen yani mere aalawa Escorts mein kaam karne wale mere do sathi aaye the ek exam dene Delhi mein. Centre tha IIT Delhi. Unmein se ek Delhi ka banda tha aur dooja Merrut ka. Exam ke baad bus se hum Hauz Khas se Lajpat Nagar tak aa gaye the. Ab humein wahan se Faridabaad jane wali bus pakadni thi.
Ab jo bhi buses aa rahin thi wo sab buri terah jam packed.
So kare to kya karein hum?
Chup chap kabhi us tez dhoop ko to kabhi DTC ko kos rahe the :(
ki itte mein door se ek charted bus aati dikhai di
Amooman aisi buses sirf apne roz ke passengers ko hi baithati hain so uske wahan rukne ka koi chance nahin tha. Par bas jyunhi paas aayi ki hum sabki nazar us khoobsurat mukhde pe ja atki jo khidki se hum sabki or hi dekh rahi thi. Bas phir kya tha hum sab ke man mein shararat soojhi aur uski or dekh ke ek sath chilla uthe roko roko humein isi bus mein chadhna hai!
Daudna to ek bahana tha, basically uska dhyan apni or kheechna tha aur humara daudna vyartha nahin gaya doston, tohfe mein mili ek pyari si unmukta hansi !
Aur wo hansi aaj tak mere mano mashtishk mein usi terah ankit hai ! Us bare mein jab bhi sochta hoon to man mein ek behad sukhad see anubhuti hoti hai!
Kitni taqat hai na ek haseen si muskurahat mein bhai log :)
शुक्रवार, अगस्त 12, 2005
Wo Pareeksha ! Dil ki ya Dimaag Ki Part-II
Agle din scheduled time se jara jald hi pahunch gaye. Par wo to lagta hai Japanese management philosophy JIT yani JUST IN TIME technology ka anukaran (follow) karne wali prateet hoti thi. So humne apni gup shup ke liye jo situation pichli raat mein soch rakhi thi us par bhi aate hi tusharapaat ho gaya.
Halke halke kadmon se apni desk ke kareeb aa khade huye. Desk pe nazar padte hi humare hosh ud gaye. Man hi man socha achcha hua wo abhi tak nahin aayi nahin to agar usne ye dekha hota to kya sochti wo mere bare mein.
To hazraat aap sab bhi soch rahe honge ki aisa kya hua hoga meri desk pe!
BOYS wiil be afterall BOYS #*#&@$!
Kuch ladkon ne wo desk jo meri thi ko us ladki ki samajh kali aur laal syahi se filmi geeton ki bahar lagi rakhi thi. So humari desk exam ki desk kam aur Vividh Bharti mein aane wale Man Chahe Geet karyakram ki song list jyada lag rahi thi. Aur geet bhi kaise
Thek theek lines to yaad nahin par bhav kuch kuch aise the
Jab se tujhe dekha dil deewana hua jaye re..
Haye tera shabab jaise makhmali gulaab …..aur na jane kya kya:( :(
Mere jaise shareef :) ladke ke dil pe kya guzari hogi aap samajh sakte hain!
Kutton *@%#* ne itne bade bade letters se likha tha ki 1 m ki doori se bhi saaf dikh jaye phir uski aur humari desk mein muskil se 0.5 m ka phasla raha hoga. Sirf dimaag mein yahi ghoom raha tha ki kaise is vikat paristhiti se door hua jaye. Aakhir sawal humari saaf suthari aur achche student ki image ka tha jo un paapiyon ki us harkat se mitti mein milne ja rahi thi.
To sabse pehle blade se sabse offensive ya yoon kahe bold song ko mitane ki koshish suru kee. Par usmein time bahut lag raha tha aur wo kisi bhi samay aa sakti thi. Itne mein humein ek idea aaya aur man hi man aapne aap ko dutkara ki are moorakh abhi tak tujhe ye kyun nahin soojh raha tha. Exam suru hone mein 10 min the par humare invigilator aa chuke the. Main daud kar unke paas gaya aur likhne ke liye copy mangi. Copy milte hi use aur apne instrument box ko is tarah apni desk pe phailaya ki koi song peeche se dikhai na de. Waise bhi us din ek hi paper maths ka bacha tha ek baar exam suru ho jane ke baad uski nazar un geeton pe padne ka sawal nahin tha.
Wo exam ki ghanti lagne ke baad aayi aur apni usi smile ke sath ye kehti baith gayi ki aaj to paper mere liye bahut tough hoga.
To bataiye aap sab aaj se 15 saal pehle aapke is Manish ne wo situation manage kar lee hogi?????
Nahi janab! Is mamle mein humara luck kabhie achcha nahin raha :(
Shayad uparwale ko bhi kuch purane hisab chukane the. Question paper milne se theek pehle maine ye detect kiya ki awwal to meri copy mein poore pages nahin hain aur last but one wala panna phata hua hai. Ab to exam ka sawal tha to copy badalne ke liye apne desk ko anaavrit (uncover) to karna hi tha. So bade bujhe man se maine apni copy uthai aur invigilator ke paas gaya. Wapas aate samay ek tirchi nazar us pe daali to dekha wo mujhe dekh ke muskura rahi thi. Jhenp ke mare maine jaldi hi nazarein hatayin aur ye sochta hua exam dene baitha ki agar usne wo ab padh bhi liya ho to main exam ke baaad sab saf saaf keh doonga ki ye mea kiya hua nahin phir uske bad wo jo bhi chahe soche.
Us din ka paper tough tha aur aisa wo pehle hi bata chuki thi ki uska maths utna strong nahin hai ! Shayad isi wazah se wo 15 minute pehle hi nikal gayi…
Aur main ye kabhi na jaan paya ki us ki wo aakhiri muskurahat kis wazah se thi.? Kya uski songs pe nazar padi hogi aur padi to yahi socha hoga na ki ye to kitna cheap ladka nikla! Ya phir usne kuch dekha hi na ho…
Umeed se to duniya qayam hai so humne result nikalne tak umeed nahin chori ki shayad hum donon ka bhagya chamke aur mujhe bhir ek mauka mile kisi ghalatphahmi ko door karne ka.
Exam ka result nikla!
Par dimaag ke aage dil haar gaya!
I cleared the exam par na hi mere frens aur na hi wo safal ho saki.
Aaj bhi jab kabhi is waqye pe dhyan jata hai to to uski muskurahat ke sath peeth par us pencil ka dabav phir se ubhar jaata hai.
Chalte Chalte Bharat aur Pak ke mere doston ko Independence Day ki hardik badhaiyan!
मंगलवार, अगस्त 09, 2005
Wo Pareeksha : Dil kee ya Dimaag kee -Part I
Kehna ghalat nahin hoga ki that was the most lonely period of my life.
Kitni chintayein man ko ghere rehti thin.....
Ek to career kee ! Yani engg exam clear kar payenge ya nahin
Aur doosre ki zindagi mein apni bhi kabhi koi dost hogi ya nahin :(
Haan to frens pehli chinta din bhar haawi rehti thi aur doosri sham ko :)
Pehli ko poora karne ke liye to jam kar mehnat karte…….
Aur doosri kee logical implementation ke liye sirf khyali pulaaw pakaya karte :)
Khair baat to anjaan chehron ki ho rahi hai na phir main apne bare mein kyun bata raha hoon aap sab ko! He he
Wo isliye ki aap sab ko us waqt ke Manish ki manoisthiti se avgat karana juroori tha aage ki baat ka jikra karne se pehle.
Engg Entrance ka wo exam hum teen doston ne ek sath bhara tha! Aur jaisi ki aasha thi hum teenon ko ek hi exam center mila tha aur ek hi room. Par mere roll no aur baki frens ke roll no. mein ek no ka gap tha.
To ye kahani us shaksh ke bare mein hai jise theek mere peeche baithna tha.
Jab wo hansti muskurati humari bagal se guzari to sach maniye humara dhyan uski or bilkul nahin gaya. Humare dimag mein abhi aane wala question paper hi ghoom raha tha.
Paper physics ka tha aur hum use hal karne mein taleen ho gaye!
Par abhi 10 minute bhi nahin guzare honge ki humein peeche se pencil ke dabav ke sath ek phusphusahat sunayi padi ye aapka pehle question (numerical) ka answer kya aaya!
Vastusthiti samajhne mein humein thoda waqt juroor laga par jab situation samajh aayi to electrostatics ke us sawal ko hal karte karte yon mehsoos hua ki 5Amp ki current humare sharer mein bhi pravahit ho rahi hai.
So phir kya tha hum aanan phanan mein hyperactive ho gaye aur sare answers aapas mein (yani mere peeche baithe huye doston tak) exchange hone lage. Par shayad hi humara aur uska koi answer match ho raha tha.
Idhar humare khandoos invigilator ko humari hyperactivity dekhi na gayi ! ek baar aankhein tarer ke gaya aur doosri bar paper lene ki dhamki bhi de gaya. Paper khatma ho gaya aur wo phir ek smile de ke chalti bani. Is baar humne khushi khushi smile grahan ki aur chal pade apni khwabon khyalon ki duniya mein aakhir sham jo ho gayi thi.:)
Aur is baar ka khwab to realistic tha jo jagti aankhon se bhi saaf dikhai de raha tha :)
Kitna achcha ho ki hum ek sath ye exam clear kar lein
Dost to ban hi jayegi aakhir maine itti madad jo ki bina use jane huye…
Aur phir to aage ki line clear hi hai….
Aur inhin meethi kalpanaon mein kab neend lag gayi ye pata hi na chala
Aage kya hua uski bhi ek kahani hai par wo agli kisht mein………
बुधवार, अगस्त 03, 2005
The Little Angel
Wo safar yoon hi neeras guzar raha tha ki achanak meri nazar 7-8 saal ki us bachchi pe padi. Wo chup chap sabse nazrein bachate huye ek boodhe se sajjan ke baal kheenchti aur phir aise idhar udhar dekhti jaise kuch hua hi na ho. :)
Phir humari baton ka silsila suru hua aur wo mujhse aisi ghul mil gayi jaise ki barson se jaanti ho!
Uska har baat ke ant mein hainge lagana (typical western Up dialect) maslan…
“Aapko pata hai hum subah subah doodh late hainge, Mummy us doodh ko garm karti haingi”
… mujhe behad pyara laga tha.
Aur Jurassic Park ke bare mein uska bhaybheet hokar ye poochna ki .....
Dinosaur ke ande mein se bachche nikal kar mere jaise bachchon ko kha jate honge?
.....mujhe aaj tak yaad hai. Bachchon mein nayi aur khas kar darane wali cheezon ke bare mein janne ki utsukta ka koi jawab nahin.
Ghanton gupshap ho jane ke baad jab humne uska naam poocha to batane se usne saaf inkaar kar diya! Baad mein uske dada se pata chala ki uska naam Naynam hai !
Kanpur station pe maine Nayanam aur uske Dada se vida lee aur man hi man dua ki umra ke sath iski ye chanchalta yoon hi barqarar rahe..
Dil ke Aaine Mein Base Wo Anjaan Chehre…
http://pariworld.blogspot.com/2005/05/unforgettable-strangers_29.html
मंगलवार, जुलाई 26, 2005
Khul Ke Muskura Le Tu Dard Ko Sharmane De....
Aur haan is song ka mukhda sunne ke pahle ek khoobsurat si CIBAKA SMILE aap sabon ke chehre pe honi chahiye! Hmmmmm to Ameen Shayni sahab ki tarz yaad ki jaye to announcement kuch is terah se hoti...
To Choti ki is paaydaan pe wo gaana hai doston jiski dhun banayi Shankar Ehsaan Loy ne, jiske bol likhe Prasoon Joshi ne aur jise apni madhur aawaz se sanwara Bombay Jayshree ne
Boondon Ko Dhartee Par Saaz Ek Bajaney De
Ab agar main ye na bataoon ki mere man mein kaun si bhavnayein uthin thin is song ko sunne ke baad to meri baat adhoori reh jayegi...
Kai baar aap sab ne gaur kiya hoga ..
Rozmarra ki zindagi kitne hi tanavon se bhari kyun na ho kisi se hansi khushi do batein kar lene se man halka sa ho jata hai.
Thodi si hansi thodi si muskurahat man ke depression ko yun kam kar deti hai ki kya kahein!
Par humesha to koi sath nahin rehta na ghamon ko halka karne ke liye.
To kya kare koi ?
Aree! par aas paas koi nahin to kya hua uparwale ki di huyi ye aabo hawa ye khoobsurat fiza to hai na :)
Kabhi akele mein usmein doob kar dekhiye shayad hi zindagi ka koi rang aapko na dikhai de!
Chahe wo pawan ka mast jhonka ho jiska sparsh (touch) aapke dil mein ek gudgudi macha de..
Ya barish ki rimjhim bundein jo aapko hothon ko khud ba khud geet gungunane pe mazboor kar de..
Ya phir wo balkhati nadi jiska alhadpan aapke dil mein shararat bhar de..
Ya phir charon or phaili jheel ka shant thahra hua paani jo apni shunyata (nothingness) mein aapko is terah sama le ki aap apni abhi ki pareshani ko bhula baithein..
Ya phir bag ki wo titlee jo phoolon ke aas paas is terah mandra rahi ho jaise keh rahi ho ki ..
aree ab to poori terah khilo !
naya basant (spring) aane ko hai aur tum ho ki abhi bhi apni pankhudiya sikode baithe ho..
Aap kahenge nahin ji humein to ye sab nahin dikhai deta :)
Par shayron ko to mother nature is kadar attract karti hai ki unhein jeevan ka koi bhi lamha, koi bhi jazba isi se nikalta dikhai deta hai. Aur waise bhi ye sach hi to hai..
Ab Prasoon Joshi ki is nazm ko dekhiye aur mehsoos keejiye..
Apni charon or ki fiza mein kabhi apne aapko akela nahin payenge!
Khul Ke Muskurale Tu Dard Ko Sharmaney De
Jheel Ek Aadat Hai, Tujh mein Hee To Rehtee Hai
Aur Nadee Shararat Hai, Terey Sang Behtee Hai
Utaar Gham Ke Mozey, Zamein Ko Gungunaney De
Kankaron Ko Talwon Main, Gudgudee Machaney De
Bansuree Ki Khidkiyon Pe Sur Yeh Kyon Thithaktey Hain
Aankh Key Samander Kyon Bewajeh Chalaktey Hain
Titliyan Yeh Kehtee Hain Ab Basant Aaney De
Jungalon Ke Mausam Ko Bastiyon Mein Chaney De
Hawayen Keh Rahee Hain, Aaja Jhoomein Zara
Gagan Ke Gaal Ko Chal Jakey Choolein Zara
Khul Ke Muskurale Tu Dard Ko Sharmaney De
Boondon Ko Dhartee Par Saaz Ek Bajaney De
Mujhe is baat ka behad afsos rahega ki itna behtareen music aur lyrics hone ke bavjood bhi FILMFARE ne is film ke kisi bhi song ko nominate tak karne ke kabil nahin samjha! Anyway I will strongly recommend u all to buy this album! It worth buying :)
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7074/
Aur aakhir mein my special thanks to all of u Puneet, NEEL, DON, Phoenix, Zainab Isha, DD, Avik, Pari for patiently going thru my bakwas along with the countdown :)
शुक्रवार, जुलाई 22, 2005
10, 9, 8, 7, 6, 5, 4, 3, 2, ? ? ?
Isse pehle ki pehle song ke swagat mein main koi bigul bajaoon...
Chaliye dekhte hain aap sab ne kitni dhyan se meri pasand ko parkha hai :)
To sawal hai kaun hai meri is Geetmala ka Sartaaj Geet
Chaliye aapki mushkil kuch aasan kar doon wo geet in charon movies me se kisi ek ka hai. Aur aapke liye chaar choices hain……
A) Phir Milenge
B) Main Hoon Na
C) Murder
D) Kal Ho Na Ho
To aapka na sirf movie ka naam batana hai balki sath mein wo song bhi !
So let’s see who hits the bull eye :)
मंगलवार, जुलाई 19, 2005
Kuch Khushbuyein Yaadon ke Jungal se Bah Chalin...
Sab kuch wahi rahta hai par lagta hai ki sab kuch badal saa gaya!
Sochiye to kitne sawal aate hain man mein...
Khidki kholne se hawa ke jhonke to pehle bhi aate the par unke aane se ye nayi sihran kahan se aa gayi!
Geet to pehle bhi gugunate the par usmein ye nayi lai kahan se aa gayi!
Kal tak jo zindagi bina kisi manjil ke lagti thi aaj usi mein itni rahein kahan se nikal aayin!
Raat ki khamoshiyan jo katne ko kabhi dauti thin wahi aaj itne pyari lagne lagin ki kisi ki yadon mein kho kar kab sahar ho gayi pata hi nahin chala!
Hai na azeeb baat par kabhi na kabhi to aap sabne aisa mehsoos kiya hoga ....
ye bhavnayein koi nayi nahin hain!
aur Prasoon Joshi ne inhin bhavnaon ko shabdon ke ek behtaren jaal se sajaya hai jise padh kar aur phir sun kar man wah wah kiye bina nahin reh pata! Ek aur khaas baat hai is geet ki wo iski shuruaat mein guitar ki madhur dhun! I just love it!
To peshekhidmat hai is geetmala ki RUNNER'S UP POSITION par Phir Milenge ka ye hansta muskurata geet aap sab ke liye! Shayad ise sun kar aapko bhi shayad apni manzil milne ka viswas pukhta ho sake...
Kuch Khushbuyen
Yaadon Ke Jungal Se Beh Chali
Kuch Khidkiyan
Lamhon Ke Dastak Pe Khul Gayi
Kuch Geet Purane Rakhe The Sirhaane
Kuch Sur Kahin Khoye The Bandish Mil Gaye
Jeene Ke Ishare Mil Gaye
Bichde The Kinare Mil Gaye
Meri Zindagi Main Teri Baarish Kya Hui
Mere Raste Darya Bane Behne Lage
Meri Karvaton Ko Tune Aake Kya Chhua
Kahin Khwab Neendon Ki Gali Rehne Lage
Jeene Ke...Kinare Mil Gaye
Meri Lau Havaaon Se Jhagadkar jee Uthi
Mere Har Andhere Ko Ujale Pee Gaye
Tune Haske Mujhse Muskurane Ko Kaha
Mere Man Ke Mausam Gulmohar Se Ho Gaye
Jeene Ke...Kinare Mil Gaye
Kuch Khushbuyen, Saanso Se Saanso Me Ghul Gayi
Kuch Khidikyan, Aankhon Hi Aankhon Me Khul Gayi
Kuch Pyaas Adhuri
Kuch Shyam Sindoori
Kuch Reshmi Gunahon
Main Rate Dhal Gaye
Jeene Ke Ishare Mil Gaye
Bichde The Kinare Mil Gaye
Prasoon Joshi
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7074/
Movie –Phir Milenge
Singer – Shankar Mahadevan
Music – Shankar Ehsaan Loy
रविवार, जुलाई 17, 2005
Kal Ho Na Ho ..
Aur kyun na aaye janab itte pyare bol jo hain!
Halke phulke aasan se lafzon se bhi badi bareeki se apni baat kehne ka hunar Javed sahab ke paas hai. Aur usi ki misaal hai ye nagma jo pichle saal ki unki sabse behtaren creation hai.
Agar samne ki pareshaniyon ko bhula kar apne aaj ki choti choti khusiyon mein zindagi jee jaye to uparwale ki dee huyi is neemat ko yaadgar bnaya ja sakta hai. So bhool ke bhi apne samne ki khushiyon, un haseen palon ko yun hi jane na deejiyega...
Kya pata Kal Ho Na Ho?
har ghadi badal rahi hai roop zindagi
chaav hai kabhi, kabhi hai dhoop zindagi
har pal yahan, jee bhar jiyo
jo hai sama, kal ho na ho
chaahe jo tumhe poore dil se
milta hai woh mushkil se
aisa jo koi kahin hai
bas wahi sabse hasin hai
us haath ko tum thaam lo
woh meherbaan kal ho na ho
har pal yahan, jee bhar jiyo
jo hai sama, kal ho na ho
palko ke leke saaye
paas koi jo aaye
lakh sambhalo paagal dil ko
dil dhadke hi jaaye
par soch lo is pal hai jo
woh dastan kal ho na ho
har pal yahan, jee bhar jiyo
jo hai sama, kal ho na ho
Javed Akhtar
Movie –KHNH
Singer – Sonu Nigam
Music – Shankar Ehsaan Loy
बुधवार, जुलाई 13, 2005
Ye Rishta Kya Kehlata Hai...
Kai rishte aise hote hain jinhein aap koi naam nahin de sakte
Jinhein aap jab bhi lafzon ke dayre ke bheetar bandhne ki koshish karte hain wo dhagon ki terah aur ulajhte chale jate hain.
In rishton ko maine na hi dhoondhe jayein to achha hai…
Kya pata ulajhte ulajhte in dhagon mein gaanthein pad jayein….
.
Bakaul Gulzar
Humne dekhi hai un aankhon ki mehakti khushboo
Haath se choo ke ise rishton ka ilzaam na do
Sirf ehsaas hai ye ruh se mehsoos karo
Pyar ko pyar hi rehne do koi naam na do
Khair interpersonal relationship kee baat chodein
Apne ird gird ki prakriti(mother nature) ko dekhein
Kya aapko kabhie aisa mehsoos nahin hua ki ho na ho inse juroor mera koi rishta hai?
Chahe wo aapke aangan ka barson purana peepal ka ped ho..
Ya aapke lawn ki hari makhmali ghasi..
Ya aapke rooom ki khidkiyon se aati sham ki simatti dhoop
Ya raat ke poorna andhkar mein phaili snigdha chaandni…
Is pyare se song mein ek koshish hai prakriti ke vibhinna roopon (different form of natures) se apne rishton ki parchaiyaan dhoondhne ki !
Kavi/Shayar ki kalpnaon pe gaur keejiye aap mugdha huye bina nahin reh payenge!
Agar is song ko na suna ho jiski jyada umeed hai to ek baar juroor suniyega!
To leejiye pesh hai 4th position pe Meenaxi film ka ye nagma..
Koi sachche khwab dikhakar
aa.Nkho.n me.n samaa jaataa hai
ye rishtaaye rishtaa kyaa kahalaataa hai..
jab suuraj thakane lagataa hai
aur dhuup simaTane lagatii hai
ko_ii anjaanii sii cheez merisaa.Nso.n se lipaTane lagatii hai
mai.n dil ke kareeb aa jaatii huu.N
dil mere kareeb aa jaataa hai
ye rishtaa kyaa kahalaataa hai
ye rishtaa kyaa kahalaataa hai
is gumasum jhiil ke paanii me.n
ko_ii moti aa kar girataa hai
ik daayaraa banane lagataa hai
aur ba.Dh ke bha.Nwar ban jaataa hai
ye rishtaa kyaa kahalaataa hai ..2
tasaviir banaa ke rahatii huu.N
mai.n juTii hu_ii aawaazo.n par
ik cheharaa Dhuu.NDhatii rahatii huu.N
diiwaaro.n kabhii darawaazo.n par
mai.n apane paas nahii.n rahatii
aur duur se ko_ii bulaataa hai
ye rishtaa kyaa kahalaataa hai
Lyrics -Mehboob
Click Here to read this post in Hindi Devnagari script
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.6973/
Movie –Meenaxi
Singer – Reena Bhardwaj
Music – A.R.Rahman
शनिवार, जुलाई 09, 2005
Hum Tum
June 21 2004
Barish ki girti hui boondein..
Jo kabhi thamne ka naam hi nahin le rahin..
Sab kuch bheenga bhenga, hara bhara sa..
Chilchilati garmi ke baad barsati phuharon ke sath aayi sukoon bhari thandak se man thoda to chanchal hoga na
Aise mausam mein pesh hai film Hum Tum se liya hua ye soft romantic song.
Saanson Ko Saanson Mein Dhalne Do Zara
Dheemi Si Dhadkan Ko Badhne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh
Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..
Aankhon Mein Humko Utarne Do Zara
Baahon Mein Humko Pighalne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..
Salvatein Kahin Karwatein Kahin
Phail Jaaye Kajal Bhi Tera
Nazron Mein Ho Guzarta Hua Khwabon Ka Koi Kafila
Jismo Ko Ruho Ko Jalne Do Zara
Sharmo haya Ko Machalne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..
Chu Lo Badan Magar Is Tarah Jaise Surila Saaz Ho
Andhere Chupe Teri Zulf Mein Kholo Ke Raat Aazaad Ho
Aanchal Ko Seene Se Dhalne Do Zara
Shabnam Ki Boondein Phisalne Do Zara
Lamhon Ki Guzarish Hai Yeh Paas Aa Jaaye Hum.. Hum Tum.. Tum.. Hum Tum..
Lyrics -Prasoon Joshi
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.6965/
Movie –Hum Tum,
Singer- Babul Supriyo / Alka Yagnik ,
Music –Jatin Lalit
गुरुवार, जुलाई 07, 2005
Lagan Laagi Tum se Man ki Lagan
parshva (background) mein uthta harmonium ka madhur swar....
Ek halke se classical touch ko liye is geet ko jab pehli baar suna tabhi se ye mero dilo dimag mein cha sa gaya tha. Rahat Fateh Ali Khan ko sunane ka ye mera pehla anubhav tha . Is khoobsurati se unhone is geet ko apni aawaz se sanwara hai ki wah wah kiye bina koi nahin reh sakta !
To leejiye pesh hai 6 th position pe ye song
O laagi tum se man ki lagan
Lagan laagi tum se man ki lagan
Gali-gali ghoome dil tujhe dhoondhe
Tere bin tarase nayan
Lagan laagi tum se man ki lagan
Aa ja o meri jaanMere dil ka jahaan
Maange teri khabarDhoondhe tera nishaan
Laagi tum se man ki lagan
Lagan laagi tum se man ki lagan
Tera tujhako saunp de
kya laagat hai mor
Mera mujha mein kuchh naaheen
jo hovat so tor
Tere bin mera man
Jaise ban mein hiran
Jaise pagali pawan
Laagi tum se man ki lagan
Lagan laagi tum se man ki lagan
Amzad Islam Amzad
To listen the song click the link
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.1508/
Movie –Paap
Singer – Rahat Fateh Ali Khan
Music –Shahi
मंगलवार, जून 28, 2005
Maine Dil Se Kaha Dhoondh Lana Khushi...
Par ye janab to use hi khojte khojte ek aisa dard utha laye jo seene se is qadar chipak gaya hai ki bhagne ka naam hi nahin leta
Aur awwal to ye ki ye dard bhi apna sa lagne laga hai
Aap logon ko yaad hai jab maine blogging suru ki thi to ek kavita pesh ki thi jismein bhi yahi baat thi Dard ko saga kehne ki
http://manishkmr.blogspot.com/2005/04/dard-bhi-lagta-saga-hai.html
Darasal jis dard mein pyar ki tees chupi ho wo bhala apna kyun na lagega. Ab Qateel Shifai ka is sher ko hi lein jo is situation ko bakhoobi bayan karta hai..
Pyar tumhara bhool bhi jaoon, lekin pyar tumhara hai
Ye ek meetha zahar sahi, ye zahar bhi aaj gawara hai
To 7th position ka ye geet mujhe sunne mein hi nahin balki gaane mein bhi achcha lagta hai. Aur jab jab is geet ko sunta hoon to M. M. Kreem ke music ki bhi daad deni padti hai ki kis khoobsoorti se unhone is geet ke mood ko banaya hai...
Maine dil se kaha dhoondh lana khushi
Nasamajh laya gham to ye gham hi sahi
Bechara kahan janta hai, khalish hai ye kya khala hai
Shahar bhar ki khushi se, ye dard mera bhala hai
Jashna ye raas na aaye, maza to bas gham le aaya hai
Maine dil se kaha dhoondh lana khushi..
Kabhee hai ishq ka ujala,kabhee hai maut ka andhera
Bataao kaun bhesh hoga, main jogi banoon ya lutera
Kai chehre hain is dil ke, na jane kaun sa mera
Maine dil se kaha dhoondh lana khushi..
Hazaron aise phasle the, jo tai karne chale the
Rahein magar chal padin thin, aur peeche hum reh gaye the
Kadam do char chal paye , kiye phere tere man ke
Maine dil se kaha dhoondh lana khushi..
Neelesh Misra
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7605/
Movie –Rog
Singer – Kay Kay
Music - M.M.Kreem
शुक्रवार, जून 24, 2005
Aao na .. Aao Na .. Aao na .. Aao Na ..
Mehakti fiza...
Gungunati hawa...
Aur upar se priyatam ki pyar bhari sada...
Aise mein hothon pe khamoshi kab tak reh sakti hai bhala :)
Ye song sunane mein bada hi sweet sa hai our romantic bhi ! Khaskar jab aao na wali line aati hai to lagta hai humein hi bulaya ja raha hai hee hee ha ha!To pesh hai 8th position pe film kyun ho gaya na ka ye song!
goonji si hai sari fiza jaise bajati ho shehnaiyaan
Leherati hai mehki hawa gungunati hain tanhaiyaan
sab gaate hain sab hi madhosh hain
hum tum kyun khamosh hain
saaz-e-dil chedo na
chup ho kyun gaao na
aao na.. aao na... aao na... aao na...
tan man mein kyun aise behti huyi
thandi si ik aag hai
saason mein hai kaisi yeh ragini
dhadkan mein kya raag hai
yeh hua,kya humein, hum ko samjhaoo na
sab gaate hain sab hi madhosh hain
hum tum kyun khamosh hain
dil mein jo baatein hai
hoton pe laoo na
aao na... aao na...
ab koi duri na uljhan koi
bas ek ikraar hai
ab na kahin hum na tum ho kahin
bas pyaar hi pyaar hai
sun sako dhadkane itne paas aao na
sab gaate hain sab hi madhosh hain
hum tum kyun khamosh hain
ab mere sapno pe tum hi tum chaoo na
aao na... aao na... aao na....
Javed Akhtar
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.6970/
Movie –Kyun Ho Gaya Na!
Singer – Udit Narayan, Sadhna Sargam
Music - Shankar, Ehsaan, Loy
सोमवार, जून 20, 2005
Jab Nahin Aaye The Tum...
Suno to ..
yeh mera tumhara jo rishta hai- ek raasta hai,
mai tumse guzar kar hi tum tak pahonchne ke raaftaar hoon,
mera aagaaz tum,mera anjaam tum
tumhe dekhkar mai tumhein sochta hoon
tumhe paake hi mai tumhein khojta hoon
tum apne badan ke samander mein,barsoon se pooshida ek khwaab ho !
jab nahi aaye the tum - tab bhi mere saath the tum
dil mein dhadkan ki tarha - tan mein jeevan ki tarah
meri dharti, mere mausam , mere din raat the tum
jab nahi aaye the tum - tab bhi mere saath the tum
phool khilte the to aati thi tumhari khushboo
har haseen shaam jagati thi tumhara jaadoo
aaine mein mere har din ki mulaaqat the tum
dil mein dhadkan ki tarha - tan mein jeevan ki tarah
meri dharti, mere mausam , mere din raat the tum
jab nahi aaye the tum - tab bhi mere saath the tum
adh mundhi aankh mein sajta hua ek khwaab the tum
pehli barsaat mein bheega hua mehtaab the tum
Hooth mere the magar inki har ek baat the tum
dil mein dhadkan ki tarha - tan mein jeevan ki tarah
meri dharti, mere mausam , mere din raat the tum
jab nahi aaye the tum - tab bhi mere saath the tum
Sawan Kumar
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.6961/
Movie –Dev
Singer – Kareena Kapoor, Vijyeta Pandit
Music - Aadesh Srivastava
शनिवार, जून 18, 2005
Jaanam, Dekh lo, Mit gayi dooriyaan...
Ye nagma ek aisi premi ki kahani keh raha hai jise apne pyar pe poora yakeen hai..
Yakeen bhi is qadar ki apni mohabbat ke aage use sarhad ki deewarein bhi bemani lagne lagi hain…
Jaanam, dekh lo, mit gayi dooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan..
Kaisi, sarhadein, kaisi majbooriyaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Tum chhupa na sakogi main woh raaz hoon
Tum bhula na sakogi woh andaaz hoon
Goonjta hoon jo dil mein to hairaan ho kyun
Main tumhaare hi dil ki to awaaz hoon
Sun sako, to suno, dhadkanon ki zabaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Main hi main ab tumhaare khayaalon mein hoon
Main jawaabon mein hoon, main sawaalon mein hoon
Main tumhaare har ek khwaab mein hoon basa
Main tumhaari nazar ke ujaalon mein hoon
Dekhti, ho mujhe, dekhti ho jahaan
Main yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan hoon, yahaan
Javed Akhtar
To listen the song click the link below
http://www.musicindiaonline.com/l/17/s/movie_name.7505/
Movie –Veer Zaara,
Singer – Udit Narayan
Music – Madan Mohan
गुरुवार, जून 16, 2005
Mere Sapne Mere Geet..... 2004
Bachpan mein jab TV ka padarpan nahin hua tha to hum har wednesday ko raat 8 baje badi besabri se radio ceylone laga kar Ameen Sayani sahab ki Binaka Geet Mala ka intezaar karte the. Pareshani ye ki wo station lagta badi mushkil se tha aur kisi ne transistor halke se cheda nahin ki turant gane ki jagah kabhie news to kabhi pop lag jata tha! Par itni dikkiton ke baad bhi wo countdown salon saal humara chaheta program bana raha! Aur aaj usi tarz pe ye kadi bhi hogi...
To humari ye geet mala 10 songs ki hogi farq sirf itna hoga ki post ke beech mein binaca/cibaca smile wale ads nahin honge:) . Par geeton ki baat karne se pehle dekiye Gulzar sahab ki kya rai hai is baare mein...
Ek mood, ek kaifiyat geet ka chehra hota hai..
Kuch sahi se lafz jad do, maujoon se dhun ki lakeerein kheench do..
To nagma sans lene lagta hai, jinda ho jata hai..
Itni si jaan hoti hai gane ki ek lamhe ki jitni..
Haan kuch lamhe barson jinda rehte hain..
Geet boodhe nahin hote unke chehre pe jhurriyan nahin girti..
Wo palte rehte hain chalte rehte hain..
Gulzar
Kitni pyari baat kahi hai na Gulzar sahab ne. :)
Sach hi to hai geet jab dil ko choote hain to humare jehan ka hissa ban jate hain! man mein bas jate hain ! kuch aisa hi asar kiya hai in geeton ne mujh par pichle saal. Dekhein mere doston ko kaise lagte hain ye songs...
मंगलवार, जून 07, 2005
Ratiyaan Andhiyari Ratiyaan....
Night &Darkness
.
Kya ye sach nahin hai ki andhere ko sabhi log peeda (pain) aur depression ka prateek (symbol) mante hain……
Par logon ki baat main kyun manoon?
Meri nazron ne to kuch aur hi dekha hai …
Kuch aur hi mehsoos kiya hai..
Jehan ki waadiyon se kabhi un lamhon ko chun kar dekhein..
..Dil jab kahin bhatak raha ho niruddeshya aur dishaviheen (i.e. without any purpose and sense of direction)..
jab apne charon or ki duniya bemaani si lagne lagi ho..
Yahan tak ki aap apni parchayi se apne saye se bhi door bhaagne lage ho..
kisi se baat karne ki iksha (desire) na ho..
Aisi halat mein apna gham apni peeda apni kuntha leke kiske paas jayenge aap ?
Sochiye to….?
Par mujhe sochne ki juroorat nahin ..
Aise samay mein mera wo mitra (friend) wo dost humesha se mere kareeb hi raha hai
Apni vishal god (large lap) mein kaali chadar lapete aamantrit (invite) karta hua..
Pehli baar isse dosti tab huyi jab main 15 saal ka tha…..
Aap yakeen karein na karein chutti ke dinon mein 7 baje ke baad se balcony hoti thi aur mera dost aur main is qadar ek doosre mein khoye rehte ki waqt kaise beetta ye pata hi nahin chalta tha!
Jane kaisi chumbakeey shakti (magnetic attraction) thi mere is mitra mein ki shaam se hi main uske aane ka besabri se intezaar karta !
College mein ye dosti aur gehri hoti gayi..
Farq sirf itna tha ki hostel ke us band kamre mein ghupp andhere ke sath koi aur sath ho aaya tha!
Aray array iska koi aur matlab na nikal leejiyega he he ha ha :)
Wo teesra aur koi nahin wo geet aur ghazlein thin jinke bol us mahoul mein ek dum se jeewit ho uthte the man ke taron ko jhankrit karte huye..
Kabhi we dil ko sukoon dete the..
to kabhi aankhon ki koron ko pani..
Isiliye jab Parineeta film ke is geet ko suna to man bojhal to hua par sath mein ye khushi bhi huyi ki aray maine to is geet ko is ke har lafz ko jiya hai mehsoos kiya hai apni zindagi mein..
To pesh hai ye geet jiski link aap sidebar mein mil jayegi..
ratiya…kari kari ratiya..
ratiya ..andhiyari ratiya..
raat humari to
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
chuppi ki birha hai
jhingur ka baje saath
raat humari toh
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
samjho ki baati bhi
koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke…..
karni hai baatein aaj
andhera rootha hai
andhera rootha hai
gumsum sa …
kone main baitha hai
raat humari to
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi woh akeli hai
samjho ki baati bhi koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke karni hai baatein aaj
andhera pagal hai
kitna ghanera hai
chubhta hai
dasta hai
phir bhi woh mera hai
uski hi godi mein
sir rakhke sona…. hai
uski hi baahon mein
chupke se rona hai
ankhon se kajal ban
behta andhera.. aaj
raat humari to..
chand ki saheli hai
kitne dino ke baad
aayi wo akeli hai
samjho ki baati bhi koi bujha de aaj
andhere se jee bhar ke karni hai baatein aaj
andhera rootha hai
andhera rootha hai
gumsum sa, kone main baitha hai