शनिवार, दिसंबर 31, 2005

The Count Down Begins....

To leejiye naya saal aa pahuncha hai! Par ye countdown main is saal ke aakhiri palon ko ginne ke liye nahin mana raha. Mere blog ki ye pehli 31 Dec hai! Aur agar 31 Dec ko kuch suru karna ho to wo mere liye musical countdown ke aalawa kuch ho hi nahin sakta :). aadat se majboor jo hoon kyunki khushi ke kisi pal mein main sangeet se door rehne ki soch bhi nahin pata. Is baar ki meri pasandeeda geeton ki pherhist mein 25 nagme hain jinmein kuch ke bare mein main pehle bhi likh chuka hoon. Ye geet khushi ke bhi hain aur gham ke bhi. Umeed hai ki aap sab ko ye silsila pasand aayega. Apni pasand -napasand ka aap sab izhaar juruur keejiyega :)
Isse pehle ki humari ye Amin Sayni style geetmala start ho aap sab ko meri taraph se naye saal ki hardik shubhkaamnayein is aasha ke sath doston ki......
tera mera sath rahe........
tera mera sath rahe........
dhoop ho chaaya ho.......
din ho ki raat rahe..... :)
HAPPY NEW YEAR 2006!
Pehle to ye keh doon ki ganon ki jo ranking main yahan dene ja raha hoon wo utni jyada maayne nahin rakhti kyunki aisa bhi ho sakta hai ki within a bracket say 15-20 tak kesare gane mujhe ek jitne hi pasand aaye hon. Is list mein 2006 ke adhiktar dance hits aapko nazar nahin aayenge. Ye nahin ki main unhein pasand nahin karta par aise geeton ki khasiyat ye hai ki inka ek time span hota hai jiske beech ye khoob chalte hain aur phir ek dum se gayab ho jate hain. Kuch geet aise bhi honge jo waqai behad umda rahe hon par main inhein sun na paya hoon. Aise kisi missing song ke bare mein mujhe batana na bhooliyega. aur haan meri is rating ka paimana music, masti ke aalawa lyrics, gayki aur mere par inka emotional impact hai.
Agar ek geet ke liye ek din ka bhi waqt rakhoon to bhi 25 din lagte hain. To janab main koshish karoonga ki ek hi post mein regular additions karta rahoon taki is mahine ke aakhir tak is countdown ke muqam tak pahunch sakoon:). Aasha hai aap sab sangeet premi mere is safar mein sath honge…

7 टिप्‍पणियां:

  1. hi5 buddy!!
    gr8...yeah...akhri kuch pal is saal ke...and true...music...wot else...its life...its food for survival..mine...and looks like even urs!!
    happy new year! and may the cuming yr be gr8 for u!! enjoy!!

    जवाब देंहटाएं
  2. happy new year...manish....thanks for your wishes...wishin u a year full of smiles and luck....smile and shine....well about your name...the first thing that i thought..was of chandrakanta..he he he...thanks for such an interestin name too...

    जवाब देंहटाएं
  3. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  4. Wishing you a very happy and prosperous new year...

    May all your dreamz come true

    Wishing you smiless n success

    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  5. Medha Jaankar khushi huyi medha ki music tum pe bhi kuch waisa hi asar karta hai jaisa mujhpe...

    Zombie Shukriya Zombie! Naye saal mein apna blog sury kar rahi ho ya nahin !

    Illusion dear ye chandrakanta se kya similarity dikhi tumhein :)

    Puneet Same to u Puneet!

    Nagu swagat hai Nagu aapka yahan. sangeet se aapko bhi behad lagaaw hai aisa aapke blog pe jaake pata chala. aasha hai aap yahan aate rahenge! Aapko bhi nav varsh ki hardik shubhkaamnayein.

    जवाब देंहटाएं
  6. Naye saal ki shubhkamnayein tumhein bhi Manish...
    sangeet aur jeevan shayad saath saath chalte hein...kyunke mein maanti hoon ke...sangeet har kan kan mein hai...chahe woh phir saans lene ki dhun hee kyun na ho...ya phir khil khilakar hasne mein...ya phir ansoo he sahi...ya phir hum insaano ke bol :)

    kan kan mein sangeet racha basa hai prakriti ki iss chitrakaari mein :)

    amazing shuruwaat...hum hain aapke saath saaht ;)

    cheers

    जवाब देंहटाएं
  7. Hmmmm DON I just felt so elated & happy tumhara reply padh ke! Wo ghazlein wo nazmein wo gulzaarnama sab mein to tum sada sath rahi ho ! Thx for being there always !

    जवाब देंहटाएं