शनिवार, सितंबर 17, 2005

Kitabein jo paas rehte-rehte door ho gayin...

Middle school mein Raamdhari Singh 'Dinkar' ki ek kavita padhi thi. Kavita ka sheershak tha Kalam ya ki Talwaar ! Aur uski ye panktiyan aaj tak dilo dimag pe dera dale huye hain

Do mein se tumhein kya chahiye Kalam yaa ki Talwaar
Man mein unche bhaav ya tan mein shakti ajay aapaar


(What do u want out of the two--- A pen or a sword ?
Great thoughts in ur mind or So much power in ur body that u become invincible)

Us waqt man mein mujhe koi sanshay nahin tha aur aaj bhi nahin hai ki inmein se kaun mera jyada priya hai. Lekhni ke is jadoo ko kitabon ke pannon pe jagane walon pe meri atoot shradhdha hai aur rahegi. Par aaj jab kaphi antaraal tak apne ko kitaboon se door pata hoon to ek jhunjhlahat si hoti hai !

Yoon to jab bhi kitaab ki kisi dukaan pe jata hoon to iksha hoti hai ki dher sari ek saath khareed loon. Par kabhi unki keematein aade aati hai to kabhie khareedne ke baad unko na padh pane ka samay .Kabhie Kabhie to poori kitaab khatma hone mein saal lag jate hain. Par jab ye competition aur naukari ka chakkar nahin tha to kis dhaddle se padhte the kahaniyan aur upanyaas. Mujhe yaad hai ki Great expectation maine sirf khane aur 3-4 ghante sone ko chor takreeban 40 ghante flat mein khatm ki thi.

Par aaj to khali waqt mein kitabon ki jagah PC ne le li hai. Aur aaj jab poetry ki ek file ke pages pe nazar padi to laga dekho to Gulzaar ne kis khoobi se apni is nazm kitabon se humari badhti dooriyon ka behtareen naqsha kheencha hai. Pesh hai uske kuch ansh..

kitabein jhankti hain band almaari kay sheeshon se
bari hasrat se takti hain
maheenoo ab mulaaqat nahi hoti
jo shamein in ki sohbat main kata karti thein,,,,ab aksar
guzar jaati hian computer kay pardon par
bari bachain rahti hian kitabein

zaban par zaiqa aata tha jo in safhe (page) palatne ka
ab ungli click karne se bas
ik jhapki guzarti hai :)
buhat kuch tah ba tah khulta chala jaata hai parde par
kitabon se jo zaati rabta tha kat gaya hai

kabhi seeny pe rakh ke lait jaate the
kabhi godi main rakhte thay
kabhi ghutno ko apne rahal(kath ki chouki) ki soorat bana kar
neem sajday main parha karty thay,choote thay jabhee se
khuda nay chaha to wo sara ilm to milta rahega baad main bhi

magar who jo kitabon main mila karte thay sookhay phool
kitabein mangne,girnay,uthane kay bahane rishty bante thay
unka kya hoga
who shayad ab nahi hongay!
Gulzar

10 टिप्‍पणियां:

  1. इस टिप्पणी को एक ब्लॉग व्यवस्थापक द्वारा हटा दिया गया है.

    जवाब देंहटाएं
  2. HI Manish...
    Nice post...

    Par aaj to khali waqt mein kitabon ki jagah PC ne le li hai
    bahut hi sahin kahan...

    Main padhne ka khaas shaukeen nahin tha... par aaj kal to bilkul hi waqt nahin milta hain...

    Thanks to Blogworld...
    isi bahane itne logo se parichay aur itne saare vichaar jaane ko milte hain...

    Bahut hi khubsurat kavita pesh ki hain aapne ...

    Take care
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Bilkul sahi farmaya aapne manishji,Kitabon ki jagah PC ne leliya,Aur mujhe yaad hai ki do saal pehle har raat sone se pehle mujhe koi bhi kitaab padne ki adath hua karthi thi,aur padthe padthe sapno ke shehar mein chalegaye....
    Par aaj kal tho YM,BLOGGING,EMAILS, se time hi nahi miltha:( but then i realised that i need to get back to my reading,and thankfully i am working on it,today again i am back to books,i cut down on my blogging and started reading again for an hour in a day or night:)
    Aaj ek badi hi khoobsoorat si Nazm pada hain Gulzaarji ki likhi hue,soncha aapke saat share karloo:)

    "Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saveron Ke Ufaq
    Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
    Teri Aankhen Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
    Palken Khulti Hain to Youn Goonj Ke Uthati Hai Nazar
    Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
    Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatm Huee Ho
    Teri Ankhen, Teri Thahri Huee Gamgeen See Ankhen
    Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Sachchi
    Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Huee Hai Ye Hayat"

    जवाब देंहटाएं
  4. Puneet shukriya ki tumhein Gulzar ki ye nazm pasand aayi!

    Hmmmmm blogword is full of grt persons of all hues!

    जवाब देंहटाएं
  5. hmmmmm Neels! Mera bhi padhna pehle se kam ho gaya hai par aajkal jab bhi official tour pe jata hoon ko na koi book patli si hi sahi le juroor jata hoon !

    Hmmmm ek baar phir tumne meri fav nazm share kar di. Ise maine tab padha tha jab aankhon pe ek silsile se related net pe shayri dhoondh raha tha & I found this one!
    really a superb creation from Gulzaar

    जवाब देंहटाएं
  6. waah kya khoob nukte par baat cheri....computer k degar disadvantages mai say ek ye bhi buhat bara disadvatnage hai.... har kaam jab ek click say hojaye ..har ghantoun mehnat karnay k baad hasil-shuda information gar secs mai hasil ho jaye tou insaan na cahtay howay bhi sust hojata hai...phir uss ki nazar mai kitaboun ko parhana ek bojh hota hai .....halankay jadeed dour mai computer ki itni tarqi k bawajood kitaboun ki ehmiat kabhi ghati nahi..aaj bhi woh ghar jahan computer ki khatarnak bemari nahi ayi wahan kitaboun ka istemal aam hai....magar afsoos ki baat ye hai k woh ghar jahan computer apni bemari pehla cuka hia..us k liye kitaboun k liye waqt waqf karna behut muskil ya namumkin hocuka hai...
    Gulzar sahib ki is nazam ki behad khoob dhang say tashreeh ki aapnay...aur jahan tak nazam ka saval hai...lajawab :)

    जवाब देंहटाएं
  7. Kitabon ki ehmiiyat kahan ghatne wali hai Zainab! Wo to rahegi hi . Par ye juroor hai ki net ne kitaab ko ek chunauti juroor di hai.

    Khair kitabon chahe wo novels ho ya poem jab apne hi dil ya apne aas paas ke charitra ya kirdaaron ke baat karne lagti hain to wo dil ko choo jati hain. Kuch is terah se....

    Kitabon se kabhie guzro to yoon kirdaar milte hain
    gye waqton ki dyodhi par khade kuch yaar multe hain
    jise hum dil ka veerana samajhkar chod aaye the
    Wahin ujde huye shahron ke kuch aasar milte hain


    Gulzar

    जवाब देंहटाएं
  8. wow..Manish..tumne phir Dinkar sahab ki baatein likh kar mere bachpan ke din yaad dila diye...sach kahoon to yehi jehan mein aa raha hai ke kaash woh kitaab mujhe mil jaaye ;)
    amazing...just amazing!!!

    Gulzar ji ki to phir kya kehane...we r his fans :)

    thnx
    cheers!

    जवाब देंहटाएं
  9. Namaskaar Manishji,
    Let me introduce myself as Amit Agarwal from bangalore and an avid internet surfer.
    Aaj subha kuch panktiya kaano mei gunz rahi thi jo shayad kabhi suni thi kahin ---
    "Kitabon se kabhie guzro to yoon kirdaar milte hain
    gye waqton ki dyodhi par khade kuch yaar multe hain..."

    Aur jab google kiya toh ek blog pe aapke comments mei paya inko.
    http://manishkmr.blogspot.com/2005/09/kitabein-jo-paas-rehte-rehte-door-ho.html

    Mujhe ye ghazal bahot pasand aai .. char line suni fir bhi...
    Aapse request hai ki agar iski poori lyrics haai aapke pas toh please forward kijiyega.
    aur agar mp3 hi kahin se download ki ja sakti hai toh link jaroor bhejiyega.

    Wishing a reply and a good day to you!

    जवाब देंहटाएं