रविवार, अक्टूबर 02, 2005

Har Ghadi Khud Se Ulajhna Hai Muqaddar Mera

Zindagi ki dhoop chaanv mein kabhie khud se ladta paya hai apne aapko?
Dil aur Dimag ki is jaddojehad se roobaru huyein hain kya kabhie aap?
Bahut kuch waise hi jaise is mastishk ke samandar mein humare man ki naav pratirodh (resistance) karti apna maqaam banane ke liye doob utra rahi ho!
Kabhi to is kashmakash mein dil aur dimaag ke taar mil jaate hain aur hum apne aapko behad halka mehsoos kerte hain par jab aisa nahin hota to..
To hum bhatak jate hain..
Apne aas paas ki duniya se kat jate hain….
Apne aap ko gum kar lete hain ek aisi duniya mein
Jahan na to mausam ki badalti rageeniyan asar karti hain
Aur na hi kisi sunahre khwab ki kiran dil ko sukoon de paati hain..

Pesh hai inhin jazbon ko samahit kiye Jagjit Singh ki gayi ye khoobsurat ghazal jo film Chausar se lee gayi hai…..

har ghadi khud se ulajhna hai muqaddar mera
main hi kashti hoon mujhi mein hain samandar mera

ek se ho gaye mausamo ke chehre saare
meri aankhon se kahin kho gaya manzar mera

kis se poochu ke kahaan gum hoon kai barson se
har jagah dhundhta phirta hai mujhe ghar mera

muddatein ho gayi ek khwaab sunehra dekhe
jaagta rehta hain har neend mein bistar mera

har ghadi khudse ulajhna hain muqaddar mera
main hi kashti hu mujhi mein hain samundar mera

Manu Gautam & Nida Fazli

9 टिप्‍पणियां:

  1. humare blog ke current topic se aapke blog ka yeh topic kitna madhur aur sanjeeda hai iska andaaza aapko hamre blog pe jaake hee maloom hoga :)
    waise dil o dimaag kee kashmakash bohat khoob pesh kee hai aapne

    जवाब देंहटाएं
  2. Shukriya Shabnam jaankar khushi huyi ki meri batein tumhein achchi lagin !

    जवाब देंहटाएं
  3. Shukriya Zombie is blog pe apna kuch samay bitane ka ! jaankar khushi huyi ki aapko meri baat aur ghazal donon hi pasand aayi!
    aate rahiyega :)

    जवाब देंहटाएं
  4. Dhinchak : Welcome to my blog ! waise aapne ye nick use karne ke liye Divya ko kuch royalti di hai ya nahin :) :)
    Jokes apart ! Ghazal pasand karne ka shukriya . Aasha hai aapse mulaqat hoti rahegi !

    DON Shukriya ji!

    जवाब देंहटाएं