Baat kai saal pehle ki hai. Us waqt main Faridabad mein kaam kiya karta tha.
Office mein kuch chuttiyan nikal aayi thi . Achanak hi Kanpur mein apne relatives se milne ka mood ho aaya tha. Garmi ki chuttiyon ka season tha lihaza Gomti Express mein kaphi bheed thi. Do ghante yani Aligarh tak to safar khade khade hi bitana pad gaya tha.
Wo safar yoon hi neeras guzar raha tha ki achanak meri nazar 7-8 saal ki us bachchi pe padi. Wo chup chap sabse nazrein bachate huye ek boodhe se sajjan ke baal kheenchti aur phir aise idhar udhar dekhti jaise kuch hua hi na ho. :)
Wo safar yoon hi neeras guzar raha tha ki achanak meri nazar 7-8 saal ki us bachchi pe padi. Wo chup chap sabse nazrein bachate huye ek boodhe se sajjan ke baal kheenchti aur phir aise idhar udhar dekhti jaise kuch hua hi na ho. :)
Aur bechare wo sajjan bade pareshan ki ye shararat kaun kar raha hai? Maine isharon hi isharon mein jab use aisa karne se mana kiya to usne masoomiyat bhari ek muskurahat bikheri !
Phir humari baton ka silsila suru hua aur wo mujhse aisi ghul mil gayi jaise ki barson se jaanti ho!
Phir humari baton ka silsila suru hua aur wo mujhse aisi ghul mil gayi jaise ki barson se jaanti ho!
Humari batein Chai aur Coffee banane ke tareekon se suru huyin aur phir Andon(eggs) aur murgiyon se hoti huyi films tak ja pahunchi.:):)
Uska har baat ke ant mein hainge lagana (typical western Up dialect) maslan…
“Aapko pata hai hum subah subah doodh late hainge, Mummy us doodh ko garm karti haingi”
… mujhe behad pyara laga tha.
Uska har baat ke ant mein hainge lagana (typical western Up dialect) maslan…
“Aapko pata hai hum subah subah doodh late hainge, Mummy us doodh ko garm karti haingi”
… mujhe behad pyara laga tha.
Aur Jurassic Park ke bare mein uska bhaybheet hokar ye poochna ki .....
Dinosaur ke ande mein se bachche nikal kar mere jaise bachchon ko kha jate honge?
.....mujhe aaj tak yaad hai. Bachchon mein nayi aur khas kar darane wali cheezon ke bare mein janne ki utsukta ka koi jawab nahin.
Ghanton gupshap ho jane ke baad jab humne uska naam poocha to batane se usne saaf inkaar kar diya! Baad mein uske dada se pata chala ki uska naam Naynam hai !
Kanpur station pe maine Nayanam aur uske Dada se vida lee aur man hi man dua ki umra ke sath iski ye chanchalta yoon hi barqarar rahe..
yes.. angels r always cute n unforgettable ..hehehe
जवाब देंहटाएं:)
waah ..kya kehnay hain aap k manish ji....log amumaan us safar ko rangeen kehtay hain jis mai un ka waqt kisi haseena k sath beta ho..ya kisi anmol shaksiyaat k sath......magar aap nay .....us masoom bachi ki kadar jani..us ki mamooli si baat ko itna specail jana....us ki choti si zindagi ko janay ki koshish ki......i must say...u ur self are so special tht u always find something specail in every ordinary thing :)
जवाब देंहटाएंhats off ;)
hey manish when you want to write in Hindi then why don't you try actual hindi instead of roman....
जवाब देंहटाएंhey a read ur last post in ur blog ( an inian spirt) im gonna kill u for 2 reasons 1- cos women=problems:(...2- cos u dont give the chane 2 others 2 write comments there i cant stand urdo in this blog so i wanna write comments there pls
जवाब देंहटाएंi find a mistake on ur caleculation ... it should be women (square) =problem .......ur a bad student :)
जवाब देंहटाएंBahut hi pyara post hain…
जवाब देंहटाएं“Bachchon mein nayi aur khas kar darane wali cheezon ke bare mein janne ki utsukta ka koi jawab nahin”….
Bahut hi sahi kaha… bachcho ki masumiyat aur utsukta hi unki sabse badi khubsurati hain…
Aapke kahe gaane sunne aur #1 gaane wale post par comment bhi de diya…
Aapke kahe ek gaane ke kuch bool aapke is post aur shayad aane wale kuch posts par jachte hain...
“Kisse kuch puraane mil gaye… roone ke bahane mil gaye”
Wow, this is a unique blog.
जवाब देंहटाएंAccording to me, Hindi is the best-sounding language. Isn't it? :)
U r absolutely right pari!
जवाब देंहटाएंhmmmmm Zainab shukriya ji aapki baton ka!
जवाब देंहटाएंwaise aage jin chehron ki batein hogin wo shayad aapki expectation se shayad jyada mel khaye:)
Shukriya Puneet jaan kar khushi huyi ki bachchon ke bare mein aap bhi waisa hi mehsoos kerte hain!
जवाब देंहटाएंhi Sayesha
जवाब देंहटाएंWelcome here!
hmmmm I love Hindi & Urdu both and this is the only place where I can relate to these languages by using them for expressing my emotions & thoughts!
Which is ur hometown Sayesha!
WOW..Manish...ek nihayat khubsurat baat share ki tumne...waqai dil ko chooh sa gaya!!! sach kaha tumne...bacche mann ke sacche hote hein aur behad masoom...oonhein har baat ki jaankari ki jigyasa hoti hai...ek nahi das sawal karte hein...yehi to khas hai....ke bacche kabhi bhi kisi se bhi ghul mil jaate hein jo bhi oonki taraf pyaar se haath barahyein...very cute and pretty kido...naam bhi pyaara sa...very sweet post!!!
जवाब देंहटाएंshukriya isse share karne ka:)
hmmmmm bilkul sahi Don Kids r the cutest thing! :)
जवाब देंहटाएं//Which is ur hometown Sayesha!
जवाब देंहटाएंHamara koi ek hometown ho toh batayein :)
Main hawa hoon, kahin bhi theherti nahin
Ruk bhi jaaun kahin par toh rehti nahin
Maine tinke uthaayein hue hain paron par
Aashiyana nahin hai mera :)
u didnt replay 2 my comments:(
जवाब देंहटाएंHey Joyas I did reply to ur comments in my tag box on my other blog.
जवाब देंहटाएंAn Indian Spirit :)
U must have missed it!
i didnt see anything??:(
जवाब देंहटाएंThx Divya !
जवाब देंहटाएंBachche jab apni chamakti huyi aankhon se kisi aam si baat ko bhi jor dete huye bolte hain to unke mukh ki bhav bhangima dekhte hi banti hai! they look so cute :)
Excellent, love it! Arrested development tv series Credit card credit scores interior designer career Buspar carbonate de litho Online+forex+trade men gay latino free http://www.cleaning-gas-cooktop-cooking-grill.info/Videosurveillance.html Reebok tennis sneakers people eyeglasses fha loans mortgage fico scholarship frwe+fico+credit+scote credit report basketball factory Home decoration jornal free
जवाब देंहटाएं