बुधवार, जनवरी 31, 2007

Geet # 10 : Lamha Lamha Doori Yoon Pighalti Hai...

To doston aa gaye hum ek ek kadam badhate is varshik geetmala ke paaydaan no. 10 par.
Is geet ko is blog pe pehle bhi lyrics ke sath
yahan pesh kiya tha. In 25 songs ki pherhist mein ye doosra aisa geet hai jiski dhun ko churane ka ilzaam sangeetkaar Pritam par hai. Iski dhun Pak singer Waris Beig ke 1998 mein released song Kal Shab Dekha Maine par aadharit hai.

Par phir bhi Nilesh Misra ka likha ye geet jab sunta hoon to man halka sa ho jata hai. Kuch to jadoo sa hai Abhijeet ki makhmali aawaaz aur iski dhun mein jo geet sunte sunte ise gungunaane ki iksha bhi hoti hai..

Gangster ke is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.
Aur dekhiye to pichle saal is paaydan pe kaun tha ?

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें

सोमवार, जनवरी 29, 2007

Geet # 11 : Nainaa Thag lenge....

Is post ko likhte likhte khabar mili ki O.P.Nayyar sahab nahin rahe. Maine apne hindi blog par unki dhunon par bane geeton ki yaad taaza kar unhein apni or se shridhanjali dene ka prayaas kiya hai. agar 50-60 ke dashak mein Nayyar sahab ke sangeet mein aapko ruchi ho to is post ko yahan padh sakte hain.

Gyarahwein paaydaan par ek baar phir Gulzaar Sahab maujood hain ek salaah ka sath !
Salaah bhi kaisi ...un madhosh kar dene wali aankhon se bach kar rahne ki ..



Ab ye koyi aasaan baat hai kya?

Tamaam shayar to inke teekhe vaaron se khud bach nahin paye.(Uski kahani to vistaar se yahan likhi bhi thi.) Ab humein samjhaa rahe hain. Aapko to yaad hi hoga ki khud Gulzar sahab ne pichle saal Kazraari aankhon pe ek geet kya likh diya, janta un aankhon ke jalwon ko dekhne ke liye hi wo film dekh aayi. :p

Par aankhon thagti bhi hain is baat se inkaar bhi to nahin kiya ja sakta naa. Inke is roop ko Gulzar ne in jumlon mein is khoobsurati se pesh kiya hai...

jagte jaadu phukenge re neenden banjar kar denge... ya phir

nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhat padhat na raseed na khaata


....ki man wah wah kiye bina nahin rah pata

Is geet ki dhun banayi hai Vishal Bhardwaaj ne aur ise gaya hai mashhoor sufi gayak Nusrat Fateh Ali Khan ke bhateeje Rahat Fateh Ali Khan ne. Rahat meri in varshik geetmalaaon ke liye naye nahin. Chahe wo 2004 mein Paap mein unka gaya hua nagma Lagan Laagi Tum se Man ki Lagan ho ya phir 2005 mein Kalyug ke liye behad likpriya geet Jiya Dhadak Dhadak Jaye, wo humesha apni gaayaki se dil mein jagah bana hi lete hain.

nainon ki mat maaniyo re, nainon ki mat suniyo
nainon ki mat suniyo re
naina thag lenge , thag lenge naina thag lenge
jagte jaadu phukenge re jagte jagte jaadu
jagte jaadu phukenge re neenden banjar kar denge
naina thag lenge ,thag lenge, naina thag lenge

bhala manda dekhe na paraya na saga re
nainon ko toh dasne ka chaska laga re
bhala manda dekhe na paraya na saga re
nainon ko toh dasne ka chaska laga re
nainon ka zehar nasheela re ,nainon ka zehar nasheela
baadalon mein satrangiyan bonvein
bhor talak barsaavein
baadalon mein satrangiyan bonvein
naina baanvra kar denge
naina thag lenge thag lenge naina thag lenge

naina raat ko chalte chalte swargan mein le jaave
megh malhaar ke sapne dije hariyali dikhlave
nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhad parakh na rasid na khaata
nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhat padhat na raseed na khaata
saari baat hawayi re ,saari baat hawayi


bin baadal barsaaye saawan saawan bin barsaata
bin baadal barsaaye saawan naina baanwara kar denge
naina thag lenge thag lenge naina thag lenge


Omkara ke is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

शुक्रवार, जनवरी 26, 2007

Geet # 12 : Kailash Kher's 'Teri Deewaani "

Merrut mein janme ,bade huye...phir nikal padee Delhi apne guru ki khoz mein
khoz chalti rahi, guru badalte rahe
15 guruon se shiksha le chuke to laga ki kyun na apna bhagya khwabon ke shahar mumbai mein jaakar aajmaaon.
Shuru shuru mein fakiri ki ye halat thi inki ki ratein Andheri station ka platform par kata karti thin.

Aur phir inhein mauqa mila uparwale ki khidmat karne ka ek geet ke jariye aur phir Allaah ke Is bande ki kismat aisi phiri kee.....
Aaj bhi fakra se batate hain ki station ka wo chaiwala inka bahut achcha mitra tha.

Aaj jab ve apni kaali Honda City se Andheri ke railway staion se guzarte hain, ooparwale ko ek baar dhanyawad juroor dete hain.
Jee haan, main Bharat mein sufi gayiki ke mashhoor sitare Kailash Kher ki baat hi kar raha hoon. A.R.Rahman ka Kailash ke bare mein kahna hai ki unke sangeet mein gaanvon ki mitti ki khushbu hai.

Is geetmaalaa ki 12 vien paaydan par hai unki album Kailasa se liya gaya unhin ka swarachit ye geet jiska har shabda pyar ke rang mein rama hua hai.


preet ki lat mohe aaisi laagi
ho gayi main matwaaree
bal bal jaaun apne piya ko
ke main jaaon vaari vaari
mohe sudh budh naa rahe tan man ki
yeh to jaane duniya saari
bebas aur laachaar phirun main
haari main dil haari haari main dil haari

tere naam se jee loon
tere naam se mar jaaon
teri jaan ke sadke mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala mar gayi main mit gayi main
ho ri haan ri ho gayi main
teri deewani deewani, teri deewani deewani


ishq junoon jab had se badh jaaye
hanste hanste aashiq sooli chadh jaaye
ishq ka jaadu sar chadhkar bole
khoob laga lo pehre raste rab khole
yahi ishq di marzi hai, yahi rab di marzi hai
tere bin jeena kaisa,a ---gardi hai
tune kya kar dala mar gayi main mit gayi main....deewani

kee main rang rangeelee deewani
kee main albeli main mastani
gaaun bajaaun sabko rijhaaun
kee main deen dharam se begaani
kee main deewani main deewani
tere naam se jee loon tere naam se marr jaaun
tere jaan ke sadle mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ri ha ha ri ho gayi main,teri deewani deewani
Is album ke geet ko aap yahan bhi sun sakte hain
देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

मंगलवार, जनवरी 23, 2007

Geet # 13 : Roobaroo Roshani Hai...

Seeedhi badli to mood bhi badalte hain ek youthful, mast se song ke sath jise likha ad guru Prasoon Joshi ne aur gaya Naresh Iyer ne.

Ye is geetmaala mein Prasoon Joshi ki aakhiri upasthiti hai. Prasoon ki best creations abhi bhi main Phir Milenge mein unke likhe geeton ko hi maanta hoon.
Bada bahuaayaami vyaktitva hai Prasoon ka, Kehne ko MBA hain par ja pahunche ad industry mein. Coke jaise kayi charchit ads ke creative ideas unke hi dimaag ki upaj hain, apne ads ki jingle khud hi gaate hain aur usse bhi jee nahi bharta to poetry karne baith jate hain.
Aise srijak se salon saal humein kuch achche geet sunne ko milte rahenge aisa mere viswaas hai.

13 vein paaydaan ke is geet ko ek niraale andaaz mein gane wale Naresh ki kahani bhi kam dilchasp nahin.
Mumbai ke Naresh bhaag lene aaye the Channel V ke super singer show mein. Ab super singer pratiyogita se to pehle hi chhat gaye par A.R.Rahman ne jate jate unhein ek chance dene ka vaida kiya. Aur ye mauqa mila Rang De Basanti mein..baki is geet ne yuva man par kitni amitt chhaap chori wo to sarvavidit hai.


To aaiye sunein is taazgi se bhare geet ko jo shuru hota hai guitar ki pyari si bandish se aur jise sun kar shayad aap bhi mehsoos karein ki aap ke andar bhi kahin na kahin wo aag jal rahi hai jo bahar nikal jaye to kitnon ki zindagi, roshani se bhar sakti hai.
abhi abhi hua yaqeen
ki aag hai mujh mein kahin
huyi subaah main jal gaya
suraj ko main nigal gaya
roo-ba-roo roshani , roo-ba-roo roshani hai...

jo gumshuda sa, khwaab tha, vo mil gaya
vo khil gaya
vo loha tha pighal gaya
khichaa khichaa machal gaya
sitaar mein badal gaya
roo-ba-roo roshani , roo-ba-roo roshani hai...

[dhuaan chhataa khula gagan mera
nayi dagar naya safar mera
jo ban sake tu hamsafar mera
nazar mila zara...] (2)
aandhiyon se jaghad rahi hai lau meri
ab mashaalon si badh rahi hai lau meri
naamo nishaan rahe na rahe
ye kaaravaan rahe na rahe
ujaale main pee gaya
roshan huaa jee gaya
kyon sehte rahe....

roo-ba-roo roshani , roo-ba-roo roshani hai...
dhuaan chhataa khula gagan mera .....
roo-ba-roo roshani , roo-ba-roo roshani hai...

Is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

रविवार, जनवरी 21, 2007

Geet # 14 : Gulzar, Jagjit aur Main.....Kya Batayein Ki Jaan Gayi Kaise ?

Is geetmaala ki 14vein kadi sangam hai un do shaksiyaton ka jinhone mere geet sangeet ki ruchiyon par khasa asar daalaa hai. Highschool se lekar aaj tak maine inhein bade chaav se suna hai. Pehle baat Jagjit Singh kee. Mere khyaal se urdu shayari ko meri generation mein lokpriya bannane mein sab se bada hath unhin ka hai. Bhale hi ab unki gaayiki purane dinon ki terah wo asar nahin chhodti. Phir bhi Jagjit Jag Jeet hi hain ;). kam se kam bharat mein un jaisa ghazal gayak paida nahin hua.

Aur Gulzar...! unki to baat hi kya hai. Unke geet sunte sunte hi pale badhe hain. Unki har nayi film aur album ka abhi bhi besabri se intezaar rahta hai. Aur yahi wazah hai ki is geetmala mein yahan se pehli seedhi tak wo aap sab se aat baar mukhatib honge.

Gulzar ke geet apni terah ke hote hain. shabda to vo mamooli istemaal karte hain par unke maayne itne seedhe nahin hote. uske liye aapko dheere dheere unki tah tak pahuchna padta hai. Gulzar se aap seedhe pooch lein ki in panktiyon se aap kya maayne nikaalte hain to aksar unka jawaab yahi rahta hai ki ve iski vyaakhya kar shrotaaon ki soch ka daayra sankuchit nahin karna chaahte.

To chalein Gulzar aur Jagjit ke saath is ghazal ke safar par

ud kar jaate huye panchhi ne bas itna dekha
der tak hath hilaati rahi vo shaakh fiza mein

alvida kahti thi ya paas bulati thi use ?

Kabhie un purane palon mein jhankiye. Kya unmein se kuch aise nahin jinhein aap harghiz nahin jeena chahte. Shayad wo pal kuch aise sawaalon ki yaad dila dein jinke bare mein sochna hi behad taqleefdeh ho.

kya batayein ki jaan gayi kaise?
phir se dohrayein vo ghadi kaise ?

Kabhie yoon hua ho ki zindagi ke raaston mein koyi Chaand sa mil gaya hoga ho...Are mila to tha tabhie to seene ki vo kasak rah rah kar ubharti hai ...

kisne raste mein chaand rakha tha
mujhko thokar wahan lagi kaise ?

samay ke aage daudne ki koshish karna kabhie kabhie behad bhaari padta hai..vo kehte hain naa ki sab kaam apne niyat waqt par hote hain phir ye aapadhaapi kyun ?

waqt pe paanv kab rakha humne
zindagi munh ke bal giri kaise?

Pyaar mein ruswwayi huyi par dil ki jalan chup chaap in aansuon ne aatmasaat kar lee. Par nainon ki tapish kya kisi se chup sakti hai...jidhar bhi padengi kuch to jaleyengi hee.

aankh to bhar gayi thi paani se
teri tasweer jal gayi kaise
?

Itne dinon ka saath bhala koyi yoon hi bhool sakta hai. Tumne to bas keh diya ki mere zehan ki waadiyon mein tumhari parchaayi bhi nahin phatakti. Par yahan ye hichkiyaan to kuch aur hee kahaani kah rahi hain .

hum to ab yaad bhi nahin karte
aapko hichki lag gayi kaise ?

Koyi Baat Chale se lee gayi is ghazal ko aap yahaan bhi sun sakte hain.
देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

शुक्रवार, जनवरी 19, 2007

Geet # 15 : Ye Hausala Kaise Jhuke,Ye Aarzoo Kaise Ruke..

Insaan ki khwahishon ki koyi seema nahin
apne jeevan mein hum kitne sapne bunte hain..
aane waale kal se kitni aashayein rakhte hain...
aur unhein paane ki koshish bhi karte hain...
Par kayi baar koshishein nakaam hoti hain aur phir aata hai hataasha aur nirasha ka daur
Itihaas gavaah hai ki jo log in asaphaltaaon ko man se pare rakh phir se usi josh-o-kharosh ke sath apne lakshya ki oor chal padte hain, saphalta unhin ka kadam choomti hai.

15 vein paaydan ka ye geet insaan ki isi Never Say Die spirit ki yaad dilata hai. Ise behad khoobsurti se gaaya hai Shafqat Amaanat Ali Khan ne. Waise to Shafqat is geetmala mein ek baar aur hazir honge par jo log unhein nahin jaante unke liye itna bataana munasib hoga ki, ve Ustaad Amaanat Ali Khan ke suputra hain aur shaastreey sangeet ke Patiyala Gharane se talluk rakhte hain. Filhaal unki ginti Pakistan ke agrani gaayakon mein hoti hai.
Dor film ke is geet ko likha haii Janaab Meer Ali Hussain ne aur iski dhun banayi Salim aur Sulemaan Merchant ki jodi ne.
To meri salaah ye hai doston ki jab bhi mayoosi aapke dilon mein ghar banaane lage, is geet ko juroor sunein..aapke andar ki aawaaz aapko phir utsaahit karegi us muqaam tak pahuchne ki jiski iksha aapne man mein sanjoyi huyi hai

Ye hausla kaise jhuke,yeh aarzoo kaise ruke ?
manzil mushkil to kya, dhundhla saahil to kya,
tanha ye dil to kya Ho....

raah pe kante bikhre agar,
uspe to phir bhi chalna hi hai,
shaam chhupale suraj magar,
raat ko ek din dhalna hi hai,
rut ye tal jayegi,
himmat rang layegi,
subha phir aayegi Hoooo
Ye hausla kaise jhuke,yeh aarzoo kaise ruke ?

Hogi humein jo rehmat ada,
dhoop kategi saaye tale,
apni khuda se hai ye dua,
manzil lagale humko gale
zurrat sau baar rahe, ooncha ikraar rahe,
zinda har pyar rahe ho....
Ye hausla kaise jhuke,yeh aarzoo kaise ruke ?
Is geet ko aap yahan bhee sun sakte hain.

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें

बुधवार, जनवरी 17, 2007

Geet # 16 : Ye Saajish hai Boondon Kee...Dekho Naa

To thoda saa roomaani hua jaye :) ?

Kam se kam is geet ko sunne ke baad kuch asar to hoga juroor agar wo bhi aas paas ho kahin :p
Pesh hai 16 vein paaydaan par ek behad hi romantic geet jise apni aawaaz se sanwaara Sonu Nigam aur Sunidhi Chouhan ne. Iski mohak dhun banayi Jatin Lalit ne. Fanaa ke is geet ko likha Prasoon Joshi ne . Lyrics ke hisaab se ye is film ka sabse pyara geet hai.
Barish ki girti boondein ke sath gar balkhati mast hawa ho, to dil mein sulagti aag ko bhadakne se bhala kaun rok sakta hai.

Baad mein bhale aap sara ilzaam us muyi besharm see hawa par lagayein ya aasmaan se lagataar risti us phuhaar par jiski sangat mein aapke humsafar ka roop kuch yoon nikhar aaya ki aapki khwahishein belagaam ho uthin.

Ab Sonu aur Sunidhi milkar to dikha hi rahe hain..aap bhi dekhiye naa

ye saajish hain boondon ki koi khwaahish hain chup chup si
ye saajish hain boondon ki koi khwaahish hain chup chup si
dekho na dekho na....., dekho na dekho na........
hawa kuchh haule-haule zubaan se kya kuchh bole
kyon doori hai ab darmiyaan
dekho na dekho na, dekho na dekho na

phir na hawayen hogi itani besharam
phir na dagmag- dagmag honge yeh kadam
haa... saawan yeh seedha nahi khufia bada
kuchh to baraste huye keh raha
samjho na samjho na...samjho na samjho na ..
hawa kuchh haule-haule zubaan se kya kuchh bole
kyon doori hai ab darmiyaan
dekho na dekho na....., dekho na dekho na ...
jugnu jaisee chahat dekho jale bujhe
meethi si mushkil hai koi kya kare
hmmm.... hothon ki arzi aaise thukraaon na
saanson ki marzi ko jhuthlaaon na
chhoo lo na chhoo lo na ....chhoo lo na chhoo lo..

hawa kuchh haule haule zubaan se kya kuchh bole
na doori hai ab darmiyaan
dekho na dekho na....
Is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.



देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

सोमवार, जनवरी 15, 2007

Varshik Sangeetmala Geet No. 17 : Subah Subah Ye Kya Hua...

Kabhie pareshan to kabhie hairaan karti zindagi...
roz roz ki wahi bhag daud...
jee nahin karta aapka ki kabhie nikal padoon us anjaan raah ki or..
chintaon ki dilo dimaag se door jhatakte huye..
bas sath ho to sirf wo ithilati hawa aur muskurati fizaa..

Kya kaha ?
Office se chutti nahi milegi....
Aur mil bhi jaye to gharwali aur bachche bhi sath latak lenge.
ha ha ha ha..

Koi nahi jee iska bhi upaay hai humare paas. Bas jhat pat achche man se ye sfoortidayak geet sun leejiye, aap shartiya man ko taro taza aur halka mehsoos karenge.

Varshik sangeetmala ki 17 vein paaydaan ke is geet ko gaya hai ek navodit gayak ne. Inka talluk ek aise rajya se hai jis rajya ne Bhupen Hazarika jaisi aawaaz humari film Industry ko dee yani Assam se. Jee haan main baat kar raha hoon Zubeen Garg ki jinka Gangster ke liye gaya geet Ya Ali pehle hi behad lokpriya ho chuka hai.
Subah subah ye kya hua
na jaane kyun ab main hawaaon mein chal raha hoon
nayi subah nayi jagah
nayi tarah se nayi dishaaon mein chal raha hoon
nayi nayi hain meri nazar ya hain nazaarein naye
yaa dekhate khwab main chal raha hoon


Subah subah ye kya hua
na jaane kyon ab main hawaayon mein chal raha hoon
nayi subah nayi jagah
nayi nazar se naye nazaare main dekhata hoon
ye gungunaata hua sama, ye muskuraati fiza
jahaan ke saath main chal raha hoon


subah subah ye kya hua
na jaane kyon ab main hawaayon mein chal raha hoon


jo abhi hai usi ko jee lein, jo jiya wo ji liya
wo nasha pee liya
kal nasha hai ek naya jo, na kiya to kya jiya
har pal ko pee ke agar dil na bhar diya
subah subah ye kya hua
na jaane kyon ab main hawaayon mein chal raha hoon
nayi subah nayi hava
nayi tarah se nayi dishaayon mein chal raha hoon
mein chal raha hoon


Film I See You ke is geet ki karnapriya dhun banai hai Vishal Shekhar ki jodi ne aur bol likhe Vishal ne.


Song sunne ke liye
yahan click karein.


देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

शनिवार, जनवरी 13, 2007

Geet # 18 : Mohe Mohe Tu Rang De Basanti...

Bin rangon ke zindagi kitni saadi kitni manhoosiyat liye hogi .
Aisi zindagi ki kalpana karte huye bhi dar sa lagta hai, ek uljhan si hoti hai
Mujhe to lagta hai ki rang zindagi ke urjaa shrot hain
Humare manobhavon ko utprerit karne ki achook shakti hai inmein..


Ab is geet ko hi lein, yahan Prasoon Joshi ji ka tan-man basanti rang se tar ho gaya hai.
18 vein seedhi par khada, Rang De Basanti ka ye geet aapne sun liya to aapke basanti rang mein rangne ki guarantee meri.
A.R.Rahman ki sureeli dhun aur Daler Mehandi ki joshili aawaaz ka adbhut sangam hai ye nagma.
Prasoon Joshi ne 2004 mein apne kavyamay geeton se mera dil jeet liya tha. Is geet ke bol yani lyrics mein ek masti hai , umang hai jo dil ko chhoo jati hai

thodi si dhool meri dharti ki mere watan ki
thodi si Khushboo baurai si mast pavan ki
thodi si dhaunkne waali dhak-dhak dhak-dhak dhak-dhak saansein
jin mein ho junoon junoon vo boondein laal lahuu ki
yeh sab tuu mila mila le phir rang tuu khila khila le
aur mohe tu rang de basanti yaara mohe tu rang de basanti

sapne rang de, apne rang de
khushiyaan rang de, gam bhi rang de
naslein rang de, faslein rang de
rang de dhadkan, rang de sargam
aur mohe tu rang de basanti yaara mohe tu rang de basanti

dheemi aanch pe tuu zara ishq chadha
thode jharne laa, thodi nadi mila
thode saagar aa, thodi gaagar laa
thoda chhidak chhidak, thoda hila hila
phir ek rang tu khila khila
mohe mohe tu rang de basanti yaara, mohe tu rang de basanti

basti rang de, hasti rang de
hans hans rang de, nas nas rang de
bachpan rang de, joban rang de
ab der na kar sachmuch rang de
rang rez mere sab kuchh rang de
mohe mohe tu rang de basanti yaara, mohe tu rang de basanti

Is geet kee link tak pahunchne ke liye yahan
click karein.

Devnaagri mein ye post
yahan padhein.

शुक्रवार, जनवरी 12, 2007

Geet # 19 : Chand Sifarish Jo Karta Humari...

Office ke kaam kaaz se mujhe Banglore ke paas Bhadravati mein jana pada aur isi wazah se is geetmala par mujhe pichle chaar dinon se ek break lagana pada :(.

To aap sab taiyaar hain naa chalein seedhiyan chadhne :).
19 vein paaydaan par ke is geet mein to kayi khaas baat hain aur unmein se pehli khaas baat to ye ki iske geetkaar, sangeetkaar aur yahan tak ki gayak bhi pehli baar is geetmala mein pravesh kar rahe hain.

Jee haan, is geet ko likha Prasoon Joshi ne dhun banayi Jatin-Lalit ne aur gayak wo jinke main aaj sakshat darshan kar ke aa raha hoon yani Shaan. Jee haan, aaj Banglore se Kolkata ki flight par jab hum log Kolkata utre to dekha ki ye janab humare sath hi usi vimaan mein the.

Ab saamne na bhi sahi par TV ke parde par Sa Re Ga Ma mein aap sab in se roobaru ho hi chuke honge.
Waise 2000 ke unke hit album Tanha Dil ke baad se Shaan yani Shantanu Mukherjee ne peeche mud kar nahin dekha. Is geet ki lokpriyta mein Shaan ki surmayi aawaaz ka kaphi hath hai.

Aur gar aapne ye geet dhyaan se suna ho to iski ek aur khasiyat ki or juroor aapka dhyaan gaya hoga yaani geet ke beech taali yani clapping ka khoobsoorat istemaal. Waqai Jatin Lalit sahab iske liye badhai ke patra hain. Geet ke bol kuch yoon hain

shubhan allaah......................................................
chand sifarish jo karta hamari, deta wo tumko bata
sharm-o-haya ke parde gira ke, karni hai hamko khata
zid hai ab to hai khud ko mitana,hona hain tujhmein fanaa
chand sifarish jo karta hamari deta wo tumko bata
sharm-o-haya ke parde gira ke karni hai hamko khata

teri ada bhi hai jhonke wali , chhu ke gujar jaane de
teri lachak hai ke jaise daali dil mein utar jaane de
aaja baahon mein karke bahana, hona hain tujh mein fanaa
chand sifarish jo karta hamari, deta wo tumko bata ....

hain jo iraade bata doon tumko sharma hi jaaogi tum
dhadkanein jo suna doon tumko ghabraa hi jaaogi tum
hamko aata nahi hain chhupana hona hain tujhmein fanaa
chand sifarish jo karta hamari, deta wo tumko bata ....


Chalte chalte ek sawaal aap sab se..kya aapko pata hai ki is geet ki shuruaat mein jo Shubhan Allaah ki madhur taan sunayi deti hai wo kisne gayi hai ?

Geet Sunne aur is prashna ka jawab jaanne ke liye aap is link par jaa sakte hain.

सोमवार, जनवरी 08, 2007

Geet # 20 : Bas Yahi Soch Kar Khamosh Main Reh Jaata Hoon..

Upar ki seedhiyan chadhte chadhte hum aaj 20 vein paaydaan par pahunch gaye hain. Aur aaj yahan viraajmaan hain mere ek aur priya gayak Abhijeet sahab Unns ke is geet ke sath, kabhi kuch khamosh se, kabhi khud hi sawal karte huye aur phir khud hi unka jawab dete huye.

Ab ye saari symptoms to samajh hi aa gayi hongi aapko.:)
Matlab ye ki yahan maamla bilkul ektarpha hai. Ab kya karein ye janab bhi, humare hindustan mein adhiktar maamle hote hi aise hain. Waise humare Abhijeet ji khamosh to kam hi rahte hain. Haal philhaal mein ZEE TV ke Little Champs mein aap iska saboot dekh hi chuke hain . Isiliye jab itne pyar aur bholepan se unhone humein apni khamoshi ki daastaan sunane ki peshkash kee to humein laga chalo sun hi lete hain.

bas yahi soch ke khaamosh main reh jata hoon
ke kisi roz to is baare mein tum sochogi
main tumhein dekh ke kyon aise machal jata hoon
jagmaga uthti hai kyon meri nigaahen ekdum
main hamesha issi jaanib kyoon chala aata hoon
kuchh to kehna hai mujhe baat koi to hogi
mujhse tum khud hi ishaare se kabhi poochogi
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon

bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
ke agar hausala karke main tumhein keh bhi doon
to kahi toot na jaaye ye bharam darta hoon
jisne masoom banaya hai tumhare dil ko
jiske saye mein tumhein apana kaha karta hoon
yeh bharam gham ke dhuein mein na kahin kho jaaye
dil ke jajbon ki na tauheen kahin ho jaaye
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon

yun agar sun bhi liya tumne meri baaton ko
thaam bhi logi chalo maana mere haathon ko
apani aankhon ke sitaaron se jagaogi mujhe
apani aagosh ki khushbu mein basaogi mujhe
aur jab tum meri pehchaan si ban jaaogi
jaan keh keh ke meri jaan si ban jaaogi
log aa jaayenge phir beech mein lekar rasmein
mujhse gumrah karenge tumhein karke bas mein
yeh bhi ho sakta hai duniya se tum takra jaao
yeh bhi ho sakta hai ruswaai se ghabra jaao
aur mumkin hai ke nazaron se gira do mujhko
tum hamesha ke liye dard bana do mujhko
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon

Navodit sangeetkaar Sujeet Shetty aur geetkaar Shaheen Iqbal ki is seedhi sadhi par dil choo lene wali is peshkash ko aap yahan sun sakte hain.

रविवार, जनवरी 07, 2007

Geet # 21 : Kya Mujhe Pyaar Hai ...

21 vein number par is geetmaala mein doosri baar Kay Kay maujood hain is masti mein doobe roomanyat bhare geet ke sath. Film hai Wo Lamhe aur iske khoobsurat bol likhe Neelesh Misra ne aur dhun banayi ya yoon kahein ki dhun churai :p Pritam (Dhoom wale) ne .

'Is geet ki dhun ko lift kiya gaya hai hai Indonesian band Peterpanke album Tak bisakah' se
Is Website ke anusar

"Tak bisakah' means, Couldn't you? and is by one of Indonesia's most popular and successful pop groups, Peterpan. This track was part of the soundtrack of an Indonesian teen flick, 'Alexandria' (2005) and is apparently incredibly popular in those parts of the world!"

Khair phir bhi ye geet sunne ke baad aap apne aap ko halka phulka aur taro taza mehsoos karenge khaaskar tab jab aapko bhi kise se pyar ho :)

kyun aajkal neend kam khwaab jyada hai
lagta khuda ka koi nek iraada hai
kal tha fakir, aaj dil shehzada hai
lagta khuda ka koi nek iraada hai
kya mujhe pyar hai..... yaaa
kaisa khumaar hai.... yaaa

pathhar ke in raston pe
phoolon ki ek chadar hai
jab se mile ho hamko
badla har ek manzar hai
dekho jahaan mein neele neele aasmaan tale
rang naye naye hain jaise ghulte hue
soye se khwaab mere jaage tere waaste
tere khayaalon se hai bheege mere raaste
kya mujhe pyar hai..... yaaa
kaisa khumaar hai.... yaaa


Is geet ko aap
yahan sun sakte hain

शनिवार, जनवरी 06, 2007

Geet # 22 : Tere Pyaar Mein Aise Jiye Hum...

22 vein paaydaan par gaana vo jise gaya us gayak ne jinhein Kishore Da ke INITIALS se jyada aur 'Krishna Kumar Menon ' ke naam se kam jaante hain. Pichle saal TV ke parde par ye Fame Gurukul ki jury par bhi nazar aaye the. Ab to aap samajh hi gaye honge ki ye aur koyi nahin balki Kay Kay' हैं । Waise to 'Machis' mein 'Chhod Aaye Hum wo Galiyan 'se bharteey sangeet jagat mein unhone apni upasthiti ka ehsaas darz karaya tha par jab unke geet 'Hum Dil de Chuke sanam ke is Geet

Tadap Tadap ke is dil se aah nikalti rahi ...


ko jab suna to KK ki pratibha ka andaza lag saka. Par abhi bhi Kay Kayko apna poora hunar dikhane ke paryapt avsar nahin mile hain aur mujhe to inse kaaphi umeedein hain aage ke liye.
Bas Ek Pal ke is geet ki dhun banayi hai yuva sangeetkaar Mithun ne aur iske bol likhe hain 'Amitabh Verma' ne. poora geet to nahin par uske ek stanza pesh hai aapke liye

Suna hai mohabbat ki taqdeer mein , likhe hain andhere ghane
tabhi aaj shayad sitare sabhi jara sa hi raushan huye
mere hath ki in lakeeron mein, likhe abhi aur kitne sitam
khafa ho gayi hai khushi, waqt se ho rahe hain meharbaan gham


Tere pyaar mein, aise jiye ham
jala hai ye dil, ye aankhein huyi nam..bas ek pal...


Is geet ko aap
yahan sun sakte hain

बुधवार, जनवरी 03, 2007

Geet # 23 : Chand Ho Tum Chaandni Se Bheega Jaye Man..

Leejiye kitni der se intzaar kar rahe the ki we aayein jald hi aa jayein ...par aakhir ve kyun nahin aa rahe?... kahin bhatak to nahin gaye..aur jab sachmuch aa gaye to ye suniye...main na kahti thi ki ve juroor aayenge...kabhie sanshay, kabhie bechaini, kabhi aas aur aane par sab bate bhula kar dher sara umadta pyaar..shayad ishq mein sab aisa hi karte hain.

To waise to aap sab samajh hi gaye honge par phir bhi kahe dete hain ki saajan ke aane ka isteqbaal karta 23 vein seedhi ka ye geet prem ke manobhavon se ootprot hai. Ise apni meethi aawaz di hai Shreya Ghoshal aur Sonu Nigam ne. Dhun banayi aur shabda diye Anand Raaj Anand ne



sajan ghar aana tha sajan ghar aaye hain
sajan ghar aana tha sajan ghar aaye hain
piya man bhaana tha piya man bhaaye hain
har khushi hai ab tumhari mujhe de do gham
jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman

sajan ghar aana tha sajan ghar aaye tum
piya man bhaana tha piya man bhaaye tum
har khushi hai ab tumhari mujhe de do gham
jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman

zindagi mein aaye tum chahton ke raste
ho zindagi mein aaye tum chahton ke raste
kaash yeh raste sanam kat jaayein haste haste
sone dildara tere pyar to main variyaan
meriya duavaan tainu lag jaan sariyaan

chand ho tum chandni se bheega jaaye man
jaaneman, jaaneman, jaaneman, jaaneman

khwabon ke is ghar ki khair kare o rabba
khwabon ke is ghar ki khair kare o rabba
door tale kalesh aur bair kare o rabba
naazon se badi maine kari hain taiyyariyaan
din raat pyar diyan nazraan utariyaan
yeh mohabbat hai ibadat kabhi ho na kam
janeman, janeman, janeman, janeman

aagosh mein meri zulph sanwaroon teri
chahat ke rangon se main maang saja doon teri
maahiya ve aaj mainu aaive kyon ve lagda
aashiq je sachha hove roop honda rab ka
hum yahan hain tum yahan ho, hone do milan
janeman, janeman, janeman, janeman


Lyrics taken from this
blog with some minor correction on my side.

'Aryan ' ke is pyare geet ko aap
yahan sun sakte hain

मंगलवार, जनवरी 02, 2007

Geet # 24 : Vaada Tainu Yaad Raakhiyo...

Isse pehle ki 24 no. ke is geet ke bare mein kuch kahoon ye saaf kehna chahoonga ki Himesh Reshamiya as a music composer to mujhe achche lagte hain par unka nasal tone liye huye gayaki ka tareeka aur geeton se uthta juroorat se jyada shor mujhe kabhie pasand nahin aaya. Par aaj desh mein unki lokpriyta ka aalam ye hai ki shadi-vivah ki shayad hi koi party ho jismein unke gane na bajte hon. Isi wazah ye hai ki aisi jaghon par geet ki lay par logon ka dhyaan jyada rahta hai, aakhir shabdon ke peeche kaun mathapachchi kare.

Par Himesh ka gaya is geet ka sangeet behad madhur hai. Harmonium, Bansuri aur Guitar ka antare ke beech beech mein behtareen use kiya hai unhone. Saadgi bhare shabdon mein geet ka mukhda aur uski sureeli dhun der tak zehan se bahar nahin jati aur man gunguna uthta hai...

vaada tainu yaad rakhiyo
door jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na door
tere bin dil nahi laage
toote na vafaa ke dhaage
mainu nai jhooth boliya
door jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na door ...



'Aap Ka Suroor' se liye is geet ko aap
yahan sun sakte hain.

सोमवार, जनवरी 01, 2007

Geet # 25 : Aaj ki Raat, Hona hai Kya , Paana hai Kya, Khona hai Kya

31 December ki raat beet chuki hai. Patakhon ka shor abhi bhi thama nahin hai. Aise jashna ke mahoul mein shuruaat ek aise geet se jise gaya Alisha Chinoy, Mahalaxmi Iyer aur Sonu Nigam ne. Dhun banayi Shankar -Ehsaan- Loy ki tikdi ne aur bol likhe Javed Akhtar sahab ne..

Haan ji sahi pehchana aapne ye geet hai film DON ka jise mauj masti ke mahoul mein agar sunein to pair khud ba khud thirakne lagenge. Waise 25 wi paaydan ke liye is geet ka muqabla tha Bhagambhag ke do geeton se. Unmein se ek to tha Signaaaaal aur Doosra Ek crore mein bana uska title song . Aaj kal chuttiyon mein main aur mera 5 saal ke beta use hi high volume pe baja kar dance karte hain ;)

Par DON ko hata pana mushkil tha . Afterall this was one of the best new song which they have added in the new DON. To naye sal ki aane wali shaam mein mast ho jaiye ye sochte huye ki aaj ki raat na sahi par is poore pichle saal mein humne kya khoya aur kya paya.


Shaam hai, jam hai aur hai nasha
Tann bhi, mann bhi hai, pighla hua
Chhaaee hai rangeeniyan
Phir bhi hai betaabiyan

Kyon dhadakta hai dil
Kyon ye kehta hai dil
Deewanon ko ab tak nahin hai ye pata

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Do ghadi mein hi yahan jaane kya hoga
Jo humesha tha mera, phir mera hoga
Kaun kiske dil mein hai faisla hoga
Faisla hai yahi…jeet hogi meri
Deewanon ko ab tak nahin hai ye pata

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya

Aao main tumse kahoon baat chupke se
Rang badalegi pal mein raat chupke se
Tumko le jaaoonga phir saath chupke se

Jaaoge tum kahan
Dekho mein hoon yahan

Deewanon ko ab tak nahin hai ye pata

Aaj ki raat, hona hai kya
Paana hai kya, khona hai kya


Click here to listen this song.