बुधवार, जनवरी 17, 2007

Geet # 16 : Ye Saajish hai Boondon Kee...Dekho Naa

To thoda saa roomaani hua jaye :) ?

Kam se kam is geet ko sunne ke baad kuch asar to hoga juroor agar wo bhi aas paas ho kahin :p
Pesh hai 16 vein paaydaan par ek behad hi romantic geet jise apni aawaaz se sanwaara Sonu Nigam aur Sunidhi Chouhan ne. Iski mohak dhun banayi Jatin Lalit ne. Fanaa ke is geet ko likha Prasoon Joshi ne . Lyrics ke hisaab se ye is film ka sabse pyara geet hai.
Barish ki girti boondein ke sath gar balkhati mast hawa ho, to dil mein sulagti aag ko bhadakne se bhala kaun rok sakta hai.

Baad mein bhale aap sara ilzaam us muyi besharm see hawa par lagayein ya aasmaan se lagataar risti us phuhaar par jiski sangat mein aapke humsafar ka roop kuch yoon nikhar aaya ki aapki khwahishein belagaam ho uthin.

Ab Sonu aur Sunidhi milkar to dikha hi rahe hain..aap bhi dekhiye naa

ye saajish hain boondon ki koi khwaahish hain chup chup si
ye saajish hain boondon ki koi khwaahish hain chup chup si
dekho na dekho na....., dekho na dekho na........
hawa kuchh haule-haule zubaan se kya kuchh bole
kyon doori hai ab darmiyaan
dekho na dekho na, dekho na dekho na

phir na hawayen hogi itani besharam
phir na dagmag- dagmag honge yeh kadam
haa... saawan yeh seedha nahi khufia bada
kuchh to baraste huye keh raha
samjho na samjho na...samjho na samjho na ..
hawa kuchh haule-haule zubaan se kya kuchh bole
kyon doori hai ab darmiyaan
dekho na dekho na....., dekho na dekho na ...
jugnu jaisee chahat dekho jale bujhe
meethi si mushkil hai koi kya kare
hmmm.... hothon ki arzi aaise thukraaon na
saanson ki marzi ko jhuthlaaon na
chhoo lo na chhoo lo na ....chhoo lo na chhoo lo..

hawa kuchh haule haule zubaan se kya kuchh bole
na doori hai ab darmiyaan
dekho na dekho na....
Is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.



देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

6 टिप्‍पणियां:

  1. Koi shaq nahi...iss geet mein jo nazukpan larajta hai woh Sonu aur Shreya ka hee kamaal hai :)
    aur to aur Prasoon Joshi is in form no doubt abt it
    kudos...shukriya share karne ka
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. I LOVE this song!!! The words and the music are both fabulous!
    But I thought that Sunidhi Chauhan sung this song....

    जवाब देंहटाएं
  3. arrey haan it is Sunidhi - it seems Manish is taken up by Shreya's voice :))

    ..

    indeeed a lovely song - some words are used very beautifully i think, like 'saazish hai boondon ki' and 'saawan yeh seedha nahin khufiya bada'

    :)

    जवाब देंहटाएं
  4. DON hmmm sahi..


    PR aaj din mein tumhara comment dekha to apni bhool ka ehsaas hua aur turant correction kee . Thx for pointing it out :)

    Suparna Ye to sarasar ghalat ilzaam hai :p
    aapke comment post karne ke pehle hi correction kar lee thi maine .
    Anyway Shreya voice is really sweet par Sunidhi bhi bahut achcha gaati hain.

    जवाब देंहटाएं
  5. check kijiye sir - poora correct nahin hua hai, ek jagah correction chhoot gaya hai -
    mera ilzaam theek nishaane par laga hai :P

    hehehehe

    जवाब देंहटाएं
  6. ha ha ha ha, Achcha to aapne humein idhar se nahin to udhar se pakad hi liya :p

    Chaliye ji aap logon ki painee nazar isi tarah in posts pe bani rahe :)

    Ab chalein wahan bhi sudhaar kar lein.

    जवाब देंहटाएं