रविवार, जनवरी 21, 2007

Geet # 14 : Gulzar, Jagjit aur Main.....Kya Batayein Ki Jaan Gayi Kaise ?

Is geetmaala ki 14vein kadi sangam hai un do shaksiyaton ka jinhone mere geet sangeet ki ruchiyon par khasa asar daalaa hai. Highschool se lekar aaj tak maine inhein bade chaav se suna hai. Pehle baat Jagjit Singh kee. Mere khyaal se urdu shayari ko meri generation mein lokpriya bannane mein sab se bada hath unhin ka hai. Bhale hi ab unki gaayiki purane dinon ki terah wo asar nahin chhodti. Phir bhi Jagjit Jag Jeet hi hain ;). kam se kam bharat mein un jaisa ghazal gayak paida nahin hua.

Aur Gulzar...! unki to baat hi kya hai. Unke geet sunte sunte hi pale badhe hain. Unki har nayi film aur album ka abhi bhi besabri se intezaar rahta hai. Aur yahi wazah hai ki is geetmala mein yahan se pehli seedhi tak wo aap sab se aat baar mukhatib honge.

Gulzar ke geet apni terah ke hote hain. shabda to vo mamooli istemaal karte hain par unke maayne itne seedhe nahin hote. uske liye aapko dheere dheere unki tah tak pahuchna padta hai. Gulzar se aap seedhe pooch lein ki in panktiyon se aap kya maayne nikaalte hain to aksar unka jawaab yahi rahta hai ki ve iski vyaakhya kar shrotaaon ki soch ka daayra sankuchit nahin karna chaahte.

To chalein Gulzar aur Jagjit ke saath is ghazal ke safar par

ud kar jaate huye panchhi ne bas itna dekha
der tak hath hilaati rahi vo shaakh fiza mein

alvida kahti thi ya paas bulati thi use ?

Kabhie un purane palon mein jhankiye. Kya unmein se kuch aise nahin jinhein aap harghiz nahin jeena chahte. Shayad wo pal kuch aise sawaalon ki yaad dila dein jinke bare mein sochna hi behad taqleefdeh ho.

kya batayein ki jaan gayi kaise?
phir se dohrayein vo ghadi kaise ?

Kabhie yoon hua ho ki zindagi ke raaston mein koyi Chaand sa mil gaya hoga ho...Are mila to tha tabhie to seene ki vo kasak rah rah kar ubharti hai ...

kisne raste mein chaand rakha tha
mujhko thokar wahan lagi kaise ?

samay ke aage daudne ki koshish karna kabhie kabhie behad bhaari padta hai..vo kehte hain naa ki sab kaam apne niyat waqt par hote hain phir ye aapadhaapi kyun ?

waqt pe paanv kab rakha humne
zindagi munh ke bal giri kaise?

Pyaar mein ruswwayi huyi par dil ki jalan chup chaap in aansuon ne aatmasaat kar lee. Par nainon ki tapish kya kisi se chup sakti hai...jidhar bhi padengi kuch to jaleyengi hee.

aankh to bhar gayi thi paani se
teri tasweer jal gayi kaise
?

Itne dinon ka saath bhala koyi yoon hi bhool sakta hai. Tumne to bas keh diya ki mere zehan ki waadiyon mein tumhari parchaayi bhi nahin phatakti. Par yahan ye hichkiyaan to kuch aur hee kahaani kah rahi hain .

hum to ab yaad bhi nahin karte
aapko hichki lag gayi kaise ?

Koyi Baat Chale se lee gayi is ghazal ko aap yahaan bhi sun sakte hain.
देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

5 टिप्‍पणियां:

  1. managed to get the complete album, but not sat down to listen to it yet..

    is mein mujhe woh lines bade acche lage -

    kisne raste mein chaand rakha tha
    mujhko thokar wahan lagi kaise ?

    जवाब देंहटाएं
  2. waqt pe paanv kab rakha humne
    zindagi munh ke bal giri kaise....

    Its a beautiful ghazal...

    जवाब देंहटाएं
  3. Suparna hmmm achcha sher hai wo..par mujhe to is ghazal ke sare sher hi achche lagte hain :)

    PR Its from album 'Koi Baat Chale " in which Gulzar's ghazal and triveni's are sung by Jagjit Singh. There is a link in the post itself which will take u to the musicindia site.

    Neptune Are aap to itne itne dinon baad dikhti hain :). Sab khairiyat to ? waqai achcha sher hai ye.

    जवाब देंहटाएं
  4. Mujhe yaqeen tha ye geet yahan zaroor aayega :)
    bahut khoob
    Cheers

    जवाब देंहटाएं