Upar ki seedhiyan chadhte chadhte hum aaj 20 vein paaydaan par pahunch gaye hain. Aur aaj yahan viraajmaan hain mere ek aur priya gayak Abhijeet sahab Unns ke is geet ke sath, kabhi kuch khamosh se, kabhi khud hi sawal karte huye aur phir khud hi unka jawab dete huye.
Ab ye saari symptoms to samajh hi aa gayi hongi aapko.:)
Matlab ye ki yahan maamla bilkul ektarpha hai. Ab kya karein ye janab bhi, humare hindustan mein adhiktar maamle hote hi aise hain. Waise humare Abhijeet ji khamosh to kam hi rahte hain. Haal philhaal mein ZEE TV ke Little Champs mein aap iska saboot dekh hi chuke hain . Isiliye jab itne pyar aur bholepan se unhone humein apni khamoshi ki daastaan sunane ki peshkash kee to humein laga chalo sun hi lete hain.
bas yahi soch ke khaamosh main reh jata hoon
ke kisi roz to is baare mein tum sochogi
main tumhein dekh ke kyon aise machal jata hoon
jagmaga uthti hai kyon meri nigaahen ekdum
main hamesha issi jaanib kyoon chala aata hoon
kuchh to kehna hai mujhe baat koi to hogi
mujhse tum khud hi ishaare se kabhi poochogi
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
bas yahi soch ke khaamosh main reh jata hoon
ke kisi roz to is baare mein tum sochogi
main tumhein dekh ke kyon aise machal jata hoon
jagmaga uthti hai kyon meri nigaahen ekdum
main hamesha issi jaanib kyoon chala aata hoon
kuchh to kehna hai mujhe baat koi to hogi
mujhse tum khud hi ishaare se kabhi poochogi
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
ke agar hausala karke main tumhein keh bhi doon
to kahi toot na jaaye ye bharam darta hoon
jisne masoom banaya hai tumhare dil ko
jiske saye mein tumhein apana kaha karta hoon
yeh bharam gham ke dhuein mein na kahin kho jaaye
dil ke jajbon ki na tauheen kahin ho jaaye
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
yun agar sun bhi liya tumne meri baaton ko
thaam bhi logi chalo maana mere haathon ko
apani aankhon ke sitaaron se jagaogi mujhe
apani aagosh ki khushbu mein basaogi mujhe
aur jab tum meri pehchaan si ban jaaogi
jaan keh keh ke meri jaan si ban jaaogi
log aa jaayenge phir beech mein lekar rasmein
mujhse gumrah karenge tumhein karke bas mein
yeh bhi ho sakta hai duniya se tum takra jaao
yeh bhi ho sakta hai ruswaai se ghabra jaao
aur mumkin hai ke nazaron se gira do mujhko
tum hamesha ke liye dard bana do mujhko
bas yahi soch ke khaamosh main reh jaata hoon
Navodit sangeetkaar Sujeet Shetty aur geetkaar Shaheen Iqbal ki is seedhi sadhi par dil choo lene wali is peshkash ko aap yahan sun sakte hain.
Unns dekhne ki iccha rahi lekin mauqa nahi mil saka ab tak! isiliye is geet ko sun ne ka awsar bhi nahi mila..! Bol to acche lag rahe hein isiliye ise sunoongi zaroor!
जवाब देंहटाएंyahan musiconline kuch prob de raha hai isiliye sun nahi pa rahi hoon...
sun ne ke baad likha jayega ;)
tab tak ke liye
take care
cheers- good luck 20 tak pahunch gaye :D
Loved reading the post
जवाब देंहटाएंHi Manish
जवाब देंहटाएंAapke is saal ke countdown ko enjoy karne aa gayee hoon. Peechle saal ise dauran aap se dosti hui thee, nahi pehchaana? :P
Hamesha ki tarah aap ka blog padhne mein, aur un geeton ko sunne jo maine poore saal mein kabhi nahi sune - bohat mazaa aa raha hai. Entertain karne ka bohat shukriya. Umeed hai ke you are doing good. Take care and wish you a very happy and contented 2007.
Oh, ek request hai - aap please aapke musicindia wale link ko new window mein open keejiye. Is tarah link kholne ke baad, aapka blog lost nahi hoga aur waapis aane mein back button use nahi karna padega. Here's how you do it, if you don't know. Thanks!!
I've not heard this song...
जवाब देंहटाएंDON aur PR I will try to send the song in ur mail soon :)simple sa par sweet song hai ye.
जवाब देंहटाएंAnonymous tumne bahut chakkar mein daal diya.. pichli music countdown mein teen char naye frens bane the...phir bhi ek naam loon to Zombie..aur do mein Divya ko bhi add karna padega :p
जवाब देंहटाएंAm I right?
Waise suggestion ke liye shukriya. I have incorporated it in my new post.
Marthvan Welcome here ! tareef ka shukriya aate rahein :)
जवाब देंहटाएंManish
जवाब देंहटाएंYakeenan aap mujhe bhool gaye. Apne dost, humdum list se bhi hata diya :) khair koi baat nahi. Suggestion incorporate karne ka thanks. Take care!
Humari yaddasht itti kamzor nahin :) par aapne clue ghalat diya to kya karein . U first came to my blog much before the countdown .
जवाब देंहटाएंaur haan chalte chalte ye Kamlesh Bhatt Kamal ka sher aapke liye anonymous ;)
जवाब देंहटाएंJab bahut din tak nahin koyi khabar aayi gayi
aap humse, aapse hum bekhabar se ho gaye