Isse pehle ki 24 no. ke is geet ke bare mein kuch kahoon ye saaf kehna chahoonga ki Himesh Reshamiya as a music composer to mujhe achche lagte hain par unka nasal tone liye huye gayaki ka tareeka aur geeton se uthta juroorat se jyada shor mujhe kabhie pasand nahin aaya. Par aaj desh mein unki lokpriyta ka aalam ye hai ki shadi-vivah ki shayad hi koi party ho jismein unke gane na bajte hon. Isi wazah ye hai ki aisi jaghon par geet ki lay par logon ka dhyaan jyada rahta hai, aakhir shabdon ke peeche kaun mathapachchi kare.
Par Himesh ka gaya is geet ka sangeet behad madhur hai. Harmonium, Bansuri aur Guitar ka antare ke beech beech mein behtareen use kiya hai unhone. Saadgi bhare shabdon mein geet ka mukhda aur uski sureeli dhun der tak zehan se bahar nahin jati aur man gunguna uthta hai...
vaada tainu yaad rakhiyo
door jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na door
tere bin dil nahi laage
toote na vafaa ke dhaage
mainu nai jhooth boliya
door jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na jaiyyo jaiyyo na door ...
'Aap Ka Suroor' se liye is geet ko aap yahan sun sakte hain.
Naye saal ki shubhkamnayein Manish
जवाब देंहटाएंHimesh ke baare mein jo tumne kaha oos se mein bilkul sehamat hoon...sahi kaha ke oonki sangeet badh karne ki ada waqai acchi hai lekin oonhone apni awaz geeton ko dekar na jaane kyun ek monotonous chaap chor diya hai...! oonke kuch geet pasand hain aur oonmein se ye ek hai ....accha laga dekhkar ke hamari rai yahan bhi milti hai ;)
जवाब देंहटाएंCheers dear
Nagu Shukriya !
जवाब देंहटाएंDON haan ji music ke bare mein we always thinks oon same lines :)
I don't think I've heard this song. Even I believe that he is a better composer than a singer. :)
जवाब देंहटाएंPR This song is here becoz of the catchy mukhda with soulful music. Lyrics are just OK type.
जवाब देंहटाएं