
Kitna khudgarz hai insaan khud galtiyan karta hai aur bhool jata hai par doosre karein to unki bhool use hazam nahin hoti hai. Hai iska koi upaay...shayad Gulzaar ki jholi mein ek tareeka hai..Aap bhi gaur karein..!
aao hum sab pahan le aaine
sare dekhenge apna hi chehra
Sabko saare haseen lagenge yahaan
sahi to kahaa...ek baar aisa aaina aankhon mein sama jaaye to phir to man to badal hi jaaye humara chehre phoolon kee tarh khil uthe aur humari vani se nikalne lage baaton kee meethi khushboo ...
Phoolon ki tarah lab khol kabhie
Khushboo ki jubaan mein bol kabhie
Aur is ghazal ka agla sher sunte hi javed Akhtar kee wo zabardast nazm yaad aa jaati hai
Janta hoon main tumko Jauq-e-shaayari bhi hai
shakhshiyat sajane mein ek ye maahiri bhi hai
phir bhi harf chunte ho, sirf lafz chunte ho
in ke darmiyan kya hai tum na jaan paaoge
gulzar sahab isi baat ko halke phulke andaaz mein kuch yoon kehte hain ..
alphaaz parakhta rahta hai
aawaz hamari tol kabhie
Aur is baat se to aap sab ittifaaq karoge ki bhookamp ke jhatke sirf bhoogoleey plates ke takrane se nahin aate, insaani rishton ki uthal puthl dil kee sarjameen ko bhi hila kar rakhne ke liye kaaphi hoti hai
ye dil bhi dost jameen kee tarah
ho jata hai daanvadol kabhie
aur ye triveni.is ke bare mein to kuch kahna hi phijool hai.
uffff..... ek pin sa dil mein chubhoti chali jaati hai..
Saamne aaya mere, dekha, mujhse baat bhi kee
muskuraye bhi purane kisi rishte ke liye
Kal ka akhbaar tha, bas dekh liya, rakh bhi diya
purane rishton ki tees se upaje dard ko ek padh kar rakh diye gaye akhbaar ke madhyam se khoj nikaalne ka hunar sirf gulzaar ke paas hai.
aur chalte -chalte zindagi ke thapedon se ulajhte nikalte aur phir mazbooti se aage badhte insan ki adamya chetna ko salaam karte huye Gulzaar kahte hain
aadmi bulbula hai paani kaa
aur paani ki bahti satah par tootta bhi hai doobta bhi hai
phir ubharta hai, phir se bahta hai
na samandar nigal saka isko, na tavareekh tod paayi hai
waqt ki mauj par sada bahta
aadmi bulbula hai paani kaa...
Gulzar ki aawaaz ka jaadoo to aisa hota hai ki ghanton uski goonj man mein samayi rahti hai. Mujhe lagta hai ki ye album aur bhi achcha ban padta agar kuch ghazlon ko Gulzar sirf khud padh dete.
is album ki saari ghazlon aur triveniyon ko aap yahaan sun sakte hain
Category : Aaiye Mehfil Sajayein
Devnaagri lipi mein padhne ke liye yahaan click karein