शनिवार, मार्च 24, 2007

Faiz Ahmad 'Faiz' : Roomani Kalpanaoon se Yathaarth tak ka Safar

Faiz Ahmad 'Faiz' ki shayari se mera pehla parichay tab hua tha jab aaj se teen saal pehle ek urdu poetry forum mein maine unki ek nazm Gar Mujhe Iska Yakin Ho, Mere Humdum mere dost padhi. Ab nazm to padh lee par pehle stanza ke baad kuch palle nahin pada. Us waqt us forum ki ek sabse senior member hua karti thin Maham Azmi. So humne darte darte unse darkhwast ki kuch madad karein . Aur jis patience se mujh jaise anjaane shaksh ko unhone iska arth samjhaya wo mujhe aaj tak yaad hai.

Waise main ye juroor kahoonga ki agar aap urdu juban mein naya kuch padh rahe hon to kabhie 'Faiz' se mat shuru keejiye. Pehle doosre shayron jaise Bashir Badra, Ahmad Faraz ko padhein aur phir Faiz ko padhein. Faiz ki shayari ke kayi rang hai. Apne shuruaati daur mein ishq ko apna sabse bada prerak batane wale Faiz ke jeevan mein waqt ke sath aise badlaav aaye ki unki shayari ki disha hi badal gayi. Faiz ke jaati zindagi aur unse judi bahut si batein unki maine vistaar se Hindi blog par
yahan
likhi hain.

Wahan par jo nazmein aur ghazalein likhi hain unmein sabse jyada mujhe ye priya hai. Is ghazal ke bare mein mujhe apni forum ki sathi Saharish Khan se pata laga tha aur unhone mujhe iski audio ki link bhi dee thi. Aur sach main Nayyara Noor ki aawaaz mein jab maine ise suna, ye is qadar zehan mein bas gayi ki shayad kabhie nikal na sake.


ham ke Thahare ajanabii itane madaaraato.n ke baad
phir bane.nge aashnaa kitanii mulaaqaato.n ke baad
[madaaraato.n=hospitality, aawaabhagat]

kab nazar me.n aayegii bedaaG sabze* kii bahaar
Khuun ke dhabbe dhule.nge kitanii barasaato.n ke baad
* Hare bhare khule khet

dil to chaahaa par shikast-e-dil ne mohalat hii na dii
kuchh gile-shikave bhii kar lete munaajaato.n ke baad
[munaajaato.n=prayers]

the bahut bedard lamhe.n Khatm-e-dard-e-ishq ke
thii.n bahut bemahar* subahe.n meharabaa.N raato.n ke baad
* dushwaar,kathin

un se jo kahane gaye the "Faiz" jaa.N sadaqaa kiye
anakahii hii rah ga_ii vo bat sab baato.n ke baad

Click here for english translation of this ghazal
Faiz ki shakshiyat, unke kavya vishay, waqt ke sath unki shayari mein aaye badlaav ko unki nazmon aur ghazlon ke sath apni in teen posts mein vyakta karne ki koshish ki hai. Asha hai ye silsila aapko pasand aayega


  1. 'फैज' : राजनीतिक और सामाजिक बदलाव के स्वर ( Bol ke Lab Azaad Hain Tere with audio clip of Tina Sani, Kutte, Sab Taaz Uchhale Jayenge, Cha.nd Roz meri Jaan, faqat Ch.and Roz, Kuch Ishq kiya Kuch kaam kiya-31.3.07)

मंगलवार, मार्च 20, 2007

Jo Tum Aa Jate Ek Baar by Mahadevi Verma !

Chhayavaadi kaviyon se school ke din mein hum sab bahut door bhaagte the. Ek to unki rachnayein sar ke oopar se guzarti thin aur doosre in kavitaaon ke bhaavarth ratne mein sabke haath pair phool jate the. Jayshankar Prasad aur Mahadevi Varma sareekhe kavi humare man mein prem ras ke bajaay aatank jyaada utpanna karte the. Par kitna farq aa gaya hai tab aur ab mein. aaj umra ki is dehleez par inhin kaviyon ki rachnayein man ko pulkit karti hain.

Mahadevi jee kee is rachna ko hi lein...us pyaare se aaguntak ke liye prateeksharat vyakul man se nikalti ye bhaavnayein hriday ko sahajta se chhoo leti hain.
aaj inka bhaavarth batane ke liye master sahab ke notes dekhne kee jaroorat nahin bas dil ke aaine mein jhaank lena hi kaafi hai

Jo tum aa jate ek baar !

Kitni karuna, kitne sandesh
Path mein bichh jaate ban paraag
gaata praanon ka taar taar
aansoo lete ve pad prakhaar !

ha.ns uthte pal mein aadra nayan
dhul jaata oothon ka vishaad
Chha jaata jeevan mein vasant
lut jata chir sanchit viraag

aankhein detin sarvasva vaar
jo tum aa jate ek baar !


Is post ko Hindi mein padhne ke liye yahaan click karein.

गुरुवार, मार्च 15, 2007

Amrita Preetam ka Kahani Sangrah : ' Do Khidkiyaan'

Amrita Preetam ke gadya lekhan ka aanand shayad hi kisi sahitya premi pathak ne na uthaya ho. Unki lekhan shaili mein ek kavyatmak pravah hai. We apni vichaar badi bebaaki se rakhti hain aur charitron par inki pakad humesha mazboot rehti hai. Do khidkiyan inka ek anootha kahaani sangrah hai jismein kul saat kahaniyaan aur ek lahu upanyaas hain.

Is kahani sangrah ki mein theme auraton ke beech ka aapsi resta hai jise alag alag kirdaaron ke madhyam se unhone bakhoobi ubhara hai. Apne in kahanayon ke bare mein Amrita ji kahti hain
".....Aurat aur mard ka rishta jitna bhi ulja hua ho , phir bhi seedha hota hai. Ek swaabhaawik prapti ka ehsaas uski ragon mein hai. Sirf milan mein nahin virah aur tassuwar mein bhi. Uski buniyaad mein jismaani juroortein hoti hain. Isliye vo apne algaav mein bhi kahin na kahin juda rehta hai, aur uska juda rehna, use badi se badi kurbaani ka bal deta hai.

....par aurat aur aurat ka rishta, maan aur beti ke rishte ko chhod kar, seedha nahin hota balki kisi mard ke madhyam se hota hai. Isiliye usmein ek ki prapti aksar doosre ki apraapti ban jati hai aur isiliye wo ulajh jata hai to uska taar phir haath mein nahin aata. Toot jata hai to usmein dard ka gaurav nahin aata......"

Is kahani sangrah ki vistrit sameeksha iske kuch anshon ke sath maine apne Hindi blog par yahan aur yahan kee hai . Agar istri se judi samvendnaaon ko samjhne aur jaane mein aapki ruchi hai to is kahani sangrah ko avashya padhein.

शुक्रवार, मार्च 09, 2007

Varshik Sangeet Mala 2006 : Sartaaj Geet

Dukh phasaana nahin ki tujhse kahoon
Dil bhi maana nahin ki tujhse kahoon

Aaj tak apni bekali ka sabab
Khud bhi jana nahin ki tujhse kahoon


Ahmad Faraz

Ye dukh bhi ajeeb se cheez hai. Ek baar andar palne lage to jee ghut ta sa rehta hai. Iksha bhi nahin hoti ki kisi ko kahein . Par koyi bhi baandh kitna bhi ooncha kyun na ho ek din to bharega hi aur usse beh kar nikalne waali peeda doosron ko bhi dard mein dubaayegi hi. Meri is sangeet srinkhala ke shikhar par virajmaan is geet kuch aisa hi dard udelta hua dil mein naksh ho jata hai.

Aakhir Umraao Jaan ki Ameeran ne us baandh ke toot jane ke baad hi aisa kaha hoga..
agle janam mohe bitiya na keejo....

Us jamaane ki ameran ki zindagi se door bhi chitak jayein to aaj bhi samaaj ke ek varga , ladki ke roop mein janma lena ko ek abhishapta zindagi ki shuruaat hi maanta hai.

  • Varna Punjab jaise samridha aur apekshakrit viksit pradesh mein bhroona hatyayein kyun kar hotin ?
  • Dahej ke lobhi kyun kar apni nahin to kisi aur ki bitiya ko jalate?
    Shiksha ke mandir aur aashram mein bhi padhai ki aad mein bachchon ka yaun shoshan kyun hota ?
  • Balaatkar ke doshi bhi seena taan kar bina kisi sharmindagi ke nyaayaalay mein kyun jate aur bedaag choot kar aate?
Roz roz aisa hote dekh bhi humara samaj chetna shunya sa kyun bana rehta hai. Sach to ye hai ki mastishk ke kisi kone mein humari soch nahin badli hai.

Jab bhi ye geet sunta hoon Richa Sharma ki aawaaz se nikalte shabdon ka dard dil mein jakar is kadar phail jata hai ki apne charon or ke tathakathit sabhya aur sikshit samaj mein ho rahi in ghatnaoon se nikalte ye sawal man mastishka mein saanp ke fan ki tarah dasne ko daudte hain.

Ye geet isiliye bhi mera pehle no. ka geet hai kyunki is geet ki peeda itni jeevant lagti hai ki dil mein ek jazba aur mazboot hota hai ki jo ho chukka use to nahin badal sakte par aane wale kal mein kuch to karein jisse kisi ki beti ko is geet ke dard se na guzarna pade.

Javed sahab ne is geet mein ek bitiya ke dard ko apni lekhni ke jaadu se is qadar ubhara hai ki ise sunne ke baad aankhein nam huye bina nahin reh paatin.Ritcha jee kee gehri aawaaz, awadhi jubaan par unki mazboot pakad aur parshva mein Anu Malik ka shaant behta sangeet Geet, sangeet aur gaayiki ke is behtareen sangam ko shayad hi koyi sangeetpremi sunne se vanchit rahna chahega
Ab jo kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo.ऽऽऽऽ

Jo ab kiye ho daata, aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo...

Hamre sajanwa hamra dil aisa todin
Oo ghar basaain hamka rasta ma chhodin
jaise ki lalla koi, khilona jo paave
dui char din to khele, phir bhool jaave
ro bhi na paave aisi gudiya na kijo
agle janam mohe bitiya na keejo

jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo

Aisi bidai bolo dekhi kahin hai
maiya na babul bhaiya, kauno nahin hai
ho..., aansu ke gehne hain, aur dukh ki hai doli
band kivadiya more ghar ki boli
is oor sapnon mein bhi aaya na keejo

agle janam mohe bitiya na keejo
jo ab kiye ho daata aisa na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo
agle janam mohe bitiya na keejo



To suniye is geet ko aur izzazat deejiye mujhe. Asha hai pichle do mahine se chali aa rahi is sangeetmala ke kuch geeton ne aapke man ko bhi chhua hoga. Bahut bahut shuktiya un logon ka jo is shrinkhla ke dauraan yahan aate rahe aur apni raay se mujhe avgat karate rahe.

Is geet ki link meri Nov. mein likhi
is post par aapko mil jayegi .

हिन्दी में इस पोस्ट को पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

मंगलवार, मार्च 06, 2007

Varshik Sangeetmala 2006 : RECAP

To bhai isse pehle ki Paaydaan no. 1 ke mere sartaaj geet ka khulasa karoon ek chota sa recap ho jaaye. Pichle saal ki apeksha ye saal pichle heroes Swanand Kirkire aur Sonu Nigam ke liye kuch pheeka raha. Wahin Gulzaar Omkara, Guru, Jaaneman ke geeton mein poori form mein dikhayi pade. Prasoon Joshi ne bhi Rang De Basanti aur Fanaa ke liye kuch achche geet likhe.

Shreya Ghoshal, Sunidhi Chauhan, Abhijit, KK jaise sthaapit gaayakon ke sath Shafqat Amanat Ali Khan, Atif Aslam, Amanat Ali Khan Chinmayi aur Zubeen Garg jaise navodit pratibhavaan gayak kandhe se kandha milate dikhe.

Meri samajh se Omkara is varsh ka sarvashreshtha album raha. Nischay hi iske sangeetkaar Vishal Bhardwaaj aur geetkaar Gulzaar badhai ke patra hain

To doston isse pehle ki main apni pasand ke sartaaj geet ke bare mein bataoon aap kuch guess nahin karenge. Kya Kaha mushkil hai. Chaliye kuch clue humde diye dete hain..

Clue no. 1 - Its not written by Gulzaar :)
Clue no. 2 - Its not very popular song .
Clue no. 3 - Is geet ko jisne gaya hai wo pehli baar is geetmala mein kadam rakhega apni aawaaz ke sath..

Clue No. 4 : Pahle to International Women's Day ke avsar par mere blog readers ko hardik shubhkaamnayein. Somehow is saal ka mera no. ek ka song is also related with issues concerning women in a way.

hmmm. getting more confused. :)
Khair aap apne guess ke sath mujhe is saal ka apna fav song bhi bataiye. mujhe apki pasand jaankar khushi hogi. Aur jab tak aap ye sab sochein ek baar phir se poori list padh lee jaaye.

1 . ?? U have to Guess :)??

2. Mere Man ye Bata De Tu.. from KANK

3. O Saathi Re from Omkara

4. Jaage Hain Der Tak from Guru

5. Tere Bin Main Yoon Kaise Jiya from Bas Ek Pal

6. Beedi Jalai Le Jigar Se Piya from Omkara

7. Ajnabi Shahar Hai from Jaaneman

8. Tere Bina Besuwadi Ratiyan from Guru

9 .
Main Rahoon Na Rahoon from Lamhe

10. Lamha Lamha Doori Yoon Pighalti Hai from Gangster

11. Nainaa Thag Lenge from Omkara

12. Teri Deewaani by Kailash Kher

13. Roobaroo Roshani Hai from Rang De Basanti

14. Kya Batayein Ki Jaan Gayi Kaise from Koi Baat Chale

15.Ye Hausala Kaise Jhuke,Ye Aarzoo Kaise Ruke.. from DOR

16. Ye Saajish hai Boondon Kee...Dekho Naa from Fanaa

17. Subah Subah Ye Kya Hua...from I See You

18. Mohe Mohe Tu Rang De Basanti...from Rang De Basanti

19. Chand Sifarish Jo Karta Humari...from Fanaa

20. Bas Yahi Soch Kar Khamosh Main Reh Jaata Hoon..from Unns

21. Kya Mujhe Pyaar Hai ...from Wo Lamhe

22. Tere Pyaar Mein Aise Jiye Hum...from Bas Ek Pal

23. Chand Ho Tum Chaandni Se Bheega Jaye Man..from Aryan

24. Vaada Tainu Yaad Raakhiyo from Aap Ka Suroor

25. Aaj ki Raat, Hona hai Kya , Paana hai Kya, Khona hai Kya from DON

शुक्रवार, मार्च 02, 2007

Varshik Sangeetmala - RUNNERS UP : Mere Man Ye Bata De Tu.....

Varsh 2007 ki meri is sangeetmaalaa mein Runners Up ka tamga mila hai Javed Akhtar ke likhe, Shankar Ehsaan Loy dwara sangeetbadha ke kiye is geet ko. Film Kabhie Alwida Na Kehna ke is geet ko gaaya hai Shafqat Amaanat Ali Khan ne.

Ye geet mujhe kyun itna priya hai uske bare mein yahan vistaar se pehle hi likh chuka hoon.

Javed Akhtar apni baat humesha seedhe saral andaaz mein karte hain. Aksar apne geeton mein vo jeevan ke un pehluon ko anaayaas hi choo dete hain jinhein kabhie na kabhie kisi na kisi roop mein hum sab ne mehsoos kiya hota hai. Is geetmala mein wo der se hi tashreef laaye hain is behtareen geet ke saath.. Par sawaal ye hai par kya pratham das geeton mein unki ye eklauti peshkash hogi, ye raaj to khair abhi raaj hi rehnein dein.