मंगलवार, मार्च 20, 2007

Jo Tum Aa Jate Ek Baar by Mahadevi Verma !

Chhayavaadi kaviyon se school ke din mein hum sab bahut door bhaagte the. Ek to unki rachnayein sar ke oopar se guzarti thin aur doosre in kavitaaon ke bhaavarth ratne mein sabke haath pair phool jate the. Jayshankar Prasad aur Mahadevi Varma sareekhe kavi humare man mein prem ras ke bajaay aatank jyaada utpanna karte the. Par kitna farq aa gaya hai tab aur ab mein. aaj umra ki is dehleez par inhin kaviyon ki rachnayein man ko pulkit karti hain.

Mahadevi jee kee is rachna ko hi lein...us pyaare se aaguntak ke liye prateeksharat vyakul man se nikalti ye bhaavnayein hriday ko sahajta se chhoo leti hain.
aaj inka bhaavarth batane ke liye master sahab ke notes dekhne kee jaroorat nahin bas dil ke aaine mein jhaank lena hi kaafi hai

Jo tum aa jate ek baar !

Kitni karuna, kitne sandesh
Path mein bichh jaate ban paraag
gaata praanon ka taar taar
aansoo lete ve pad prakhaar !

ha.ns uthte pal mein aadra nayan
dhul jaata oothon ka vishaad
Chha jaata jeevan mein vasant
lut jata chir sanchit viraag

aankhein detin sarvasva vaar
jo tum aa jate ek baar !


Is post ko Hindi mein padhne ke liye yahaan click karein.

11 टिप्‍पणियां:

  1. Arre manishji!! aapne to phir se hamara man choo liya aur school ke dino ki yaad dila dee...haal hi main hum khoj rahe the subhadra kumari chauhan ki "jhansiwaali rani" apni beti ko sunaane sikhane!! aur lo ji apka pyaara sa post...hamein mahadevi ji ka gadya/kahani lekhan bhi behand pasand hai

    जवाब देंहटाएं
  2. Oh gosh! mere school ke din yaad dila diye tumne! I remember this very well and yehi picture of Mahadevi Varma...she has always inspired me with her unique style of writing

    Thanks for sharing
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  3. Smita Mujhe bhi unka gadya lekhan jitna bhi padha hai pasand hai.school mein unki ek pyari gilahri ki kahani humare course mein thi jo ki behad achchi lagi thi.

    DON Thx for the pix. really cute stuff apne comments doonga kal :)

    जवाब देंहटाएं
  4. hello manishji!!

    jee gilhari ki kahani yaad hai mujhe...aur ek hiran ki kahani aur gaay ki kahani bhi yaad hai..kuch ussi tarah ka..simple si kahani..

    जवाब देंहटाएं
  5. mujhe is kavita ki sirf pehli line yaad thi.ye class 10th mein thi aur tab bhi main "is" kavita se kaafi prabhavit thi.bahut dino se dhoondh rahi thi
    sach kaha aapne jo us waqt jaan ki museebat lagte the aj wohi kavitayein ek baar phir se padhne ko dil chahta hai
    Thanks buddy [:)]

    जवाब देंहटाएं
  6. hello manish ji,
    u made me remind my school days, i still remember we used to learn this poem as a song in class 10th,ye kavita mujhe aaj tak nahi bhooli hai, tabhi se ye mujhe bahot pasand hai,mujhe novels ke sath sath hindi sahitya aur kavitao ko bhi padhne ka bahot shauk hai, aur mahadevi varma ji ki "gillo" aur "gilagari ki kahani" school me padhi thi, bahot achhi lagti hai, aur aaj fir se "jo tum aa jate" padh ke bahot emotional ho gayi,
    thanx buddy:)

    जवाब देंहटाएं
  7. Shukriya Pallavi apni memories share karne ke liye.
    Ye poem to emotional kar hi deti hai par mahadevi ji ki Gilhari wali kahani mujhe school ki un sharaarton ki yaad dila deti hai.

    Tab shayad class VII th mein rahe honge. Humare ek man thi Narang Mam. Unki ponytail ka aakar bahut kuch gilahri ki poonch se milta julta hua karta tha. To jab bhi unke class mein aane ke pehle hungama kar rahe students ko ishara karna hota ki wo aa rahi hain to koyi jor se bolta GILLU CHIK CHIK aur phir sab hanste muskurate chup ho jate. Baad mein to ye term unke liye bataur code word ki tarah istemaal ki jane lagi.

    जवाब देंहटाएं
  8. yess, really, hamari mam anita mam bhi kuch-kuch waisi hi thi,ham sab unka bahot fun banate the,aur mama= ko ye pata bhi nahi hota tha...really,is life ki bhag-daud aur tensions ke beech me rehte hue bhi jab bhi kabhi school days wapis yad ate hain to mann fir se taazaa-sa lagne lagta hai, thanx once again for sharing those wonderful moments...

    जवाब देंहटाएं
  9. Is kavita ko lambe antaral ke bad padhna mere liye sukhad anubhuti hai.School days se hi prem, virah aur sringar ki kavitaye mujhe bahut bhati hai. Teenage ko yad dila kar MANISHJI tumne mann prasanna kar diya. Hridaya se dhanyawad.SADANAND

    जवाब देंहटाएं
  10. Manish g namaskar..
    aapki Hindi ki sewayein qaabil-e-tarif hain..
    es kavita "Jo tum aa jaate ek baar" ka shirshak (title)kya hai aur ye kis book me hai ya iska source kya hai?
    dhanyavad
    behtar ho ydi kavitao k sath unke baare me jaise source wagairah bhi batayein..

    जवाब देंहटाएं
  11. Nirgun ji, Ye kavita Mahadevi verma ke bharteey gyanpeeth mein chhape unke pratinidhi kavitaon ke sankaln mein isi shirshak se chhapi gayi hai.
    Waise kavitaon se jude doosre lekh aap yahan dekh sakte hain. Aapko juroor pasand aayenge:

    'एक शाम मेरे नाम' पर प्रस्तुत कविताओं से जुड़ी प्रविष्टियों की लिंकित सूची

    जवाब देंहटाएं