शनिवार, फ़रवरी 17, 2007

Geet # 5 : Tere Bin Main Yoon Kaise Jiya...

Pichle hafte office ka kaam se Bangalore aur phir uske aage jana pad gaya, so us wazah se ye geetmaala jahan ki tahan ruk gayi.
Khair isse pehle ki phir se nikalna pade 5 vein paaydan ka geet aapke samaksha prastut hai. Aur ye geet meri list mein yahan isliye hai kyunki iski shaandaar adaygi ne mujhe behad prabhavit kiya hai.
Yani Bas Ek Pal ke is song ke asli hero vo gayak hain jinhone school ke dinon mein apna khali samay ek umda fast bowler banne mein lagaya. Wo to college days mein jab doston ne inki aawaaz suni to zabardasti ek competition mein inka naam dalva diya. Aur uske baad to Rest is History. Kyunki uske baad college ki sari competition mein awwal aate rahe. Phir inka album Jal, Aadat albums bhi kaphi kaamyab hua.

Ab to aap sab samajh hi gaye honge ki yahan baat chal rahi hai Atif Aslam ki. Atif ki sabse khas baat ye lagti hai ki wo oonche sur bhi badi sahajta se laga lete hain. Sayeed Quadri ne virah ki jis bhavna ko lekar ye geet likha hai use Atif ne apni aawaj se aur ubhara hai. Is geet ke liye sangeet diya hai Mithoon ne.


tere bin main yoon kaise jiya
kaise jiya tere bin
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin
lekar yaad teri raatein meri kati
mujhse baaten teri karti hai chaandani
tanha hai tujh bin raatein meri
din mere din ke jaise nahin
tanha badan, tanha hai ruh, nam meri aankhen rahe
aaja mere ab rubaru
jeena nahi bin tere
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin


kabse aankhen meri raah mein tere bichhi
bhule se hi kabhi tu mil jaaye kahin
bhule na mujhse baatein teri
bheegi hai har pal aankhein meri
kyun saans loon kyun main jiyoon
jeena bura sa lage
kyun ho gaya tu bewafaaa mujhko bata de wajah
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin ...
tere bin main yun kaise jiya
kaise jiya tere bin ...


Is geet ko aap yahaan ya yahaan se sun le sakte hain.

6 टिप्‍पणियां:

  1. Sahi farmaish pesh ki hai 5 veen paaydaan per! Mujhe bhi ye movie dekhte waqt yehi geet pasand aaya :)
    Meine lately kuch ek aadh aise movie dekhein hain jo jyada famous to nahi huye box office per lekin lyrics kuch acche lage...let's see if its there on your list ;)
    Keep it up
    Cheers

    जवाब देंहटाएं
  2. I like this song a lot! Definitely featuring on my list! :D

    जवाब देंहटाएं
  3. DON Its here becoz of this young lad ! I am impressed with his effort a lot.
    No all the three songs at top are too well known to the readers of the blog so no chances of any surprise there ;)

    जवाब देंहटाएं
  4. PR Hmmmm..I know u will like this too..but I am sure that only 1 of the top 4 is in ur list :)

    जवाब देंहटाएं
  5. what a powerful voice he has.. a gift of god.. u will rule the world one day atif

    जवाब देंहटाएं
  6. Yes Srinivasan I do agree with you.Neeraj will definitely will go places.

    जवाब देंहटाएं