बुधवार, जनवरी 31, 2007

Geet # 10 : Lamha Lamha Doori Yoon Pighalti Hai...

To doston aa gaye hum ek ek kadam badhate is varshik geetmala ke paaydaan no. 10 par.
Is geet ko is blog pe pehle bhi lyrics ke sath
yahan pesh kiya tha. In 25 songs ki pherhist mein ye doosra aisa geet hai jiski dhun ko churane ka ilzaam sangeetkaar Pritam par hai. Iski dhun Pak singer Waris Beig ke 1998 mein released song Kal Shab Dekha Maine par aadharit hai.

Par phir bhi Nilesh Misra ka likha ye geet jab sunta hoon to man halka sa ho jata hai. Kuch to jadoo sa hai Abhijeet ki makhmali aawaaz aur iski dhun mein jo geet sunte sunte ise gungunaane ki iksha bhi hoti hai..

Gangster ke is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.
Aur dekhiye to pichle saal is paaydan pe kaun tha ?

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

सोमवार, जनवरी 29, 2007

Geet # 11 : Nainaa Thag lenge....

Is post ko likhte likhte khabar mili ki O.P.Nayyar sahab nahin rahe. Maine apne hindi blog par unki dhunon par bane geeton ki yaad taaza kar unhein apni or se shridhanjali dene ka prayaas kiya hai. agar 50-60 ke dashak mein Nayyar sahab ke sangeet mein aapko ruchi ho to is post ko yahan padh sakte hain.

Gyarahwein paaydaan par ek baar phir Gulzaar Sahab maujood hain ek salaah ka sath !
Salaah bhi kaisi ...un madhosh kar dene wali aankhon se bach kar rahne ki ..



Ab ye koyi aasaan baat hai kya?

Tamaam shayar to inke teekhe vaaron se khud bach nahin paye.(Uski kahani to vistaar se yahan likhi bhi thi.) Ab humein samjhaa rahe hain. Aapko to yaad hi hoga ki khud Gulzar sahab ne pichle saal Kazraari aankhon pe ek geet kya likh diya, janta un aankhon ke jalwon ko dekhne ke liye hi wo film dekh aayi. :p

Par aankhon thagti bhi hain is baat se inkaar bhi to nahin kiya ja sakta naa. Inke is roop ko Gulzar ne in jumlon mein is khoobsurati se pesh kiya hai...

jagte jaadu phukenge re neenden banjar kar denge... ya phir

nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhat padhat na raseed na khaata


....ki man wah wah kiye bina nahin rah pata

Is geet ki dhun banayi hai Vishal Bhardwaaj ne aur ise gaya hai mashhoor sufi gayak Nusrat Fateh Ali Khan ke bhateeje Rahat Fateh Ali Khan ne. Rahat meri in varshik geetmalaaon ke liye naye nahin. Chahe wo 2004 mein Paap mein unka gaya hua nagma Lagan Laagi Tum se Man ki Lagan ho ya phir 2005 mein Kalyug ke liye behad likpriya geet Jiya Dhadak Dhadak Jaye, wo humesha apni gaayaki se dil mein jagah bana hi lete hain.

nainon ki mat maaniyo re, nainon ki mat suniyo
nainon ki mat suniyo re
naina thag lenge , thag lenge naina thag lenge
jagte jaadu phukenge re jagte jagte jaadu
jagte jaadu phukenge re neenden banjar kar denge
naina thag lenge ,thag lenge, naina thag lenge

bhala manda dekhe na paraya na saga re
nainon ko toh dasne ka chaska laga re
bhala manda dekhe na paraya na saga re
nainon ko toh dasne ka chaska laga re
nainon ka zehar nasheela re ,nainon ka zehar nasheela
baadalon mein satrangiyan bonvein
bhor talak barsaavein
baadalon mein satrangiyan bonvein
naina baanvra kar denge
naina thag lenge thag lenge naina thag lenge

naina raat ko chalte chalte swargan mein le jaave
megh malhaar ke sapne dije hariyali dikhlave
nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhad parakh na rasid na khaata
nainon ki zubaan pe bharosa nahi aata
likhat padhat na raseed na khaata
saari baat hawayi re ,saari baat hawayi


bin baadal barsaaye saawan saawan bin barsaata
bin baadal barsaaye saawan naina baanwara kar denge
naina thag lenge thag lenge naina thag lenge


Omkara ke is geet ko aap yahan bhi sun sakte hain.

देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।

शुक्रवार, जनवरी 26, 2007

Geet # 12 : Kailash Kher's 'Teri Deewaani "

Merrut mein janme ,bade huye...phir nikal padee Delhi apne guru ki khoz mein
khoz chalti rahi, guru badalte rahe
15 guruon se shiksha le chuke to laga ki kyun na apna bhagya khwabon ke shahar mumbai mein jaakar aajmaaon.
Shuru shuru mein fakiri ki ye halat thi inki ki ratein Andheri station ka platform par kata karti thin.

Aur phir inhein mauqa mila uparwale ki khidmat karne ka ek geet ke jariye aur phir Allaah ke Is bande ki kismat aisi phiri kee.....
Aaj bhi fakra se batate hain ki station ka wo chaiwala inka bahut achcha mitra tha.

Aaj jab ve apni kaali Honda City se Andheri ke railway staion se guzarte hain, ooparwale ko ek baar dhanyawad juroor dete hain.
Jee haan, main Bharat mein sufi gayiki ke mashhoor sitare Kailash Kher ki baat hi kar raha hoon. A.R.Rahman ka Kailash ke bare mein kahna hai ki unke sangeet mein gaanvon ki mitti ki khushbu hai.

Is geetmaalaa ki 12 vien paaydan par hai unki album Kailasa se liya gaya unhin ka swarachit ye geet jiska har shabda pyar ke rang mein rama hua hai.


preet ki lat mohe aaisi laagi
ho gayi main matwaaree
bal bal jaaun apne piya ko
ke main jaaon vaari vaari
mohe sudh budh naa rahe tan man ki
yeh to jaane duniya saari
bebas aur laachaar phirun main
haari main dil haari haari main dil haari

tere naam se jee loon
tere naam se mar jaaon
teri jaan ke sadke mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala mar gayi main mit gayi main
ho ri haan ri ho gayi main
teri deewani deewani, teri deewani deewani


ishq junoon jab had se badh jaaye
hanste hanste aashiq sooli chadh jaaye
ishq ka jaadu sar chadhkar bole
khoob laga lo pehre raste rab khole
yahi ishq di marzi hai, yahi rab di marzi hai
tere bin jeena kaisa,a ---gardi hai
tune kya kar dala mar gayi main mit gayi main....deewani

kee main rang rangeelee deewani
kee main albeli main mastani
gaaun bajaaun sabko rijhaaun
kee main deen dharam se begaani
kee main deewani main deewani
tere naam se jee loon tere naam se marr jaaun
tere jaan ke sadle mein kuchh aaisa kar jaaun
tune kya kar dala marr gayi main mitt gayi main
ho ri ha ha ri ho gayi main,teri deewani deewani
Is album ke geet ko aap yahan bhi sun sakte hain
देवनागरी में पढ़ने के लिए यहाँ क्लिक करें ।