Bashir Badra sahab ki ek bahut simple see par behad khoobsurat ghazal pesh hai.
Saath chalte aa rahe hain, Paas aa sakte nahin
Ek Nadi ke do kinaron ko mila sakte nahin
Dene Wale ne diya sab kuch ajab andaaz se
Saamne duniya padi hai, aur utha sakte nahin
raaj jab seene se bahar ho gaya apna kahaan
ret pe bikhre huye aansoo utha sakte nahin.........
पूरी ग़ज़ल पढने के लिए यहां क्लिक करें
Agar Sahitya aur sangeet ki dhara mein bahne ko taiyaar hain aap to keejiye ye haseen shaam mere naam.
सोमवार, अप्रैल 23, 2007
रविवार, अप्रैल 15, 2007
Kolkata : Tomar Koto Roop ?
Pichla hafta Kolkata mein beeta. Ek chote shahar se achanak agar aap ek mahanagar mein chale jayein to kuch batein apne aap aap ke man mein aa jati hain.Bhaagti daudti zindagi ke prati kautoohal bhari nigah...
Apaar jansamooh ke beech kho jane ka bhay...
gaadiyon ki chil pon ke beech phanse hone ki kheej...
Teen dinon ke apne Kolkata pravaas ke dauraan alag alag anubhavon se guzarna pada..Ghar se door pade ek taxi driver ki raajneetik samajh...
Band padi mill ke kaamgaron ki asha bhari nigahein ...
Esplanade ki wo chir parichit chahal pahal...
Ya phir mahilaon ki isthiti batate chintajanak swar...
Aur in sab sukh dukhon ko samettaa Belur Math ka ye sundar naagphani. In sab baaton ko vistaar poorvak padhne ke liye neeche click karein.कोलकाता : तोमार कौतो रुप ?
बुधवार, अप्रैल 04, 2007
Laughter Challenge : Hansi ki Phuljhadi ya Hasya ka Avmoolyan ?
Hasya kaviyon ki aajkal badi shamat hai. jabse Sidhu aur Shekhar Suman ke laughter challenge ne bazaar pakda hai log ab manoranjan ke naam par hasya kaviyon ki jagah Raju Srivastava, Sunil Pal, Naveen Prabhakar, Ahsaan Quraishi ya laughter challange ke anya maharathiyon ko hi bulane lage hain. STAR ONE ka ye show jab mashhoo hua tha to laga tha ki ye swastha manoranjan ki taraf ek saarthak pahal hai. Aur apne pehle saal mein K- series ke serials aur ajhel news channels se uktayi janta ko hansi ke kuch meethe pal bhi diye the.
Par jaise jaise inki lokpriyata badhi, lagbhag sabhi news channel use bhunane mein peeche nahin rahe. Ab itne kam samay mein itni jaldi jaldi script badal kar bhala ye hansi ke saudagar ab naya kya pesh karte. Lihaja ek or to vyapak paimanon par chutkulon ki chori shuru ho gayi to doosri or chutkulon ka bhodapan badhta gaya. Aajkal Sidhdhu waise chutkulon par bhi bhayankar thahake lagate dikhte hain jinmein ashleelta ka put shamil hai. Hansi ke ye diggaj apne bachaav mein ye tark dete hain ki public aisa hi masala chahti hai.
Kya aam jan manas mein hasya ka is qadar avmulyan hua hai. Shayad hua hai, aur ye dekh kar man hi man kashta juroor hota hai.
Mujhe yaad hai ki jab hum school mein the to sare bhai bahan Dharmyug ke Holi visheshank ki besabri se prateeksha karte the kyunki usmein ek se badh kar ek hasya kavitayein hua karti thin. Vividh bharti se aane wale prayojit karyakram mein humara parivaar Surenda Sharma ki Main bolyo...Patni ji ki kadiyan hafte dar hafte sunne ke liye radio se kaan sata kar baitha rahta tha.
Kaka Hathrasi, Hullad Muradabadi, Gopal Prasad Vyas, Shail Chaturvedi, Om Prakash Aditya, Ashok Chakradhar ne humare jeevan mein jis terah swastha hasya ka put bhara tha wo aaj is nimna istar par pahunch jayega kisne socha tha?
Aaj juroorat achche hasya aur phoohadta mein antar ko samjhne ki aur swastha hasya likhne wale kaviyon ko protsahit karne ki varna humari agli peedhi ko virasat mein hasyya ke naam par yahi sab kuch sunne padhne ko milta rahega.
Swastha hasya ka swaroop kya hota tha uski ek jhalak dekhein
Ek mitra mile,ble,"lala tum kis chakki ka khate ho
Is dedh chataank ke rashan mein bhi tond badhaye jate ho
kya rakha hai mans badhane mein manhoos, akl se kaam karo
sankranti kaal ki bela hai, mar mito jagat mein naam karo
Hum bole "rehne do lecture, purushon ko mat badnaam karo
is daud dhoop mein kya rakha aaraam karo aaraam karo...........
लेबल:
Apni Baat,
Gopal Prasad Vyas,
Hindi Poetry,
Kavita
सदस्यता लें
संदेश (Atom)